Ufc Member - URDU FUN CLUB (2024)

Private Cloud Basic

About Ufc Member

Ufc Member - URDU FUN CLUB (4)

    • Gender

      Male

    Recent Profile Visitors

    The recent visitors block is disabled and is not being shown to other users.

    Ufc Member - URDU FUN CLUB (5)

    Newbie (1/14)

    168

    Reputation

    1. Ufc Member started following DR KHAN

    2. GHUFARANKHAN started following Ufc Member

    3. @all دیوانگی

      Ufc Member replied to Mani09's topic in Incomplete Stories (No Update)

      اور جمیل نوری فونٹ بھی کام نہیں کر رہا

      • July 31, 2021
      • 89 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (7)
    4. @all دیوانگی

      Ufc Member replied to Mani09's topic in Incomplete Stories (No Update)

      میری ایڈمن سے چھوٹی سی درخواست ہے کے آج کل ایڈ بہت آ رہے ہیں اور اگر اگلا پیج کھولتے ہیں یا کسی کہانی کو پڑھنے کے لیے کھولتے ہیں تو ایک نیا پیج کھل جاتا ہے یا کوئی نیا لنک آ جاتا ہے اسے کینسل کر کے دوبارہ سے کلک کرنا پڑتا ہے تو مہربانی کر کے اس پر تھوڑی سی غوروفکر کریں

      • July 31, 2021
      • 89 replies
        • 23
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (9)
    5. Johnee started following Ufc Member

    6. administrator Name change

      Ufc Member posted a question in

      Apna profile Name kesy change kar sakty hn

      • February 8, 2021
    7. Ufc Member changed their profile photo

    8. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      LAST UPDATE- Aarti sabse mil rahi thi...........jaane kya ahsaas hua tha use.............. Sab log whi room me hi the jab sahil chuchap aaya aur ek kone me khada ho gya................... “mummy ......”aarti ne maa ki ro dekhte huye bas itna hi kaha aur mummy sabko lekar bahar chali gayi..........kisi ke pas koi sawal nahi tha aur aarti aur sahil ko ab koi fark bhi nahi panda tha .... Sahil aur aarti rah gaye the room me ................... Sahil chupchap jakar aarti ke pas baith gya ...........aur uska hath apne hatho me le liya............... Sahil ne apne jeb se ek chhot sa packet nikala........usme chudiyaan thi..............ek ek karke usne aarti ke dono hatho me wo hari hari chudiyaan pahna di aur uske hath ko choom liya...........aarti kea ankh se ek aansu nikal gya jise usne jaldi se saf kar liya................ “bahut pyari lag rahi hain,,,,hai naa???” sahil ke chehre par bachcho jaisi khusi thi, lekin dil ke andar ek jwalamukhi dhadhak rahi thi. Aarti kuchh nahi boli................ “kya hua jaan......achchhi nahi lagi...........” sahil ne ek bar fir badi masoomiyat se puchha. Aarti ko uski halat se dar lagne laga tha.................... “sahil,mujhe maaf karna jaan..............” aarti ki aankhe dabdaba aayi........... “are tum ro kyu rahi ho.............oh...in sab logo ki baten sun kar.....pagal hain sab ....kuchh nahi hoga tumhe...........mai thodi na tumhe kuchh hone dunga..............aarti chahe kuchh bhi ho jaye, mai apni gudiya ko kuchh nahi hone dunga........”sahil abhi bhi zid par ada tha ....khud ko juhthi tassalli de raha tha............ “sahil mujhe dar lag raha hai..........”aarti ke ye sabd sahil ke dilo dimag ko jhakjhor gaye the..........uski upar ki sakhti tutne lagi thi............. “aarti mai pass hu tumhare fir kis bat ka dar.......... daro mat .....mai hu jaan..........aarti kuchh gao aaj mere liye .......please ....bahut waqt ho gya tumhare geet sune...........gao na kuchh...........” sahil ne aarti ka man bahlane ke liye kaha tha........lekin aarti ne sach me gaya...............apne dil ke dard ko sangeet ki jubaan de di.............. Ek nazar sahil pa dali ,uska hath apne hatho me liya.........aur uski aankho me dekhte huye gane lagi.................... tera mera pyaar amar..... hai shabaab par umang, har khushee javaan hai meree donon baahon mein, jaise aasmaan hai chalatee hoon main taaron par, phir kyon mujhako lagata hai dar teramera pyaar amar....... tera mera pyaar amar, phir kyon mujhako lagata hai dar, mere jeevan saathee bata, kyon dil dhadake rah-rah kar kya kaha hai chaand ne, jisako sunake chaandanee har lahar pe jhoomake, kyon ye naachane lagee chaahat ka hai harasoo asar, phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar.... kah raha hai mera dil, ab ye raat na dhale khushiyon ka ye silasila, aise hee chala chale tujhako dekhoon, dekhoon jidhar, phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar..... hai shabaab par umang, har khushee javaan hai meree donon baahon mein, jaise aasmaan hai tera mera pyaar amar..... hai shabaab par umang, har khushee javaan hai meree donon baahon mein, jaise aasmaan hai chalatee hoon main taaron par, phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar....... ((Pori story copy paste hy kuch b writer ka likha change nhi kea sirf is song k Ye song hindi me likha hva tha jisy my ny is story k hisab sy urdu me translate kar k paste kea hy)) 👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆 Sahil aarti ke aawaj ko apne dil ki gahrayi me mahsoos kar rha tha ....gate gate aarti ki aankho se aansu bahane lage .........usne jor se sahil ka hath daba diya aur jor jor se saanse lene lagi........ Sahil ek tak uski or dekhta raha aur fir jor se chillaya.................”aartiiii” Sab log bhag kar room me aa chuke the...............aarti ko turant ICU me le jaya gya..........uski saanse ukhad rahi thi ..................lekin koi fayda nahi tha.............kuchh ghanton bad hi doctor ne jawab de diya............aarti ke pas sab log the .......sab ro rahe the .......aur sabse buri tarah se tadap rahi thi uski mummy............ek taraf mummy aur dusri taraf sahil............sahil ki aankhe ek dam laal ho gayi thi............ “aarti “usne bulaya.........aarti chuchap sahil ki or dekhne lagi....saanse niyantrit thi uski lekin hath pair thande ho rahe the................ “ye cheating hai aarti............mai har bar tumse haar jata tha kyuki tumse haarne me meri jeet thi ....lekin aaj mat harao mujhe kyuki aaj mai haar gaya to tumhe haar jaunga..........plssss....ek bar to jeet lene do.............plsssssssss.....aarti mai kiske sath un kheton ki pagdandiyon par daudunga....kisko sataunga ....kiske sath nadi ki un kanaron par jaunga...........nahi aarti plsssssssssssss.............aisa mat karo....bas ek bar mujhe jeet jane do......... didi bolo na ise ...dekho hmesa mujhe rulati hai...aisa kya kar diya ki aise dhokha de rahi hai..........mai nahi jane dunga ............nahi jane dunga tumhe..........” sahil jor jor se ro raha tha aur aarti ki aankho se bhi aansu bah rhe the .................. “aarti , mai kabhi nhi jaunga tumhe chhod kar , tumhe tang bhi nahi karunga.....mai sabkuchh thik kar dunga....bas mujhe chhodkar mat jao plsss.................”sahil ka dil tadap raha tha aur wo aarti ka ek hath pakde cheekh cheekh kar ro rha tha.......... Lekin aarti nishturata ki moorat ban gayi thi..............uski aankho se bhi aansu bah rahe the............lekin aaj wo fir se sahil ko harane wali thi . Aarti ne mummy ko ishare se kuchh kaha ........mummy ne ek bag me se kuchh nikala aur aarti ke hatho me rakh diya................. Aarti ne sahil ke hatho me rakh diya.................ek dark red colour ki diary thi ....jiske front page par sunahare sabdon me likha tha..................... “TUNE MERE JANA, KABHI NAHI JANA” Aarti ne pas khadi juhi ko ishare se bulaya aur uska hath sahil ke hatho me de diya..............sahil ki or ishara kiya wo uski or jhuk gaya ..............aarti ne pyar se uske mathe ko choom liya...........aur fir apne dono hath jod diye uske samne .......... Mummy ke samne bhi waise hi hath jode aur papa ke samne bhi.................aur aarti chali gayi apne antim safar par...........b**** ki do ultiyaan huyi aur wo sahil ke hisse me ek aur haar dalkar hamesa hamesa ke liye chali gayi............aaj sahil sach much haar gya tha........ek aisi haar jiska bojh poori zindagi uthana tha use. Sahil juhi ka hath pakde pakde hi cheekh utha ............aur behosh hokar juhi ki bahon me gir gaya................ Sab log cheekh rahe the....................sab tadap rahe the...........lekin sahil ki tadap ko samjhane wali use tadapta chhodakr chali gayi thi. Sahil behoshi ke aalam me apni aarti ke sath gaon ke rang birange kheto me daud raha tha.... use pakad raha tha us se lad raha tha, use mna raha tha............lekin ab uske ek hath me aarti ki nishani wo diary thi aur dusre me uski pari ka meharbaan hath, jisme aaj bhi ek maan tha.............. “mai tumhe tutne nahi dungi sahil” Jate jate bhi aarti sahil ko akela nahi chhod gayi thi ........uske dono hatho me kuchh dekar gayi thi. Aur juhi !! uske pas fir se ek tuta hua sahil bacha tha..........fir se use sambhalan tha ...use sawarana tha......... wo ek pari thi, fir se whi farz nibhana tha use. Muhabbat ki bazi haskar haarne wala sahil,aaj apni zindagi ki sabse badi baji haar gaya tha........lekin fir bhi uske hatho me kuchh aisa de gyi thi thi uski muhabbat jiske bharose ek nayi suruwat honi thi,........par dil ki duniya ka ek kona to hmesa ke liye veeran ho hi gaya tha.....wha ab kabhi khusiyon ka phool nahi khilna tha. Ek hi daulat bachi thi in sab muhabbat walo ke pas – WAFA KI DAULAT. Muhabbat ho jaye , to nibha dijiyega dosto.........,sahil aur aarti ki muhabbat ke naam, juhi ki kurabni ke naam , kisi pari ke farz ke nam, kisi aarti ke wafa ke nam aur kisi sahil ki badnaseebi ke nam. Kash muhabbat ki kismat aashikon ke hath hoti ! THE END Writer Aashiq tera.................... *********************************************************************************************************************************************************************************************************************** NOTE--( Friends this story is not 100% true..please read it like any other story ! Maine ye story likhi, ye bahut dardnak hai , mujhe pata hai.lekin iska maksad sirf itna hi hai ki ek sandesh aap sab tk pahuchaya jaye-- muhabbat par yakeen kijiye,lekin kabhi kisi ko muhabbat karne par majboor mat kijiye. pyar nibhate jaiyee, kabhi pane ki kosisi mat kijiye. muhabbat pane ka nhi nibhane ka naam hai, bas itna hi kahna hai. thank you .

      • January 24, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    9. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 22 Sahil ki aankhe us tasweer se chipak kar rah gayi............... “jeevan-vatika” .........use aarti yha lekar gayi thi........use sab yad aa rha tha........... “Kahi wo sab log shimla to nhi chale gaye..................”achanak sahil ko khyal aaya.......... “par shimla kyu jayenge...........ho sakta hai ki didi ghoomne gayi ho....rohan to pahle se hi ghar par nhi rahta aur aarti vishal ke bich kuchh unban huyi ho.........ho sakta hai aarti ka shimla jana use pasand na ho............lekin fir vishal ki baten............??????” sahil ke soch ke ghode bahut tej daud rahe the lekin wo kisi nateeje par nhi pahuch paa rha tha........thak harkar wo wapas laut aaya juhi ke pas...........dil to chah raha tha ki ud kar pahuch jaye aarti ke pas lekin juhi ko kaise chhod deta.................???????? “kya hua sahil...........”juhi hath me coffee ka cup lekar sahil ke bagal me baith gayi aur use pakadate huye boli. “kuchh nhi.........juhi aarti ne MBBS nhi kiya tha.............usne jhooth bola tha............aur bhi jane kya kya jhooth kaha hai usne................” sahil bahut dard me tha aaj...........bas itna hi bola . “kaha hai abhi wo.............”juhi ka dil ro raha tha lekin badi majbooti se usne khud ko sambhal rakha tha............. “pata nhi ............” sahil is bar bhi itna hi bol paya .........uski aawaz ab bheegne lagi thi. “sahil,u ok na.........thik ho na aap.............” juhi ne pyar se uske kandhe par hath rakhte huye kaha........... “nhi juhi !!!!!!!!! Thik nhi hu mai.........mujhe khud se nafarat hoti hai, bahut jyada nafarat...............mai bahut khudgarz insaan ho gya hu juhi.............kisi ke liye life me kuchh nhi kiya maine............bas hmesa apne bare me socha ..........keval apne khusiyo ki parvah ki maine,.................” sahil ke aansu ab aankho me samaa nhi paa rhe the. “aisa mat kahiye sahil........plz......” juhi ka zabt bhi ab zawab de raha tha. “nhi juhi kah lene do............plsss.....nhi to mera sar fat jayega...........juhi mai tumhare sath bahut galat kar rha hu .......mujhe ahsaas hai juhi .......kya kuchh nhi kiya tumne mere liye...........meri kismet ke sitare ko gardish se nikalakar bulandi par pahucha diya............meri roti bilakhati zindagi me ek bar fir se naye rang bhar diye...........mujhe sab yad hai juhi..........wo tadpana ,bilakhana aur fir wo tumhara mujhe samet lena..................” sahil ab ro raha tha aur bole ja raha tha................ “juhi mai kuchh nhi bhoola hu.............kis tarah se tumne aur khan baba ne ek marte huye insaan ko nayi zindagi di, kaise bhool sakta hu mai...................khan baba se kiya wada yad hai mujhe juhi...........lekin mai wo wada nibha nhi paa raha ..........ahsaah hai mujhe......................mai kya karu juhi...........sari duniya se takra jaun tumhare liye.........lekin jab us ka nam aa jata hai to mai bahut bebas ho jata hu..............haan juhi mai bahut majboor ho jata hu............meri sari soch mera sath chhod deti hai..........uski muhabbat mujhe kuchh sochane nhi deti.............” juhi ke bhi aansu bah rahe the aur wo sahil ka hath apne hatho me lekar uski baten sun rahi thi. “juhi tumhe to sab pata hai, janti ho na kya kiya hai usne mere sath.......lekin fir bhi mera dil uski or bhagata hai............use dekhne ko dil karta hai.........juhi main kya karu ..........plsss batao mai kya karu.............mujhe maaf kar do juhi ...........pls maaf kar do yaar.............” sahil itna bol kar chup ho gaya aur niche dekhne laga....aansu tap tap jameen par gir rahe the. “sahil, maine muhabbat ki is shiddat se hi to muhabbat ki hai..........aapki muhabbat me itani tadap thi ki mujhe aapse muhabbat ho gayi..........aur muhabbat me insaan kitna majboor ho jata hai iska ahsaas mujhe bhi hai..................sahil aap kabhi mat sochiyega ki aap mujhe dhokha de rahe hai..........sahil aap jaiye aarti ka pata lagane................aap jab bhi aayenge juhi aapko aise hi aapka intjaar karti huyi milegi.........” juhi sachmuch ki pari thi kyuki itna badaa dil kisi insaan ka to nhi ho sakta........... “nahi juhi..........mai nhi jaunga akele.......tum chalo mere sath.......pls.........” sahil ne kaha. Aur juhi ne ek bar nhi puchha mai kyu jau,kaha jana hai,kab jana hai...........apni muhabbat ki muhabbat dhundane jane ko taiyar ho gayi wo pari.........use dhundhane ja rahi thi juhi , jiske milne se bhi use dukh hona tha aur jiske na milne se bhi use dukh hi hona tha................. Sahil ne ek bar shimla jane ka faisla kar liya tha.....dilli me jitana pata kar sakta tha kar liya lekin kuchh pata nhi chal paya............sahil aur juhi dusre din shimla pahuch gaye.............. Sahil seedha us hospital gaya jaha use aarti lekar gayi thi........... Ek bar fir se sahil ko chhan bin karni padi.............hospital ka administration waise hi tha jaise sabhi bade hospital ka hota hai......students aur patients ke sare recorda alag alag jagah maintain kiye jate the............sahil ke puchhane par pata chala ki same aarti singh ka admission waha hua tha lagbhag 6-7 sal pahle aur usne waha se apni MBBS ki degree complete ki thi............ Sahil ne aur kuchh nhi puchha aur juhi ke sath bahar nikal aaya................lekin abhi bhi kayi sare sawal the jinke jawab nhi mile the......khas karke aarti aur vishal ki shadi ka . Sahil ne ek nazar door bane khoobsoorat JEEVAN VATIKA CAMPUS par dali aur juhi ke sath us or badh gaya............. Thodi der wha ki khakh chaan ne ke bat sahil bahar nikal gaya.........wha se bhi aarti ka koi surag nhi mila..........sahil ka dil bahut bhari ho raha tha............... Wha ke staff se pta chala thi ki aarti nam ka koi wha nahi tha.........sahil behad uadas sa bahar aa gya aur chuchap ek bench par baith gya.........juhi bhi sath me thi aur sahil ke dil me chal rahe tut foot ko mahsoos kar rhi thi lekin aaj wo bhi bahut majboor thi. Sahil kuchh der yuhi chuchap baitha raha fir juhi ki aankho me dekhte huye bola................ “juhi,kaha dhundhu mai use........milti kyu nahi wo mujhe.......aise bhi koi naraz hota hai kya......... Juhi tum ne har kadam par mera sath diya hai...........juhi tum to pari ho na...plss bolo na apne us khuda se ki ek bar mila de mujhe us se ........mai use ek bar dekh lu fir chala jaunga..........plss juhi bola na ki mujhe ek bar aarti se mila de.” Sahil itane yakeen se kah raha tha mano sach me juhi koi pari ho aur uske pas koi jadu ki chhadi ho. “sahil,aarti aapko jaroor milegi......jaroor se milegi....plsss rowo mat sona.” Juhi ne uske aansu ponchhte huye use apne gale se laga liya aur dil me apne rab se dua mangne lagi..........apni muhabbat ko khud se door karne ki dua............ uske kisi aur ke ho jane ki dua...........wo jan chuki thi ki chahe aarti ne sahil ke sath kuchh bhi kiya ,lekin sahil ke dil me aaj bhi aarti hi dhadakati hai........aur wo sahil ko uski muhabbat mil jane ki dua maang rahi thi............bina apni muhabbat ki parwah kiye.......  Kaisi muhabbat hai ye ????  Sahil aur juhi thodi der baad main gate se bahar nikale aur apni gadi ki or badhane lage.........sahil ke hath ek bar fir nirasha lagi thi.................lekin is bar uske sath ek pari thi, jo har pal uski takdeer ki rekhaon se lad rahi thi aur unhe badal rahi thi ............aur is bar bhi aisa hi hua................ “aap sahil hain na............” sahil sar jhukaye bahar nikal raha tha jab ek ladki ki aawaz par uska dhyan toota aur usne sar uthakar dekha. Samne 3-4 ladkiyon ka group tha......aur unme se ek ladki wahi thi jo sahil ko tab mili thi jab wo aarti ke sath yha aaya tha.......sahil ne dhyan se dekha ...pahchan to gya tha par thoda confuse tha............ “are aapne shayad pahchana nhi.......mai aapse mili thi jab aap aarti ke sath aaye the.........remember?” ladki ne use yad dilaya. “oh........haan....yad aaya.” Sahil ko umeed ki ek kiran nazar aayi. “aarti se milne aaye the aap...........?” “haa....kya hai wo yha par..........??” sahil ne jaldi se puchha. “haa...cottage no 012 me hai.......shayad mummy ke sath apne..........aap kyu nhi aaye uske sath......she needs u..........zindagi ke ************ ” sahil ne bas cottage no hi suna aur juhi ke sath turant palat gya....aage wo ladki kya bol rahi thi usne suna bhi nahi. Sahil daudate huye cottage dhundh raha tha......juhi bhi teji se uske pichhe aa rhi thi............... 010,011 and .........012......... sahil ne jor se door khola aur andar ghuste hi chilla pada............... “aarti , kaha ho tum............mai aa gya aarti.” Samne mummy bed par baithi huyi thi............... “sahil?” didi ko jyada aascharya shayad nhi hua........mano wo sahil ka intzaar hi kar rahi thi............. “didi ,aarti kaha hai...sab thik hai na..........kaha hai aarti........????” sahil ki aawaz me itani tadap thi ki didi ka bhi dil tadap utha...........aaj wo tufan aa hi gaya tha jiski aashanka unhe barso pahle ho gayi thi............ “haa wo bas..........sab thik h, aao.......meri tabiyat kharab ho gayi thi to aarti yha le aayi..............thik h sab kuchh.....are juhi...aa ja beti..........” didi ne juhi ko dekh liya jo darwaje par hi ruk gayi thi..............juhi ka dil bahut udas ho raha tha.........kitni berahmi se usne didi ko daant diya tha unke ghar par aur wo aaj bhi us se itane pyar se bat kar rhi thi........... “aarti kaha hai didi.......” sahil ka sabr jawab de raha tha....aur uski bechaini un fizaon me ghul gayi thi .........................sahil ki is aawaz ke sath hi washroom ka darwaz khula aur aarti bahar nikal gayi.............sahil par nazar padi aur ek pal ko dono sari duniya bhool gaye........... Sahil ki nazre us masoom mukhade par ja kar jam si gayi......... Shadi ke bad pahli bar aarti ko dekh raha tha sahil.................gulabo ke jaisi khili khili rahne wali aarti patjhad ke phool ki jaise murjha gayi thi............kahi se dekhkar nahi lag raha tha ki uski shadi huyi hai......na sindur ,na mangalsootra.......kuchh bhi nahi..............bahut kmajor ho gayi thi wo.........chehra bilkul peela pad gaya tha.......aankhe dhans gayi thi aur unke niche kale dhabbe pad gaye the...........sahil ka kaleja fat raha tha juhi ko is haal me dekhkar.....................na koi shikwa aa raha tha uske dil me na koi sawal...bas ek tadap thi................ “didi ye kaisi ho gayi meri aarti..............aise to nahi chhoda tha maine aapke pas.........yahi khyal rakha aapne meri aarti ka didi......isliye mujhse juda kar diya ise ........”sahil ki aankhe fir barasane lagi. Didi ki aankhe bhi bheeg gayi, juhi bhi ro rahi thi...........lekin aarti bilkul khamosh thi.................. “sahil aapko yha nahi aana chahiye tha............mummy ko thodi problem thi to mai yha le aayi..........baki sab thik hai......” aarti nishthurata ki moorat bani huyi thi......lekin sahil ko to wo bachapan ki hasti khilkhilati,use tang karti masoom si aarti nazar aa rahi thi................. “aarti, ye kya haal bana liya apna............”sahil ko uski koi bat buri nahi lag rahi thi..............use bas aarti ki wo bujhi huyi aankhe dikh rahi thi.....jin aankho me kabhi uske liye jeevan ke haseen sapne hote the......sahil ka bas nhi chal raha tha ki wo daud kar aarti ke gale lag jaye............mamooli se suit salwar pahne wo barso ki thaki thaki si lag rahi thi.........aur chehre par sahil ke liye narazagi .....ya shayad naraz dikhane ki ek nakam kosis. “mai thik hu.........aur agar aap chale jayenge to aur bhi achchhi ho jaungi.........”aarti ka har sabd sahil ke dil ko cheer dene wala tha ..........lekin aaj sahil ko fark nhi pad raha tha............use bas ek bat ki fikar thi........apni aarti ki. Sahil kuchh nhi bol raha tha bas chupchap use dekh raha tha...............fir wo achanak se chalkar uske pas pahuch gaya..................aur usko jor se apne seene se laga liya.................. “aarti, sab thik ho jayega....mai aagya hu na........ab m sab thik kar dunga........mujhe maaf kar do .....tumhe chhoda ke chala gya na ....isiliye ye haal bana liya hai na...............ab nahi jaunga....chahe tum kitna bhi bhagao..........mai nahi jaunga.............sab thik ho jayegi aarti..............sab” sahil ro raha tha aur pyar se aarti ke balo me hath pher raha tha............didi aur juhi ke bhi aansu bah rahe the. Lekin aarti abhi ek patthar ki moorat bani huyi thi. “chale jaiye aap....plsssss........jaiye.........i hate u...........bahut nafarat karti hu mai aapse.......jaiye nahi to mera mara muh dekhenge aap.....” aarti cheekh padi. Sahil ek dam jhat se us se alaga ho gya..............ye kya kah rahi thi aarti...........sahil ki aankho ke aage jaise andhera sa chha gya................ “mera mara muh dekhenge aap” aarti ke ye sabd uske dil ko kirchi kirchi bikher gaye............jiski khusi ke siwa aaj tak usne kuchh chaha hi nahi, aaj usne kaha tha use jane ko........... “nahi aartiiiiiiiiiiii....pls......mai ja rha hu .........kabhi nahi aaunga.......kabhi bhi nahi....tum kabhi dubara ye mat kahana.....kabhi bhi mat kahana.........aarti shayad tum sab bhool gayi lekin mujhe mere bachpan ki wo gudiya aaj bhi yad hai aarti.............aur mai apni gudiya se aaj bhi utna hi pyar karta hu...........aisa fir kabhi mat kahana......jaa rha hu mai..............jaa rha hu aarti....is bar nhi aaunga.........khus rahna...” sahil ne apne aansu ponchhe aur teji se bahar ki or badha . “sahillllll...”didi ne aawaz lagayi.” “mummy meri kasam plssss......” aarti jaldi se chikhi....... Sahil ek pal ko thithka ,juhi bhi ruk gayi..............pichhe muda ......poora chehra aansuo se bhiga hua tha.............. “ GOOD BYE AARTI ” bas itna hi kaha aur wapas muda.......kuchh kadam chala tha ki dhadam ki aawaz par wapas muda.............aarti farsh par giri huyi thi aur uski naak se khoon nikal raha tha. “AARTIIIIIIIIIIIII”” sahil ki cheekh se jarra jarra kaanp gaya tha us fiza ka............ Wo paglo ki tarah aarti ki or badha aur use apn baho me utha liya.................. “aankhe kholo aarti..............mai chala jaunga...........hmesa ke liye ............sach kah raha hu...........tumhari kasam aarti apni shakl bhi nahi dikhaunga........bas aankhe kholo..........aise to mat rutho yar.......pls...............doctorrrrrr.............” sahil uske galo ko thapthapata raha aur fir god me uthaye ward ki or bhagne laga ....... ************************************************************************************* Aarti admit thi ........behosh thi..........aur sahil ka chehra safed ho gya tha............usne ek chuupi sadh li thi kisi se kuchh nhi bol raha tha............. Jeeja bhi aa gaye the............juhi aur jeeja aarti ke pas the aur sahil chuchap didi ke pas chala gya jo usi cottage me mandir ke samne baithi ro rahi thi..................... Rat ke 9.00 baj rahe the............... Sahil jakar didi ke samne khada ho gya...............didi ne use dekha to apne aansu ponchhe aur wo bhi khadi ho gayi...............sahil ki aankho me ek sawal tha.............aur us sawal se didi ko dar lag raha tha............. Sahil ne apne back se pistol nikali aur apne sar par laga li.................... “sahil ye kya kar rha hai..........pls....nahi beta.......plss...ise rakh de.......sahil plss..........” didi ek dam sann rah gayi............ “bataiye mujhe sab sach sach..........aap sabne mujh se hamesa jhooth bola hai...........lekin agar aaj mujhe ek bhi bat jhoothi lagi to mai khud ko shoot kar lunga.............mummy ki kasam hai mujhe.” Sahil bahut thahar thahar kar bol raha tha....bahut dard tha uski aawaz me. “mai sab sach bataungi...........plss ise dur rakh de..........plsss beta................aarti ki kasam sahil plsssssssssssss................mai sab sach bataungi...................” didi gidgida rahi thi....sahil ne pistol door phenk di aur didi ki or dekhne laga......... “sahil itani himmat nahi hai mere andar..........aa mere sath...............”didi bilakh bilakh kar ro rhi thi aur room me rakhe ek suitcase ko khola ........usme dher sare papers the......didi ne ek 3-4 pages ki file nikali aur sahil ko pakda di.................. Didi buri tarah ro rahi thi .......sahil ke hath kaanp rahe the......usne patthar ka kaleja karke file ka cover palat diya............. FRONT PAGE---- PATIENT NAME - AARTI SINGH. DISORDER- LEUKAEMIA (BLOOD CANCER) DIAGNOSIS DATE- 20/0*/20** Date wise lagbhag 6-7 sal pahle se...................sahil ke hath se file gir gayi ,uski aankho ke samne andhera chha gaya ,use jor ka chakkar aaya aur wo wahi dhadam se farsh par gir gaya aur behsoh ho gya. Didi jor se chillayi.........”sahilllllllllllll” Aaj aur kuchh nhi kah paunga dosto......... SORRY.  (dosto aarti ko bimari bahut pahle se thi uske symptoms bhi the lekin is story me maine mention nhi kiye nahi to story behad predictable ho jati............jaise jab sahil ke accident ke bad wo aati hai to bhi kayi sari prblms face karti hai lekin chunki ye sab sahil se chhupaya gya tha to mai wo mention nhi kar sakta tha......baki sare sawalo ke zawab kal khud aarti degi ... bas aub door hai ye dard apne anjaam se ......... ) Sahil ko hosh aa chuka tha jabki aarti abhi bhi behosh thi......aarti hospital me thi ........sahil didi ke sath whi bahar gumsum sa baitha tha..............kuchh bhi nahi bol raha tha.............. Didi ne pyar se uske kandhe par hath rakh diya.............. “sahil tumhe kuchh batana hai........mai is sthiti me to nahi hu lekin agar aaj nhi bata payi to shayad kabhi nhi bata paungi...........tumhara ye jan na bahut jaroori hai..............” didi ke aankhe bhari thi aur wo dheere dheere bol rahi thi.....jeeja kahi gaye the aur juhi cottage me thi........... “sahil yad hai jab tum apne interview ke bad ghar gaye the.............uske dusre teesre din hi dheeraj aur varsha wala case hua ......tumhare jeeja bahut gusse me the aur unhone ne bahut kuchh kaha dheeraj ko bhi aur tumhe bhi........us din aarti poori rat roti rahi ......dusre din bhi usne kuchh nhi khaya aur apni papa se bat bhi nahi kar rhi thi........usi din tumhara call aaya aur usne tumse thik se bat nhi ki.......gussa to wo kisi aur parr thi....lekin jaisa ki hamesa hota aaya tha, nikla ek bar fir se wo tum par................. “Uske kuchh do din bad aarti achanak behosh ho gyi aur uski nak se blood aane laga.....hm use hospital lekar gaye..................hme laga ki use koi chhoti moti problem hogi lekin use...............”didi itna kahkar rone lagi.........sahil chuchap unki or dekh raha tha................ “hamne aarti ko har jagah dikhaya ...AIIMS ke chief doctor ne bhi dekha lekin sabka yhi kahna tha ki iska koi ilaaz nhi hai..........aarti se hmne chhupana chaha lekin jane kaise wo jaan gayi..............aur fir ek din wo rat me mere kamre me aayi..................” Didi batate huye ateet ki dhundhali yado me kho gayi.............. “mummy ,aap soye nahi........”aarti ne room me aakar didi ko pichhe se gale lagate huye kaha.... “haan beta wo neend nahi aa rhi.......aa baith “ ...didi aarti ko lekar apne bed par baith gayi. Aarti ne didi ke god me sar rakh liya.....didi dheere dheere uska sar sahlane lagi ....anayas hi unki aankhe bhar aayi................... “mummy ,” aarti ki aawaz me bahut dard tha. “haan meri jaan”didi lakh kosis ke bad bhi apne aansu na rok saki. “mai marne wali hu na mummy............” aarti ne bahut mayoosi se kaha, didi ka kaleja fat gya uski bat par. “nhi meri jannnnnnnnnnn......kuchh nhi hoga tujhe meri bachchi........tu bilkul thik ho jayegi...bilkul thik....aisa kabhi mat kahna .....mummy kaise jiyengi tujhe kuchh ho gaya to .....haan???” didi ne jor se use apne seene se laga liya aur foot footkar rone lagi. “mummy kuchh kahna hai aapse.............” “haan bol na meri jaan” “mummy mai kisi se pyar karti hun...” aarti ka chehra bilkul shant tha. Didi ek pal ko chakit ho gayi, “kis se “ didi ne kaha “sahil se” aarti ne bade garv se kaha. “kaun sahil.........kahi apna sahillllll to...........” didi ko is bat ka gumaan to pahle se hi tha ,bas aaj us bat ki pushti ho rahi thi. “haa mummy,mere sahil se, aapke sahil se..........mujhe pata hai ye sahi nahi hai..........lekin ho gaya mummy.....maaf kar dijiye.........” aarti ki aankhe bhar aayi. Didi is samay use kya samjhati....chup rahi...........aur use ek bar fir gale se laga liya.............. “sahil hai pyar karne ke layak , mujhe naaj hai teri pasand par.......lekin beta duniya samaj ........aur fir tere papa........... aur kya sahil bhi...” didi ne dil ki bat kahi. “haan mummy sahil bhi mujhe se beintaha pyar karte hain.......lekin iski shuruwat maine ki thi....sahil ko maine propose kiya tha...............sahil ki koi galti nhi hai mummy..........” aarti aaj bhi apne sahil ko bacha rhi thi. “galti to teri bhi nhi hai meri jaan.............”mummy bas itna hi bol payi. “mummy kitna waqt hai mere pas............”aarti ka sara dard uski un jheel si kali aankho me utar aaya tha................aur didi se wo dard bardasht nhi ho raha tha............ “ kaisi baten kar rahi hai aarti......tu thik ho jayegi beta......bilkul thik....aur fir mai tujhe tere sahil se mila dungi........chahe duniya kuchh bhi kahe.......aur agar koi nahi mana to mai tum dono ko yha se door bhej dungi........mera yakeen kar................” didi apne lado ke laad me bole ja rahi thi...........jabki unhe achchhi tarah se pata tha ki aarti ab kabhi bhi normal life nhi jee payegi. “plss mummy sach bataiye na........mujhe sab pata hai mom...........kitna waqt hai mere pas............aapko meri kasam ............bahut jaroori hai ye jan na mere liye .................pls.........” Didi rone lagi aarti ki bat sunkar......aur rote rote hi kaha......... “doctor ne kaha hai ek do sal ya fir maximum 5-6 sal ...severety par depend karta hai.....meri jaan tujhe kuchh nhi hoga.........mujhse kabhi mat puchhna ab..........tu thik ho jayegi beta.........sabkuchh doctor hi to nhi hote..............bhagwan bhi to hota hai na kuchh..............dekhna tu thik ho jayegi.............” didi ki aankhe baras rahi thi aur unhone aarti ko gale se lagaye huye uske gal choom liye. “haan mummy mai thik ho jaungi...........mummy aapse kuchh mangu.............” aarti boli. “kya beta???? ...mummy se mangne ke liye ijajat mangte hain koi........” did boli. “mummy, sahil ko ye bat kabhi pata nhi chalni chahiye................plss...aapko meri kasam .........meri aakhiri tamnna samjh lijiye ise...........wo bardasht nhi kar payenge...........bahut jyada chahte hain sahil mujhe...........un aankho ke sapne tut jayenge...........mujhe bahut dard ho raha hai mummy.....maine apne sahil se bewafai kar di............mai “ BEWAFA “ ho gayi mummy.........mai bahut buri hu..........mera sahil bahut masoom hai......kaise bardasht karenge wo.........mujhe jeena hai mummy ...........mai marna nahi chahti............mujhe bacha lijiye maa....pls...........boliye na apne bhagwan se.......plss mummy bacha lijiye apni aarti ko...........” pahli bar aarti tutkar royi thi apni maa ki bahon me.......did bhi buri tarah se ro rahi thi , kitna majboor kar diya tha kissmat ne aaj us maa ko. Didi bata rahi thi aur sahil patthar ki moorat bane sun raha tha.........didi ro rahi thi lekin wo chup tha......... “sahil uske bad aarti ne jo kuchh kiya wo sirf ek natak tha ....wo tumhe khud se door karna chahti thi..........wo shadi ka card jo dekh kar tumne suicide attempt kiya ,aur fir wo jhoothi shadi........jo kabhi huyi hi nahi.” “jante ho ,jis din maine tumhe phone kiya ki aarti ki shadi tay ho gayi hai aur tumhe aana hai us din aarti mere bagal me baithi thi ....us samay juhi tumhare pas pahuchi hogi aur usne tumhe yha shadi me aane se mna kiya hoga........kyuki aarti ne use wha bheja tha........ ...use dar tha ki tum fir se aisa kuchh na kro .....lekin juhi ko wajah nhi pata thi ....use bas ye pata tha ki aarti ki shadi ho rahi hai ...........aur tumhe sambhalane ke liye use bhej rahi hai aarti.” har bat par sahil ka dil ro raha tha ...........kya kay nahi kiya tha aarti ne uske liye aur kya kya nahi saha tha us masoom ne. “sahil shayad tumhe pata nhi hoga..........jab tum yha se gaye to aarti saye ki tarah tumhare pichhe thi ....tumhara jis institute me hua tha wha tumhara resume aarti ne send kiya tha.......wo uske kisi dost ke uncle the jo wha ke director the..............usne tumhe akela nhi chhoda tha sahil kabhi bhi............lekin uske bad aarti ki tabiyat jyada kharab ho gayi aur wo shimla chali gayi....wha se usne MBBS bhi kiya aur jeevan-vatika me uska ilaaj bhi hota raha.......” Didi yad karke ek ek bat sahil ko bata rahi thi ...jaise ki apni beti ka case lad rahi ho....au dar ho ki kahi wo case haar na jayen......... “yad hai jis din tum hame mall me mile the , jab ham kapde aur lahnga kharid rahe the ............sahil wo aarti nahi kharid rahi thi ................uski ek dost ki shadi thi jo us samay sath hi thi................. aarti kahi bahar nhi aati jati thi isliye us din ham sab use jabdasti bahar le gaye the ...aur wha tum aur juhi mil gaye...........” “sahil aarti bahut ghut ghut ki jee hai ye 6 sal ....ek ek bat mujhse kahti thi aur har rat sone se pahle tumse maafi mangti hai ...aaj bhi ..........” Didi sab kuchh bata kar chup ho gayi thi...........itane me jeeja bhi aa gaye.........wo bhi wahi aakar baith gaye aur sahil ki or dekhne lage. Sahil ki or dekhte dekhte achanak foor foot kar rone lage............ “meri aarti ko bacha lo sahil........plss....tumne to use har mushkil se nikala hai.......har kadam par uska saaya bane rahe ..........aaj ek aakhiri bar........pls............apni muhabbat ko bacha lo sahil...............plssssss............mai har gunaah ki maafi mangta hu.............bas use bacha lo..............kuchh bhi kar ke............” jeeje jaise majboot insaan ko is kadar toot kar rote dekh sahil ka dil bhi dahal gaya.......dil to pahle se hi tar tar ho chukka tha............ unki baton se saf lag raha tha ki unhe bhi sab pata hai dono ki muhabbat ke bare me....... Wah ri muhabbat ! wah ri kismat! Aaj jab sabne unka pyar sweekar kar liya tha to unka pyar chand sanso ka mohtaj ho gaya tha “sahil doctor ne kaha hai ki bas kuchh din bache hai meri beti ke pas...........plsss..sahil .......bacha lo apni aarti ko ...bacha lo..........” jeeja sahil ka hath apni aankho se laga kar ro rahe the. Piche aakar khadi juhi dhamm se farsh par gir gayi.......uske pair kaanp rahe the ye sab sunkar ......use ab pata chal tha ki aarti itnai jyada bimar hai...........sahil ne fauran use uthakar apne pas bitha liya aur uska sar apne kandhe par rakh liya............. Juhi sooni sooni aankho se sabki or dekh rahi thi............. “ Mai dua karoongi ki tumhe muhabbat ki ek boond bhi naseeb na ho............” aarti ko usne yahi baddua di thi ...................aur aaj uski baddua use ek gali lag rahi thi khud ke liye........... Juhi chuchap baithi rahi.............use khud se nafarat ho rahi thi......kya nahi kaha tha usne aarti ko ........kitna bar beafwa kahkar gali di thi .....ek ek khusi ke liye tarasane ki baddua di thi .....aur aaj uski har bat uske kaleje ko chher rahi thi . juhi ne jo kuchh kiya halat ne karwaya tha us se ..........uska koi, koi dosh nhi tha lekin wo fir bhi khud ko gunahgar maan baithi thi.......uski aankho me ek kabhi na jane wali virani dikh rahi thi..........aansu nahi the.....................kyuki jo dard is samay uske seene me uth raha tha use bayaan kar pana aansuo ke bas me nahi tha......... “juhi plss sambhalo khud ko beta........” didi ne uske sar par hath phera aur juhi unke gale lag kar rone lagi........... “I m sorry didi, mai bahut buri hu...........maaf kar dijiye.............” sahil chup tha ....kuchh nhi kah raha tha......tabhi ward boy ne aakar kaha.......... “patient ko hosh aa gya...........aap chahe to mil sakte hai” sab ek sath uthe aur ward ki ro chal diye......bas sahil pichhe rah gya..........aur uske sath the jeeja................ “sahil doctor ne kaha hai aarti ke pass bas kuchh din hain.............plsss use bacha lo sahil.....meri beti ko bacha lo..............” jeeja aaj bahut dard me the ..............beti ki muhabbat ne unhe sab kuchh bhoola diya tha....duniya-samaj ,parmapara-maryada.....kuchh bhi yad nhi tha........bas aaj unhe unki beti yad thi. “use kuchh nhi hoga.........mai jane nahi dunga use .....chahe kuchh bhi ho jaye......” sahil ki aawaz me ek majbooti thi ,ek sakhti thi aur ek jid thi. Sab log aarti ke pas the.....rohan bhi aa gya tha..........bas juhi andar nhi gayi thi ...uski himmat nhi ho rahi thi aarti ko face kar pane ki .............sahil chuchap ek kone me khada tha.........aarti leti huyi mummy papa se kuchh kuchh bol rahi thi aur kabhi kabhi halke se has deti.......lekin uski nazre sahil par tiki huyi thi................. Sahil bhi uski or dekh raha tha.....sari duniya se naraz-naraz sahil aarti ko bahut pyara lag raha tha..........ek tees uth rahi thi uske dil me.............kash wo sahil ko mana leti........us chhote se bachche ke jaise naraz tha wo jiska koi pasndida khilona chhin gya tha us se........sahil ke chehre par saadiyon ki udasi thi lekin un aankho me ek jid thi ......... wo aankhe bol rahi thi-- “aaj sari duniya se takaraa jaunga ,lekin tujhe jane nahi dunga.” Aaj kismat ka takraw hona tha muhabbat se,aur unki muhabbat ke liye shayad qayamat ka din aa gya tha. Sahil chuchap kone me khada aarti ki or chor nazro se dekh raha tha.....mano us se sadiyon se naraz ho aur us se kah raha ho ki mana lo mujhe nhi to fir kabhi nhi milunga..........aarti bat to mummy papa se kar rahi thi lekin nazren uski sahil par bar bar ja rahi thi................. Dheere dheere sab log bahar chale gaye aur sahil aur aarti room me rah gaye..............aarti ne ishare se sahil ko apne pas bulaya............. Sahil chalta hua uske bed ke pas pahucha aur chupchap uske karib baith gya........bahut jyada narazgi thi uske chehre par.............. “sahil” uffffffffffffff! Itana pyar tha us sahil lafz me ............sahil ke andar ki sari narazagi hawa ho gayi.......wo chuchap uski aankho me dekhta raha................ “naraz ho mujh se..............”aarti ne apna ek hath badhakar uske gaal par rakhte huye kaha. Sahil kitna bardasht karta...............tut gaya.......... Jor se aarti ko gale laga liya............... “koi kuchh bhi kahe mai tumhe kuchh nahi hone dunga..........kuchh bhi nahi.....tum meri ho.....meri gudiya ho tum....koi kaise le sakta hai tumhari zindagi ke faisle ............sirf mujhe hai ye haq......sirf mujhe.” Sahil ka har lafz sukoon pahucha raha tha aarti ko. “uffff.............muhabbat ka ye kaun sa rang hai sahil jo itana gahra hai........kya kya nahi kiya maine is rang ko chhudane ke liye , lekin ye rang chhutta kyu nahi sahil........ Kyu itana chahte ho mujhe ....kyu...........” aarti aaj wo sawal puchh rahi thi jo pichhle 6 salo se uske dil me uth raha tha.....aur sahil ne jawab me wo sawal puchha jo uske dil me bhi pichhle 6 sal se tha.............. “kisne de diya tumhe ye haq aarti????????....kisne diya ye hak ki mere pyar ka rang chhudawo tum...............kya khata hai meri........ye ki mai deewano ki tarah tumhe chahta hu ya fir ye ki maine bachpan se lekar aaj tak sirf tumhari khusi chahi.............bolo aarti..........kya muhabbat karte samya ye wada liya tha maine ki jab tak tum aisi hi rahogi tab tak hi muhabbat karunga.............kya meri muhabbat bas achchhe dino ke liye thi............kya meri muhabbat par yakeen nahi tha tumhe ??? ......bolo.......kya tum me koi kami aayi, tumhari muhabbat me koi kami aayi.............. muhabbat to tab kamjor ho jati jab in aankho me kisi aur ka aksh nazar aa jata...........lekin in me to aaj bhi meri muhabbat aabad hai.........fir kyu mujhe khud se door kiya...........kyu di mujhe ye saja.......jo bhi hota uska samnaa hum sath sath karte ..........apni muhabbat ki taakat se us se ladte............lekin tumne to mujhe itana haq bhi nahi diya...........ye galat kiy aarti......ye galat kiya.” sahil kahte kahte rone laga.. “nahi jaan .............plss..........aapki aarti itani samjhdar nahi thi..........usne to aapko is dard se bachana chaha...........ek nakam si kosis ki...........bhool gayi ki aarti ki rooh to sahil se judi hai fir kaise us se kuchh chhupa sakti hai...........sahil maf kar do apni aarti ko ........mere antim palo ki khatir please.................”aarti bhi rone lagi. “nahi aarti, ye kabhi mat kahna............tumhare antim pal mai aane nahi dunga........aarti chahe kuchh bhi ho jaye, mai tumhe kuchh nahi hone dunga............kuchh bhi nahi....” sahil aur aarti aaj barso bad ekdusre ke seene se lage huye ,ek dusre ki rooh ko sukoon pahucha rahe the......aarti ko aaj bhi sahil ki masoomiyat par pyar aa raha tha............kismat se ladane chala tha uska sahil. Aarti ko wapas cottage me laya ja chuka tha.........wo normal to nahi thi lekin fir bhi wo apna jyadatar samay hospital ki Kothari se bahar apno ke bich bitana chahati thi..............shayad use ahsaas tha ki uske pas kuchh pal hi bachen hain aur har ek pal me wo ek zindagi jeena chahati thi............ sahil ka dil tadap raha tha lekin kuchh kar nahi paa raha tha ....usne abhi tak ek sakhti ka mukhouta pahan rakha tha jo sirf ek hi aawaz bol raha tha......... “ chahe kuchh bhi ho jaye ,mai use jane nahi dunga” Uska dil dimag par bahut jyada hawi ho gya tha....aur wo kuchh sochane samjhane ki halat me nahi tha........sab log sahil ki is halat se wakif the lekin koi kuchh bol nahi raha tha..........sahil ki deewanagai pagalpan ka roop le rahi thi........... Aur ek thi juhi ! mason juhi ! kya nahi kiya usne sahil ke liye........apna sabkuchh ,sabkuchh uske nam kar diya..........aur aaj bhi uski muhabbat me uske sath yha tak aa gayi thi........lekin aaj sahil ki halat dekhkar use dukh ho raha tha.............koi nahi ye soch raha tha ki juhi kaun hai , kya hai...........kitna kuchh kurban kiya hai usne sahil ke liye............aur wo masoom bhi khud ko gunahgaar man baithi thi.............use ab ye bhi lagne laga tha ki wo sahil aur aarti ke bich aa gyi............ye bhool gayi thi wo pari ki agar wo na hoti to aaj sahil bhi na hota............. Juhi chup chup si ,khoyi khoyi si idhar udhar rahti.......na sahil ke samne jyada jati na aarti ke samne..............sabse badi saja de rahi thi wo khud ko....jabki uske hisse me koi jurm to tha hi nahi.........usne to bas muhabbat ki thi ............sahil se............aur aaj sahil bhi shayad use bhool gaya tha..........lekin koi aisa tha jise juhi nahi bhool thi, jise ahsaas tha ki juhi kaun hai, jise ahsaas th ki aaj sahil hai , kyuki uske sath kal juhi thi........aur wo thi aarti.aarti ko juhi ka yu gumsum aur us se door door rahna bahut khal raha tha.......... 6 din beet gaye , sahil ne apna poora dam laga diya is bich aarti ka ilaaz karwane me..........3 foreign doctor aaye .......lekin sab ki report yahi thi ki is type wale blood cancer aaj ki advanced medical science me bhi la-ilaaz hai.................kuchh nahi kiya ja sakta tha...........kisi ne ye ummeed bhi nahi dilayi ki kahi foreign le jaye to kuchh ho sakta hai..........lekin ye baten aarti se chhupayi ja rahi thi......... ( friends blood cancer 3 type ka hota hai, first 2 ka kuchh had tak ilaaj sambhav hai lekin leukaemia ka nahi ) sahil ka dil buri tarah se toot chuka tha lekin abhi bhi usne ek jhoothi aas ka daman tham rakha tha .......is sach ko wo kabhi accept kar hi nahi sakata tha ...........kyuki ye sach ek bahut bhayanak sach tha ......itna bhayanak ki sahil sochta bhi nahi tha uske bare me..........chehre ki sakhti dil ke jakhmo par parda dale huye thi.........lekin ye sakhti jaan lewa hoti ja rahi thi...............aur iska ahsaas sabko ho raha tha......sirf sahil ko nahi..........is sakhti ka tootna bahut jaroori ho gya tha. Gaon se renu rahul , sahil ke mummy papa ......sab log aa chuke the.. Shayad jeeja ne bulaya tha.......unke hatho se ab umeed ka daman chhut raha tha . Aaj subah se hi aarti bahut khus thi..............usne aaj juhi ko bulawaya tha mummy se kahkar................. Juhi chuchap ek mujarim ki tarah uske pass jakar khadi ho gayi...........usne nazre jhuka rakhi thi......mano kah rahi ho bahut sharminda hu mai.....room me aur koi nahi tha.aarti ne us se akele milna chaha tha. “juhi pass aao na............”aarti bade pyar se boli. Juhi jakar uske pas baith gayi............aarti leti huyi thi. “juhi ,kitna pyar karti ho sahil se” aarti ne puchha. “pta nahi, par aapke jitna to nahi..........mujhe maaf kar dijiye .......please” juhi khud ko doshi maan rahi thi aur aarti ki halat use aur rula rahi thi. “juhi , tumhari jaisi muhabbat to koi kar hi nahi sakta .........mujhe pata hai mere pas waqt jyada nahi hai.........suno......” juhi ne aarti ke muh par hath rakh diya. “nhi,plss aisa mat kahe....aapko kuchh nahi hoga..........” “kah lene do juhi .........bahut jaroori hai ye kahna............sahil meri aatma se jude hain ..........wo chah kar bhi khud ko mujhse alag nahi kar paye.............aur na mai unhe khud se door kar payi...........hamari muhabbat hmare har faisle par bhari padi........hum kuchh nahi kar paye...majboor ho gaye.” “lekin juhi tumhari muhabbat............mai apne sahil ki kasam khati hu, bahut mahaan lagti ho tum mujhe................agr zindagi ne sath diya hota to hum dono ek sath bahan bankar rahte ...........sahil par tumhara mujhse jyada hak hai juhi.....bahut jyada..........janti ho jab mai sahil ko dusri bar mili to mai unke samne khus rahti lekin akele me roti thi.......har pal yahi sochti kya hoga sahil ka mere bad...........lekin fir rab jee ne tumhe bhej diya........jis din mai tumse mili aur tumhari tadap dekhi usi din dil ko sukoon aa gya.....haan juhi, mujhe tum mil gayi ,jo mere sahil ko tutne se bacha legi.........ab mai sukoon se mar sakti hu.................” Aarti bol rahi thi aur uska dil baith raha tha........juhi chupchap sun rahi thi aur aansu uske gallon ko bhiga rahe the.................... “juhi tumne mere sahil ko nayi zindagi di..........ye mat sochana ki sahil ki muhabbat koi khairat hai.............sahil ki muhabbat tumhara haq hai............tum se jyada muhabbat use koi kar hi nahi sakata............juhi mere bad mere sahil ko sambhal lena...........please........use kabhi rone mat dena..........bahut bhola hai wo juhi........tum to janti ho na............bas use ahsaas dila dena ki juhi uski aarti hi hai...............juhi tum ho ,ab mai sukoon se mar sakungi......thank u juhi.........agle janam me bahan banungi tumhari.........” aarti itna kahte kahte rone lagi aur juhi ko gale se laga liya...........juhi bhi bilakh bilakh kar ro rahi thi.................. Aarti aur juhi ek dusre se lage roti rahi ...aaj dono ke dilo me ek dusre ke liye maan tha, ijjat thi aur ek dusre ki muhabbat ki shiddat ke liye nadamat thi. Sab log aarti ke room me the ...wo sab se baten kar rhi thi .........sab ki aankhe nam thi............bas ek sahil tha jo ek dam shant tha......mano kuchh hua hi na ho..........

      • January 24, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    10. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 21 Juhi ki bat se bahut se logo ki aankho me aansu the lekin abhi bhi kuchh aise the jinki aankho me aansu nhi ek nafarat thi ..............juhi ke liye.................itane sab ke bich uska aa kar sahil ko yu le jana aur fir sabko is tarah se dhikkarana –kuchh logo ko pasand nhi aaya.................. “wo sab jo hua wo hamare ghar ka mamala hai .......tum kaun hoti ho isme dakhal dene wali.” Bade chacha ke andar ka insaan shayad bahut pahle hi mar chuka tha. Juhi ke kan me unki aavaz padi aur uske aansu ruk gaye............ “tum kaun hoti ho “ is bat ka kya jawab de.........wahi juhi jiski dahaad ne thodi der pahle sabki dilo ki mari huyi aatma ko jaga diya tha ,ab kuchh nhi bol rhi thi ............use samajh me nhi aa rha tha ki kya jawab de.......... “haa ...haan..........bikul sahi bat hai ...aur tum to hamari jat biradari ki bhi nhi ho .....tumhe kisne diya itana haq ki hamare ghar ke maamlo me bolo...” chhote chacha ki himmat bhi fir se badhane lagi thi, jaat-paat ,unch-neech –, yahi kiya tha in logo ne poori zindagi. Juhi kya jawab deti????? Uski aankhe khali khali si kisi ko dhoondh rahi thi ..........kaise batati ki wo kya hai sahil ki....sahil uska kya hai....in zahilo ke bich kaun samjhata un pak rishto ko .............. “abhi to bahut lecture de rahi thi.............ab kya saanp soongh gya ..........are wo sab bhai behan hai jo chahe ho unme aapas me .....tum kaun hoti ho ..........” dono chacha bari bari se juhi ko ghure jaa rhe the aur ek ke bad ek ilzaam lgayae ja rhe the . “are mai to kahata hu isi ne koi patti padha di hai sahil ko ............nhi to itana bhala bachcha kya aise bat karta .........sab isi ka kiya dhara hai.........” badi chchachi bhi bina kuchh kahe kaise rah leti. Juhi sabkuchh chuchap sah rahi thi.........kya kahti wo .......bas dil k ek kone me ek tees si uth rahi thi “sahil,aaj meri muhabbat bemol ho jayegi............meri muhabbat ko bacha lo......plsssss “ juhi ki aankh se ek aansu nikal kar jameen par gira.............aur jab kisi pari ki aankh se aansu nikal jaye to qayamat to honi hi thi. Bade chacha aage badhe...........juhi ki najuk baah pakad li..............aur jhatke se use khada kar diya.......... “bhai sahib chhodiye use......... nhi to mujhse bura koi nhi hoga.” Sahil ke papa jo ab tak sab sah rahe the ab bardasht nahi kar paye........unke jabde bheech gaye. “tu chup rah..........bahar ki ek musalman ladki aakar poora ghar fod rahi hai.....teri akal par to patthar pada hai............ab mai dekhta hu kya karti hai ye..........sab isi ka kiya dhara hai jo aaj do bhaiyo me darar pad gayi.........” bade chacha ne badi berahmi se juhi ki baah pakad rakhi thi ..........aur juhi ki aankho se ek aansuo ki dhar nikal kar uske laal ho chuke galo ko bhigoye ja rhi thi..........sahil ke papa aage badhe to unhe bade chacha ke bête ne pakad liya. Bat ab family ki na rah kar us gande samaj ki kayade kanoon ki ho gayi thi jahaa aaj bhi dusre religion walo ko achhut samjha jata tha................aur ab is baat ko us gande samaaj ke thekedar apni banaye kale kanoon ke hisab se suljhana chchate the. “bol kya rishta hai tera sahil se .......kya lagti hai tu sahil ki ............” bade chacha ne juhi ki kalai buri tarah se marod di . “zindagi hai ye meri............” sahil ka tej ghoonsa bade chacha ki nak tod gaya tha..........kab wo hawa ke jhonke ki tarah aaya aur kab uska hath utha kisi ko khabar na huyi........... Uske nathoone fool rahe the...................aankho me aangare dahak rahe the..........mathe ki nase khinch gayi thi....jo sahil thodi der pahle ek toote huye insaan ki tarah bilakh raha tha ,ab ek chattan ki tarah apni pari ki hifazat me aa gya tha.......... “maaf kar dena juhi ........” usne juhi ka matha choom liya. “oh to ye rishta hai........” bade chacha apni nak tudawa kar bhi kaha man ne wale the...ek khataranak muskan hotho par liye bole. Sahil ne juhi ko Renu ke hawale kiya aur ek bar fir se unka girebaan pakad liya................ Ek Jordar ghusa unke pet me pada aur unki haddiya tak charmara gayi.............sab sahme se sahil ka ye naya roop dekh rahe the..................wo sahil jisne apne kisi bade se aaj tak juban tak nahi ladayi thi, aaj apne baap ki umar ke shakhs ko buri tarah se peet raha tha............ Sab log chuchap khade dekh rahe the ......sahil ko rok pana ab kisi ke bas me nhi tha.....bade chacha ka bête aur chhote chacha unko chudane ki kosis me apni haddiya tudawa chuke the ............ “sahil ruk jao............” is bar sahil ko utha hua hath ruk gaya,uske papa samne aa gaye the....... “hat jaiye papa , mujhe jo bhi kaha gaya maine sab bardasht kar liya........lekin meri juhi ko hath laga diya is kutte ne............meri zindagi hai juhi......jaan hai meri...........usko hath laga diya is kamine ne ........”sahil ne papa ko bich se hatana chaha.........lekin wo nahi hate........ sahil ke shabd juhi ke dil me utar gaye.....bhare samaj me usne juhi ke sar par ijjat aur maan ki chadar daal di thi. “hat jaiye aaj mere samne se papa.....kahi aaj mai ye bhool na jau ki aapka mera koi rishta hai.............meri juhi ko hath lagaya hai is kutte ne .............iske hath todkar juhi ke kadmo me rakh dunga...............”sahil sachcmuch apne aap me nahi tha............uski aankho ki aag mano sabko jalakar bhashm kar dena chahati thi .........kisi ki himmat nahi ho rahi thi sahil ko rokne ki. Sahil ne khichakar papa ko ek taraf kar diya ............aur ek bar fir se uspar toot pada........... Niche gire bade chacha par ghuso ki barsat kar rha tha. “sahil “ kisi ne jhakjhor kar sahil ko upar ki or khicha........sahil ne ek pal ko nazre uthayi .........mummy ka zordar thappad uske galo ko jhanjhana gaya............. Zindagi me pahli bar uski maa ne sahil ke galo par thappad mara tha.......... Sahil ki aankho me aansu aa gaye........... Wo bade chacha ko chhodkar utha gya...... “maaro na mummy....maaro mujhe...........aur maro.............jaan se maar do............” sahil ek tak apni maa ki aankho me dekh raha tha.........mummy ki aankhe bhi bhar aayi. “ye sab kya ho raha hai sahil.............” mummy ne dabadabyi aankho se puchha ..........aaj zindagi me pahli bar apne ladle par hath uthaya tha. “aapke bête ka ek aur tamasha ho raha hai mummy........... aapke badnaseeb bête ki zindagi me ek aur aazamayish ho rahi hai.............ek bat puchhunga aapse...............mai sach me aapka beta hu na ? “ kya kah diya tha sahil ne aaj . “Sahil aisa mat kah mere laal...........” mummy ka dil tadap utha.... “mummy ,sab puchhte hai mai bade bhai se bat kyu nhi karta,.....aapne bhi puchha us din ...........papa ne bhi puchha ..........us bade bhai se kabhi kyu nahi puchha mummy...............” sahil ki sawal me bahut dard tha. “ye kamina kahta hai ki juhi kaun hai meri...........kya jawab du mai ...............kya naam du use jisne mujhe ek nayi zindagi di...........kya nam du use jiski baho ke sahare ne mujhe maut ke muh se wapas khich liya ............kya nam du us pari ko jisne mere toot te huye sapno me naye rang bhar diye..............mummy aaj aapke pas aapk sahil hai,kyuki uske pas juhi nam ki ye pari thi.........nahi to kab ka ja chuka hota is duniya se aapka sahil ” “sahil” mummy cheekh uthi........... Sahil ko koi fark nahi pada. “Juhi meri zindagi hai ............uski ibaadat karta hu mai ...........aur juhi ke liye mai kisi bhi had tak jaa sakta hu..........apni jaan de bhi sakta hu aur kisi ki jaan le bhi sakta hu.............sari duniya chhod dunga uske liye...........agar koi rishta mere aur meri juhi ke bich aaya , to us rishte ki kurbani dene me mujhe ek pal nahi lagega............aur agr kisi ke hath meri juhi ki or uthe ,to un hatho ko katkar uske kadmo me dal dunga.......chahe wo hath kisi ke bhi ho................apni mummy ke doodh ki kasam hai mujhe” Sahil ne aakhiri bat sab logo ko ghurte huye kahi ................uski aankhe kahar barsaa rahi thi aur ek behad khunkar chetawani thi un laal laal aankho me . Sahil ke is roop se sab log sann the ...........ek ek karke sab bahar chale gaye.........bade chacha ki aankhe me koi pachhtawa to nhi tha ............ha ek sharmindagi thi .............us sahil ke hatho beijjat hone ki jo sabki ijjat karta tha ................. Ghar ke andar ab bas sahil aur uski family rah gay the.................. Sahil ne juhi ko apne gale se lagaya .............juhi abhi bhi ro rahi thi .............lekin ab sahil ke andar koi jhijhak ,koi sharam nahi thi...............juhi ko khud se lagaye wo chuchap kamre me chala gya.............idhar bahar renu ne mummy ko sari bat suru se lekar ant tak sab kuchh bata diya. Mummy ki aankho me aansu aa gye.................dheerja bhi kafi gum sum sa tha...use bhi shayad ahsaas ho rha tha lekin bahut jyada der ho chuki thi. Lekin sabse jyada udasi jis chehre par thi wo thi badi didi................... Juhi ka har wo shabd “ kaha thi badi bahan us waqt” didi ki dil ko chhalani kar gaya tha......wo to itani majboor thi ki ek sabd apni safai me na bol payi.....didi uthakar apne kamre me chali gayi aur darwaza band kar ke foot foot kar rone lagi...............kathghare me khade kisi gunge mujrim jaisi halat ho gayi thi unki.............bas ro hi paa rahi thi wo. “ye kaisa imtehaan hai mere rab...jisme har taraf meri haar hi haar hai “...... bas itna hi kah payi wo apne rab se , baki sari shikayat aansuo ke roop me tootkar bah nikali. Papa bahar nikale .......unka man bhi bahot udas ho gya tha......aisa kya hua tha sahil ke sath dilli me ??? ye sawal unka man kachot raha tha.....aaj unhe samajh me aa rha tha ki sahil dhheraj se bat kyu nahi karta tha aur wo yha aane ke liye taiyar kyu nahi ho raha tha..........juhi aur sahil dono ki baten unke dil me ghoom rahi thi............lekin ghar se bahar nikalte hi unhe bahut aascharya hua..............keval bade chacha aur unke bête ko chhodkar sab log bahar hi baithe the............dono bua daudi huyi aayi aur unke pairo se lipat gayi............... “ hame maaf kar dijiye bhaiya........hamne jane kya kya kah diya...............” sahil ke papa ne khud ko chhudaya aur age badh gaye...........aaj unke inhi apno ki vajah se unka beta unke khilaf bol gya tha.......unhe nafarat ho rahi thi apne in apno se. Idhar sahil juhi ko kamre me lejkar bade pyar se bed par take lgakar bitha deta hai........aur khud uske samne baithkar uske dono hath apne hatho me le leta hai............. “plss ab mat rowo sona” sahil ne badi muhabbat se juhi ke aansuo ke saf karte huye kaha jo abhi bhi hichkiyo le lekar sisak rahi thi. “I m sorry juhi......sab meri vajah se hua............sorry ....maf kar do na yar......” Juhi ne sahil ke hath apne hatho me jor se daba liya.................... “nahi sahil aap ki vajah se kuchh nhi hua.............aapne kya kiya.............” juhi bas itna hi boli................uske dil me ek sukoon tha..........bhare samaaj me sabke khilaf jakar sahil ne apni zindagi kaha tha use...........usko apnaya tha sahil ne. “juhi ham yha nahi rukenge............chale jayeenge hum yha se...........” sahil ne juhi ke mathe ko choom liya aur use apni baho me bhar liya. “thank u sahil....aapne mera maan rakh liya....nahi to aaj mai toot jati...thank u so much sahil ...” juhi kisi bachche ke tarah sahil ke gale se lag gayi. “kaisi bat karti ho jaan........tumhare liye to mai sari duniya se takaraa jaunga..........sara jahaan chhod dunga tumhare liye........juhi tumhe mujhse koi juda nahi kar sakta .............koi bhi nahi” sahil ne kaskar juhi ko khud me samet liya. Sham ke 4 baj gaye the aur sahil ki mummy sab logo ko ghar me wapas le aayi thi ....badi bua,chhoti bua,chachi..............sab the lekin ab tewar pahle wale nahi the ............sab badle badle se the aur chehre par ek sharmindagi thi ...............bas bade chacha nahi aaye the. Sab kcuhh normal sa ho gya tha...........shadi ki sari rashme ho rahi thi lekin juhi aur sahil nahi aaye the bahar.........kaun kya sochata hai ab unhe is bat se koi fark bhi nahi padna tha......... Sahil aur juhi ekdusre ke baho me jane kab so gaye the aur unki neend khuli jab darwaze par kisi ne khat khat ki aawaz ki. Juhi ki jaise hi aankh khuli use apni sthiti ka andaza hua......rat ke 8 baj chuke the....shadi wala ghar aur itani der se wo dono akele ek room me ...........ufffff !! log kya soch rahe honge........aakhir thi to wo ek ladki hi na. Usne jaldi se sahil ko uthaya aur darwaza khola...........mummy thi saamne .......unke chehre par ek muskaan thi .......jaise kuchh hua hi na ho.......mano unhone kuchh faisla kar liya ho. “disturb to nhi kiya na beta..............” unhone ne muskuar kar bade pyar se puchha . “nahi aunty...aaiye na.........” juhi ko behad Sharma aa rahi thi ............ Mummy andar aayi aur sahil ke pas baith gayi............... “I m sorry beta........” unhone sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha... “aisa mat kahe mummy ...........plss......lekin mai yha ruk nahi sakta “ sahil ne dheere se kaha. “nahi beta ............dekh renu ne mujhe sab bataya...........jo hua use bhool ja.....mai ye to nahi kahungi ki dheeraj ko maf kar de.....lekin bhai to hai na wo tera...bas isi khatir kal ruk ja fir chale jana............” mummy ki baton me ek iltiza thi....lekin sahil ki aankho me juhi ke sath hua hadasaa ghoom raha tha.............. “please mummy ..........i m sorry “ sahil ne kaha aur uthkar bahar aa gya ....pichhe pichhe mummy bhi aa gayi......... “rook ja sahil ........tujhe aarti ki kasam “ mummy ke muh se achanak nikal gaya. Uffffffff!!!!!!!!!kya kah diya tha mummy ne...............jab sahil chhota tha to aksar us se koi bat manwane ke liye renu aur dheeraj use aarti ki kasam de dete the .......aur sahil kabhi bhi aarti ki kasam nahi todata tha .................ye sab ko pata tha.......kabhi kabhi didi bhi bol deti ..............lekin aaj itane salo ke bad use mummy ne aarti ki kasam de di thi............. Sahil ka dil ro raha tha........usne mummy ki or se muh fer liya aur apni aankhe ragad dali...........aansu rook nahi rahe the.....us se bardasht nahi hua aur wo teji se aage badh gaya.......bas itana bolta gaya............ “thik hai ,aap juhi se puchh lijiye” Mummy ne anjaane me aaj us jakhm ko hawa de di thi jo kabhi nahi bharne wala tha.........sahil lakh aarti ko bewfa kahta,lakh wo use bhoolne ki kosis karta ,lekin wo to uski nas-nas me basi thi, masoom bachpan ki wo msoom yaden uske rom rom me rachi thi........kaisi nikalti bhala wo bahar...........iska ahsaas khud sahil ko bhi nahi tha. Mummy juhi ke pas pahuchi ............ “juhi” bade pyar se uske sar par hath pherte huye unhone kaha. “jee” juhi ne sar jhukaye bas dheere se itna hi kaha. “beta mujhe nahi pata sahil ke sath kya hua............dheeraj ne aur uski didi ne uska sath kyu nahi diya........aur abhi shayad sahi waqt bhi nahi hai ye puchhne ka............lekin tumne jo mere sahil ke liye kiya hai wo mujhe sahil ki aankho me nazar aata hai...............agar sahil ko kuchh ho jata to mai bhi jee na pati..” mummy bade pyar se juhi se bat kar rhi thi. Juhi bas chuchap sun rahi thi........... “lekin beta dheeraj ka to mai maan bhi lu, par uski didi.........dil nahi manta .........wo sahil ko mujhse jyada pyar karti thi ........sahil uska dulara tha.........aur .aarti me to sahil ki jaan basti thi..........aur aarti bhi use itna manti thi.................mujhe nahi pata ki kya hua ..........aur abhi mai janna bhi nahi chahati..............ek bar ye shadi ho jaye fir sab kuchh puchhungi............lekin tab tak ke liye tumse ek vinti hai........”sahil ki mummy ne juhi ke age hath jod diye. “aisa na kahe aunty ...maine aapko maa ki tarah samjha hai....bole kya hukm hai.........” juhi ne unke hath tham liye. “beta jo kuchh tumhare sath hua uske liye maaf kar do....aisa ab kuchh nahi hoga......., bas is shadi tak yha ruk jao.....sahil ko bhi mana lo.......agar sahil chala gaya to uske papa bilkul toot jayenge..........plsss...ek maa ki prarthana hai tumse............”mummy ki aankhe bhar aayi. “hum nahi jayenge aunty ...aap koi tension mat lijiye............us bat ka jikar bhi nahi hoga ab shadi tak yha ....sab kuchh achche se hoga....mujh par bharosa rakhiye...” juhi bade atmaad se bol rahi thi. “jug jug jiyo meri bachchi.......khus raho....” “ juhi ek bat puchhu........” mummy ne uske mathe ko choom liya aur fir halki si muskan ke sath puchha. “jee ,puchhiye na” juhi ke to khwabo me bhi nahi tha ki mummy kya puchhengi. “mai tere abbu se bat karu kya..........” mummy ne kaha. “ jee kaun si bat” juhi samjh nahi payi .........itti bholi thi ya fir shayad use is samay ummeed nahi thi........ “teri aur sahil ki bat ........bol na ...............banegi mere sahil ki dulhan................hummm..” mummy ne pyar se uske chin ko pakad kar uske gulabi ho chuke mukhade ko upar uthaya. Juhi to sharam ke mare laal ho gayi....kuchh nahi boli...bas muskurati rahi sar jhuka kar ...... “bol na beta...mujhe duniya samaj , kisi ki parwah nahi hai....tu to mujhe pahli nazar me hi bha gayi thi...tabhi maine socha tha ki apne sahil ki dulhan tujhe hi banaungi...........pasand hai na sahil tujhe....pyar karti hai na use se?” mummy juhi ki khamsohi se hi samjh chuki thi uske man ka haal ....aur is bar juhi ne dheere se ha me sar hilaya aur unke gale lag gayi. “meri bachchi......bas ye shadi ho jane de.........fir teri doli bhi yahi aayegi.......” mummy ne uski peshani choom li aur use gale se laga liya. Renu jo sabkuchh sun chuki thi andar aa gayi................. “mummy aapne to meri dusri bhabhi bhi pasand kar li............ummm...........maine to pahle hi kaha tha..........” aur ab renu juhi ke sar par sawar thi..........dono ke bich nanad-bhabhi wali nok jhok suru ho gayi thi aur mummy haste huye bahar nikal gayi. Renu ,mummy aur papa , sabke man me ye sawal tha ki sahil ke sath kya hua tha aur kyu hua tha ....lekin kal shadi thi aur aaj wo is bat ko uthana nahi chahte the ....isliye sabne jitna ho sakta tha sab kuchh normal karne ki kosis ki thi ...aur sabkuchh normal ho bhi gaya tha.......bas do log udas the ..........ek sahil,aur dusri didi.....lekin dono hi apni udasi ekudsre se chhupa rahe the. Sahil ko mummy ki bat bar bar yad aa rhi thi........kaise bachapan me sab log aarti ki kasme dekar use majboor kar dete the aur wo khusi khusi majboor ho jata ......kabhi uske man me ye nahi aata ki aarti ki kasam dekar sab uska fayada uthate ....usne aarti ke liye haar janaa sikha tha.......aarti ke nam ke liye bhi haar jata tha.......jab bhi kabhi wo mana karta to sab yahi kahte-- “kya tu aarti ko bas itna hi manta hai,uske liye itna sa kam nahi kar sakta “ aur sahil kaise man leta ki wo aarti ko “itna sa “ hi “ manta “ hai......wo har bat maan leta .................sirf is bat ke liye ki mai aarti ko kitna mantaa hu wo sabkuchh haar jane ko taiyar ho jata...........lekin aaj to wo us apni jaan se pyari AARTI ko hi haar chukka tha ....fir kyu log uske naam ki duhaayi dete the......... Sahil kis se karta ye sawal ?????.............aur jiske pas iska jawab hota wo to khud uske paas nahi thi. Sahil bahar kuchh kuchh kam hota dekh raha tha aur kam karne walo ko instruction de raha tha ...........ghar ke samne bade se lawn me sabke khane peene ki vyawastha thi...........gaon me shadi k ek din pahle sare gaon walo ko khana khilaya jata hai ...wahi ho raha tha. Sahil ke aankhe bar bar nam ho rahi thi ...use aaj shiddat se AARTTI yad aa rhi thi .......... wo lakh kosis kar rha tha ki use yad na kare lekin yadon par kiska jor tha. Khud ko kamo me uljhaye huye wo apni aankhe bar bar ragad deta .... ”ek bar aa jao ,ek bar dekh lu tumhe” aaj fir se sahil ke hotho se ye sabd nikal gaye...... Us se control nahi hua aur wo chuchap ek kamre me ghus gaya aur aankhe band karke bistar par let gaya............ Sahil aankhe band karta to wahi bachapan ki nanhi si hasti khilkhilati, uske kandhe par chadhi aarti nazar aa jati.......aaj use aarti ki itani yad aa rhi thi ki aarti ki wafaa-bewafai ...sabkuchh bahut door thi.......aaj yad thi to bas aarti...sirf aur sirf aarti..................aaj sahil ka dil is kadar uske dimag par hawi ho gya tha ki use ye bhi yad nahi tha ki juhi bhi koi hai............kitna galat tha kitna sahi,ye kahana to bahut muskil hai lekin is samay sirf dil tha ,dimag kahi nahi tha aas pas. “ek bar apni aawaz hi suna do “ uske dil se aawaz nikali thi.........sahil aaj fir se haar raha tha.......uske man ka dwand aaj ek bhayanak shakl le raha tha....use nahi pata tha ki ye kyu hai....kyu ek “ BEWAFA “ ke liye wo tadap raha hai.........lekin wo tadap rahaa tha ...bahut buri tarah se. Wo aise hi bistar par pada tha ...shadi ka ghar hone ke vajah se sab saman idhar udhar bikhara tha ...kuchh hi minute beete the ki usi bistar me lipta kisi ka phone ghanghana utha....do bar ring aa aakar cut gayi ...........sahil ignore kar rha tha .......lekin is bar sahil ne phone dhunda ................bed sheet me lipta hua wo phone didi ka tha.............aur screen par nazar padi to sahil ki aankho me bhare aansu palko ke darwaze tod kar bahar nikalne lage...........screen par jagmaga raha tha ---------- AARTI CALLING. Sahil ke dil ki aawaz aaj fir aarti ke dil ne sun li thi..................Sahil ne kaapte hatho se phone uthaya aur call reciceve kar li................ “hello” .............uffffffffff ...kitni dino bad aaj aarti ki aawaz uske kano me padi thi............lekin us aawaz me ab wo pahle wali khanak nahi thi............sahil phone kano se lagaye the aur aansu aankho se bah rahe the ..........kuchh bol nahi paa raha tha wo...........bas us aawaz ki thandak apne dil me mahsoos kar rha tha. “hello...hello.............kaun?????.........s..sa...sahil” aarti ne sahil ki khamoshi bhi sun li thi..... sahil ke dil ka rom rom tadap utha ...uska bas nahi chal raha tha ki aarti ke seene se lag jaye...........bas aansu bah rahe the aur wo chuchap aarti ki saanse mahsoos kar raha tha. “sahil aap thik ho na.............kuchh bolo sahil.........kaise ho aap ” aarti ka ek ek sabd khanjar ki tarah sahil ke kaleje ko cheer raha tha. Usse aur bardasht nahi hua....usne phone band kar diya aur jor jor se rone laga..........wo aaj 5 sal pahle wale sahil ke jaise ro raha tha ..........tab jab aarti ne use thukaraya tha............sahil jo ek chattan ki tarah apne farz aur desh ke liye taiyar rahta tha,jiske hausle par pure department ko naaz tha,ek ladki ke liye aise tadap raha tha jaise pani ke bin machhli............jab bhi aarti ki bat aa jati wo chattan tut jati ,wo patthar pighal jata ....aaj bhi wahi ho raha tha. Wo buri tarah se bilakha raha tha ....achanak apne kandhe par use kisi ke hath ka ahsaas hua........usne aansuo se bhari aankhe uthakar dekha.............didi khadi thi aur unki aankho me bhi aansu the...............sahil ko kuchh samajh me nahi aaya ........usne didi ki kamar ko jor se pakad liya aur unse lipatakar buri tarah se rone laga. “use wapas laa do didi.......plss......use wapas la do..........plssssssssss didi...plsss...” sahil ko khud pata nahi tha ki wo kya kah raha hai...wo aaj hosh me hi kaha tha..................muhabbat aaj use rula rahi thi aur wo muhabbat ke hatho majboor ro raha tha. Juhi ki muhabbat sahil ki khuskismati thi, lekin aarti ki muhabbat uski majboori thi.........ek aisi majboori jise na sahil kisi ko samjhaa sakta tha aur jise na koi samajh sakta tha. Ufffff!!!!! kash ye muhabbat na hoti,to shayad samandar itna khara na hota. Sahil didi ko pakad kar roye ja rha tha.............didi uske balo me hath pher rhi thi lekin use chup nhi kara rahi thi..........bahut der tak rota raha sahil us bich kayi bar aarti ka phone aaya lekin didi ne nhi uthaya....aakhir kisi tarah se sahil ne apne aap ko sambhala aur bahar jane laga.........didi ko kuchh nhi kaha............lekin didi ko shyad uske kuchh kahne se pahle hi sab samjh me aa chukka tha. Sahil door ke pas pahucha hi tha ki didi ki aawaz uske kano me padi....... “aarti se bat kar lo sahil.......”didi ne phone uski or badhate huye kaha.........sahil chand kadam andar aaya,didi ki aankho me dekha aur fir wapas mud gaya...............saHil ke upar ek nashaa sawaar tha .......wo kya kar rha tha ,kyu kar rha tha wo khud nhi janta tha.........lekin usne aarti se bat nhi ki aur bahar chala gya........ Sahil ki aankhe laal ho gyi thi ek dam ............wo apne kamre me chala gya jis me wo kuchh der pahle tha.......juhi ke sath.........juhi use dikh nhi rahi thi aur waise bhi abhi us par aarti ki khumari chhayi thi ............. Sahil chuchap bistar par let gya.....kuchh hi pal beete the ki juhi sahil ke kamre me aa gayi............sahil ko leta dekh wo paresan ho gyi........... “sahil aap thik ho na..........” usne sahil ke mathe ko chhute huye kaha. Juhi ke hatho ki chhuwan se sahil ki aankhe khul gayi....... Juhi ne sahil ki aankho me dekha .........sahil ki laal aankhe dekh kar juhi tadap uthi......usne turant pas rakhi oil ki bottle li aur sahil ka sar dabane lagi.............. Juhi ke chehre par dard ki rekhaye saf dikh rhi thi...........sahil ki halat dekh kar wo samjh gyi thi ki fir se kuchh hua hai.............juhi jo mummy se bat ke bad se kafi khus thi is waqt sahil ki halat dekh kar udas thi ....sahil ek tak use dekhe ja rha tha.............. Ab tak sahil ko wo yad aa rha tha jo uske aur aarti ke bich tha.............wo bachpan,wo muhabbat .........lekin ab juhi ke wo hath aur juhi ka wo udas chehra use kuchh aur hi yad dila raha tha............. Sahil ko juhi ka har karam yad aane lgaa.......... “kya nhi kiya is masoom si jaan ne mere liye.............mai iski baho me tadap kar roya .....isne mujhse muhabbat thi, fir bhi mera sath us waqt diya jab mai apni muhabbat ke liye rota tha...........kitna bada dil hai iska jo apni muhabbat ko kisis aur ke liye rota dekhkar bhi use apne seene se laga leti thi..........aur aaj yha......mere liye sare jamane se lad gayi................kitna neech insaan hu mai ..........iski muhabbat ko bhi dhokha de rha hu.............aarti meri muhabbat thi ......aur mai sirf apne swarth ke bare me soch rha hu..........iske bare me nhi soch rha.......kyu aayi hai ye yha........kiske liye................” sahil ka man bahut bhari ho gya.............khud se nafarat hone lagi use........usne juhi ka hath apne hatho me le liya............... Juhi ruk gayi .......sahil ki aankho me bade pyar se dekhte huye boli......... “kya hua sahil .......koi problem hai” Sahil uski or dekhta raha...............aur fir uth baitha............ “juhi mere sath kya hua hai sab janti ho tum................juhi mai kayi bar kuchh kamjor lamho ka shikar ho jata hu...........us samay mujhe yad nhi rahta ki kya sahi hai aur kya galat...........lekin juhi mera bharosa karna......sahil sirf tumhara hai..........mai zindagi bhar tumhara hi rahunga.” Sahil jaane juhi ko bata rha tha ya khud ko. “sahil hmne aapko apna sabkuchh man liya hai........aur hum us muhabbat me yakeen rakhte hai jisme rishte ek aazadi ka ahssas dete hai us muhabbat me nhi jisme ghutan ka ahsaas ho.....hme apni muhabbat ki shiddat par yakeen hai sahil..........jo hamara hai wo hamare pas aayega........isliye hum uske pichhe nhi bhagte ...................bas apni muhbbat nibhate jate hai............agar wo hamara hua to hamre pas laut aayega...........” juhi bol kar chup ho gyi aur sahil ko lag rha tha jaise har sabd usko sharminda karta ja rha tha......... “kitna kamjor nikla re tu sahil” sahil ki antar-aatma use dhikkar rhi thi. “nhi mai kamjor nhi hu.......mai juhi se pyar karta hu.....aur poori zindagi usi se karta rahunga...........” sahil ne ek bar fir pran kiya apne man me . Wo rat aakhir beet gayi..........dusre din Rahul bhi aa gya..........rahul aur renu ka wahi luka-chhipi ka khel chalta raha.......rohan ab kabhi renu ke aas pas bhi nhi dikhta.............dusre din shadi hokar dulhan bhi aa gyi. Juhi ne ghar ke andar shadi ki har jimmedari sambhal li thi...............mummy jitni bar use dekhti apne bête ki pasand par unhe naaj hota aur juhi ke liye dua nikalti. Aakhir himmat karke rahul ne sahil se bat kar hi li..............sahil ne rahul ke sab batane par renu ke sath uske rishte ke liye papa se bat ki aur rahul aur renu ka rishta bhi tay ho gya...........mummy papa ne delhi jakar sarfaraz sahib se milkar sahil aur juhi ki bat bhi tay karne ki planning kar li ......................vaise phone par sari bat ho chuki thi ..............sarfaraz saheb ko kya aitraaz hota bhala .......to sahil aur juhi ka rishta bhi tay ho gya bas kuchh ek formality rah gyi thi ....................aur is rishte ke tay hone me sabse bada role khud sahil ka hi tha..............mummy ke puchhne par usne saf saf kah diya ki wo jald se jald juhi se shadi karna chahta hai. ................Wo nhi chahta tha ki wo kisi kamjor chhad me koi aisa kadam uthaye ki juhi ke dil ko thes pahuche. (*** Dosto hmne rahul ki story ko skip kar diya. ek bar bich me hamne likha tha ki sahil ko bahut gussa aaya rahul aur renu ke affair ka soch kar, lekin agr hum wo kahani likhne lage to fir kam se kam 10 udate lag jayenge usme.......isliye use chho rahe hai***) Sahil ne khud ko badalane ki kosis aur tej kar di ................is kosis ka ek aham hissa tha har bat me juhi ke liye muhabbat ................aur juhi ke liye jitni shiddat se muhabbat hoti aarti ke liye use se kayi guna jyada nafarat hoti............sahil ke samne koi aarti ka nam le leta to wo wha nhi rukta.............pta nhi ye sachmuch nafarat thi ya fir sahil ki aarti se door bhagne ki ek kosis. JYOTI, dheeraj ki wife,aur sahil ki nayi naveli bhabhi......hasmukh,khubsoorat aur seedhi sadhi ladki thi...............sahil unse bahut pyar se bat karta lekin jaise hi dheeraj se samanaa hota wo khamosh ho jata. Aaj bhi sahil, juhi, didi aur renu sab whi jyoti ke aas pas baithe hasi majak kar rhe the....didi baithi to thi lekin ekdam khamosh thi..............jabki baki sab chahak rhe the ................renu to bahut hi khus thi.................aakhir use uski muhabbat jo mil gayi thi. Dheere dheere karke sab log chale gaye .........juhi ke papa ka phone aa gya aur wo bhi bahar chali gayi..........sirf sahil aur uski bhabhi rah gaye the............... “sahil aapse kuchh bat karni hai............” jyoti boli. “jee bhabhi boliye na” sahil ko guman bhi nhi tha ki jyoti kya bat karegi..... “sahil aap jante hain hamare papa ne mana kyu kiya tha yha shadi ke liye jabki ek bar sab tay ho chukka tha to” Sahil janta to sab tha,lekin chup raha....... “jee nhi” sahil apne bhai ka maan rakhne ki kosis kar rha tha . “sahil aapke bhaiya ne dilli me ek bahut ghinauni harkat kar di thi...............wo....is se aage ham nhi bata sakte..............” jyoti thodi si mayoos lag rhi thi.......... “aur fir hamne hi papa ko phone karke kaha ki hme inse shadi nhi karni...........” jyoti boli. “to fir aapke papa ne ab kyu phone karke haa kiya yha par shadi ke liye..............” sahil ke man me ye sawal aana normal tha. “sahil kuchh din pahle hamare yha aarti aayi thi................” jyoti bolti gayi, aur na chahte huye bhi sahil sunta gaya. “sahil aarti ne hme samjhaya ki tumhare bhaiya ki galti utani badi nhi thi jitni hme laga.............papa to kiya tha inhone ..............lekin us paap ko karwane wali ne bhi inhe faansa tha.........aarti ne hme samjhaya ki jab kisi se muhabbat kar li to ek mauka to dena banta hi hai.............aapke bhaiya ko us din hamne do sal bad phone kiya to ye bhi bahut sharminda the, ro rhe the.............hmne pyar kiya tha sahil .........kya karte pighal gaye.” Sahil chuchap sunta raha.......aarti ka jikar use achchha nhi lag rha tha .............lekin abhi bhabhi se kuchh kah nhi sakta tha. “bhabhi aap ye sab mujhe kyu bata rhi hai....” sahil ne bade ukhade huye lahje me kaha. “sahil aarti ne hme samjhya muhabbat kya hai.........aur uski baton me bahut dard tha,aisa laga hame..............sahil ye to sab log jante hai ki aarti ko aap se jyada pyar koi nhi karta........bachpan me hum sab yhi sunte the ki sahil-aarti ke jaise raho....... mai to ye soch ke hairan hu ki aarti ko koi takleef hai aur sahil ko pta nhi hai........aisa kaise ho sakta hai sahil.. khair, ho sake to kuchh kijiye aarti ke liye.....use jaroor koi takleef hai sahil......plzzzzzzzz..............use aapki jaroorat hai sahil .............help kijiye uski.” jyoti sahil ke door ke rishte me aati thi aur kayi bar wo pahle bhi sahil ke gaon aayi thi chhote par ....sahil aur aarti ka pyar sablo pata tha. Sahil jitna aarti se door bhag rha tha takdeer utna hi uska imtehaan le rahi thi.........sahil kuchh nhi bola...........chuchap uthkar bahar chala gya. Uske dil me ek jwalamukhi foot rha tha........kya karta wo aarti ke liye ..........kaise bhabhi ko batata ki aarti ne use nikal fenka apni zindagi se, sahil ke sare haq chhin liye khud par se......thukra diya uski bachpan ki muhabbat ko ........sahil se hath chhuda kisi aur ka daman tham liya usne..........kaise batata ki kitna tadpa hai use bewafa ke liye. Sahil kuchh nhi bola,bas apne aansu chupke se ponchh liye............lekin aaj shayad uske sabar ka imtehaan tha....... Dheeraj mil gya baramade me...........aur koi nhi tha wha........... “sahil .....ek minute meri bat sun le please..................plsss sahil” dheeraj ne hath jod diye chhote bhai ke samne ,sahil ruk gya ............ “aa idhar bas kuchh der baith ja mere pas............” Sahil na chahte huye bhi baith gya dheeraj ke sath........... “sahil jo kuchh maine kiya uski saja tujhe mili.......iske liye mujhe kabhi maaf mat karna..........lekin teri aur aarti ki batchit band hai,itna pata hai mujhe.........in sab me aarti ka kya kasoor hai.............wo to teri ladli thi, us se kyu naraz hai tu.............”dheeraj ne itana hi bola aur sahil gusse se khada ho gya.... “kah liya aapne jo kahna tha ........”sahil aage badhne ko hua to dheeraj ne uska hath pakad kar fir baitha diya. “sahil sun kuchh bataana hai tujhe.......we sab kuchh hone ke lagbhag 1 mahine bad aarti ne mujhe bulaya apne ghar .......jeeja ne mana kiya tha ki mai wha kabhi na jau....lekin aarti ne jabrdasti ki aur mai wha gaya..........”dheeraj bolta gya aur sahil sunta raha.............. “jaise hi mai ghar ke andar pahucha............... “ tu yha ?????....himmat kaise huyi teri yha aane ki............sale jaan se maar dunga aaj tujhe .....” jeeja use ghar me dekhte hi nafarat se garaz kar bole. “nikal ja abhi ke abhi............” jeeja ne dheeraj ka baju pakad liya aur bahar nikalne lage. “rukiye papa, maine bulaya hai unhe..............”aarti ki aawaz par sab chaunk gaye. Jeeja bhi aarti ko dekh kar thode thande ho gye................ “wah beti wah............baap ke bat ki koi keemat nhi...sahi kiya tune..........” jeeja behad nirash lag rhe the.jabki didi aur rohan wahi sar jhukaye khade sab dekh rahe the. “aarti....in sab ka khoon ganda hai....sale jis thali me khate hai usi me chhed karte hain...........ye bhi aur iska bhai bhi..........ha aarti, sahil bhi isi gande khoon ka hissa hai............uska khoon bhi ganda hai...bol ise nikal jaye....nhi to aaj mai sab kuchh bhool jaunga.” Jeeja ka gussa dekh dheeraj sakte me aa gya...... “papa,ek bat puchhu.............”aarti ne bade dheeme kintu thahre huye lahje me kaha. Jeeja kuchh nhi bole................... “iske andar kiska khoon hai papa..........” aarti ne Rohan ko aage kar diya jeeja ke samne. Jeeja sann rah gaye............ye kya puchh rahi thi aarti.............unhe yakeen nhi aa raha tha ki unki laadli aaj ye sawal kar rhi hai. “boliye papa kiska khoon hai iske andar, aapka to nhi hoga....kyuki aapka khoon to ganda nhi hai na............” aarti ki bat poori huyi hi thi ki jeeja ka ek jordar thappad uske gaal laal kar gaya. Zindagi me pahli bar jeeja ne aarti par hath uthaya tha..........rohan kaanp gaya............lekin aaj aarti ka ek naya roop dekh rahe the sab..... “maariye papa.........jaan se mar dijiye.........lekin agar ek bhai ka khoon ganda ho jane se dusre bhai ka khoon ganda ho jata hai ,to ek bête ka khoon tabhi ganda hoga jab uske baap ka khoon ganda hoga.........haan papa...........aapke bête ka khoon bhi ganda hai..........aapka khoon bhi ganda hai...........kyuki jo galti bade mama ne ki hai, wahi galti aapke bête ne renu mausi ke sath bhi ki hai.......puchh lijiye is se............” aarti ki aankho se aansu bah rahe the aur uska chehra gusse se laal tha.use sab kaise pata chala koi nahi janta tha. Jeeja aage badhe............”rohan bol ki ye jhooth hai” .......rohan kya bolta. Jeeja ke thapaddon ne uske chehre ka haal bigada diya............mummy na pakad leti to shayad aaj rohan ki jaan le lete papa. Aarti chuchap ro rahi thi...........papa sar jhukaye jameen par baith gaye............... “gussa aaya na papa...........i m sorry papa.............mujhe maf kar dijiyega is badtamiji ke liye.............lekin papa mujhe bhi gussa aaya tha.............jab aapne sahil mama par yahi ilzaam lagaya tha........papa sahil mama ka khoon kaise ganda ho gya...........wo to aapke hero the............kya nhi kiya unhone mere liye.......jante hai kyu kiya............kyuki wo sapana dekhne wali aankhe meri thi ,lekin wo sapanaa aapka tha....unhone aapke sapne ke liye sab kiya tha papa...... ..aur aapne kisi aur ki galtiyo ki sajaa suna di unhe..............ek dewata ke gale me fansi ka fandaa dal diya........aapne galat kiya papa.........bahut galat kiya aapne..............sahil ro kar gaye yha se...............mera kaleja chhalani ho gya papa.” Aarti bhi whi papa ke pas baith gayi aur unke kandhe par sar rakhkar rone lagi. Jo aarti kabhi papa ke khilaf ek lafz nahi bardasht karti thi, kabhi unse unchi aawaz me bat nhi karti thi,, aaj usne papa ko aayina dikha diya tha...........kyuki is bar kalank uske devta par laga diya tha unhone, jiski wo apne man mandir me rakhkar pooja karti thi. “jeeja galti meri thi ...........mai ek bahkave me aa gya.........” dheeraj ne wo sare love letters jeeja ke samne rakh diye jo varsha ne use likha tha........lekin antim palo me saf mukar gayi ki dheeraj us se jabardasti kar rha tha. Jeeja aaj zindagi me pahli bar foot foot kar ro rahe the ....aarti ko gale laga liya unhone.............. “mujhe maaf kar de meri jaan.........i m sorry beta................” aarti bhi papa se lipat gayi aur wo dono bilakh bilakh kar rone lage. Dheerj kah kar chup ho gya.............uski aankh me aansu the..............lekin sahil abhi bhi patthar ki ek murat bana hua tha............ “sahil, aarti tere liye jeeja se takraa gayi bhai.............wo aaj bhi tujhe bahut manti hai.....fir kyu nhi bat karte tum dono................aisa kya ho gya yar.......” dheeraj ne aaj shayad zindagi me pahli bar koi achcha kam kiya tha.... Sahil kuchh nhi bola....uske andar ke jwalamukhi ka lava foot gaya tha aur ab wo sahil ke dil ko jhulsa raha tha. Sahil juhi ke liye apni muhabbat ko sabit karne me is kadar gum tha ki use kuchh samajh me nhi aaya ....uske dil me bas yahi chal raha tha ki aarti ki muhabbat dhokha aur juhi ki muhabbat nishpaap.........aur wo ise sabit karna chah raha tha...............zindagi ke rahe itani kathin ho gayi thi ki sahil sahi galat ka faisla nhi kar paa rha tha. Sahil juhi ke sath lucknow wapas aa gya tha .....papa ko bhi sath laya tha...unhe kuchh heart problem thi ....lucknow ke doctor ne delhi refer kar diya tha aur aaj sahil aur juhi dono papa ko lekar delhi ke ek famous hospital me admit the............... Koi serious issue nhi tha par ahtiyat ke liye admit ho gaye the wo. Sahil aur juhi papa ke room se bahar nikle, canteen ki or ja rhe the.......tabhi sahil ki nazar kisi par padi................. “VISHAL” sahil ke muh se nikla. “aap jante hai use...........” juhi ne sahil ko kuchh dur par khade ek young doctor ki or ghurate huye dekhkar puchha...........wo kisi lady doctor se bat kar rha tha.............. Sahil ne juhi ka hath pakada aur unke opposite direction me chal pada.............. “sahil kaun hai wo.........” juhi hairan thi ............sahil ke chehre par ek sakhti thi .......wo kuchh nhi bol rha tha......... Juhi ko kuchh dar sa lag rha tha.............. “sahil meri kasam, kaun hai wo............” juhi ruansi ho gayi........ “aarti ka pati.............”sahil ne badi muskil se kaha. Juhi ka muh khula ka khula rah gya ..........usne chalet chalet hi pichhe palat kar dekha............uski aankhe aur badi ho gayi...............wo ladka us lady doctor ko kiss kar rha tha ........tanhayi dekhkar ek kone me dono ek dusre me buri tarah se lage huye the. Juhi ne sahil ka hath pakad kar jor se khicha aur dono palat gaye.................. Wo kafi door the ...............lekin corridor ekdam seedha tha to sab saf saf dikh rha tha.............. Sahil ne dekha ..............aur fir wapas chal diya, jaise kuchh hua hi na h................juhi ko bahut hairani ho rahi thi sahil ke behavior par. “sahil wo aarti ka husband hai..............kya kar rha hai wo...........sahil apni aarti ka husband...............” juhi bolti rahi lekin sahil uska hath pakde chalta raha............ab wo dusri or se chalakar canteen me pahuch gaye................sahil ke dil me kya chal raha tha wahi jane, lekin chehre se yahi dikha raha tha ki kuchh hua hi nahi.... Sahil ne kuchh order kiya aur wait karne laga..................juhi ka chehara gusse se bhabhak raha tha......... “sahil ye kya hai..........” juhi ne kaha. “kya hua” sahil ne jabrdast ignore kiya. “aap se ye ummeed nhi thi sahil.............” “kya kiya maine...........” “damn it!! Kya kiya aapne??????? jo kuchh aapne dekha uska matlab nhi jante aap.................”juhi rone lagi. “ wo dhoka de raha hai aarti ko...............aapki aarti ko dhokha de raha hai sahil........aapki aarti ki zindagi se khel raha hai............aapki aarti ki zindagi barbad kar rha hai............aapne kaise bardasht kar liya sahil...........apni aarti ko barbda hote kaise dekh liya aapne............ap wo sahil nhi ho jise hm jante hai, jis se hum muhabbat karte hai,,,...wo sahil nahi ho jiski ham ibadat karte hai........” juhi foot foot kar ro rahi thi aur sahil sunn ho gaya tha.............. Uske kan me juhi ke sabdo ne tufan macha diya tha............wo jaise kisi jadu ke prabhav se bahar aa gya tha........juhi ke wo sabd uske dil ko aaj ek bar fir cheer gaye............... “aapki aarti ko barbad kar rha hai sahil, use dhokah de rahaa hai sahil.......aapne kaise bardasht kar liya sahil ” ye sabd jaise sahil ke rom rom me aag laga rhe the........... Sahil tufan ki tarah canteen se uda tha ..............gallery se bhagta hua wha pahucha jaha vishal tha......... Jab tak sahil wha pahuchata wo car me us lady ke sath baithkar nikalta dikh gya............sahil us car ke pichhe paglo ki tarah bhagne laga.........uski aankho se jhar jhar aansu bah rhe the.......... “meri aarti ko dhokha de raha hai, meri masoom aarti ko..........uski zindagi ke sath khel raha hai..........meri aarti ki zindagi barbad kar rha hai.............duniya ko aag laga dunga usko kuchh kiya hoga kisi ne to” Sahil paglo ki tarah daud raha tha.....aaj use fir se wahi bachapan ki aarti nazar aa rhi thi, aaj fir uski aarti par aanch aa gyi thi..............aaj fir mano use aarti bahe failaya apni or bula rahi thi, aa jao mujhe bacha lo................us aarti ki poori zindagi ki khusiya daw par lagi thi jiski ek chhoti si khusi ke liye sahil kisi se bhi lad jata tha ..........kuchh bhi kar jata tha......aaj to sawal uski zindagi ka tha.........aaj sahil ko kaun rok sakta tha........aarti ki zindagi me lage grahan ko door karne ke liye aaj fir uska sahil sabkuchh pichhe chhodkar aarti ki khusi ki pichhe bhag raha tha. Pyar ka ye rishta hi aisa tha...............aarti ki khusiyo par kisi gham ka saya mandraye aur sahil na aaye, aisa to shayad kudarat ka kanoon hi nhi tha.............sahil aaj apni jindagi ke liye bhag raha tha..........bas use ahsaas nhi tha is bat ka....dekhna bas itna tha ki is bar aarti ki khusiya use laakar de pata hai ki nhi uska sahil. Kahaan hoti hai aisi muhabbat ?............juhi jaisi muhabbat, jisne aaj sahil ko uski aarti ki khusi ke liye bhej diya tha,- aarti jaisi muhabbat jisne apne pyar ke liye apne papa se unke khoon ka rang puchh liya tha ....sahil jaisi muhabbat ,- jo har kadam par tootne ke bad bhi apni “bewafa” muhabbat ki khusi ke liye paglo ki tarah bhag raha tha. Dosto muhabbat ho jaiye kisi ke sath, to aise hi nibha dena, dil ko sukoon mil jayega. Sahil paglo ki tarah us car ke pichhe bhag rha tha jisme uski aarti ki khusiya luti ja rhi thi.......lagbhag 1 km bhagta raha...............aur fir wo car ruk gayi.............shayad chalane wale ne use bhagte huye dekh liya tha......... Sahil teji se car ke paas pahucha aur jaise hi gate khula vishal ko bahar khich kar us par toot pada .........sahil ro raha tha aur vishal ko mar rha tha ............. “meri aarti ko dhokha diya tune...........us masoom ko.......”sahil bar bar bas itna hi bol raha tha......aansu to jaise uski kismat ban gaye the.............. “rukiye aap.........plssssssss” vishal ke sath jo ladki thi wo sahil ko rokane ki poori kosis kar rhi thi.........lekin sahil ek junoon sawaar tha.......... “rukiye plsss.......”is bar wo ladki vishal se lipat gayi aur sahil ke hath apne aap ruk gaye...........ladki badi dardanak nigah se uski or dekh rahi thi..........sahil ki aankho ke aansu use bahut kuchh sochane par majboor kar rhe the................ “ye kamina hai....ye aapko bhi dhokha de raha hai ..........................jaise isne meri aarti ko diya......ye married hai..............meri aarti se shadi ki hai is kamine ne.............meri aarti se..............” sahil khud ko bahut majboor mahsoos kar raha tha...... “nhi aapk ko koi galatfahmi huyi hai......ye mera fiancé vishal hai.........isne kisis ko dhokha nhi diya......” ladki ne bade bharose se kaha. “kutte chup kyu hai ????? bata ise ki jo mai kah raha hu sach hai......bata nhi to aaj sahil apni aarti ke liye har had par kar jayega............” sahil garajate huye bola Vishal kuchh nhi bol raha tha lekin uske chehre par sharmindagi ka koi bhav nhi tha...........na hi sahil ke liye koi nafarat............. “bolo vishal, batao inhe ....batao sach kya hai..............” ladki ne vishal ki aankho me dekhte huye kaha..........bada maan lag raha tha use vishal par............ “Sorry sir, aapki kisi bat ka jawab nhi hai mere pas.........aap ek rishte ka farz nibha rhe hain............samjhta hu mai...............lekin dosti ka ek vada hme bhi nibhana hai...............chahe to jaan le lijiye ..........chal suman ................” vishal ladki ke sath chuchap wapas car me baith gya......... “aarti mere pas nhi hai sir , I m sorry ” vishal ne jate-jate bas itana hi kaha aur sahil ki aankho se car ojhal ho gayi...........kuchh aisa tha vishal ki aankho aur baton me ki sahil kuchh kar na paya....na us se aur kuchh puchh paya na use rok paya... Wo chuchap hospital laut aaya........ek gahri mayoosi thi uske chehre par..........juhi ne use dekha aur bina kuchh kahe hi shayad sab kuchh samjh gayi.............. Sahil ke dil me ek toofan chal raha tha........ “ye kya ho raha hai mere sath ....kyu ho raha hai.......kya chahti hai ye kudarat mujhse...........ab jab mai use bhool jana chah raha hu to kyu wo bar bar meri raah me aa rhi hai................” “kya hua sahil.........kya kaha usne.......aapne use chhod kyu diya..........” juhi se raha nahi gaya sahil ki khamoshi dekhkar.............use lag pata tha ki is khamoshi ke pichhe ek bahut bada toofan daba pada hai. “kuchh nhi bataya usne aur wo kuchh batayega bhi nhi.............” sahil ne sar jhuka kar dheere se kaha. “to fir ????” juhi ne badi masoomiyat se puchha............ “kya karu mai juhi........” sahil aaj bahut udas ho gya tha........bas itna hi bola aur juhi ke kandhe par sar rakh diya.............ek kmajor ho rahe insaan ko khuda ne ek bahut majboot sahara de diya tha........... “sahil aaj aarti ko aapki jaroorat hai, jane aisa kyu lag raha hai mujhe..........”juhi ne kah hi diya jo uske dil me tha, apne dil par patthar rakh kar hi sahi, ..........kaisi thi uski muhabbat ????????...shayad kisi insaan ke bas ki bat to nhi thi is kadar muhabbat karna. Sahil kuchh nhi bola................ Thodi der bad sahil ke papa ko discharge kar diya gaya..........unhe lekar sahil juhi ke purane ghar pahucha....wha par ek do mulazim rahte the.............juhi ke papa ne use becha nhi tha aur kabhi kabhi wha rahne aa jate the............ Papa ki tabiyat ab thik thi..........sahil tha to unke sath lekin uska dil to kahi aur hi laga hua tha............. Juhi sahil ki halat achchhi tarah samajh rahi thi.........lekin use bhi nhi samajh me aa rha tha ki kya kare........... Sahil ne bari bari se didi ke yha sabka phone try kiya lekin kisi ka phone nhi lag rha tha...............didi ke phone par bell ja rhi thi par koi utha nahi raha tha.........aur aarti ka number to tha hi nahi sahil ke pas...........kitne dino se nahi tha ........na uske sasural ka address tha...........fir vishal ne jate jate kaha tha ki aarti mere pa nhi hai to wha jane ka koi matlab bhi nhi tha................. “Juhi mai thodi der me aata hu.................” sahil ne kaha aur bahar nikal gaya............ Juhi chuchap use dekhti rah gayi.........kya kar rha tha sahil wo janti thi ...............kitna majboor tha ye bhi janti thi.......lekin fir bhi sahil mujarim tha juhi ka. Sahil didi ke ghar pahucha ..........lekin waha pe lock laga hua tha.........pas-pados me puchhne par kuchh khas pata nhi chala...........bas itna hi ki koi 4-5 din pahle aarti ke mummy papa yha se gaye aur rohan aur aarti to pahle se hi nahi yha rahte the.................. Hazaro khyal aa rhe the uske man me..................sahil ka dimag kam nhi kar rha tha...........sahil bike se dilli ki galiyo ki khak chhan raha tha.......kuchh samjh me nahi aarha tha ki kya kare............... Kuchh bahut keemati kho gaya tha uska aur use hi shayad dhundh raha tha............. Aaj tak kismat ne sahil ka sath kabhi nahi diya tha, lekin aaj shayad dene wali thi.............sahil baawra sa bhatak raha tha ..............bheed me idhar udhar dekh raha tha..........lekin uski nigahe jise dhundh rahi thi wo chehra nhi tha us bheed me.......... achanak sahil ki nazar us college par padi jaha aarti ka admission hua tha MBBS ke liye......sahl ne jhat se bike roki aur andar pahuch gaya............... Sidhe DEAN ke pas pahucha apna parichay diya aur apna issue bataya..........sahil ko turant ek clerk ne attend kiya aur wo use lekar ek room me pahucha................ Sahil ke samne computer screen par aarti ki tasweer aur uski academic profile thi......year of admission ....form no....candidate ID....... aur uske hath me aarti ka admission form............ “Par sahib, in mem sahib ne to yha se sirf ek sal hi study kiya hai.......” us clerk ne kaha. “hummm...........ha usne apna transfer karwa liya tha shimla me..............first year ke bad hi...........” sahil ne kaha... “sahib shimla me isi college se afilliated ek college to hai ................ lekin yha se koi transfer nhi karwa sakta wha............aisa to koi system nhi hai...............” clerk ne jaise hi kaha ,sahil ko mano hazar volt ka current laga.. “kyaaaaaaaaaaaa??????? Nhi nhi tumhe pata nhi hoga........usne karwaya tha transfer......”sahil ke samne ek aur uljhan aa khadi huyi thi.... “maloom nhi sahib ...par rules to allow nhi karte............” usne bas itna hi kaha. Sahil wha se bahar nikla aur ek bar fir se dean ke room me pahucha.........DEAN ne clerk ki bat ko confirm kiya........rules yhi the ki last year me hi koi student transfer karwa sakta tha...........to fir aarti ne first year me kaise karwaya............. “sir iska kya matlab hua?” sahil ne dean se puchha. “sir iska matlab yhi hai ki first year ke bad student ne study chhod di..............kam se kam hamare yha se to nhi ki............haa kahi aur se ki ho to hum nahi kah sakte “ dean ne sahil ko bataya. Sahil ka dimag jaise fatne ko tha........ ”ye sab kya ho raha hai............aarti ne jhooth kyu bola.............kis se puchhu mai..” Sahil ko kuchhh bhi samajh me nhi aa rha tha, pahle vishal aur fir ye sab....... Lekin aaj kismat har mod par sahil ka sath dene ko taiyar hi khadi thi mano............. Wo dean office se nikla aur jaise hi bahar ki or badha uski nazar ek bade se frame me lage huye photo par padi.............. Sahil ki dil dhakk se kar gaya............uske muh se anayas hi nikla “JEEVAN-VATIKA” Sahil ki uljhane sulajh nhi rahi thi aur use ab ek “BEWAFA “ka samna karna hi tha.........aur dusri taraf thi wo masoom juhi , jiski muhabbat ki kasti to aise majhdar me fasti ja rhi thi jiska koi kinara nhi mil raha tha...........kya kar sakta tha koi.......sab majboor the ...kuchh kismet ke hatho aur kuchh muhabbat ke hatho. ufffffffff kash ye muhabbat na hoti.

      • January 24, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    11. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 20 Ek jeeta jagta sahil ek machine ki tarah se hota ja rha tha...............jab bhi juhi use dekhti uske dil me ek tees si uthati..............kis kadar buri hoti hai ye muhabbat.........???????? Aaj sahil office jane ke liye taiyar ho rha tha jab uske phone ki ghanti baj uthi.......usne ek nazar apne wrist watch par dali aur fir phone utha liya............juhi ka phone tha........... “hello” sahil ne kaha......... Dusri taraf sarfaraz saheb the............ “haa sahil beta ? ” “jee unlce, kaise hai aap sab log.....khan baba kaise hai............” “beta wo bahut serious condition me hai........bar bar tumhe bula rhe hai...........ho sake to aa jao.........” sarfarz sahib ka gala bhar aaya kahte kahte. “kaissi bat kar rhe hain uncle .....mai abhi aata hu.......... aap bilkul tention mat lijiye baba thik ho jayenge.....” sahil ne kaha aur travel agent ko phone karke sabse pahla flight me ticket karne ko kaha. Sahil lakh patthar banta gya tha to kya ........ahsaan faramosh nhi tha........us shakhs ne aaj use bulaya thi jiski muhbbat ne use ek nayi zindagi di thi, jin logo ne apno se jyada pyar kiya tha use.......sahil ne ek bar bhi apni meetings ya apne jaroori appointment ka nhi socha..........wo shakhs in sab chijo se bahut upar tha sahil ke liye. Sahil turant delhi ke liye nikkal pada. Hospital me pahuchte hi sabse pahle juhi ki nazar sahil par padi......aur uski aankhe chhalak gyi. Jee me aaya ki daud kar sahil ke gale lag jaye lekin apne abba ki maujoodagi ne pair bandh diye uske. Sahil unke pas pahucha aur juhi ki aankho me aansu dekhkar pyar se uske sar par hath phera.......... “sab thik ho jayega” bas itna kahna hi tha ki juhi sahil ka hath pakad kar apne aankho se laga kar jor jor se rone lagi.............sarfaraz sahib bhi behad bhavuk ho uthe. “chup ho jao plz, juhi khan baba thik ho jayenge “ sahil ko samajh me nhi aa rha tha ki wo use chup kaise karaye. Thodi der ke bad juhi badi mushkil se chup huyi. Sahil khan baba ke pas pahucha......unki halat behad najuk thi.........aankhe band kiye lete huye the............saanse halki halki chal rhi thi...............sahil bed ke pas rakhe stool par baith gya aur unka kamjor sa hath apne hatho me le liya...........hath kafi thanda ho gya tha unka. “baba” sahil dheere se bola. Khan baba ki aankho se ek aansu bah kar unke galo ko bhigo gya.............. “aa gya mera beta” unhone sahil ke hath ko apne hatho me le liya aur dheere se aankhe khol di. “aa gya baba.......aap bulaye aur main na aayu........?????” sahil bola. “sahil , lagataa hai mera bulawa aa gya hai beta......” khan baba ne dheere se kaha...sahil ke pas me khadi juhi ka dil tadap utha...khan baba ne bachpan se uske liye ek maa, baap, dost........har farz ada kiya tha........... “baba, khuda ke liye aise na kahe...........plsss” juhi ne rote huye kaha. “aapko kuchh nhi hoga baba............”sahil bola. “jana to ek din sabko hai mere bachcho...........sahil ek aakhiri tamanna hai ...ek iltiza thi tumse..........” khan bab ne badi umeed bhari nazaro se dekha sahil ko. “plzz khan baba , aisa na kahe............sahil nam ki ye kasti to aise bhawar me fasi thi jaha iska doobna tay tha.........aapne us kasti ko kinara de diya.....ye zindagi aap sab ki amaanat hai.........aap iltiza kaise kar sakte hai.........aap hukm dijiye..........” sahil ne unke dono hatho ko apne hatho me lete huye kaha. “beta , meri juhi bahut masoom hai.....maine kabhi dukh ka ek saya tak nhi padne diya apni beti par..........lekin ab bahut dar lagne laga hai.............zindagi me to bahut kuchh paa liya isne ....lekin duniyadari nhi janti meri bachchi................” khan baba bolte rahe. juhi ki or dekha, wo chuchap apni aankho me aayi badh ko rokne ki kosis kar rhi thi aur apne hotho ko apne dato se dabakr siskiyo ko roke huye thi... “sarfaraz ek behad achcha baap hai..........lekin kisi ke aansu ponchhne ki kubbat nhi hai usme........aur shayad wo mere bad bhi is duniya ke bhawar me hi phas ke rah jaye..........juhi ki bahut fikar hoti hai beta.........” khan baba bol rhe the aur juhi ki aankho se aansu nikal rhe the. “plz baba ,,,,aap jyada baten mat Karen...........doctor ne mana kiya hai na........” juhi ne khud parr control karte huye kaha. “bol lene de beta,,,fir ye saanse mauka de na de....... jaa jara sarfaraz ko bula la to...” baba ne juhi ko bahar bhejne ke liye hi shayad ye kaha. Usne ek nazar sahil par dali aur bahar chali gayi. “sahil beta jo kahne jo raha hu uske bad mujhe nhi pata tum kya sochoge mere bare me, lekin kahunga jaroor..............beta ye mat sochana ki jo thoda bahut tumhare liye kiya us ke badle me kuchh maang rha hu......nhi beta.....wo sab to tumhari jahaanat aur kabiliyat ke age kuchh nhi tha..........aur tumhari vajah se meri bachchi ne mera sapna poora kar diya.......... hamesa dil tumhe duayen deta rahta hai beta..........” khan baba ek pal ko ruke, “sahil isi liye tumhe bulaya hai beta................meri jane ke bad meri juhi ka khyal rakhna.......ise kabhi udas mat hone dena........sahil mujh budhe ki aankhe itna to dekh sakti hai ki juhi ko bhi tumse bahut lagav hai.......bahut apna samjhti hai tumhe.........beta ye bat iske baap se na kah kar mai tumse kah rha hu......kyuki mujhe pata hai ki tum juhi ko sambhal loge.........beta si duniya ki kadi dhoop me ek saya bankar meri juhi ki hifazat karna ........uski har khusi ka khyal rakhna.... ...uski aankho me kabhi aansu nhi aane dena..............” khan bab ki bat se sahil ka chehra kafi gambhir hota ja rha tha.........aur juhi kabhi khan baba ko dekhti to kabhi sahil ko . “sahil beta, mai janta hu ki bahut badi zimmedari tumhe de rha hu.......lekin beta tumse jayada bharosa mujhe kisi par nhi hai..........juhi bahut masoom hai..duniya me use ek sahare ki zaroorat hogi...........tum wo sahar ban jao sahil..........meri juhi ko apna lo beta....”khan baba ne kaha. “khan baba....mai aapki koi bat nhi talna chahta.......lekinmujhe thoda sa waqt chahiye............” sahil bhi majboor tha. “waqt hi to nhi hai mere pas beta.............jane kis pal ye saanse sath chhod de...........” khan baba ne thodi nirasha se kaha.. ”koi bat nhi beta mai samjhta hu...tumhari bhi apne pasand hai ....apni zindagi hai...........” khan baba bole.badi mayoosi thi unki nigaho me.. Sahil ke muh se khud ke liye gali nikal gayi.............us insan ko inkaar kar diya tha jissne use uske sabse bure waqt me sahaara diya tha........... ”sahil agar aaj apna farz nhi nibha paya to zindagi bhar tu khud ko maaf nhi kar payega” uske dil se aawaz nikli..........ek pal ko aarti ka chehar nazro ke samne aa gya. “I m sorry khan baba...maine aap ka dil dukhaya...plss maf kar dijiye...........” sahil ne kaha.. “nhi beta .....koi bat nhi mere bachche....” “mai rakhunga juhi ka khyal khan baba..........mai use duniya ki har khusi dunga........aapse vada karta hu mai.........juhi ki rah me aane wali har musibat ko mujhse gujar kar ustak jana ho ga...........aap koi fikar na kare khan baba...zindagi me aaj tak maine kuchh sahi nhi kiya........koi achchha kam nhi kiya............lekin ye vada mai nibhaunga khan baba.........mai juhi ki aankho me kabhi aansu nhi aane dunga..........vada hai mera “ sahil ki aankho me ek chamak thi . “jeete raho mere bachche........khuda tumhe duniya ki har khusi de..............ab sukoon se mar sakunga mai...........ek bar gale lag ja beta.......” khan baba ne sahil ko gale se laga liya. Darwaze ke thik pichhe khadi juhi sab kuchh sun chuki thi.......use sahil ke jawab ka intzar tha isilye wo whi ruk gayi thi.............usne apne aankho ke aansu ponchhe aur bahar chal di sarafarz sahib ko bulane. Ek patthar ki si sakht thi juhi ke chehre par.......bar bar yhi khyal aa rha tha uske man me ki sahil ne haa sif isliye kaha hai kyuki unhe lagta hai ki humne unpar ahsaan kiya hai..............pyar to aaj bhi wo aarti se hi karte hai. Sarfarz sahib andar pahuche sahil bahar nikal gya..........khan baba kafi der tak sarfaraz se bat karte rahe ...aur fir unhe apne gale se laga liya.. Do din bad khan baba ki saanso ne aakhir unka sath chhod hi diya........juhi to mano patthar ki ho gyi ..........use apne khane peene ka koi khyal nhi hota.......din bhar aansu bahati ........sahil ne office se 15 din ki leave li aur sachmuch juhi ka saya hi ban gya...........use jabradasti kuchh kuchh khilata ........hamesa uske sath rahta ......pal bhar ko bhi use akela nhi chodata tha...........juhi ko sahil par bahut pyar aata tha.........lekin fi use wo hi bat yad aa jati............”sahil ye sab sirf ek ahsaan utarane ke liye kar rhe hai......mujhse muabbat nhi hai sahil ko”.........is soch kea age nhi badh paa rhi thi juhi. Sarfaraz sahib ne sahil se bat ki aur khan bab ki kahi sari baten use batayi..........khan baba ne dono ki shadi kar dene ko kaha tha......aur sarfaraz sahib ko bhi koi aitraz nhi tha......unhone khud ek hindu ladki se nikah kiya tha.............to dharm jaat ka koi bandhan pahle se hi nhi mante the...... aur ...sahil ek bahot bada officer ban chukka tha....ek achhha insaan tha............apni beti ke liye is se jyada aur kya chahiye kisi bhi baap ko. Sahil ne thoda waqt mangaa tha......apne liye nhi, juhi ke liye....... Juhi bhi ab sambhalne lagi thi lekin sahil ko apni nazro se ek pal ko door nhi hone dena chahti thi....uska dil ek do rahe par aakar khada ho gya tha.........wo nhi chahti thi ki ek al ko bhi sahil us se jud ho lekin bar bar dil me aa jat tha ki sahil mujh se muhabbat nhi karte. Aur sahil duniya jahaan se beniyaaz juhi ki khusi ke liye sab kuchh karta ja rha tha.............koi bhi use dekh kar nhi kah sakta tha ki wo ek IAS officer hai....juhi ka kisi chhoti bachchi ki tarah khyal rakhta. Sarfarz sahib ne apni ek business partener se shadi ke liye juhi ki permission mangi .............juhi kyu mana karti bhala.....20 sal se uske abbu akele jee rhe the.........agr aaj unhe koi sahaara mil rha tha to wo kyu mana karti bhala.......usne khusi khusi kah diya ki “ abbu aap nikah kar le mujhe koi aitraaz nhi hai” Sarfaraz sahib ne ek aur ghar le liya tha..........juhi wha nhi rahti thi .....sarfaraza sahib ne lakh kosis ki par wo nhi gyi aur fir sarfaraz sahib bhi purane ghar me hi aa gye.........apni beti ko akela kaise chhod dete bhala...lekin aaj bhi wo juhi ko bahut jyada waqt nhi de pate the. juhi udas rahti thi ...bahut udas ...........ek nadi si bahne wali juhi ek thahri huyi jheel ban gyi thi............... “juhi tum apna transfer lucknow karwa lo.........mere pass...” sahil ne ek din bato hi bato me kaha.........sirf wo tha juhi thi.............. Sahil ki chhutiyan khatm hone wali thi .....par wo juhi ko chhod kar jana nhi chahta tha. Juhi ne sooni sooni aankho se uski or dekha aur fir nazre jhuka li. “kya hua” sahil ne pyar se uska hath apne hatho me le liya...........juhi ki kuchh nhi boli bas uski aankhe bhar aayi. “kya hua babu” sahil bola. “sahil , aap is liye ye sab kar rhe ho na ki kyuki aap ko lagta hai ki hum sabne aap par ahsaan kiya hai??? Hai na sahil........????” juhi ne aaj wo kah diya jo bahut din se uske dil me tha...jiski vajah se wo chah kar bhi sahil ke karib nhi aa paa rhi thi. Sahil ne uski aankho me dekha.......aansuo se bhari wo badi badi aankhe sahil ko bahut dukh de rhi thi....chah kar bhi wo jui ki aankho me aansu aane se nhi rok paya tha. Sahil chuchap uski aankho me dekhta rha aur fir use khinch kar apne seene se laga liya............juhi bilakh bilakh kar rone lagi.......... Aaj fir se wo patthar pighalne lagaa tha. juhi ke muhbbat jeet ki dahleez par pahuchti nazar aa rhi thi lekin sahil ki muhabbat ? shayad use khud nhi maloom tha ki uski muhabbat har rhi hai ya jeet rhi hai........aur aarti ki muhabbat .....shayad har chuki thi. Juhi yuhi sahil se lagi roti rahi .........sahil samajh nhi paa rha tha ki wo kya kare.............ek taraf uske bachapan ki muhabbat thi tha jo use chhodkar chali gyi aur dusri taraf wo ladki thi jis ne bina kisi swarth ke use apni baho me panah di thi.............. wo bhi tab jab sath wo zindagi ka daman hi chhodne wala tha Faisla karna shayad itna mushkil nhi hna chahiye tha......lekin “” bachpan ka pahla pyar !!!!!” Sirf wahi samjh sakta tha jisne kiya ho aisa pyar.bahut mishkil yha bachpan ki pahli muhabbat ko bhool pana. “hai na sahil ...aap nhi karte na mujhse muhabbat.............?????” juhi ki aankho me aansoo the aur un aansuo me ek mayusi thi....... Sahil se uski sooni aankhe bardasht nhi ho rhi thi.......... Sabkuchh to kiya tha juhi ne sahil ke liye aur aaj khan baba ke jane ke bad use sachmuch ek majboot sahare ki jaroorat thi ........sahil ne pyar se uske balo me hath phera ......... “I m sorry juhi....maine tumhe bahut rulaya hai na...........ab kabhi nhi rulaunga........chalo tum yha se .....ab hum sath rahenge.........hamesa sath rahenege.......hamesa hamesa ke liye...” sahil ne uski aankho me dekhte huye kaha. Juhi ne dabdabayi aankho se sahil ki or dekha ............mano puchh rhi ho sach me ??????? Sahil ne haan me sar hilaya...... “tumhari kasam juhi “ bas itna hi kaha aur uske mathe ko pyar se choom liya. Juhi sahil se lipat gayi ........uski aankho me ek bar fir se aansu aa gye.....lekin is bar ye aansu khusi ke the. Doosre din hi juhi ne apne transfer ke liye apply kar diya....aur apne abbu se permission lekar sahil ke sath LUCKNOW aa gyi............ Sahil ko official residence mila hua tha...... juhi ko alag se milna tha par usne lene se inkar kar diya aur sahil ke sath ek hi ghar me rahne lagi. Juhi aur sahil ka rishta ek vishwas ka rishta tha.............juhi sahil ko apni jaan se jyada chahti thi aur sahil juhi ko apni zindagi se badhkar manta tha.......juhi uske liye muhabbat se bhi upar thi........wo sachmuch hi uski ibadat karta tha apne dil me .........lekin ab shayad juhi ko iabadat nhi, muhabbat ki jaroorat thi.......... Sahil juhi ka har tarah se khyal rakhta..........uske liye juhi se badhaker kuchh nhi tha........lekin abhi bhi ek deewar thi un dono ke bich me jo gir nhi pa rhi thi.................aur sahil chah kar bhi muhabbat ke kadam uski or nhi badha paa rha tha.......... .juhi bahut masoom thi........wo khud bhi sahil ki or nhi badh paa rhi thi . ek hi ghar me rahte huye bhi dono aaj bhi dosti ki had se aage nhi badh paa rhe the.........lekin use yakeen tha ki ek na ek din saahil ki muhabbat uka daman tham legi aur wo us din ka intzar kar rhi thi......... NOVEMBER ka month start ho chukka tha ........zabardast thand pad rhi thi........sahil aur juhi ko sath rahte almost 2 month ho chuke the .....par abhi bhi dono muhabbat ke haseen safar ki suruwat nhi kar paye the.............. Lagbhag 6 baj gaye the sham ke ....Juhi abhi office me hi thi ..........IT department ki head hone ka bhi apna hi headache tha............wo behad imandar aur efficient thi .......lekin chehre se masoomiyat nhi jati ...kahi se bhi ek robile chehre wali INCOME TAX OFFICER nhi lagti thi .... juhi, office se ghar aur ghar se office.... yhi routine tha uska...........salary bhi kafi achchhi thi lekin life me koi charm nhi tha...........sahil ke sath rahna apne aap me ek khusi thi ........aur wo to bas itane se hi khus thi.......aur isiliye juhi ko zindagi se koi shikayat bhi nhi thi......sarfarza sahib bhi kabhi kabhi milne aate rahte the. Sahil ko rahne ke liye jo ghar mila tha wo kafi bada tha.........do bedroom the .......aur dono me attached washroom tha......ek juhi use karti thi ek sahil . Roj ki tarah aaj bhi juhi office se ghar pahuchi.........sahil ki gadi bahar nhi thi iska matlab wo abhi nhi aaya tha.............juhi chalte huye seedhe apne bedroom me pahuchi..........jab sahil nahi aaya tha to vaise bhi bahar rukne ka kya fayada. Usne room ki light jalayi........par light jali nhi...........juhi ko thoda ajeeb laga......usne off karke fir on kiya....fir bhi nhi jail..........juhi ko thodi si gusaa aa gyi..........usne apne phone ki flash light on kiya aur pichhe mudkar darwaje ki or badhi......darwaza bahar se band????? Juhi ne khicha parr koi asar nhi........... Ye kya ho rha hai sab..........juhi ko ab thoda thoda dar lagne laga.........usne ek do bar aawaz lagayi ki bahar khade security guard shayad sun le......par koi fayada nhi hua..........wo gate ke bahar hote the.......fir uske bad chhota sa lawn tha......fir ek baramada type hall aur fir rooms.......to aawaz pahuchana mushkil hi tha...........usne apna phone nikala aur sahil ko call karne lagi.......juhi apne phon ko kan se lagaye hi thi kiiiiiii......achanak kisi ne use pichh se baho me utha liya.............. “aah...........k..kk...kaun hai......”juhi ne jaldi se khud ko chhudaya aur mobile ki roshni us sakhs ke chehre par dal di.......... “sahill...........aapppp” sahil halke halke muskkura rha tha........ “aap bahut gande ho.......pata hai mai kitni dar gyi thi ........” juhi ki aankh me sach me aansu aa gye the “sorryyyy” sahil ne kan pakad kar kaha.... .juhi ko hasi aa gyi. “ye kya ho rha hai sahillll......” juhi ne muskurate huye puchha....... “ummm...kya ho rha hai.......tum dar gayi thi aur kya........” sahil ne bade maje se jawab diya...... “mera matlab....ye ye...ye light bhi nhi jal rhi... “ juhi thoda sa Sharma gayi “tum bolo to jalne ko .......dekhe jara kaise mana karti hai........”sahil bola...juhi ko samjh me aa gya ki sahil ki hi sharart hai kuchh...lekin ye sharart use bahut achchi lagi thi........ Usne halke se muskura kar sahil ki or dekha.......... “sahil plzz...” juhi ne kaha. “maine kucchh nhi kiya..........aaj ye sirf aapki hi bat sunegi.........boliye to ek bar............” sahil ne kaha. “kya bolu...........” juhi boli. “yhi ki lighit on ho ja.......” sahil aaj mood me lag rha tha. Juhi ko aaj sahil ka ye masoom sa roop bahut pyara lag rha tha.......aur usne bas sahil ki khusi ke liye hi bol diya........... “light on ho ja.........” Kuchh nhi hua aur kamre me abhi bhi gupp andhera tha bas juhi ke phone ki roshni me dono ek dusre ke chehre ko dekh paa rhe the... “kuchh bhi nhi hua........dekha aap ne.......ab bas naaaa ...plss” juhi ne sahil ki aankho me dekhte huye kaha. “Bas ek bar aur...........” Juhi ne fir se kaha .......fir kuchh nhi hua............. “sahillll.” Juhi ko ab thoda thoda gussa bhi aa rha tha aur sahil par dher sara pyar bhi. “bas ek aakhiri bar..............plsss” sahil ne kaha aur juhi ne uska dil rakhne ke liye fir se kaha......... “light on ho ja.......” Fir se kuchh nhi hua..........abki bar to juhi ko gussa aani hi thi............. “enough is enough,...maine kaha na kuchh nhi.............”juhi ka gussa dil me adhoora rah gaya aur uski bat juban par.... Kamre ki wo light to nhi jali lekin kamre ke bicho bich tangaa hua bada sa jhoomar jal utha......aur poora kamra uski neeli roshni me naha gya.... ye jhoomar aaj se pahle to nhi tha is room me.....sath hi room ke bich me ek table par rakhe bade se cake ki sari lights jal uthi aur room me slow music “ happy b’day to you “ chalne laga........ Aaj 16 november tha juhi ka B’DAY. Juhi ko laga jaise wo kisi aur duniya me hi aa gyi......poora room balloons se aur stickers se sajaya gya tha..........ek bada sa aquarium rakha hua tha ek kone me jisme rang birangi fish tair rahi thi......... Juhi ko khud bhi yad nhi tha ki aaj uska B’DAY hai ...........har bar khan baba yad dilate the aur is bar.............sahil ne. JUHI ki aankhe bhar aayi.......... “thank u sahil........” juhi ne uski aankho me pyar se dekhte huye kaha aur apne aansuo par kabu pane ki kosis karne lagi........aaj use khan baba ki yad aa rhi thi. “nhi..plz rona mat yar...abhi bahut se progrmme soche hai maine plz...........rona mat” sahil ne uske ek aansu ko apne hatho se saf karte huye kaha.........juhi sahil ke gale lag gayi....... “thank u sahil ......aapko yad tha ...thank u so much sahil.... ........” juhi ke dil me ek nayi umeed ne janm liya tha mano. “jinhe ham pyar karte hai unki chhoti chhoti khusi ka khyal bhi hame rakhna padta hai ...............” sahil ne dheere se uske kan me kaha. Juhi jhat se us se alag ho gyi............ ye kya kah diya aaj sahil ne........... ...jo sun ne ke liye uske kan taras gye the aaj wo bola diya tha uske mahboob ne............juhi ke dil me jaise naye phool khil uthe the.........uska man jhoom jhoom ke nachne ko kar raha tha.........par wo kuchh na kar saki.............bas nazre jhuka kar sharmane lagi............abhi ek khusi bhi hazam nhi ho payi thi ki sahil fir se bol utha............... “juhi , mai kuchh laya hu tumhare liye............” sahil ne juhi ke hath me ek shopper rakh diya...... “kya hai ye sahil.......” juhi ne kaha. “dekh lo kya hai.........” sahil ne kaha. Juhi ne shopper khola..........ek green colour ki sadi thi usme ... bahut hi lazwab pasand hai sahil ki , juhi apne man me sochne lagi....sahil mere liye sadi laye hain........hayeee Juhi ko lag rha tha ki aaj wo sharm se mar hi jayegi............ “kya hua .......pasand nhi aayi.” Sahil use chup dekhkar bola ... “nhi ye to bahut khoobsoorat hai......” juhi ne kaha “nhi, ye khubsoorat tab ho jayegi jab tum ise pahan logi.........” sahil eka-ek bol gya....... Aur fir khud bhi thoda sa sharminda ho gya...juhi to sharam se gadi ja rhi thi.......lekin use sahil ka yu ijhaar karna behad achchha lag rha tha.......... “sahil mujhe nhi aati sadi pahnne.............” usne bahana kiya...........kaise aayegi sahil ke samne sadi pahan kar .....use bahut sharm aa rhi thi. “juhi mera dil kiya mai le aaya...............agar tumhara bhi dil kare to pahan lo .........ab jao jaldi se change karke aao fir cake kat te hai.........” sahil ne apne dil ki bat kah di. “Sahil aap bahar jaiye jab mai bulau tab aaiyega.........” juhi ne kaha ... “kyu ..” “matlab??????...mujhe change karna hai to ????????? .......” juhi ki aankhe hairat se bad ho gayi sahil ke kyu kahne par.. “haan...m..mera matlab tha ki washroom me change karogi na.....ok mai jata hu........” sahil sakpka gya aur fir chuchap room se nikal gaya. “ekdam hi buddhu hai.........lekin bahut pyare hai..” juhi ne sahil ke jate hi khud se kaha........aur muskurane lagi. Usne apna ward rob kholo aur ek matching colour ka blouse nikala aur sadi se match karke dekhne lagi... Blouse ekdam matching hi tha.......... Vaise to juhi sach me sadi nhi pahnati thi par ek do bar usne apne training ke time par music function me pahni thi aur , ek do bar kisi kisi marriage function me bhi....to uske pas ek do sadiyan thi aur use pahnna bhi aata tha.......lekin aaj sahil ke samne pahnne me use sharm aa rhi thi......par sahil itane pyar se uske liye laya tha .......kaise mana kar deti bhala. juhi ne sadi pahna aur aainne ke samne khadi hokar khud ko niharne lagi...... “sahil mere liye ye le aaye.........aur wo bhi to kahaki jinhe ham pyar karte hai unki khusi ka khyal rakhna padta hai.......sahil mujhse pyar karte hai...muhabbat hai unhe mujhse........par bade badmash hain...ijhar bhi kiya to kaise......seedhe se nhi bol sakte ki juhi tumse muhabbat ho gyi hai.........hmm ...koi bat nhi sahil jee ......ek din ham aapse bulwa hi lenge........aap hamse pyar karte hai itna hi bahut hai hamare liye to............” juhi aaine ke samne khadi khud se hi bate kar rhi thi aur halka fulka make up bhi kar rhi thi........ Lagbhag 30 minute bad juhi ne door open kiya aur sahil ko aawaz di...do bar bulane ke bad bhi sahil nhi aaya aur unka home servant bhagta hua aaya........ “Mem sab, wo sahib kisi se phone par bat kr rhe hai...bole hai ki abhi aate hai........” “thik hai....kaka wo, saheb aaj office se jaldi aa gye the kya ?? ” juhi ne puchha. “jee mem sahib , sahib to aapke jane ke turant bad hi aa gye the... ...lagbhag 11 baje subah ko” naukar ne kaha. “thik hai aap jao........ghar chale jao ......aaj hme kahi bahar jana hai........” juhi ne kaha . “Iska matlab sahil ne aaj chhutti ki thi.....aur ye sab kuchh khud kiya hai..........” juhi man me sochne lagi aur uske man me sahil ke liye aur jyada muhabbat badhne lagi. “thank u sahil......maine aapko bilkul sahi pahchana hai.....aap wakayi muhabbat karne ke layak ho......jee chahta hai aapko duniya se churakar apne dil me chhupa lu.” Juhi man hi man soche ja rhi thi jab sahil darwaje par nazar aa gya....... Sahil ki nazar juhi par padi aur wo palke jhapkana hi bhool gya.............. Juhi khubssorat to hamesa hi lagti thi lekin aaj to wo qayamat hi lag rhi thi........green colour ki sadi aur full sleeve blouse me uska gora rang khub khil raha tha......kalaiyo me hari hari chudiya aur hotho par halki si lal lipstic.......gale me ek patli si chain aur un badi badi aankho me kajal.....khule huye lambe kale bal aur chehre par aati un balo ki kuchh laten.........aur un sabke bad us masoom se mukhde par ek pyari si muskan........ufffff......... yauvan ke rang se poori tarah rangi huyi wo haseena aaj sachmuch itani khubosoorat lag rhi thi ki menka jaisi apsara bhi sharma jaye uski khubsoorati dekhkar . Sahil ek tak dekhe jaa rha tha use... aur juhi uske is tarah dekhne se sharam ke mare pani pani ho rhi thi.......lekin aakhir uske liye hi to saji sawari thi wo........to dil me kahi ek haseen si tamnna ne bhi angdayi li. “kya hua sahil?” juhi ne kaha. “umm..aaaw..wo..wo...kuchh nhi chalo cake kaate.........” Juhi ko hasi aa gyi sahil ki halat par....... “hummm..bade aaye ......aankhe phad ke dekh rhe hai .......aur ek lafz tarif ka nhi bol sakte ....koi bat nhi sahil jee, dekh lenge aapko....”juhi ne apne man me socha aur dheere se muskura di. “jee....” juhi ne bas itna hi kaha aur dono cake ki or badh gaye. Juhi ne ek pal sahil ke chehre ki or dekha........... “bahut dukh jhela hai tumne meri jaan ....tumhe itani muhabbat dungi ki tum har dukh bhool jaoge......apne maajhi ki yad bhi nhi aayegi tumhe.........mai tumhe bataungi ki muhabbat buri nhi hoti ...bas insaan achchhe-bure hote hai...” “Kya soch rhi ho.. kato ne cake.........” sahil ne kaha. “umm haa...aap bhi sath me ...plss..” juhi ne kaha. Sahil kuchh nhi bola ......... juhi ne sahil ka hath pakad kar apne hath par rakh diya.....sahil ne dheere se uske hath me pakde huye knife ko uske hath ke sath hi pakad liya aur dono ek sath cake par jhuke hi the ki sahil ke jeb me pada phone ghanghana utha......... Sahil nhi utha rha tha ...... “sahil dekh le shayad koi important call ho......” juhi ne kaha aur dono alag ho gye..... Sahil ne phone recieve kiya........kisi naye number se phone tha......... “hello, jee kaun ???” sahil ne kaha. “hello sahil, mai dheeraj bol rha hu............” dusri or se aawaz aayi.......... Ufffffffffffffff............DHEERAJ , bada bhai........aaj 4 sal bad chhote bhai ki yad aayi thi.......aur wo bhi tab jab aaj bahut dino bad sahil thoda sa khus hone ki kosis kar rha tha. Sahil ne apni saanso ko niyantrit kiya aur phone utha liya............. “hello sahil, kaise ho beta “ papa ne hamesa ki tarah phone uthate hi puchha. “thik hu papa aap kaise hai, mummy kaisi hai ??? ” “ham sab bhi thik hain.............wo kuchh bat karni thi.......” “jee kahiye.........” sahil ne kaha .........papa ki awaz thodi gambheer thi .. “wo dheeraj ki shadi tay ho gyi hai....jyoti {dheeraj ki fiancée jaha uski shadi pahle tay thi lekin bad me un logo ne mana kar diya} ke papa ka kal phone aaya tha.............khud hi unhone mana kar diya tha bina koi vajah bataye aur ab khud hi fir se shadi ke liye kah rhe hain..............mujhe to bahut gussa aayi par tumhari maa ne haa kar di................” papa ek saans me hi sab kah kar chup ho gye..............mano sahil ka reaction jan na chah rhe ho. “jee...........” sahil ne bas itna hi kaha..............juhi bhi sahil ke kano se kan lagaye uske gale me bahe dale sari baten sun rhi thi. Sahil chah rha tha ki jald se jald bat khatm ho.....dheeraj ke bare me bat karna use achchha nhi lag rha tha . “to beta date kab ki rakhen......?????” papa ne puchha. “jab aap log thik samjhe “ ssahil ne sankshipt sa jawab diya.. “matlab tumhe kab chhutti mil payegi..........” papa ne fir se puchha. “papa aap jo bhi kahenge mai kar dunga par mai aa nhi paunga.......” sahil ne juhi ki aankho me dekhte huye kaha..... “kaisi baten kar rha hai beta....tu nhi aayega to shadi kaise ho sakti hai.............dheeraj ne phon kiya tha bata rha tha ki tune us se bat nhi ki....beta chhoti moti baten hoti rahti hai....bhai hai wo tumhara..........” papa ne kaha. “sorry papa main hi aa paunga....mujhe chhutti nhi mil payegi ..............” sahil ne fir kaha. “sahil log kya kahenge .........baut badnami hogi beta.........bade bhai ki shadi me chhota bhai nhi hoga to kaisa lagega.........” “mai nhi aa sakta papa........mai sara arrangement kar dunga...sare kharch aap mujh par chhod dijiye ....mai sab dekh lunga..........lekin please mujhe aane ke liye force mat kare.........” sahil ko papa ko na bolna achcha nhi lag rha tha...........lekin wo haa bhi nhi kah paa rha tha. “thik hai beta ........lo apni mummy se bat kar lo..........” papa ki aawaz me ek nirasha thi jo sahil ko chubh rhi thi.... “sahil aaja beta ...........apne budhe maa baap ke liye hi sahi........”mummy ki aawaz thodi bheegi bheegi si lagi sahil ko .....wo kaise rula deta apni maa ko. “thik h mummy kosiss karunga ...aap log date fix kar le ...mujhe bata dijiyega.....” sahil ne thodi der bat ki aur fir phone rakh diya. Sahil ne phone rakha aur juhi ki aankho me dekhne laga ...mano kah rha ho ki dekho ,tum to sab janti ho na....kaisi aazamayish ho hi hai mere dil ki..........juhi bhi un aankho ki bhasha samjh gayi.....usne apne dono bahen faila di aur sahil un baho me sama gyaa......sahil ko apne seene me chhupaye juhi pyar se uske balo me hath ferti rahi.......... Sahil ko hamesa hi in bahon ka shara mila tha ...........jab bhi dil udas ho jata ,ye bahen hamesa use apne aagosh me panaah deti .....aur kuchh pal ko sahil har fikar se beniyaaj ho jata. Sahil ne nazre uthakar juhi ki aankho me dkeha.............. Juhi ne aankho hi aankho me puchha kya hua............ “kya karu mai juhi ....mummy ko rota nhi dekh sakta na.........” sahil ne badi masoomiyat se kaha. “mai janati hu sahil ..........aapne thik kiya...........” juhi ne uska sar apne god me rakh liya. “tum chalo gi na mere sath............” sahil ne badi umeed se kaha. “mai kya karungi wha chalkar sahil ...aur fir mujhe to kisi ne bulaya bhi nhi..........” juhi ne uske balo me hath ferte huye kaha. “mere liye chalo..............nhi to apno ke bich bahut akela ho jaunga mai.............” sahil ne uski najuk si kalayi ki hari hari chudiyo ko chhedte huye udasi se kaha.. “aapke liye mai kuchh bhi kar sakti hu...jante hai na aap...............chalungi mai aapke sath” juhi har pal sahil ko yhi ahsaas dilate thi ki wo uske sath hai ,uske pas hai....hamesa hamesa ke liye. “Thank u juhi” sahil ne kaha aur juhi ne pyar se uska matha choom liya. Lagbhag do din bad fir papa ka phone aaya ........... “beta, 5 feb ka din rakh rhe hai ............thik hai na............” papa ne sahil se kaha. “jee” sahil bas itna hi bola..... “beta ...wo juhi beti ko bol dena.........tumhari ma kah rhi thi ....ya to number de do hum khud hi bol denge .....” papa ne kaha...sahil ne phone loudspeaker par rakha hua tha aur pas me baithi juhi ki or dekh kar muskuraya.......wo bhi khil uthi. “papa mai bol dunga.....aap koi tension mat lijiye.... mai sab dekh lunga.....” “jeete raho beta.......tumhari jaisi aulad bhagwan har ma baap ko de.” Papa ke dil se apne bête ke liye dua nikli. “Lijiye madam aapka bulawa aa hi gya” sahil ne phone rakh kar juhi ki or dekhte huye kaha. “hum to jate hi ...bulawa na aata to bhi..........”juhi ne bade maan aur apne pan se kaha. “achcha ji , badi jaldi hai sasural jane ki ....” sahil ne use chhed diya. “sahillllllll” juhi ekdam se lajaa gayi. “ dekha mummy tumhe nhi bhooli.........aakhir hone wali bahu ko kaise bhool sakti hai............”sahil ko sharamayi si juhi bahut pyari lagti thi aur ab to wo sharam se ek dam gulabi ho gyi thi... “sahil...mat kariye na aisi baten pls.............” use achchhi lag rhi thi sahil ki chhed chhad lekin sharm bhi bahut aa rhi thi. Sahil aur juhi ka pyar dino din badhta ja rha tha ...........juhi ke bina sahil ko ek pal bhi achcha nhi lagta...........jab juhi ghar par ni hoti to wo bhi ghar na aata ..............sahil ghar se bahar ek behad imandar aur sakht IAS Officer tha lekin ghar ke andar ek chhote bachche ki tarah zid karta ,apne nakhre juhi se uthawata aur hamesa use tang karta rahta.... Juhi ki duniya bhi sahil me simat kar rah gyi thi....wo office ke bad sara waqt sahil ko deti .......sahil ke sare najo nakhre wo kisi chhote bachche ke jaise lad se uthati..........sahil ne use itna pyar diya tha ki use kabhi apne maa ya baba ki yad nhi aayi...........juhi jara si bimar ho jati aur sahil sab kuchh chhodkar uske sath lag jata ........jab tak wo thik na ho jati sahil ko kisi chij ki parwah na hoti.........uski har chhoti badi khusi sahil ki zinadgi me bahut ya shayad sabse aham hoti ......... Juhi aur sahil ke liye ab ekdusre ke bina jeena shayad sambhav hi na tha. Sahil ne khud ko juhi ke liye badal liya tha ...............use khan baba ko diya vada, aur juhi ka wo be-intaha pyar yad tha...........sahil badal gya ,halat badal gaye bas ek bat nhi badali.............aaj bhi sahil ko wo “bewafa “ yad aati thi ................jab bhi yad aati ,to sab kuchh yad aa jata.........wo kisi kone me ek aansu gira leta aur chuchap aage badh jata..........sahil ka in yadon par koi jor nhi tha..........sahil chah kar bhi un yadon ko nhi rok pata tha............iske liye kabhi kabhi wo khud se khafa bhi ho jata ........use apna-aap doshi lagta ...lekin wo majboor tha shayad ..........aarti ki yaden aa hi jati..........aur ab un yadon ke siwa us rishte ka uske pas bacha hi kya tha. ************************************************************************************* Sahil aur juhi 30 january ko gaon ke liye nikal liye..............sahil ne hi wha ka sara intzaam kiya tha.........uska man nhi tha jane ko ......dheeraj ke wo sabd yad the use ........lekin apne mummy papa k liye use jana pada. Sahil ghar pahuch chuka tha .......juhi sabse milkar bahut khus huyi ........RENU se to vaise bhi uski achchai banti thi .....mummy papa bhi uske aane se kafi khus the ...........bas usne dheerej se koi bat nahi ki ..........na sahil hi dheeraj se koi bat kar rha tha ......juhi chup thi sirf sahil ki wajah se ...............jab bhi sahil ki didi ya dheeraj ka jikar aata tha juhi ki aankho me shole utar aate...........use wo rota bilkahta,akela sahil yad aa jata tha..........kitna akela kar diya tha use uske apno ne .....lekin wo chup thi –sirf apne sahil ke liye. sahil ke ghar par is samay kafi bheed thi .......uske dono uncle uski dono bua aur un logo ki family –sare log aaye the ....ye sab sahil ke papa ke bhai bahen the..............wo bhai behan jinhone unhe gareebi ke samay bilkul akela achhod diya tha ............aaj sab log aaye the ............qki ab unka beta IAS tha ........ab wo garib nhi the..........kafi bheed ho gyi thi lekin shail ne sara arrangement pahle se hi kar diya tha...........isliye koi paresani nhi thi . papa jitni bar bhi sahil ko dekhte seena garv se phool jata ...........lekin ek kasak thi unke man me ...sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna............ aaj shadi k ek din pahle didi ke yaha se did aur rohan aaye ......na jeeja aaye thi aur na hi “ AARTI “ ....sahil didi se kuchh kuchh bat kar leta lekin juhi nhi karti thi.........use sab sahil ki kasoorwar nazar aate . sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna mahsoos to sabko ho rha tha aur fir badi bua ne ye mudda utha hi diya............ Bua dheeraj ke sath baithi thi....sahil whi samne se gujara.......... “are sahil jara ek pal ko mere pas to baith ...........tu to dikhta hi nahi” badi bua ne kaha aur jane kaha se tahalte huye choti bua bhi wha aa gyi..... sahil na chahte huye bhi jakar unse thodi doori par rakhi chair par baith gya.......dheeraj ne ek bar sahil ki or dekha fir nazre jhuka li............. “aur sahil kaisa chal rha hai sab ........bada afsar ban gya re tu to.......ittu sa tha jab mai yha se gyi to.......” “jee bua ban to gya..........mere apno ka aashirwad jo tha....”sahil ne kaha aur dheeraj ki or dekha ......sharam se sar nhi utha rha tha wo. Bua apne aadat ke mutabik hi bhoomika bana rhi thi .......aur dhhere dheere baton hi baton me sahil ke dono chacha ,chachi unke bachche aur kuchh aur bhi relatives wahi baramde me ekatthe ho gaye.......... Aur ab bua ne jab dekha ki achchhi khasi bheed ho gyi hai to apna Ram-ban chhoda......... “tum dono aapas me bat kyu nhi karte..........jab se aayi hu dekh rhi hu.........” badi bua ne sahil ki or dekhte huye kaha. “bua mujhe bahut kam hai aap log baithiye “ sahil ne uthana chaha. “are lallaa jara baith to sahi.... kaam to hote hi rahenge.........” chhoti bua bhi maidan me aa gyi. ”are babu,IAS ho gye ho wo thik hai...par bhai to bhai rahega na..........”ye bade chacha the...jinhone shayad aaj pahli bar sahil ka jikar apni juban se kiya tha.........aaj tak sahil kaun hai wo jante bhi nhi rahe honge......... Sahil ko unki bat chubh gayi...........lekin wo kuchh nhi bola....kal shadi thi aur aaj wo koi tamasha nhi karna chah rha tha..... sahil ki khamoshi uski kamjori ban rhi thi aur dheere dheere logo ke muh khul rahe the............. “are bada bhai hai...............kuchhh bol bhi diya to bhool jao.....bhale ketne bade afsar ban jao ...rahoge to us se chhote hi.............” chhoti chahchi kyu pichhe rahti...unhone bhi aag me ghee dal diya. Sahil sabke bich me baitha kathgahre me khade gunahgar ki tarah sar jhukaye sab sun raha tha .....usakaa mukadama lada ja rha tha lekin uske paksh me koi nhi tha.... “aree bhaiya jab paise aa jate hai to kaun apan aur kaun paraya.........kaun bhai aur kaun bhaujai.............sab paise ka rang hai aur kuchh nhi” ye kaun bola sahil pahchan nhi paya........lekin us se baradast nhi hua. “dekhiye ................ye hamare ghar ka mamala hai.............pls aap log isme dakhal na den..........” sahil ne thode sakht hone ki koisis ki........... ....lekin uske andar ki sakhti gayagb ho gyi thi .........use fir se sabkuchh yad aa rha tha....dheeraj ki har bat, apni har asafalata..........aarti ko use thukaranaa........sahil ek bar fir se usi daur me pahuch gya tha....whi kamjor sa sahil..........udas sa sahil....majboor sa akela sahil........apni sakhti aur kabiliyat ke jhande gadne wala sahil aaj ek bar fir apno ke hatho haar rha tha. “haye ...haye...ham sab bahar wale hai.....to ham aaye hi kyu hain ....jaroorat hi nhi hamari............” badi chachi ko ek bat mil gayi ... “Sahi kah rhi hai bhabhi....hamari kya aaukat ...bade logo ke bich....ham to gair hai.” Chhoti bua ne to bakayda rona bhi suru kar diya.... Sab kuchh na kuchh kah rhe the .......achcha khasa hungama ho gya......sahil ke papa market gaye the aur mummy ghar par nhi thi ..... jaise hi papa ghar me ghuse sab un ki or lapke...sahil chupchap whi baitha rha............... “bhai sahib ham gair hai to kyu bulaya ...are bas yahi to samjha rhe the ki bade bhai se kyu bat nhi karte ...aur hame gair kah diya...haa hm to gair hi hai........” dono chachi aur bua ...sab milkar ek sath bol rhi thi ....yhi unka charitra tha hamesa se hi . “sahil ye kya kah rhi hai beta..........”papa ne dheere se puchha Sahil chuchap chair par baitha jameen ko ghur rha tha...............uske aankhe bhar aayi thi lekin kisi ko nazar nhi aa rha tha.... “aaye haye.....itani akada????? baap ki bat ka zawab nhi diya........bhai se nhi bolata......IAS hi bana hai na.................are baap bhai ki ijjat to bhagwan bhi karte hai...hunnnhh” badi bua sabse aage the.......... Sahil ke papa ko apne bête ke bare me aisi baten sun kar dukh ho rha tha ....lekin kal shadi thi ...unhe pata thi ki ye sab kitna bakheda karenge agar unhone kuchh nhi kaha to.. “sahil sorry bol do beta.........sab apne hi hai ........koi gair nhi hai” papa ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha.....kitni badi galti kar di thi aaj papa ne. Sahil chup rha ................sar tak ni uthaya usne ..... “batao...jo apne baap, bhai ki ijjat nhi karta , wo hamari kya karega.....are IAS bhi insan hote hai, koi bhagwan nhi ..” sab tarah tarah ki baten bol rhe the ..........RENU aur DIDI bhi wha pahuchi...lekin unhe samjh me nhi aaya ki kya ho rha hai........... “jab bade bhai se bolna hi nhi tha uski shadi me aane ki kya jaroorat thi .........sab akada hai aur kuchh nhi .....jab tak kuchh nhi the,tab tak bhai-baap ki jaroorat thi .........ab kya jaroorat......ab apno ki kya jaroorat” badi chachi ne kaha. Aur fir wha wo pahuchi jisne sahil ko us bhyankar tufan se nikal liya tha , ye to halat ke mamooli thapede the, ye uska kya bigad lete ...........jee ha ....juhi wha aa gyi thi........... -SAHIL KI JUHI- aur chachi ki bat sun bhi li thi usne . Juhi ne kisi ki bat par koi dhyan nhi diya .....teji se sabko hatate huye sahil ke karib pahuchi auer uske kandhe par hath rakha ........ “ sahil” usne bade pyar se use pukara. ”juhi !! tum aa gyi juhi.....dekho maine kaha tha na ki apno ke bich mai akela pad jaunga.......” sahil ki aankhe aansuo se bhari huyi thi....... Juhi ka dil tadap kar rah gya ...sahil ke aansu khanjar bankar chubhe use .......kitni muskil se sameta tha usne apne sahil ko aur aaj ek bar fir se uske apne apno uske jakhm kured diye the. “nhi sahil , aap akele kaise ho.....mai hu na......” sahil ne jor se juhi ko pakad liya ...sab log dekhte rahe lekin aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi. “lo bhai ye to hai hi , ab hamari kya jaroorat .............” chhoti bua boli ...ek tanj tha unki aawaz me.......... “vaise kaun hain ye.........????????” badi bua ne badi gahri aur taane wali ada se kaha. Juhi ne sabki bat unsuni kar di ....sahil ke aansu poche .....use chair se uthakar apne sath lagaye le gayi .... pas wale room me sofe par sulaya........darwaza band kiya aur wapas aa gyi, sahil jis chair par baitha tha us par jaka baith gayi. “pucchiye mujhse jo puchhna hai aap sabko ..........” juhi ke aankhe aangaro se dahak rahi thi. Kisi ki himmat nhi padi kuchh kahne ki .................juhi ke chahre se, ankho se , uske haw-bhaw se ek gussa,ek nafarat jhalak rha tha .......sab ko mano saanp sungh gya......... “puchhiye ?????? kya puchh rhe thi aap sab mere sahil se ??? ” aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi , parwah thi to bas apni muhabbat ki , jiske liye wo kisis bhi had tak ja sakti thi .........shant-shant si , hasamukh , khili-khili si rahne wali juhi aaj kisi sherni ki tarah dahad rhi thi .............dahadti bhi kyu na ...aaj uski muhbbat par aanch jo aa gayi thi................ “aap sab kya puchhenge......kya puchhenge aap sab ............kisi ki aaukat nhi hai mere sahil se koi sawal karne ki ........... “apne” ??????? kaun se apne ? sahil ke apne ????? sahil ne chhod diya .........??????? “ juhi aaj nhi rukne wali thi. “aap sab sahil se sawal puchhte hai ki wo apno se bat kyu nhi karta ..........use apno ki kadar kyu nhi hai...........hunnnhhhh ...........aur aap sab hote kaun hain ye sawal puchhne wale .........aur agar kuch haq samjhte hai apna sahil par ,agar sachmuch sahil kuchh lagta hai aapka........to puchhiye uske apno se --- kaha the wo apne jab sahil ek ke bad ek har jhel rha tha aur uske pas koi apna nhi tha ..........sahil ke sapne ek ek karke toot rhe the aur uske pas uska bhai nhi tha ......wo bikhar rha tha aur uske pas uski badi behan nhi thi............sar rakhkar rone ke liye bhai ka kandha nhi tha...... aansu poonchhne ke liye bahan ka aanchal nhi tha...............” juhi bol rahi thi aur sab chuchap sun rahe the. “jante hai aap sab sahil ke pas kya tha ......diili ki ghuti huyi galiyo me ek chhote se kamre ka kala andhera tha ........... us kamre ki seelan aur badboo bhari deeware thi ........sahil un deewaro se lipat kar roya –tab kaha the ye apne , jab sahil un tang galiyo me bhatakta raha –tab kaha the ye apne .......tab kyu nhi aaya koi ye kahne ki sahil tu mera apna hai, tera mera rishta teri safalta asafalta se nhi juda hai ....tu jaisa hai achchha bura –mera hai..... aaj itne log hai hai jo sahil ke apne hai ..............tab kaha the aap log ..............kyu nhi kabhi puchha ki jee rha hai ya mar gya sahil ........kaha the aap sab ....kaha tha ye bhai ...???...kaha thi ye badi behan ?????.........puchhiye aap sab apne aap se , puchhiye in sab se .......puchhiye .....please ek bar puchhiye ...mere sahil se mat puchhiye .........kuchh mat puchhiye ...khuda ka wasta aap sab ko .” juhi kahte kahyte buri tarah se bilkah kar rone lagi Sabki aankhe aansuo se bhari thi ....didi baithkar ro rhi thi ....aaj juhi ne sabko aayina dikha diya tha ...........mujrim ki kursi par baithkar sabko mujrim bana gyi thi aaj wo PARI--- SAHIL KI PARI.

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    12. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 19 SAHIL ko apni god me chhupaye juhi ka dil bhi bahut bhari ho gya tha...........aaj usne faisla kar l iya tha ki wo sahil ko sabkuch sach sach bata degi..............aur shayad use pata bhi tha ki sahil ka fiasla kya hoga................. “sahil” usne dheere se pukara..... Sahil ko rona ab ruk chukka tha usne sar uthakar aarti ko dekha............. “aaj mai tumhe bta ti hu ki maine aisa kyu kiya..............mai janti hu ki jo kuchh maine kiya wo mafi ke layak nhi hai...........ye bhi janti hu ki meri vajah se tumhari zindagi tabah ho gyi, ........... mai ye bhi janti hu ki tumne bahut dard sahaa hai.............aur sahil ab mere aaj ye kahne ya na kahne se koi fark un baton par nhi padega..............na tumhari zindagi ki wo dardannak raten mai mita paungi na wo dard bhare aansu ponchh paungi........lekin ek bar tumhe batana chahati hu............” Sahil uthkar baith gya......aur aarti ke chehre ki or aise dekhne laga jaise aaj uski zindagi ki parikshaa ka result aane wala ho..................aaj faisalaa hona tha ki uski muhbbat ki shiddat me kitna asar tha..........aaj faisal hona tha ki uski aarti bewafa thi ya ba-wafa AARTI ne bolna suru kiya.............. “mere councilling se thik pahle aap ghar gaye the ........... hai aapko.........” aarti ne kaha.......... Sahil ne bas haa me sar hila diya............. aarti fir aage bataane lagi................... “usi din bade mama (DHEERAJ ) yha aaye the , rohan bhi aaya tha.......aur mere Tau ke yha party thi.............tau-tayi ki marriage aaniversary thi.......... bade mama waise bhi jab aate the to Tayi ke yha jaroor jate the...............aur tayi bhi unhe bahut manti thi...........ham sab sham ko lagbhag 7 baje unke ghar pahuche.............sab log bade pyar se mile...........TAU,TAI AUR UNKI BETI VARSHA...........mehmaan bahut jyada nhi the..............bas kuchh bahut karibi log hi the...........kul milakar 10-15 log.... Der rat Sab log kha peekar baithkar baten kar rhe the.......... Sab log the bas VARSHA nhi thi........... Kuchh der bad bade mama bhi uthkar kahi chale gaye .............hm sab baithe baten karte rahe............ Tabi tau ke phone par varsha ki kisi friend ka phone aa gya............aur tau use bat karwane ka bol kar phone lekar andar chale gaye varsha ko doondhate huye..................... Thdi der hi samay bita tha ki andar se jor jor se gali dene ki aawaze aane lagi...........Tau kisi ko mar rhe the aur jor jor se galiya de rhe the.............mai mummy ,papa ,rohan sab bhagte huye andar gaye............. Tau bade mama ko thappad mare ja rhe the..............papa ne jakar unka hath pakad liya......... “bhai sahib ,ye kya hai.........aapne hath kaise uthaya.............” “hat ja sale, bahenchod..........salo tum sab ne mujhe badnam karne ke lye is se ye sab karwaya hai na.......aaj ise jan se mar dunga...........puchh kya kar rha tha meri beti ke sath...........” TAU ka chehra gusse se laal tha.... varsha whi khadi aansu baha rhi thi......tau ne un dono ko kisi aapattijanak sthiti {sex karte huye} me dekh liya tha..........”dheeraj kya ye sach hai ,”papa ne puchha....... bade mama kuchh nhi bole.......... “dheeraj bol na ye jhooth hai.......” mummy rote huye boli... “didi ham pyar karte hai ek dusre se....”bade mama bole hi the..... “hat randi....maine apni aankho se dekha hai.......tum sab ab natak mat karo.....salo maine apni beti ki shadi tay ki thi aur is bahnchod ki bhi to tay thi.....fir puchh ki kya kar rha tha yha...........sala mere hi ghar me meri beti ko..............abhi batata hu............ “ TAU gusse se andar gaye......shayad apni pistol lene “varsha ye kya ho rha hai ........tu kuchh bolti kyu nhi...........” tayi ne kaha... “mummy .........ye jabardasti kar rhe the.......” varsha boli, uske chehre se saf lag rha tha ki wo jooth bol rhi hai..........aur uska character to vaise bhi sabko pata tha...........lekin usne bat bigdti dekhi to palat gayi........aur aaj to koi bhi aisa nhi tha jo uski bat ka bharosa nhi karta,.......... Dheeraj mama ka chehra ek dam fakk pad gya varsha ki bat sunkar............unke sath to ye hona hi tha.......unhone bhi to kisi ko dhoka diya tha ....unhe dhokhe ke siwa kya milta...........unki shadi tay thi aur unhone kisi aur ke sath.............. Bahut drama hua wha .......lekin mai sab nhi batanaa chahti.......... Tau ko sabne kisi tarah se pakad kar ek kamre me band kiya aur hm wha se bahar nikle.......papa ki aankho me maine pahli bar aansu dekhe the..............wo bahut jyada gusse me the us din............... Kisi tarah se hm ghar pahuche ...............mama bhi sath me the..........mummy unhe jabardasti le aayi.......unhe dar tha ki kahi wo kuchh aisa vaisa na kar le ...............shayad isiliye akele nhi jane diya unhe.............. Ghar pahuchane par us se bhi bada hangama hua................ Papa bahut gusse me the...........aur wo sara gussa nikla mummy par aur mujh par.......... “Sali .......tum sab bhai-bahno ka khun hi ganda hai...........nikal ja tu abhi mere ghar se ......apne bhai ko liva le............aur ja yha se...........”papa mummy par cheekh rhe the....... Mummy bas roye ja rhi thi.......... “jeeja didi ko kuchh mat kahe...plz.....sari galti meri............”bade mama ki bat aadhi hi nikli thi..... “chup sale.........kamien.....tu abhi nikal mere ghar se........aur agar kabhi “ TUM DONO BHAI” me se koi bhi mere ghar ...aaya to goli mar dunga........sale tere jaisa hi tera bhai bhi hoga na.......kya pata wo sala meri beti ko.........tum sab ki nazar gandi hai........ sale aaj teri vajah se mai itna jalil hua hu.......nhi to sala kisi ki majaal nhi thi ki koi meri family ke character par unagali uthaye,...........nikal ja sale..........” papa dahaad rhe the aur har koi chuchap khada tha............. Dheeraj mama chale gaye.........rat ke ek baj rhe the..............mummy ro rhi thi aur papa ka gussa kam nhi ho rha tha............ “tu bhi nikal ja...............tu bhi to usi ki behan hai.............nikal ja..” papa mummy ko bol rhe the. Mai aage badhi aur papa ke pairo se lipat gayi............ “papa jane do na plz............mummy ki kya galti ........plz papa” mai jor se unke pairo se lipti ro rhi thi.......... Papa kuchh nhi bol rhe the............ Thodi der bad unhone mujhe uthaya........... “chup ho ja beta..........” mai papa ke gale se lag gayi aur jor jor se rone lagi...... “Mummy chali jayengi to mai kaise rahungi papa........plz papa..........” “thik hai aarti, mai janta hu iski koi galti nhi hai..........sorry.............lekin is ghar me un dono me se koi nhi aayega..............kabhi bhi............agar sahil bhi kabhi yha aa gya to mai pata nhi kya karunga..........mujhe khud nhi pata ...........aur tum us se door rahna............kabhi uski or aankh uthakar bhi mat dekhna...............wo achcha nhi hai beta......wo bhi isi kameene ke jaisa hoga....to bhaut bholi hai meri bachchi............wo tere sath...........tu samajh rhi hai na...........aakhir isi kamine ka bhai hai na...........aur agr kabhi us se mili to samajh lena ki bina baap ki ho gyi ho......” aur papa itna kahte kahte ruk gaye....... ************************************************************************************* Aarti apni bat kah kar chup ho gyi thi aur sahil uski taraf aise dekh rha tha ki jaise abhi kuchh aur kahegi wo..............jaise sahil ki khata batayegi....................jaise koi aur safai pesh karegi .....lekin aarti chup rhi........... “fir....?? uske bad..........” sahil ne beyakeeni se kaha........ “uske bad kyaa......aap delhi aaye .....mummy ne aap ko kuchh nhi bataya.......kyuki us samay papa ghar par nhi the...... aur maine aap se doori bana ne ki kosis..........” aarti ki bat poori nhi ho payi thi ki sahil cheekh pada............ “aur tumne faisla kar liya ki tum mujhe chhod dogi...........tumne ye man liya ki mera khoon ganda hai.......tumne ye man liya ki mai apne bhai jaisa hu...........tumne man liya aarti............” sahil ki aankhe bhar aayi.............aarti aage badhi uske kanhde par hath rakh diya............ Sahil ne uska hath jhatak diya..........aur uski aankhe aaj ek bar fir se barasane lagi............... “tumne maan liya aarti...........tumne man liya...........aur ek mai hu............sari duniya kahti rahi ki tumne mujhe dhokha diya, tum bewafa ho.........sab kuchh sahaa maine............kitni raten tanha tumhari yad me roya..........tumhare liye roya......khuda se tumhare pyar ki bheekh mangi............lekin maine nhi mana aarti..........kabhi nhi maana.......shayad jubaan se kabhi nikal bhi gya ki tum bewafa ho..........lekin mere dil ne kabhi nhi mana..........maine kabhi nhi maana.........par tumne maan liya......??????????.....” “tumne maan liya ki mere pyar me vasanaa hai........tumne maan liya ki mere pyar me tumhare jism ki chahat hai...........tumne man liya ki meri nazro me hawas hai...........nhi aartiiiiiiiiiiii.........nhiiiiiiiii..........are tum to meri zindagi thi, maine to kabhi tumhare siwa kuchh socha hi nhi..............meri to saanse isi aas me chalti rahi ki meri aarti bewafa nhi ho sakti............bachpan se lekar jawani tak kisi aur ladki ki or kabhi pyar ki nazar se dekha tak nhi.........lekin tumhe mere pyar par aitabar hi nhi aaya...........tumhari muhabbat bahut kamjor nikli aarti , jo halat ke in mamooli thapedo se toot gayi...........” “aarti meri galti kaha hai isme............????....kya khata hai meri ..............????? ek bar bhi tumne nhi socha.........aarti meri muhbbat aaj se 5 sal pahle nhi hari thi.......aaj haar gayi............” sahil niche gir pada aur bejar hokar bilkhane laga.......... Aarti ki aankhe abhi bhi bikool sukhi thi...........pattharr ki ho gyi thi shayad aarti..................usne sahil ko chup karane ke liye ek bar fir se uske kandhe par hath rakhna chaha...........sahul ne uska hath jhatak diya...........sahil ki aankhe ekdam laal thi ........... “nhiiiiiiiiiii........chhuna mat mujhe...........juhi sahi kahti thi aarti............tum muhbbat ke laayak nhi ho.......nhi ho tum muhbbat ke layak........... BEWAFA HO TUM ... BEWAFA.........are tum to nafarat ke layak bhi nhi ho.........aur ek mai hu....huhn.... jaan tak dene chala tha tumhare liye.............ek “BEWAFA” ke liye..........” “aarti mai ja rha hu.........hamesa hamesa ke liye...ab kabhi laut kar tumhare dar par nhi aaunga............aur haan....... is bharam me mat rahna ki sahil ab bhi tum par mar mitega, fir se apni zindagi daaw par laga dega..............meri zindagi bahut keemti hai.........tum jaisi kisi “BEWAFA” par lutane ke liye nhi........” “jao kar lo apni shadi ,ban jau kisi aur ki..........fir use bhi barbad kar dena.......fir kisi aur ki banna......aur fir use......” sahil mano kise nashe ke se aalam me bol rha tha........ “sahil” aarti ko bura lag rha tha..... “kya hua bura lag rha hai........haan...........sachchi bat aise hi buri lagti hai.........aarti mai sochta tha ki mai badnasseb hounga agar mujh tum na mili to.......lekin mai khusnaseeb hu aarti..........badnasseb to wo hai jiski zindagi me tum shamil hone ja rhi ho...................ek aakhiri bat jate jate kah rha hu............mujhe koi gham nhi hai............ kyuki maine use khoya hai jo kabhi meri thi hi nhi, lekin tumne use khoya hai jo sirf tumhara tha !!!!! sirf tumhara......” aakhiri lafz bolte bolte sahil ki aankh thodi si nam ho gyi par is bar wo roya nhi aur wo uthakr teji se bahar nikal gaya. “sab kuchh sahi kaha sahil......mai BEWAFA hu.............bas itanaa yakeen karna mujh par........ki maine kabhi ye nhi chaha tha , kabhi ye nhi socha tha ki tum jan dene ki kosis karoge.........kabhi nhi sahil......kabhi bhi nhi............ye maine kabhi nhi chaha.” aarti ne kaha aur chauchap uthkar apne room me jakar andar se darwaza band kar liya. Sahil apne bag pack karke bahar nikal rha tha ......aarti uske samne nhi aayi thi aur wo chahta bhi nhi tha.............. Sahil niche hall me aa gya tha..didi bhi sath me thi.......... ........aur sabse kamaal ki bat to ye thi ki didi ne ek bar bhi us se achanak jane ki vajah nhi puchhi..........na use rookne ke liye kaha............wo bas nikal hi rha tha ki tabhi uske jeeja anadar aate huye dikhe.........aaj kayi salo ke bad unka samnaa ho rha tha..........hospital me accident ke bad wo the lekin tab sahil thik nhi tha.........uske bad se jyadatar unse samnaa nhi hua tha.........ek pal ko sahil ko thoda sa dar laga...........fir usne soch liya ki ab kya dar........... jo apna tha wo to kho hi diya......... Lekin fir wo hua jiski sahil ko jara bhi umeed nhi thi..................jara si bhi nhi. Sahil whi khada ho gya apne jeeja ji ko aate dekhkar.............jeeja bhi uske bikul pass pahuchakar khade ho gaye..................... Sahil ne jhuk kar unke pair chhuye to unhone uthakar use gale se laga liya............ “kaha jane ki taiayari hai” unhone bade apne pan se puchha. Wah ri duniya !! kya khub matlabi aur swarthy logo ki duniya hai ye..............kal tak mera khoon ganda tha aur aaj mai itna apna ho gya..............sirf isliye ki ab mai ek hara hua insaan nhi hu..........kyuki ab mai ek IAS officer hu... .........sahil apne man me soche jar ha tha aur uske dil ki nafarat badhti ja rhi thi............. “jee...bas nikal rha hu..........lucknow ja rha hu.........join karna hu duty “ sahil ne bina man ke jawab diya.............. “are yar itande din bad mile ho...............thodi der to mere sath bhi rah lo............chalo kal chale jana.....” jeeja ne uske kandhe par hath rakhte huye kaha. “nhii jeeja .........jaroori hai ...........kafi time ho gya..........” “whi to kah rha hu kafi time ho gya...........mere sath tumhe rahe.......chalo aaj ruk jao kal chale jana.........” jeeja ne uske hath se suitcase lete huye kaha. Sahil ab bikul nhi jana chahta tha wapas...........aarti ka samn a ek bar wo fir se nhi karna chahata tha...........lekin jeeja itane apne pan se kah rhe the ki wo mana bhi nhi kar paa rha tha.......itana jahar ugala tha unhone uske khilaf,lekin fir bhi,,,,,,,,,,,...yhi to zindagi me sahil nhi kar pata tha........usne bina man se hi sahil lekin apne kadam ek bar fir se ghar ki taraf wapas mod liye. “tum bas do minute baitho mai abhi fresh hokar aata hu......” jeeja use baithte dekhkar bole aur washroom me ghus gaye......didi bhi kuchh bnanane ke liye kitchen me chali gayi......... Sahil whi baitha is ghar ki daro deewar ko nihar raha tha........aur uske dil me dard ki ek lahar uth jati thi...........aise hi baithe baithe use pata nhi chala ki kab aarti bhi wha aakar baith gayi........uski thik bagal me............. “sahil” uske muh se apna nam sunkar sahil ne uske chehre ki or dekho..............bikul sapaat chehra , koi emotions nhi,............... koi dekhe to pata na chale ki wo khus hai, dukhi hai ya fir naraz hai.................sahil ko bhi kuchh pata nhi chala.....aur chalta bhi to shayad ab use koi fark nhi padne wala tha.......... “juhi se pyar karte ho.............?...” aarti ne badi himmat juta kar kaha. Sahil kuchh nhi bola aur nafarat se dusri taraf nazre ghuma li............... “ wo to aapko bahut chahti hai.............kya aap nhi...” aarti bahut darte darte bat kar rhi thi aur jane kyu kar rhi thi.............abhi to itana kuchh sunaya tha use sahil ne......... “plz sahil, kuchh to boliye ........kya aap use pyar nhi..............” aari ki bat adhoori rah gayi........ “shut up ..........just shut up............pyar jaise pakh sabd ko apni juban par lakar ganda mat karo................aur juhi............hummmm........uska nam bhi lene layak nhi ho tum.......uske pairo ki dhool ke barabar bhi nhi.............tum kya jano juhi kya hai............mai use pyar karta hu ya nhi, iska tumse koi vasta nhi........lekin mai uski ibadat karta hu,,,,,,poojta hu mai use,......pari hai juhi,jo dusro ke sapne sajanaa janti hai, sabkuchh lutana janti hai............dusro ki khusi ke liye jeeti hai wo............” sahil bahut nafart ki nigah aarti par dalta hua bola......... “kya is ibadat me muhabbat bhi shamil hai sahil...?” aarti apni har beijjati bardasht karte huye bahut shant bhav se bat kiye ja rhi thi. “muhabbat ??????............hunh....ek bar m uhabbat karke dekh li..........jis se ki usko bhi dekh liya.........koi muhabbat nhi hoti duniya me.............sab kuchh sirf matalab hota hai.......sirf aur sirf apna swaarth............aur plz tum aur kuchh mat poochhana.............tumse bat karna bhi ek sajja lagti hai ab mujhe.............” sahil bahut gusse me tha lekin apni aawaz dba kar bol rha tha...........jaise koi funfkaar rha ho. Aarti ne kuchh nhi kaha.......bas ek gahri saans li aur chuchap baithi rahi.........tabhi didi hath me tray lekar andar aa gayi...............chai,kuchh snacks aur kuchh aur nashte ki cheeje thi usme............... Sahil ne chehra uthakar dekha unki or..............aankho ke kinare geele ho gaye the unke.............shayad unhone sahil ka jawab sun liya tha..........unhone jaldi se tray rakha aur sabse nazre bachate huye apni aankhe ponchh dali..............lekin sahil ki tej nazro se wo bach na payi.............wo kuchh nhi bola............is samay itani nafarat bhar gayi thi uske andar ki use kisi ke aansuo ki koi parwah nhi thi............... 5 sal bahut samay hota hai..........5 sal bina kuchh kahe, bina kisi shikawe- shikayat ke usne aarti ka intazaar kiya tha........sab kuchh harte huye bhi usne apni muhbbat ka daman nhi chhoda tha......apni muhabbat ka bhrosa nhi tootne diya tha.............apne dil me uski muhbbat ka chirag jalaye rakha tha............lekin aaj us chirag ne hi uske dil me hi aag lga diya tha aur us aag me muhbbat ka har sapna , har umeed jalkar rakh ho gayi thi. Thodi der bad sahil aur jeeja baithkar chay pee rhe the...........sahil unse bhi naraz tha,,bahut naraz lekin kuchh kah nhi rha tha...............wo to mano sari duniya se hi naraz tha..... “sahil,inassan zindagi me kabhi kabhi kuchh aisa kar deta hai ya kuchh aisa kho deta hai jisko kabhi wapas nhi laya ja sakta..............jiski bharpayi kabhi nhi ho sakti...........maine bhi kuchh aisi hi galtiya ki hai apne past me..........” jeeja bade dheere dheere bol rhe the........sharmindagi ka ek rang unke chehre se jhalak rha tha, Sahil ne kuchh nhi kaha bas unki or dekhta raha...kya unke chehre ki sharmindagi sahil ko uske wo din lauta sakti thi jo usne tanha ro ro kar gujare the...........nhi........ “mai kabhi itani himmat nhi juta paunga ki apni galtiyo ko bayan karu .......lekin agr ho sake to mujhe maaf kar dena............” aaj usne jeeja ki aankho me pahli bar aansu dekhe the...... Sahil kuchh nhi bol rha tha................itan bada nuksaan hua tha uska , kaise maf kar deta wo........... Sahil whi baitha rha ...........jeeja bhi baithe the lekin koi khas bat-cheet nhi ho rhi thi............... Sahil ka phone ghanghanaa utha............ Juhi ka phone tha............ “sahil , wo.... .wo..........babaa.........aap jaldi se aa jao sahil plz............” “juhi kaha ho tum .......ro kyu rhi ho .....mai abhi aata hu..............chup raho rowo mat .......mai abhi pahuchata hu..........” sahil ko juhi ki aawaz ke bich uski siskiyan sunai de rhi thi “sahil aap jaldi aa jao mai bahut akeli hu ............abbu bhi yha nhi hai........baba ki tabiyat bahut kharab hai................” “mai abhi aaya juhi.......achhha wha kisi ko phone do............” Juhi ne ek ward boy ka phone thamaa diya .............sahil ne whi pas me pade paper par address note kiya hospital ka aur turant nikal pada............. “sahil mai bhi chalta hu.........” jeeja bole. “nhi aap rahne de............abhi aaye hai.......mai dekh lunga.........” sahil bas itna hi bola. “gadi le jao sahil...........jaldi hoga.....” jeeja ne chabhi uski or badhate huye kaha.......sahil ek pal ko thithaka fir gadi ki chabhi tham li......... Sahil ghar se nikal chuka tha............ Thodi der bad wo city hospital pahucha aur teji se us ward ki taraf badh gya.......... Juhi bahar corridor me bathi thi jabki baba andar the aur shayad so rhe the.........dawa ke asar se........jaise hi usne sahil ko dekha bhagti huyi uske seene se lag gayi aur phoot phoot kar rone lagi.............. “chup ho jaye juhi......mai aa gya hu na ......plz chup ho jao.......khan baba ko kuchh nhi hoga...........” sahil use apne seene se lagaye lagaye uske sar ko sahlate huye use chup karane ki kosis karne laga........juhi abhi bhi bahut masoom thi ...........usne kabhi ye sab situation dekhi nhi thi........aur achanak baba ki tabiyat kharab hone se wo bahut dar gayi thi .....sahil ki baho ka saharaa pakar uska dil tadap utha aur wo rone lagi thi......... Thodi der me doctor se bhi sahil ki bat huyi .....unhone bataya ki baba ki halat stable hai aur shayad kal tak discharge ho jaye agar aaj raat me thik rahte hai to............. Sahil bahar se kuchh khane ko laya,,,,,jabardasti usne juhi ko thoda sa khilaya aur khud bhi khaya....rat ke 9 baj gaye the...........sahil ne lakh kosis ki par juhi use aur baba ko chhodakar ghar jane ko raji nhi huyi........aur dono baba ke room ke bahar baithe rahe........ “sahil baba thik ho jayenge na......?????? .” juhi bachpan se hi apne baba se bahut attached thi, uski koi bhi farmayish hoti aur baba muh se nikalte ke sath hi poori kar deti.............ab unhe khone ka dar juhi ko satane laga tha., “ha juhi,bilkul thik ho jayenge........” sahil ne bade pyar se kaha. “sahil wo aaj subah jo kuchh kaha maine ......uske liye sorry.........” juhi ne badi masoomiyat se apne hatho ko apne kan se laga liya. Sahil ko bahut pyar aa rha tha us par........... “pagal ho tum poori............sorry kis bat ki..........aur aise bhi koi sory kahte hai kya ” sahil ne halka se muskurate huye kaha. “ha jinhe hum muhbbat karte hai unse ........” juhi ke muh se achanak nikal gaya aur fir usne apni nazre juhka li. Sahil ke dil me kisi ka chehara ghoom gaya..........wo bhi to aise ho sorry bolta tha apni aarti ko manane ke liye..........aur fir usne apne sar ko jhataka.....us bewafa se ab kya rishta. “thank u sahil ....” juhi ne dheere se kaha....... “tum pagal ho.....poori pagal.........ye kya kabhi sorry ,kabhi thank u......juhi tum mere liye in sab bato se bahut upar ho............bahut jyada upar.........kabhi sorry mat bolna aur kabhi thank u bhi nahi............samjhi............” sahil ne uski aankho me ektak dekhte huye kaha.............aur juhi bas halka sa muskura kar rah gayi............. Rat ke 11 baj gaye the aur sahil chupchap baitha apne khyalo ki duniya me gum tha.........juhi uske ek baju ko apne hatho me liye huye us se chipki thi aur apna sar sahil ke kandhe par rakhe so rahi thi...................sahil ki nazar uske masoom chehre ki or barbas hi chali gayi............aur aaj zindagi me pahli bar na chahtte huye bhi aarti ko kisi se compare kar rha tha.......kyuki aaj tak kabhi usne aarti ki tulna kisi se ki hi nhi thi........aaj tak to uske liye aarti har shakh se se upar thi..............bahut upar. Lekin aaj wo compare kar rha tha..............”AARTI Vs JUHI” ‘aarti ki muhbbat ,ek dhoka......juhi ki muhabbat ek kurabni.............juhi ne mujhe tab bhi pyar kiya jabki use pata tha ki mere pass kuchh nhi hai........use pata tha ki mai aaj bhi kisi aur ko chahta hu...........use pata tha ki mai har baji har chukka hu...........lekin fir bhi usne mera hath tham liya......mujhe bikharne nhi diya...........itani pak muhabbat hai juhi ki.........” Aaj sahil ko juhi aarti se milo aage khadi dikh rhi thi.............aur aarti aur uski muhbbat “bewafayi” ke daldal me fasi kahi bahut pichhe chhootti nazar aa rhi thi............bahut jyada pichhe.......... “tumne sahi kaha tha juhi........... agar ab bhi mai apni sachchi muhbbat ko nhi pahchan paya to mai bahut badnaseeb hounga.............lekin kya mai tumhe wo muhabbat de paunga......” sahil ne ek bar apne aap se sawal kiya aur bina jawab ka intzar kiya juhi ke mathe ko pyar se choom liya aur use apne aap me samet kar khud bhi us se lag kar aankhe band kar li. Sahil ne aankhe band kar li aur shayad palak jhapakte hi ek neend ka jhoka aa gya......................... “kya hua sahil...........sari kasme ,sare wade,,,wo sari muhabbat ki badi badi baten.....kya hua un sabka...........tumne to kaha tha ki muhbbat sirf ek bar hoti hai ......fir kya hua....dusri bar kaise ho gayi sahil..........muhbbat ek bar hoti hai aur fir wo ya to haar jati hai ya jeet jati hai.......yad hai, tumhi ne kahi thi na ye bat.......to kya hua......tumhari muhbbat har gayi kya sahil...........ha ha ha........muhbbat karna aasan hai, kahna ki tumse muhbbat hai , aur bhi aasan hai............lekin muhbbat nibhana nhi aasaan hai.........jane do sahil tumse na hogi ye muhbbat......” sahil ne jhat se aankhe khol di.....aisa laga jaise aarti uski muhbbat ka majak uda rhi hai, has rhi hai usi muhabbat par....... “nhiiiiiiii” sahil ke munh se ghuti ghuti si chikh nikali..........juhi chaunk kar uth gayi........... “Kya hua sahil aap thik hai na” usne hairat se sahil ki or dekhte huye kaha.......... Sahil ne ha me sar hilaya..... “bas kuchh baten aisi hoti hai jo kabhi peechha nhi chhodati.......kabhi yaden bankar aur kabhi sapne banakr darati hai..........” sahil ne khoye khoye se andaz me kaha............ “mai samjhti hu sahillllll......sab thik ho jayega.......mai hu na.........” juhi ne pyar se kaha aur sahil ne apna sar uske kandhe par rakh diya.......... Baba ko subah discharge kar diya gya tha.............sahil juhi ke sath uske ghar aa gya .......baba ko chhodkar wapas lucknow ke liye nikal rha tha......... “sahil kuchh din rook jao.....ek bar baba poori tarah se thik ho jao fir aap chale jana nhi rokungi..........ya fir jaise hi abbu aa jaye........... Sahil ne ek bar uski or dekha.............. “Thik hai.........mai dekhta hu......apni chhuti extend karwani hogi mujhe..........”sahil ne kaha....... “yha se ho jayegi ya jana hi padega..........” juhi ne kaha. “mai dekhta hu shayad ho jaye......rahul se bat karta hu............achchha mai kahi ja rha hu isi chakkar me ....koi jaroorat ho to phone kar dena...............” sahil ne kaha.......juhi bas haa me sar hilakar rah gayi........... Sahil bahar nikla hi tha ki jeeja ka phone aa gya.........usne beman se phone uthaya......... “haa sahil ....kaise hain ab wo............” “jee ,thik hai,ghar par aa gye hai............” “tum rukoge ya jana hai...” “jee abhi dekhta hu....shayd rukunga.....” “kaha ho is waqt........” “abhi to bahar aaya hu .............sham tak juhi key yha pahuchunga” sahil har bat ka sankchhipt sa jawab de rha tha............ Aur fir thodi si bat karke phone cut kar diya.... ************************************************************************************* Door bell bahut der se baj rhi thi............juhi ne jaldi jaldi jate huye darwaza khola samne aarti khadi thi............udas si ,bujhi bujhi si, hari hari si aarti................. “kya chahiye” usko dekhte huye juhi ne badi nafarat se kaha. Aarti ne bilkul bhi aisa nhi show hone diya ki use zara sa bhi bura laga hai uski bat ka............. “andar aa sakti hu....???????...thodi der bat karungi fir chali jaungi.............” aarti ne dheere se kaha............. “jee to nhi chahta ki tumhe apne ghar me aane du.........lekin sahil jaise shakhs ne muhbbat ki hai tumse.........isliye majboor hu ,mna nhi kar sakti..........” juhi jo har kisi se bahut narmi se bat karte thi , aarti ke samne aate hi mano shole ugalane lagti..............wo darwaza chhodkar hat gayi aur aarti ko andar aane diya............. Aarti juhi ke room me bathi thi..........bed ke thik pas me sahil ki ek khobsoorat si tasweer rakhi thi........pahle ki aarti hoti to ye bahut jalaane wali bat hoti , juhi se ladayi bhi ho jati shayad.........lekin ab wo aarti thi hi nhi.....kahi nhi....... Usne juhi ki aankho me dekha......siway nafart ke kuchh nhi tha uski liye......... “bolo jo bolna hai....mere pas itna faltu time nhi hai ki tum jaisi ladki par barbad karu...........” juhi ne ek aur teer chhoda..........jo aarti ko bahut andar tak laga lekin wo in sab ko bardasht karne ke liye taiyar hokar aayi thi............ jab bhi juhi aarti ko dekhti thi use wo rota bilkhata, toota hua sahil yad aa jata tha......... aaj bhi uska wo ro ro kar kahna ki “ juhi mujhe uski yad aati hai......juhi use bolo na ki wapas aa jaye............” ........aaj bhi use yad tha .....sab kuchh yad........aur fir nafart ki siway kuchh nhi aata tha uske dil me aarti ke liye........... “juhi maine sahil ka hath us samay chhod diya jab use meri sabse jayda jaroorat thi............vajah chahe jo bhi rhi ho ................”aarti itna hi bol payi......... “nhi aaj tumhe wo vajah mujhe batani hogi............nhi to mujhe aur kuchh nhi sun na............” juhi ne sahi mauka dekhkar kaha...... “thik hai batati hu..........” aur aarti ne wahi sari story juhi ko bata di jo usne sahil ko batayi thi........... Uski bat sunkar juhi ka chehra thoda shant sa dikhne laga........wo ek ladki thi ......shayad aarti ki majboori ko jyada ache se samjh sakti thi......... “aarti ..fir bhi tumne jo kiya wo galat tha............poori tarah se galat..........agar sahil ko kuchh ho jata to.............” juhi ne pahli bar thodi narmi se kaha. “janti hu.........meri galti ki koi mafi nhi hai..........lekin mera vishwas karo maine kabhi ye nhi socha ki sahil apni jaan dene ki kosis karenge.....ye bat us samay mere jehan me nhi aayi.........shayad mujhe sahil ko sab bata dena chahiye tha...............”aur aarti kuchh kahte kahte achanak ruk gayi............ “janti ho insan ko sabse jyada dukh kab hota hai.......... tab jab “ wo shahs” uski baho me apni muhabbat ke liye ro rha ho , jise wo sabse jyada pyar karti ho........haa aarti.........mai bhi sahil se bahut muhbbat karti hu.....aur meri baho me sahil tumharre liye rote the.....mera dil har bar tutkar bikhar jata tha.........” Juhi bolti chali gayi............ “sahil ne tumse baut gahri muhabbat ki hai aarti.......kaun karta hai itni muhbbat .......sahil jaise shakhs pe to hazaro ladkiya mar mite............maine bhi sahil ko jee jan se chaha lekin unhone kabhi ek bar bhi muhabbat ki nazar se dekha tak nhi .............kyuki wo sirf tumse muhabbat karte the............itna sab kuchh hone ke bad bhi , kabhi unke muh se ek lafz tumhare khilaf nhi suna maine........kbahi tumhe koi dosh nhi diya unhone................wo aaj bhi sirf tumse muhabbat karte hai...........laut jao unke pas ho sake to..........” juhi ne apne dil par patthar rakh kar kaha. “nhi jjuhi ...........ab wo mujhse muhbbat nhi karte........ab hamare raste alag hai......mai kahi aur shadi kar rhi hu, apni marzi se ..........” aarti ne jabardast kosis ki apne aansuo ko control karne ki aur wo safal bhi ho gayi. Juhi ne ek taras bhari nazar us par dali.............kahi aur shadi apni marzi se............???????/uski kuchh samjh me nhi aa rha tha .....aarti ki juban kuchh kah rhi thi aur uski aankhe kuchh aur......... “mujhe samjh me nhi aa rha ki tumhe khusnaseeb samjhu, jise sahil jaisa muhbbat karne wala shkahs mila -ya badnseeb jise us muhbbat ki kadar hi nhi thi...........” “juhi, meri galti bahut badi hai.....aur mai koi safayi bhi nhi dena chahti hu........” aarti boli. “bas ek vinti hai tumse...........”aarti ne thoda sa ruk kar kaha........ Juhi kuchh nhi boli............ “ sahil tumhe pari kahte hai.....sabki wish pariyaan poori kati hai........ek meri bhi kar do........sahil ki muhabbat ban jao........sahil ko itna pyar dena ki use kabhi kisi ki yad hi na aaye,,,,,,,,,..bas yahi kahne aayi thi ........” aarti ne kaha aur turant uthakr pichhe mudakr jane lagi.......... Aarti darwaze ke pas jakar mudi.......... “ unhe bahut khus rakhna juhi.........jo pyar main na de saki tum dena.......bahut masoom hai mera sahil...apne sahil ko tumhare hatho me saup kar ja rhi hu..........kabhi use hurt mat karna........mere sahil ka khyal rakhna juhi..........” aarti ne kaha, usne chehre par kuchh nhi aane diya lekin uska dil ro rha tha.........cheekh cheekh kar. Juhi ko uska “mera sahil” kahna achcha nhi laga........shadi kisi aur se aur haq abhi bhi sahil par...... “mera sahil.......????????” na chahte huye bhi uske lafjo me tanj aa gya, “sorry, tumhara sahil ...........sirf tumhara sahil........ab kabhi nhi kahungi mera sahil........apne sahil ka khyal rakhna juhi......” aarti ne kaha aur teji se bahar nikal gayi. Juhi ko khusi nhi ho rhi thi......jane kyu use lag rha tha ki kuchh galat ho rha hai....kuchh bahut jayada galat..........kal sahil uske pas nhi tha is liye khus nhi tha, aaj sahil uske pas tha fir bhi wo khus nhi thi..........jane kyu use aisa lag rha tha ki usne sahil ko paya nhi hai.........chheen liya hai. Aarti apne gadi me baithi aur itani der se ruke aansuo ko aur na rok saki...............buri tarah se cheekh cheekh kar rone lagi..............aaj usne kya khoya tha sirf whi janti thi... Jane kaun sa mod lene wali thi ye chahato ki dastaan.........na sahil khus tha, na juhi khus thi aur na hi aarti khus thi...........kya diya tha un sabki muhabbat ne unhe ???????......sirf aur sirf aansu............. Kya fyada aisi muhabbat ka?????????????????????????? Juhi ko ek anjaane se dukh ka ahsaas ho rha tha...........aarti ke wo sabd ki “ mere sahil ka khyal rakhna” ...use bahut dukh de rhe the............ “aisa kya ho gya ki aarti kisi aur se shadi kar rhi hai..........mana ki uski ek majboori thi jab wo sahil se door huyi ...........lekin ab..........ab to sab kuchh thik ho jana chahiye............sahil to use ab bhi utna hi chahte hai.............ya ho sakta hai wo bat sunkar ab sahil ke dil me muhbaat na rhi ho..............” juhi apni hi socho ke bhawar me doobti chali ja rhi thi............... Use kuchh samjh me nhi aa rha tha................. Sham ke 6 baj chuke the aur sahil juhi ke pas wapas aa gya tha...............baba ki tabiyat kafi had tak sambhal chuki thi aur sarfaraz sahib do din bad aane wale the................... Rat ka khana khakar juhi ne baba ko dawaye di aur fir unke room me unhe pahuchakar sahil ke sath dining room me baith gayi.............. Sahil kisi gahri soch me dooba tha............dono sofe par ek sath baithe television par nazre jamaye the ......lekin sahil ka dhyan kahi aur hi tha............juhi uske bikul pas baithi thi.................usne sahil ke chehre ki or dekha........................ “kya hua sahil...............aap kuchh soch rhe ho............” juhi ne badi muhabbat se uska hath apne hatho me le liya. “aaww...haan.........wo ..............juhi usne mujhe kuchh bataya............” sahil bola. “kisne ? “ juhi janti thi fir bhi usne puchha. “aarti ne............” “kya bataya............?????.” juhi ne fir puchha. Sahil ne whi sari baten bata di.................... Juhi ko sab pta to tha hi lekin usne kuchh nhi kaha..............usne nhi bataya ki aarti aaj uske pas aayi thi......... “tumhi batao juhi......isme meri galti kaha hai............jo galti maine nhi ki uski sajaa fir mujhe kyu ???????????............4 sal ki aisi sajaa jo mere saanse tak mujhse chheen leti, agar tumhari ye meharbaan bahen mujhe tham na leti...........thank u juhi..........” sahil ne uski aankho me badi muhabbat se dekhte huye kaha............ Juhi ki samjh me nhi aa rha tha ki kaun galat hai aur kaun sahi............. “sahil kya pata koi aur bat rhi ho .......jo usne na batayi ho.............”juhi ne apne dil ki bat kah di...........ek kosis to karna banta tha aarti ke liye. Sahil khamosh rha is bar....... Sahil ne apna sar juhi ke kandhe par tika diya.................” “mai bahut thak gya hu juhi............bahut thak gya hu mai.............” usne dheere se kaha aur aankhe band kar li........... Juhi abhi bhi khamosh thi bas apne hatho se halke halke sahil ke balo me hath pherte huye sochti ja rhi thi.............. Aur thodi der bad sahil aur juhi dono apne apne kamre me neend ke aghosh me samaa gaye. “sahil ek bar kal chalenge ham aartii ke yha.......sabse puchhenge ......kya pata aur koi bat bhi ho.............” subah juhi ne chay peete huye sahil se kaha...........kitna pyara dil tha juhi ka...jis sakhs ko itana chahti thi sue bhi khone ko taiyar thi........bas isliye ki aarti ki muhbaat agar sachchi ho to fir use hi mil jaye sahil. Sahil kuchh nhi bol rha tha..........lekin uski aankho me sahmati thi. “ thik h ...jaisa tum kaho........juhi mai do din bad yha se chala jaunga........kal uncle bhi aa jayenge aur ab baba ki tabiyat bhi thik hai.......chalo aaj kuchh shopping kar lete hai.............mummy ke liye kuchh le lunga...............fir lucknow se hi gaon chala jaunga kuchh din ke liye......... jaise hi time milega..” sahil sham ko juhi ke sath baitha tha ,jab use kahi bahar jane ka mood hua aur wo bol pada. “thik h.......mai bas do minut me aati hu...............” juhi ne dheere se kaha.......sahil ke chale jane ka sunkar uska man udas ho gya........lekin wo kuchh boli nhi. Yu to aarti use bol kar gayi thi ki sahil ko wo pyar de, use apnaa banaa le........lekin juhi ki himmat nhi ho rhi thi.....jene kyu bar bar dil me aata ki kisi ko dukh pahucha rhi hai, kisi se kuchh chheen rhi hai.......aur juhi to pari thi.......usne to dena sikha tha..........fir wo kisi se kaise kuchh chheen leti. Thodi der bad juhi sahil ke sath market ko nikal gayi. Juhi aur sahil ek mall me ghoom rhe the........sahil ka dil ghar par bhi nhi lag rha th isi liye wo yha aaya tha ..........lekin ab use lag rha tha ki yha aana bhi bekar hi hai.........uska man nhi lag rha tha kahi. Sahil juhi ko lekar ek kapdo ke showroom me ghus gya aur mummy ke liye kuchh sadiya select karne laga.......... “aarti...! wo dekh sahil “ whi kuchh doori par dusre counter par aarti apni mummy aur kuchh ladkiyon ke sath baithe kuchh kapde dekh rhi thi .............jab uski ek friend ki nazar sahil par padi aur wo dheere se aarti ke kan me boli. Aarti ki nazar sahil par padi ..........khus to nhi lag rha tha sahil.........uske chehre par ek gahri udasi ka saya tha,,,,,,aarti ne apni nazre hata li uske chehre se..............aur saamne rakhe dher sare lahngo me hath pherne lagi........... “kya bhaiya, aapke pas kuchh latest ho to dikhau nhi to hum ja rhe hai.............” aarti ke sath wali ek ladki boli. “are kya bat kar rhi hai madam ...........ye green wala dekhiye.........ekdam jabardast item hai............abhi mangaya hai...........” salesman bola. Aarti ne wo wala joda uthaya aur apne sar par pallu rakh kar sabko dikhane lagi............. “wah madam ......khuda kasam bahut khubsoorat lag rhi hai aap......ekdam dulhan........” salesman is bar khusi me aakar shayad jyada hi tej bol gya..........aur thodi hi door par khade sahil aur juhi ki nazre us or uth gayi..................... Sahil juhi ko dekhta hi rah gyi...........sachmuch bahut khubsoorat lag rhi thi wo...............aur bahut khus bhi........ “Sahil , aari ” juhi ne kaha......... “hummm .............dekh rha hu...........” sahil behad udas lahje me bola. “kya kar rhe hai wo log” juhi ne ek bevkoofi wala sawal kiya. “apne shadi ki shopping kar rhi hai..........” sahil ki aankhe bhar aayi ye bolte bolte............ Juhi ne ek bar uske chehre ki or dekha.........aur dheere se uska hath apne hatho me le liya.......jabki aarti unki or nhi dekh rhi thi...............aur badal badal kar lahnge apne sar par rakh kar check kar rhi thi.............aur badi khusi khusi sabko dikha rhi thi........”kaisi lag rhi hu” “chalo juhi .........” sahil bahar ki or nikalta hua bola. Juhi kuchh samjh nhi pa rhi thi ki kya kare,,,,,,,,,, “juhi plzz...chalo yha se.........”sahil cheekhte huye bola..........sabki nazre udhar uth gai aur juhi sahil ke sath bahar nikal gayi............. Poore raste sahil ne juhi se koi bat nhi ki..........uska chehre par ek sakhti thi......... na koi dard tha , na koi aansu.......... Sahil juhi ke sath khana kha kar baith tha........dono me jyada kuchh baten nhi ho rhi thi.......... “sahil , “ juhi ne dhhhere se uska kandha hilaya.......... “umm........haaaaan..”sahil jaise kisi khwab se jag gya. “mai hamesa tumhare sath rahungi..............” juhi ke man me jane kyu yhi bat aa gyi.. Sahil kuchh nhi bola................... “juhi mai bhi hamesa tumhare sath rahunga,.....hamesa...........” sahil ne bas itana hi kaha. Juhi ki himmat nhi pad rhi thi ki aarti ki koi bat kare................aur shayad ab bat karne ko kuchh bacha bhi nhi tha............. “juhi ek vada karogi............” sahil ne kaha. “boliye........” juhi boli. “mummy papa ke bad, ek tum hi ho jise mai ab apna manta hu............tum kabhi aarti se mat milna ......mujhe achcha nhi lagega............tumhe meri kasam ............” ye kya bol diya tha sahil ne...........juhi ka muh khula ka khula rah gya........... “nahi milungi sahil....” juhi ne uske chehre ko apne dono hatho me bhar liya aur sahil uske gale lag kar rone laga............sari sakhti toot kar un aansuo me bah gayi...........uff ye muhbbat kiyna majboor kar deti hai insan ko. Dusre din sarfaraz sahib aa gaye aur sahil chala gya wapas lucknow..............apni duty par........dil ka dard ab bahut jyada badh gya tha ........dilli me aur rukta to jane kya ho jata............ Lagbhag ek hafte ho gaye the sahil ko aaye........aaj didi ka phone aaya tha.......sahil ne bujhe man se phone utha liya......... “ sahil,kaisa hai beta.......” aaj didi ki aawaz me sahil ko na jane kyu pahle wala pyar lag rha tha........aur jab bhi kuchh use pahle jaisa yad aata uski aankhe bhar aati....... “thik hu didi, aap kaisi hai............” sahil ko unki aawz bahut udas udas si lag rhi thi............ “mai bhi thik hu...........wo..wo..wo.beta...........”didi kuchh kahna chah rhi thi par kah nhi paa rhi thi....... “jee kahe...........” “beta ...wo.....aarti ki shadi ki date pad gayi hai ......to...wo......mai chahti thi ki tum aa jao...........sab jaldi jaldi me hua hai.......ladke wale simple tarike se karna chah rhe the to.....isiliye kisi ko bhi nhi bulaya............25 ko hai.......10 din rah gaye hai........” didi ne mano darte darte kaha........... Sahil ko laga kisi ne uske seene me khanjar mar diya..........”aarti ki shadi”.......meri aarti ki shadi ...... Sahil ne phone kat diiya aur farsh par gir kar rone laga............ “kya kar diya tumne aarti......?? maine kabhi nhi socha tha ki tum kisi aur ki ho kar bhi jee logi.......kya huye wo bade bade vade........kahaan gayi wo kasme........tumne to kaha thi ki tumhari doli sirf mere nam ki uthegi.......kya hua un baton ka aarti..........kya karunga mai tumhare bad..........” sahil ki sari narazagi ,aur aarti ki sari bewfayi , abhi kahi door door tak nazar nhi aa rhi thi.......... abhi to bas sahil ka dard tha jo use tadpa rha tha..........wo bachpan ki muhabbat use rula rhi thi .........aarti ka kisi aur ka ho jane ka ahsaas ,use kho dene ka ahsaas......sahil bardasht nhi kar pa rha tha............. aaj fir se wo bachcho ki tarah bilakh rha tha........ wo rota rha ..........didi ka phone bar bar aa rha tha lekin wo utha nhi rha tha......bas sisak-siasak kar roye ja rha tha............ Bahut der tak rota rha..........aur jab sambhala to ek bar fir dil par dimag hawi hota chala gya........usne apne aanssu ponchh dale.......... ”thik hai aarti mai tumhari khusi ke bich kabhi nhi aaya ,to ab bhi nhi aaunga............jaa “bewafa” khus rahna” Usne phone uthaya aur didi ko call lagaya...... “jee didi , mai jaroor aaunga...........” sahil ne bas itana hi kaha aur phone rakh diya........ whi pas me rakhe sofe par baith gya.......is se pahle wo kuchh aur soch pata bahar pahra de rhe guard ne aa kar kaha........... “sir koi madam aayi hai....bahar baithaya hai.....juhi nam bata rhi hai.............” “abe tum pagal ho kya......juhi ko bahar bithaya hai..............” sahil ek pal ko sab kuchh bhool gya...........aur daudat hua bahar nikala. Bechara guard kya jane kaun hai juhi........... “are juhi tum...........what a pleasant surprise.......ek phone nhi kar sakti thi..............” sahil ne use gale se lagate huye kaha........bahar khade gaurds ko dekh kar juhi thoda sharma gyi. Sahil ko bhi feel hua............ “aao andar chalo “ sahil fir bhi uska hath pakde use andar le aaya. “ab batao kaise aana hua........” sahil ne jabardasti ki muskurahat apne hotho par lane ki kosis ki. “aise hi .......aapki bahut yad aa rhi thi so chali aayi............aa nhi sakti hu kya mai???” juhi ne bade haq se kaha. “kaisi baten karti ho juhi........sahil ka sab kuchh tumhara hi to hai...........” sahil ne kaha. “sabkuchh?????? Soch lijiye..... fir mukar mat jayega apni bat se ” juhi ne thodi sharara t se kaha.........sahil ke chehre ka rang badal gya...........uske dil ki udasi chehre par aa gyi............. “chhodo ye baten....baba kaise hai.........” sahil ne poori koisis ki apne dard ko chhupane ki lekin juhi to uski rag rag se wakif thi.............. Tabhi sahil ka cook ,jo ki sare kam bhi karta tha ghar ke ,unke liye chay lekar aaya..........samne rakhe table par chai aur kuchh khane ki chije rakhkar wapas mud gya............. “lo chay.....ha batao na kaise ha khan baba” sahil dar rha tha ki juhi puchhegi fir se ........uski uadasi ki vajah. “thik hain.....par kabhi kabhi bahut serious ho jate hai..............aajkl abbu ghar par hai to maine socha kyu na mai hi thoda ghoom lu..............hamesa wo ghumte hai............” juhi sahil ki aankho me dekhte huye halka sa muskura kar boli. “achchha kiya chali aayi.....kal tumhe lucknow ghumata hu..........”sahil bola. “sahil ek bat batau, abhi bhi aap mujhse kuchh chhupa nhi sakte............bataiye kya bat hai........” juhi se ab bardasht nhi hua. “jab kuchh nhi chhupa pata to pooch kyu rahi ho........khud hi jan lo....” sahil ne badi berukhi se kaha.....shayad use juhi ki bat achchhi nhi lagi. “achchha sorry baba, ab bata do...........itana to mujhe pata hai ki kuchh bat jaroor hai..........aapki aankhe bata rhi hai............” juhi ne bade pyar se kaha. Sahil kuchh nhi bola.......... “plz sahil..........” juhi ne uska hath apne hatho me lete huye kaha. “uski shadi hai 25 ko, did ne mujhe bulaya hai...” sahil ne bas itna hi kaha aur chup ho gya. “wo to hame pata hi hai ki uski shadi tay ho gayi hai.................” juhi ne kaha.... Fir thodi der chup rahi, sahil bhi chup rha................ “aap abhi bhi use chahte ho na sahil.........” juhi ki aankhe bhar aayi.......... “nhiiiiiiii.............. us bewafa ko ???????........nhi juhi.......bikul nhi............maine itanaa kuchh saha........sabkuchh bardast kiya......lekin kabhi us ki muhabbat par shak nhi kiya......lekin usne meri muhabbat par shak kiya...........uske papa ne kaha aur wo man gayi...........mera bhai vahshi tha to usme mera kya kusoor tha.........ek bar mujhe bol ke to dekhti khusi khusi uski zindagi se chala jata.......... leki usne mujhe kuchh nhi kaha .....bas chuchap apna daman mere hath se chhuda liya.......aur kisi aur ki hone ka faisla kar liya..........mai ab kaha hu uski zindagi me juhi.....????....mai kabhi tha, kyuki tab use meri zaroorat thi.........ab nhi hai.......jis muhbabat par usko aitbar hi nhi rha us muhbbat ki kadar kya hogi use............” sahil bolte bolte ruk gya..........ab uski aankho me aansu nhi the.........gussaa tha, nafarat thi....... “mai jaunga uski shadi me ......jaroor jaunga......mujhe koi fark nhi padta .......” sahil ne nafarat se kaha Juhi samjh rhi thi uski nafrat ki vajah .....aur jo halat usne sahil ki dekhi thi, us sochkar use sahil ki nafart zayaj bhi lagti thi............... “nhi sahil..........aap wha nhi jaoge..............plz........” juhi ne kaha. “nhi juhi mai jaunga..........jaroor jaunga............” “kya milega aap ko wha jakar.............” juhi ne kaha. “kuchh nhi milega.......bas us bewafa ko dikhane jaunga ki mujhe koi fark nhi padta.............mar nhi jaunga mai agar wo kisi aur se shadi kar legi to................yhi batane jaunga use...........mai jaroor jaunga.............” sahil ka chehra nafart ki aag me bhabhak rha tha. “nhi sahil plzzz............aap nhi jaoge ............aapko meri kasam ...........agar juhi aapki life me kahi exist karti hai to aap plz mat jana.............plzzz .” juhi ne apne sar uske pairo par rakh diya....... “juhi ??????? ye kya kar rhi ho............” sahil ek dam sann ho gya aur uthkar sofe se khada ho gya...... Juhi ne sar uthakar bheegi aankho se uski or dekha.........juhi ki aankho me ek iltiza thi...........sahil ne use uthaakar apne seene se laga liya....... “nhi jaunga juhi..............nhi jaunga........tumne ye kya kaha.........ki agr juhi kahi exist karti h meri life me ?........... are Is juhi ki vajjah se hi to aaj mai jinda hu............pari ho tum meri......tum ek bar kah kar to dekho, tumhare liye mai jan de.........” juhi ne jaldi se apna hath uske muh par rakh diya......... “plz........akbhi aisi baten mat karna aap..........” juhi ne kaha aur fir uske seene se lag gayi. Sahil ne uske mathe ko choom liya.... “nhi jaunga juhi ...........nhi jaunga mai.” Juhi ek din ruk kar fir wapas delhi chali gayi...........lekin sahil ne wada kar diya ki wo nhi jayega aarti ki shadi me.....juhi ki kasam kaise tod deta.???? VISHAL nam tha us ladke ka..........ji se aarti ki shadi fix huyi thi.....dekhne me smart ..achchhi kad kathi..gora rang...... wo aarti ke sath ek garden me baitha tha is samay ...............doctor tha profession se. “aarti kal mujh se tumhare chhote mama sahil milne aaye the.........sab puchh rhe the ..............kya karte ho , family me kaun kaun kaun hai........papa kya karte hai.....” VISHAL ne kaha. Aarti ki dil jor se dhadak utha......uski aankhe vishal ke chehre se hat gayi..... wo dusri or dekhne lagi aur uski aankhe bhar aayi............. “ I m sorry sahil” usne apne dil me kaha aur uthkar dusre or chal di...............ek aansu palko ke por se tapak kar un hari hari ghaso me kahi gum ho gya. Dheere dheere kuchh mahine beet gaye.............. Sahil ki aarti kisi aur ki ho gayi thi ............aur sahil nafarat ki chingari apne dil me liye ek patthar banta chala gya..........jise na ab kisi ke aansu nhi pighla pate the aur na khud uski aankho me kabhi aansu aate the. Ab Wo bas nafarat karne laga tha ....bahut nafarat ....har kisi se nafarat. Sahil na kahi phone karta na kisi se bat..........bas chuchap apne farz ko nibhata chalaa ja rha tha...............sari nafarat aur sara gussa dil me liye wo safalta ki nayi bulandiya chadhta ja rha tha......apni honesty aur strictness ke liye kafi famous ho gya tha wo. Pure department ki shan banta gya sahil. Lekin is duniya se apne liye sare nata tod liye the usne ........kabhi kabhi didi ka phon aa jata ,juhi lagbhag roj phone karti thi.............rahul bhi dusre teesre din phone kar deta tha.........lekin sahil ka ab kisi se bhi bat karne ka man nhi karta..........wo khud kisi ko bhi phone nhi karta tha...........jaise duniya me use kuchh apne liye dikhta hi nhi tha............... Aarti ka phone kbhi nhi aaya ........aur sahil ise uski bewfai ka ek aur rang samjhkar us se aur jyada nafarat karne laga tha..................juhi jab bhi sahil se milti kuchh pal ke liye sahil khus ho jata ...........lekin jane kyu aaj bhi juhi ko lagata ki sahil aarti se nafarat karne ki sirf kosis karta hai.......... nafarat kar nhi pata............aaj bhi use aarti se jalan hoti thi .........wo sahil ke pas na hokar bhi , uske pas lagti thi............bhale hi sahil kabhi uska jikar nhi karta tha...bahle hi uske jikar par nafarat se muh fer leta tha. Jane kyu use lagta ki sahil ko ab bhi aarti ke laut aane ka intzar hai...........aaj bhi use sahil ki aankho me aarti ke liye dard dikhta .......kabhi wo dard uski bewafai ka lagta aur kabhi use khone ka........Juhi ne bhi soch liya thi ki wo bhi muhabbat sahil ke jaise hi karegi .......wo bhi apni muhabbat ke laut aane ka intzaar karegi......chahe ye intzar sari umar hi kyu na karna pade..........

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    13. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 18 sahiil ki mummy apne bête ke kandhe se lagi roye ja rhi thi............kitna struggle kiya tha sahil ne.......govt school me padhan........na koi coaching na tution .........aur fir kheto me bhi papa ke sath hath batana..........kitne hi bar aisa hua tha ki sahil apne school ki fees khud deta.............bachcho ko padhata..........sari umar uske papa apne bhai bahno ko karte rahe aur jab sab ki condition thik ho gaye to sabne unhe chhoda diya.............jo kuchh bhi bacha tha dheeraj ki padhai me lag gya.........sahil sabse chhota tha lekin kabhi koi sukh nhi mil paya use..............na bachpan me na jawani me................ab tak to nhi.,.. “mai tere liye kuchh nhi kar payi mere laal..........mujhe maaf karna beta.........” sahil ki mummy ko aaj apni garibi pe rona aa rha tha.........apne itane kabil bête ke liye kuchh nhi kar payi..........lekin fir bhi wo beta aaj duniya jeetakr apni maa ke kadmo me dal chukka tha...........usne wo kar dikhaya tha jo aas pas ke 50 gaon me kisi ne aaj tak nhi kiya tha...............aur fir apne maa ke gahne chhuda laya tha.................jiski umeed unhone khud bhi chhod di thi......... “aise mat bole mummy....................aaj mai jo bhi kar paya aap ke aasshirwad se hi kar paya...........kya mujhe nhi pata hai wo halat.,.........mujhe sab yad hai mummy ......aapki kurbani.........papa ki kurbani.................mai kaise bhool sakta hu ...........apno ke liye to sab karte hai .............aapne to dusro ke liye kiya hai............aur dekhiye aaj aapki kurbani rang layi hai...........bas ab kabhi mat royiyega.........kabhi bhi nhi...........” sahil jo khud bhi ro rha tha ...apni maa ko chup kara rha tha.............. “mera bachchaaa....mera laal........” ek maa ki mamta aaj mano phoot padi thi............aaj unhe unka whi 5 sal ka sahil yad aa rha tha jo unki god me baithkar unke aansu ponchhte huye kahata tha.... “maa mat rowo mujhe doodh nhi chahiye ...........bhookh nhi lagi hai mujhe.............” Sahil ki mummy ne un gahno ki taraf ek bar fir se dekha aur fir se rone lagi.................kais ek ek karke sabkuchh jata rha...........lekin aaj sabkuchh laut aaya tha..........sabkuchh. “plz........chup ho jao ab.............. .abhi abhi wo aaya hai...........” sahil ke papa ne aage badhkar sahil ke mummy ke kandhe par hath rakha aur unhe samjhate huye bole............... Sahil bhi maa se alag hua...........aur ek bar juhi ki or dekha ............uski aankhe bhi aansuo se bhari huyi thi.............sahil ne apne aansu ponchhe aur juhi ko bhi ishare me na rone ke liye kaha................. Sham ho rhi thi lekin garmi hone ke vajah se abhi bhi kafi dhoop thi............din ke 5 baj chuke the aur RENU bhi college se wapas a chuki thi ..........sahil ko dekhakr uske gale se lag gayi................... Sab bhai bahno me sabse jyada pyar renu aur sahil me hi tha.............renu use se thodi badi to thi lekin hukm hamesa sahil ka hi chalta tha.........aur wo hi bada banta rahta ............renu ye samjhti thi aur use achchha bhi lagta tha............ “kaisa h mera bhai...........ab to collector ban gya hai...........” renu ne uske bal bigadte huye kaha......sahil aur renu baramde me baithe the,............ek hi charpayi par............renu college se aate hi uske pas hi rook gayi.........baki sab log andar the................juhi washroom me naha rhi thi............ “thik hu meri bahanaaaa......... .ha collector to ban gya tera bhai.........tu bata kaisi hai.........” “ thik hu.......aur jis din se tere result ki news suni hai us din se to kuchh jyyada hi achchhi hu....pata hai pure gaon me charche hai.......aur college me bhi...........tu to star ban gya mere hero............” renu bahut khus thi ......... Sahil bas muskura kar rah gya.........tabhi parda hatakar andar se juhi bahar aa gyi............. Dhuli-dhuli si, khili khili si...........chhuyi -muyi si , pyari si juhi........badi-badi neeli aankhe, kale lambe bal ...............makhan me chutki bhar sindur mila hua gora sa rang, aur sabse khoobsoorat ---uske lala-lal pyare phadkte se hoth............kisi pari ki jaise khoobsoorat..........yelow colour ke cotton ke suit m wo husn ki mallika kisi ko bhi pagal kar dene ki had tak khoobsoorat lag rhi thi..........RENU ek pal ko use dekhti hi rah gayi jabki renu khud bhi bahut khoobsurat thi............... “sahilllllllllllllllll !!!!!!!!!! ...tune shadi kar li........bina bataye?????????.........lekni yar bhabhi hain badi khoobsoorat.........” RENU bade hairat ka ijahar karte huye boli,,,ab ye to whi jane ki sachmuch hairan thi ya bas nautanki kar rhi thi........... JUHI ne nazre juhka li sharm ke mare aur wapas andar bahg gayi........sharm se uske gal lal ho gaye..........the .....kitna achcha lagaa tha use wo sabd...” BHABHI” Sahil ne renu ke kan pakad liye ... ”renu ki bachchi ...........tujhe to mai abhi thik karta hu.......wo dost hai meri........tu kuchh bhi bolne se pahle kabhi sochati bhi hai..........kya soch rhi hogi wo................hainnnnnnnnnn” sahil ne dheere se uske kan kheenche....... “mummy........aah........achcha sorry............plz yar chhod na..........mummy dekh lo isko...........” renu jor jor se aawaze lagane lagi ........mummy andar se bahar aa gyi............sath me papa bhi........ “ye dekho in dono ka.........aate hi suru ho gaye............sahil chhod use...bade ho gaye ho ab tum dono........aur tune hi kuchh kiya hoga....” unhone renu ko kaha........... mummy ko itane dino bad apne bachcho ka pyar dekhkar bahut khusi ho rhi thi aur ek ghudki dono ko de dali. Sahil ne renu ko chhod diya......renu uthi aur mummy ke pichhe jakar khadi ho gayi.......... “kya kiya hai tune .......” mummy ne muskurate huye kaha,.......... “maine kuchh nhi kiya........basssss...yhi kaha ki.......” renu ek pal ko rook gayi aur papa ki or dekha... “bol ,kya kaha........”maa ne fir se kaha. “kiii..ki......bhabhi to bahut khoobsoorat laya hai mera bhai........batao kya galat kaha.........” renu ne mummy ke pichh se thoda sa nikalte huye kaha........... “mummy .....dekh loo ise....... bas dost hai wo meri.....” sahil bola......... “are koi bat nhi bhai....abhi bhabhi nhi bani hain to kya..... ban jayengi ........mai hu na ........tu tension mat le..........” renu to aaj pure mood me thi use tang karne ke............ Papa dheere se muskura diye aur mummy muh par hath rakhkar hasne lagi......... “ chudail.......mummy dekh lo ise............rook ja tu.............aaj gayi tu mere hatho se.......”sahil ne jab kahi se madad ki umeed nhi dekhi to juhi ki or lapaka................aur wo titali ki tarah udate huye dusre darwaje se andar bhag gayi.......sahil wahi bahar rook gaya...........usne pichhe mudakar dekha......... Mummy papa dono usi ki or dekh rhe the...........aur halke se muskuara bhi rhe the...........sahil bahut confuse ho rha tha bechara............ “kyaaaaaaaaaaaa huaaa???? ” usne hath uthakr puchhte huye kaha..... “beta.......vaise juhi mujhe bhi bahut pasand hai..........tu kahe to....... ” mummy ne kaha. “ mummy, wo bas dost hai meriiiiiiiiii...........kabhi gaon nhi gayi thi bas ghumne aayi hai mere sath...........aap sab pagal kar doge mujhe ............mai ja rha hu bahar ghumne ...........” sahil bolta hua bahar nikal gaya........ Parde ke pichhe kahdi juhi sari baten sun rhi thi aur pyar se muskura bhi rhi thi............ek umeed ki kiran uske man me jal rhi thi..........sahil ka pariwar use bahut achcha laga tha....................use lag hi nhi raha tha ki wo bas kuchh ghante pahle hi aayi hai wha...............wo garib the lekin dilo me pyar bahut tha.....apnapan bahut tha............wo sab bahut tha unke pas jo juhi ko kam mila tha............. Sahil ki aakhiri bat par use thoda sa dukh hua........... “sahil, aapke sath sirf goomne to nhi aayi hu.....aapke sath ke liye aayi hu....aapke pas rahne ke liye aayi hu...............kab samjhoge aap mere dil ki bat......kab meri nigaho ki chahat aapki nigahe padh payengi............kahi bahut der na ho jaye sahil...plzzzzzzzzzzzzz.” juhi apne aap se bol rhi thi .......... Ab yhi dekhna tha ki juhi ka payr sahil kab pahchanta hai ya fir shayad kabhi nhi............ Sham hote hote sahil ke ghar par badhai dene walo ka taanta lag gya tha.............gaon ke sarpanch se lekar Tahsildar aur Thanedar tak sare log aaye the.........sahil ke papa ka seena garv se chauda ho gya ........”har maa baap ko aisi aulad mile” har bar unke dil se yahi dua nikalti apne bête ke liye.............. Juhi ko sahil ke ghar aaye teen din ho gaye the...........aur use pata bhi nhi chala kab wo teen din beet gye ....roj kam se kam do bar baba ya abbu me se kisi na kisi ka phone jaroora aa jata.............ek do bar ghar ke aur logo se bhi baten ki unhone............juhi ko ek bhara poora pariwar mil gya tha...............aur uske man me ek hi khyal aata .............kashhh ye ghar hamesa ke liye mera ghar ho jaye......................kashhhhhhh. Har Roj ek nayi masti hoti....sahil kabhi kabhi udas dikhta tha........lekin ghar par aakar uski udasi thodi kam jaroora ho gyi thi............... “hello sahil...RAHUL bol rha hu.................kaisa hai........” rahul ka phone aaya tha...... “mast hu yar tu kaisa hai......” “mi bhi thik hu..ghar par pahuch gya tu..........” “Haa yar.......aur tu ???????.......” sahil ne puchha “mai bhi....achchha sun...allahabad aa na....purani yaden taja karenge .........sath ghumenege...........” “nhi is bar tu aa.....sale mai kitni bar aaya hu tere ghar...... tu kabhi nhi aata...........?” sahil ne shikawa kiya..... “thik h meri jaaan.......mai hi aata hu.........adress bhej de............abhi niklata hu...........” rahul ne turant kaha. Ok......chal aaram se aana........” sahil ne kaha aur rahul ko msg kar diya......... “Kaun aa rha hai sahil..........” renu ,jo abhi abhi bahar aayi thi keval itana hi sun payi ki koi aa rha hai....... “rahul..............jab tu Allahabad gayi thi to us se mili thi na...........jisne tera admission karwaya tha........whi...” “ohh....haan......” Renu ne kaha aur andar chali gayi..........juhi bhi whi thi ..........usne renu ko andar jate dekha.........jane kyo use laga ki renu ke chehre par ek sharmli si muskurahat aa gyi......... Aur wade ke mutabik sham tak RAHUL sahil ke ghar par pahuch chukka tha.........jane kyu bar bar juhi ko lagataa ki RENU ki aankhe use hi dhundati aur uske samne jakar thoda sa sharmati bhi thi .....lekin juhi jyada dhyan nhi deti..........RAHUL bhi kayi bar isi kosis me rahta ki akele me renu se mulakat ho....pata nhi juhi ka bharam tha ya sach........... ghar ke sab log , wo dono dost aur pyari si juhi........poora mahol ban gya tha...........juhi kabhi is tarah ke mahol me rahi nhi thi .....lekin use ye bhara poora pariwar bahut hi achcha lag rha tha ..........kab din hota aur kab rat kuchh pata nahi chalta............gaon me sabko pta tha ki wo bhi IAS hi hai..........gaon wale bhi bahut ijjat karte..........aur kahi kahi gaon ke ladke peeth pichhe uski khoobsoorati ke kaseede bhi padhte............jiski aawaz jane anjane us tak ek do bar pahuch hi jati...........lekin itani kisi ki himmat nhi thi ki samne se comment kar de............... Juhi ko hasi aa jati unki baten sun kar aur thoda sa achchaa bhi lagta.......... Sham ko khana banta to juhi bhi whi rahti ......mummy aur renu ke sath kuchh kuchh karti rahti ........unke lakh mana karne ke bad bhi........usne to kabhi ye sab dekha hi nhi tha.........ghar par bas naukaro ka sath rha tha.....ya phir ek budhe baba ka...........juhi ko mano zindagi mil gayi thi....hasti khilkhilati, renu se chhed chhad karti.........renu se kafi achhi dosti ho gayi thi.............juhi bhi shararte karna sikh gayi thi....................renu se ladti jhagdti aur mummy se apne laad uthawati ...........bas jab bhi akele me sahil se samna ho jata to aankho me ek sharm si aa jati......aur wo khoobsoorat ghaneri palke jhuk jati aur wo narm njuk se lab laraj jate. Sahil ka ghar purane jamane ka tha....... to ghar me bich me ek bada sa aangan tha jo ki khula hi tha........sab log sham ko ek sath udhar hi baithte...... Aaj ghar par bhutta ( maize or corn) laye the papa aur sahil aur RAHUL dono use bhoon rhe tha......jabki pados me ek shadi hone ki vajah se juhi aur renu apne hatho me mehandi lagaye baithi thi........... Mummy juhi ke balo me tel laga rhi thi..........juhi bade pyar se sahil ko dekh rhi thi.........IAS officer ban jane ke bad bhi sahil me bachcho jaisi masoomiyat thi,,,koi aatitude nhi tha uske andar .........sada sa , sachcha sa...... Thodi der bad sab log bhutte kha rhe the......... Mummy andar baithe apne hatho se juhi ko bhutte bade pyar se khila rhi thi renu bhi whi thi...............Juhi unki aankho me dekhne lagi aur uski aankhe bhar aayi................. “kya hua beta........” mummy ne bade pyar se uske sar par hath pherte huye puchha....... ”ghar ki yad aa rhi hai kya” “nhi aunty...................” juhi ka gala bhar aaya.... “fir kya hua mere bachche ko..........” “Aunty mujhe ammi nhi yad hai........jab me bahut chhoti thi tabhi khuda ko pyari ho gayi......lekin lagta hai aapke jaisi hi rahi hongi.........” juhi ne kaha aur unke god me sar rakh diya......... “tu meri beti hi to hai.......sabse chhoti beti...........udas nhi hote beta.....mai hu na........tera jab bhi man kare tu chale aana mere pas............ “ Juhi ne god me sar rakhe rakhe hi aankhe band kar li......... “jee aunty mai jaroor aaungi.,” “mummy kitna achchha hota na agr juhi aur sahil ki shadi ho jati.............phir juhi kabhi yha se nhi jati.............” renu ki suyi abhi tak whi ataki thi.........aur shayad use juhi bahut achchhi bhi lagi thi.....kise achchhi na lagti juhi .........wo thi hi itani pyari.......... “haa...beta ....lekin sab kuchh jo ham sochate hai wo kaha hota hai.......”mummy ne kuchh sochate huye kaha,. Juhi ka dil jor se dhadka......uske man me aaya ki abhi kah de ki haa.......mujhe yhi rok lijiye..... ..mujhe nhi jana......lekin wo kah na saki.......... Sham ko shadi me juhi aur renu bad me pahuche .........sahil aur rahul pahle hi ja chuke the........... Aaj juhi ne lahnga pahna tha.....aur renu ne bhi...........aaj juhi pure dil se taiyar huyi thi....apne mahbbob ke liye.......... Aaj wo kisi apsara se kam nhi lag rhi thi........kano me gol gol se jhumke, hotho pe halki si lipstic aur gale me ek patli si chain..............green colour ke lahnge me uska kamsin husn kitno ki aankho ko chaka chaundh kar gya tha......kitno ke hi dil par bijriyaan girii thi.................lekin wo sitamgar nhi dikha tha jiske liye usne ye shingar kiya tha........poori sadi me juhi ki aankhe bas sahil ko dhoondh rhi thi........... Aur fir jab wo dikha......phone par kisi se baten karta hua......to juhi ka dil hatho se jata lgaa use .......sahil bhi bikul shahzada lag rha tha........... Green colour ke three piece suit me wo mukkammal mardanagi ka malik lag rha tha............juhi ko sachmuch bahut pyar aa rha tha aur chalta hua sahil uske pas hi aa gya........ sahil ko aate dekh renu whi thodi door par khadi apni saheliyo ki or badh gayii..........shayd juhi aur sahil ko tanhayi ka mauka dene ke liye....... “achchhi lag rhi ho “ sahil ne bade pyar se kaha.....juhi ke dil me jaise guitar baj utha..........par use abhi thoda chhedana tha.......... “bas achchhi.........” usne muh banate huye kaha.... “bahut achchhi..............” sahil ne kaha. “ kya sahil.....aapko to tarif karne bhi nhi aata” juhi ne tunak kar kaha... “achcha ..........phir kaise karte hai tarif............”sahil ne muskurate huye puchha. Juhi ka dil dhakk se rah gya.........kitna payar lagta tha sahil muskurata hua.........wo apne socho ke bhawar me doobi use dekhe ja rhi thi......tabhi.... “mai batata hu tariff kaise karte hai........”ye rahul bhi galat waqt par pahuch gya tha.......... “to juhi jee.........aap itani khoobsoorat lag rhi hai..............” “Nhi nhi plz.......wo to mai aise hi bol rhi thi............” juhi ne sharmate huye jaldi se kaha......... “bhai tu hi tariff kar...............inko hamari tarif karna pasand nhi...ye to tum uh se hi sun na chahti hai............” rahul ne kaha aur muskurate huye udhar chal diya jidhr renu khadi thi..........balaa ki khoobsoorat lag rhi thi wo bhi........ Sahil aur juhi chupchap khade the...........juhi sahil ko dekh rhi thi aur sahil idhar udhar............. Thodi der me stage par programme suru ho gya.........dulha dulhan stage par baithe the...................juhi aur sahil dono ki hi aankho me ek sapna tha........... Juhi ki aankho me wo stage tha ......... dulha bana hua sahil tha aur dulhan bani wo khud thi..........lekin sahil ke sapno ki dulhan juhi nhi thi..........aaj bhi uski dulhan to shayd wo “ bewafa “ hi thi....... sahil ne stage ki or dekhte dekhte apne aankho me bhar aaye aansuo ko saf kiya aur dusri or chal diya.......juhi whi khadi ki khadi rah gayi.........sahil ki aankho ke aansu us se bahut kuchh kah gaye the......... “Kaise kar sakte ho aap itna pyar us se jisne aapko jeene layak bhi nhi chhoda.......kaise sahil...........kaise hoti hai itani shiddat is muhabbat me sahil?????............mai bhi aapse aisi hi muhabbat karoongi sahil ..........aapse hi to sikha hai muhabbta karna....... ” Aur juhi ki aankhe bhi bhar aayi.........ab uske samne na shadi ka stage tha na dulha aur na dulhan.......na koi sapna......sooni sooni viran aankhe...... Kuchh der bad ek bar fir renu juhi ko jabardasti khane ke stall par khich layi....sab log whi the........mummy ,papa, sahil ,rahul.....aur gaon ki kuchh aauraten jo sahil ki mummy ko ghere unse kuchh kuchh bol rhi thi...........aakhir ab unka beta IAS tha........... “ye renu ke sath kaun hai sahil ki mummy??????” ek ne kaha. “ lagta hai beta bahu bhi pasand kar laya hai..........waise hai bahut khoobsorat.....bikul chand ka tukada......” doosari boli....... “ bahut achchhi jodi hai dono ki....” teesri boli “are nhi.........wo to sath me hi padhte the aur bas ye gaon ghoomna chahti thi..........waise hai bikul mere beti jaisi hi.........” mummy ne bade pyar se uske sar par hath rakh diya........... Juhi ko ab ye baten dukh de rahi thi........uski aankho ke sapne toot rahe the aur wo toote huye sapne aankho me chubhane lage the ..................usne jaldi se kuchh kuchh khaya aur wapas aa gayi......... (“mai kya karu sahil......... kya karu mai..........aapke siwa mujhe kuchh nhi soojhta.........aapke ishq me diwani huyi jaa rhi hu......dil us chaand ki khwahish karne lagaa hai jo mera nhi hai ........kya karu mai..........kaise aapko batau........kaise sahil ......kaise.....” juhi darwaza band karke bilakh rhi thi aur sahil bahar khadaa sun rha tha........uska dil bhi tadap rha tha.) Juhi apne dil ki bat sahil ko bol nhi paa rhi thi.........shayad iski vajah yhi thi ki use pata tha ki jawab kya hoga.........use sahil ki aankho me aaj bhi aarti ka aks naza aata tha........Aaj bhi muhbbat ki bat par sahil tadap uthata tha.........jab tak juhi ijahar na kar rhi thi tab tak kam se kam ek bharam to tha na ki shayad sahil use haa kah de, shayad sahil kabhi laut aaye, shayd sahil ko kabhi uski muhbbat ka bhi ahsaas ho jaye..................lekin agar wo bharam bhi toot jaye to........fir to shayad ye sanso ki dor bhi toot jati.......... “Aur fir ham kuchh dino bad gaon se wapas aa gaye aur fir sahil chale gaye.............apni training par.....aur mai apni training par ..” - Aarti ko batate batate juhi ka gala bhar aaya aur uski aankho se aansu bahne lage................ “Tumne sahil ko bataya nhi ki tum us se muhabbat karti ho........” Aarti ne puchha. “sahil ko shayad pata tha......... jab hum gaon se wapas aaye to aane ke teen din bad sahil apni training par jane wale the.........maine soch liya tha ki ek bar jaroor bolungi, ek bar jaroor kosis karoongi..sahil ko jane nhi doongi khud se door....... lekin jis sham ko maine bolne ka socha tha usi sham ko sahil ne mujhe ek letter diya.......” juhi jaise sapne ki duniya me thi.........wo bolti rahi aur apne purse se nikal kar ek kagaz ka tukda aarti ki or badha diya............... “us din se lekar aaj tak mai is kagaz ke tukde ko apne seene se lagaye baithi hu.........ek jhooti umeed ki aas me ...........aapse kya chhupana lijiye..........yhi meri muhabbat ki kul jama punji hai.aur kuchh nhi aaya mere hath........” aarti ne wo letter le liya aur padhne lagi....... “PYARI JUHI, Dil me bahut si baten hai jo kahna chahta hu...........lekin jab bahut kuchh kahne ko ho to aksar juban sath nhi deti........isiliye is kagaj ke tukde ka sahara lena pad rha hai........maf karna...... Bachpan me kahniya suna karta tha...........pariyo ki ,rajao ki, rajkumaro ki........achcha lagta tha...........in kahniyo me sapne hote the..........kuchh adhoore adhoore, kuchh poore..........aur kuchh aise jinhe poore Karen ke liye koi farishta aata .......koi pari aati..........aur wo sapne poore ho jate.........kisi ke sapne ka rajkumar use mil jata,kisi ko rajkumari aur kisi ke man ki murad poori ho jati............... Mai bhi inhi sapno ki duniya me jeene laga............maine bhi sapne dekhe aur mere sapne me bhi rajkuamri thi.........mere sapno ki rajkumari.........kuchh pane ka bhi sapna tha........jaise jaise bada hota gya ye sab jhooth lagne laga....lekin sapne abhi bhi bade nhi huye shayad aur abhi bhi sachche lagte............meri rajkumari mujhe miilti,mujhse baten karti mujhe pyar karti..............aur mai khus ho jata......bahut jyada khus........ kabhi kisi aur ki jaroorat mahssos hi nhi hoti...........uske sath hasta ,rota. Roothat,use manata.......mera sabkuchh thi meri rajkumari. Lekin fir wo rooth gayi.........meri rajkumari mujhse rooth gayi..........mai rota raha ....use rokataa raha............apni khata puchhataa raha.............us se mafi mangta raha............lekin wo chali gayi..............aur mai mano sapne se jag gaya..........aur jab sapne se jaga to meri hatheli bikul khali thi.........kuchh nhi tha mere pass..........na koi rajkumari thi ..........naman me koi murad thi.........aur na koi mera apnaa tha mere pas ...........meri zindagi me kuchh nhi bach tha .........bachi thi to bas ek kali rat........bahut lambi rat.........aur un toote huye sapno ke chand tukde........jo meri aankho me us rajkumari ki yad bankar chubhate the............mai rota tha us kali rat me.........aur mujhe apne aansuo ko bahane ke liye ek kandhe ka sahar tak nhi milta tha .............pahle mujhe sapne jhoote lagte the ab mujhe duniya jhoothi lagti thi.............lekin jane kyu kabhi wo rajkumari jhoothi nhi lagi.......jane kyu...........????? kabhi bhi nhi. Mere man me bas yhi aata ki zindagi ki ye saja aur kitani lambi hai.........kab mai is duniya ke mele se niklunga.........mai ek tinke ki tarah se hi tootne laga......bikharne laga........maut ki duayen maangne laga......... Lekin fir meri kahani me bhi ek Pari aayi..........sabke sapne me aati thi meri zindagi me aayi...........shayad us se mera dard dekha nhi gya tabhi jannat se utar kar mere pas chali aayi............... Usne mujhe ek bar fir se samet liya..........mai reza-reza bikhra tha usne ek katra-katra mujhe sameta.......... Mere sapne me naye rang bharne lagi aur mujhe apni baho ka sahara de diya..........mai jab bhi tootne wala hota wo mujhe apne seene se laga leti.......aur mai rota ........bahut rota ..........lekin usne mere aansuo ko pee liya.........mere hisse ke gham usne apne seene se laga liye..............us pari ne mujhe fir se jinda kar diya.........aur meri murad mujhe de di............usne sirf mujhe diyaa.......kabhi mujhse kuchh liya nhi........aur mai bhala use kya de pata........wo to thi hi pari,jisne is dharti par kadam hi bas dene ke liye rakha tha.......... Juhi, muhabbat ke bahut se rang hote hai......bahut se roop hote hai.......aur jo sabse gahra rang hota hai wo IBADAT hota hai..............mai bhi us pari ki ibadat karta hu.........jee chahta hai uske kadmo me apna sar rakh du aur sari zindagi aise hi bita du..........lekin juhi kya ye sahi hoga,...........?????????? Meri rajkumari ne mujhe dhokha diya...........lekin ye dil aaj bhi usi ki yad me dhadkta hai.......aaj bhi dil ke har tukde me uski ek tasweer hai.........fir mai kaise us pari ke kadmo ki dhool banu........kya mai apni pari ko dhokha du juhi........kya mai ye paap karu............ ?????? Meri pari tum ho juhi.........tum hi ho mere sapno ko poora karne wali wo pari.........Mujhse ye paap nhi hoga juhi........mujhse ye paap mat karne ko kahna. Agar tum ye jaan maang lo to tumhari kasam ek pal me tumhare kadmo me rakh dunga.........lekin is dil ka kya karu jo aaj bhi use yad karta hai...................kya karu juhi tumhi batao???. MAI shayd is layak nhi hu ki tumhare pairo ki dhool bhi ban saku...............tumhara mukam bahut unchaa hai meri nazro me...........us khuda se bhi uncha..........fir mai tumhare bare me kabhi koi paap kaise sochu ..............aur ye paap hoaga aagr mai tumhe apne dil ki sachchai nhi batau to. Juhi wo meri pahli muhbbat hai......mai use bhool nhi pata..........kya karu in aankho ko aur kuchh dikhta hi nhi......... lekin tum meri devi ho jiski mai zindagi bhar apne man mandir me rakhkar pooja karunga.......jiski ibadat karunga. Juhi mujhe poora bharosa hai ki jab bhi jindagi me ladkhaunga ye meharban bahe mujhe tham lengi...........aur ise bahrose ke dam par aaj ye sachchayi byaan kar rha hu.........kyuki mujhe pata hai ki meri pari mere jism ke har hisse ki aawaz sunti hai , samjhti hai ........ to fir wo jaroor meri rooh ki is aawaj ko samjhegi. Mai janta hu ki jo mai tumse maang rha hu wo bahut jyada hai.........aur uske badle me mai tumhe kuchh nhi de rha..........lekin juhi mai kya de sakta hu tumhe.......dil apna raha nhi..........ek jaan hai, jab chahe maang lena. ---TUMHARA BADNASEEB SAHIL. Letter khatm ho chukka tha aur aarti ke chehre par chattano si sakhti thi............ “Sahil se bat hoti hai......?” aarti ne juhi se puchha... “ha kabhi kabhi.....lekin idhar bahut lamba time ho gya...............kayi bar phone kiya lekin unhone ne nahi uthaya...sahyad nayi nayi posting hai to time nhi milta hoga.............” juhi ne dheere se kaha. Aarti ko samjh me aa gya ki juhi ko sahil ke accident ki bat nhi pata hai.......... “juhi meri shadi tay ho gayi thi aur sahil ko pata chala to.........” aarti ne dheeme se kaha....... “to kya........bolo.” juhi ka dil dhakk se rah gya....... “to sahil ne shayad ......shayad suicide attempt ...................” aarti ki bat adhoori rah gayi........juhi ka jordar thappad uske galo ko lal kar gya............ . “you bitch !!!!! ............kaisa hai mera sahil .......agar mere sahil ko kuchh ho gya to mai jan le lungi teri...........mujhe pata tha teri muhabbat mere sahil ko chheen legi......are kuchh to taras khaya hota us devta par jisne tujh jaisi bewafa se itani muhbbat ki............” juhi ne zindagi me pahli bar kisi par hath uthaya tha aur fir farsh par gir kar jo jor se rone lagi.......... “kaha hai mera sahil ............kaha hai mera sahill ........mujhe abhi jana hai unke paas..................sahil kaha ho aap............plz aisa nhi karna jaan.........apni pari ko chhodakr nhi jana...mai kaise jyungi sahil,....plz..........” juhi boori tarah se ro rhi thi lekin aarti ki aankh se ek aansu tak na nikla........... “wo thik hai.............biikul thik ..........ye bahut purani bat hai ........ab wo bulkul thik hai......” aarti ne use samjhana chaha. “kamini hath mat lagana mujhe......chali ja yha se.........chali ja nhi to mai tumhe shoot kar dungi.......get out..............” juhi garzati huyi boli.........aur usne daraz me se pistol nikal li...........aarti chupchap mudi aur darwaze ki or badh gayi............ Darwaze ke pas pahuch kar mudi............... “juhi dua karoongi ki tumhe tumhari muhbbat mil jaye” aarti ne kaha. “aur mai dua karoongi ki tu muhabbat ki ek boond ke liye tarase............kabhi pyar ka ek katraa naseeb na ho tujhe” juhi ne rote huye behad nafart se kaha........aarti ki aankh se pahli bar ek aansu tapaka aur wo bahar nikal gayi. Juhi usi tarah se bilakh bilakh kar ro rhi thi............ usne apna phone nikala aur number dial karne lagi. Muhbbat ka takraw ho gya tha...........pata nhi ek aur muhbbat se ya fir ek bewafa se..... Juhi buri tarah se bilakh rhi thi..............usne rahul ka number milaya aur sahil ka address liya.....Rahul ne bhi use bataya ki sahil bikul thik hai............juhi ke dil ko kuchh sukoon to mila lekin ab bina sahil se mile us se raha nhi ja rha tha .............wo bhi tab jab ki sahil whi delhi me hi tha...........sahil to abhi bhi aarti ke ghar par hi tha.......rahul ne use aarti ke ghar ka address de diya.................. “Aarti,mai to tumse badi muhabbat se mili..........apne andar ke gusse ko peekar mili tumse........keval ek aas me ............badi chah thi tumse milne ki............ek bar dekhna chahti thi ki kaun hai wo ladki jiski muhbbat me sahil jaisa mukamal sakhs itna toot gyaa..........socha tha kuchh to tum me bat hogi jo sahil is kadar deewane hai tumhara.........lekin juhi tum to nafarat ke layak bhi nhi ho..............muhbbat to bahut badi bat hai..........i hate u..........duniya me sabse jyada nafarat karti hu mai tumse................ ” juhi gadi me baithi thi .....driver gadi chala rha tha aur juhi apne man me aarti ko kose jaa rhi thi.................wo apne sahil se milne ja rhi thi................ Idhar aarti juhi ke office se nikli.............chuchap gadi me baithi aur driving karne lagi..........kuchh door aakr usne gadi roki .............aur foot foot kar rone lagi. “juhi mai itani buri nhi hu...................mai majboor thi................” uska hath apne galo par pahuch gya jaha abhi bhi juhi ke thappad ki lali thi............ Aarti aage ko jhuki huyi ro rhi thi. Aarti bahut der tak roti rahi...............aur fir apne aansu pochhe....ghar par phone karke mummy ko kuchh bola aur chuchap ghar ki or chal padi............... Juhi aarti ke ghar pahuchi.........uski mummy ne darwaza khola.......... “namste ....mera nam juhi hai.......sahil se milna hai........” “jee namste,mai sahil ki didi......aaiye.........” didi ne kaha........juhi ke man me bahut nafarat thi in sab logo ke liye.........BHAI , behan aur muhabbat ...........sabne uske sahil ko akela chhod diya tha..wo bhi tab jab wo har raha tha.....jab use apno ki sabse jyada jaroorat thi. .............juhi ne jyada kuchh kaha nhi aur chuchap andar aa gyi............agar aaj sahil yha na hota to wo kabhi yha na aati.........in sab logo ki shakl se nafart si ho gyi thi use........ “aap baithe mai kuchh thanda - garam lati hu.........sahil ko abhi bula deti hu............”didi kahti huyi mudi hi thi ki juhi boli........... “jee koi jaroorat nhi hai...........mai bas sahil se milne aayi hu.........aur vaise bhi mujhe koi shauk nhi h gairo ke ghar...........” juhi ne bahut control kar liya apne gusse par......... Didi chup rahi...........kuchh jaise bolne ko tha nhi unke pas.............. “kaha hai sahil ,,,mai unke kamre me hi jakar mil leti hu...............” juhi ne kaha. “Third floor par hai room aaye aap mai le chalti..............”ek bar fir se didi ki bat adhoori rah gayi........... “jee koi jaroorat nhi hai.........m chali jaungi...............” juhi boli aur seedhiyo se chadhte huye upar chali gayi... Didi ko bahut beijjati mahsoos ho rhi thi.............lekin wo kuchh nhi boli.........bas aanchal se apne aankh me aaye ek aansu ko ponchhane lagi.....................aarti darwaze par khadi sabkuchh sun chuki thi................wo aage badhi aur apni maa ke gale se lag gayi.............. “I m sorry mummy....meri vajah se aapko itani insult sahni padi ......sabkuchh sun na pad rha hai.............mai bahut buri hu na mummy,,” aarti maa ke gale lage lage rone lagi....... “nhi meri bachchi............tu to jan hai meri................aisa mat bol..........” mummy ne pyar se uska matha chhom liya. “sahil” juhi ki koyal se aawaz sahil ke kano me padi...........sahil jo ki abhi abhi leta tha bistar par juhi ko dekhakr behad khus hua............ “juhi.......tum........what a pleasant surprise.........” sahil ne uthkar use gale se laga liya............juhi jor se us se chipak gayi............lagbhag ek sal bad mil rhe the wo ekdusre se..............juhi ke dil ko jaise sukoon aa gya ............. Aur fir wo alag hokar ek sath baith gaye bed par............... “aapka accident hua tha..........hai na......aur mujhe batana jaroori nhi samjha aapne..........haan kyu batayenge........., mai kaun hoti hu.........juhi to koi hai hi nhi na aapki.............” lakh jabt karne ke bad bhi juhi ki aankhe dabdabaa gayi............. “nhi juhi..........ye kaise soch liya tumne......tumhi to ek ho jise maine kabhi batane ki jaroorat nhi samjhi ki tum meri kya ho...........juhi soory yar...............maf kar do.......plz........” sahil ne uska hath apne hath me le liya......... “rahne dijiye.....aapko kya pata kya beeti hai mere dil par ye sunkar.......aap to bas................” “juhi ...tumhe kaise pata chala.......” sahil ko samjh me nhi aaya. “kaise bhi pata chale.............aapko kya.............”juhi thodi naraz naraz si bahut pyari lag rhi thi............. “sorry bola na yar......manta hu bahut badi galti ho gyi..........ab maf kar do ...... plz batao na .........kaise pata chalaa tumhe..............” sahil bola. “aaj aarti aayi thi mujhse milne.............”juhi ne dhamaaka kiya. “what? Uff ye ladki......kuchh kaha to nhi na usne tumhe.......” sahil bola. “uske pas kya tha kahne ko............kaha to maine sabkuchh...........sahil aapne to kaha tha ki aap yha fir kabhi nhi aayenge ..............” juhi ne puchha. “ha juhi ...kuchh mahine pahle ek din mummy ka phone aaya.............did ki tabiyat kharab thi wo admit thi........... ...aur us samy mai delhi me hi tha................mai mummy ko mana nhi kar paya........aur fir yha chala aaya...............tabse kabhi kabhi aa jata hu...........” sahil bola. “aap ka accident kaise hua tha sahil..............” juhi boli...........aur badi gahri nazro se use dekhne lagi........... “pata nhi .......koi sharabi tha shayad jisne thok diya.....chhodo na..........” sahil ne talna chaha. “aapne suicide attempt kiya tha na???” juhi ki aankh ek bar fir se bhar aayi.......... “nhii to..........kk...k...kaun kaun bola...” sahil ke juban ki ladkhadahat se hi pata chal rha tha ki wo thik se jhooth nhi bol paa rha......... “sahil meri kasam .....sach sach boliye...............” juhi ki aankhe chhalak padi. Sahil chuchap sar jhukaye baitha rha...kya bolta........ “plzzzzz” juhi ab bas ro dene ko thi “kya karta juhi...............wo kisi aur ki ho rhi thi..............mai kya karta.....kaise dekhta use kisi aur ka hote............bachpan se lekar jawani tak aur kuchh sujha hi nhi uske siwa........sabkuchh janta hu... lekin ye dil kuchh nhi samjhata.............kya karta juhi...........” sahil ki aankhe bhi bhar aayi..... “ aur mai kaun hu sahil...........????? ..........kaun hu mai aapki.........” juhi ke aansu ab uske galo par bahne lage the lekin uske chehre par patthar ke jaisi sakhti thi........ “juhi ye kya.........” sahil ne apne hath se uske aansu ponchhne chahe......aur juhi ne uska hath jhatak diya.......... “aaj mujhe jawab chahiye sahil........mai kya lagti hu aapki...........kaun hu mai sahil .......” juhi ek kadam se pichhe hatate huye boli........... “tum ye kya kah rhi ho....tum ...tum meri pari..........” sahil ki bat adhoori rah gayi.......... “nhi.........nhiiiiiiiiiiii.......nahi hu mai koi pari..........koi pari nhi hu mai sahil.......mai ek masoom si aam ladki hu.......... jiske seene me bhi ek dil hai aur us dil me aapki tasweer hai...........mai pari nhi hu..........aapne mujhe pari bana diya.........kya mila mujhe pari bankar........haan.......bataiye........aapne mujh se hamesa ke liye door jane ki taiyari kar li aur mujhse ke bar bhi kuchh nhi puchha ........kabhi aapke dil me ye khyal aaya ki juhi bhi koi hai.......kaise jeeti mai.?????..........kya karti mai agar aapko kuchh ho jata.............kya karti mai sahil.......... .kya karti............” juhi farshpar gir kar apna chehra apne dono hatho me chhupakar rone lagi....... Sahil ki aankhe bhi bhar aayi................. Usne juhi ke kandhe par hath rakha..........jise juhi ne jahtak diya....... “ mai pari nhi hu sahil.......... mai ek aam si ladki hu...mere andar bhi dil hai .,..kabhi socha aapne ki mai bhi pyar kar sakti hu............aapne mujhe pari bana diya aur mera sabkuchh mujhse chheen liya........meri muhabbat ,mere armaan ,mere sapne....sabkuchh cheen liya....... “.aap khudgarz ho sahil............. aapne sirf apne bare me socha apni muhabbat ke bare me socha.........jiye to apni muhbbat ke liye aur ab apni muhbbat ke liye marne chale the........meri muhabbat ka kya ...........??????? kabhi socha aapne..............mai bhi muhhabt karti hu sahil.............bahut muhbbat karti hu..............meri muhabbat ki koi keemat kyu nhi hai sahil...... .... aapne meri muhbbat ka gala ghont diya..............ek mauka tak nhi diya mujhe apne pyar ke ijahhar karne ka..........” aaj juhi bol rhi thi aur sahil sun rha tha ............har jagah use apni hi galti nazar aa rhi thi.........har jagah......... “aapne to apni muhbbat ke gham me marne ka faisal kar liya aur mai.......??????? mai kya kar payi..........mujhe to muhbbat ki ek boond tak naseeb nhi huyi..........sahil aajtak mai chup thi sirf is liye kyuki mujhe thoda sa yakeen tha ki shayad aapki muhbbat me sachchayi ho...........shayad aapki muhbbat aapko mil jaye...........shayad wo aapke pas laut aayee...............lekin wo to muhabbat ke kabil hi nhi hai.............” juhi siskiyo ke bich bole ja rhi thi......aaj use koi nhi rok sakta tha..........bahut dino se dil me daba drd aaj bahar nikal rha tha............... Sahil ko juhi ki halat par bahut dukh ho rha tha..........aur iska jimmedar bhi shayad wo khud tha....... lekin juhi ki aakhiri bat ”ki wo to muhbbat ke kabil hi nhi hai” shayd use achchi nhi lagi......... ”juhi plz......aage kuchh mat bolo.....plz..........” sahil use chup karana chah rha tha....... “aapko sun na hoga ............aaj aapko sab kuchh sun na hoga...........aapki aarti muhbbat ke kabil nhi hai sahil.....usne to kisi aur ke sang jindagi zeene ke sapne dekh liye...............kisi aur ki ho jana chahti thi wo.........kaha gayi aapki aarti ki muhbbat sahil............bada yakeen tha na aapko uski muhbbat par...........boliye sahil ,kaha hai aapke bachpan ki muhabbat..........” Sahil chuchap sun rha tha..............kisi bahut apne ke hatho hara tha bolta bhi to kya......... “sahil , muhabbat ka ek rang wo bhi hota hai jisme ek dulhan ke hatho me mehandi ki jagah uske mahboob ka khoon hota hai...........aur aapki muhabbat????.......are aapki muhbbat ne to aapko kuchh diya hi nhi ......aapse aapki zindagi tak chheen leni chahi...............aur agr aap ab bhi apni sachchi muhabbat ko pahchan na paye .........to bas yhi kahungi ki aap bahut badnaseeb ho sahil........aarti se bhi jayada badnaeeb..........” Juhi mudkar wapas bahar jane lagi...............ek bar bhari huyi aankho se mudkar tanha tanha se baithe sahil ko dekha...........ek bar fir se dil tadap utha juhi ka...... “ sahil aaj bhi aapke pas apna koi nhi hai.........aaj bhi aap akele ho.........juhi aapki hai aur aapki rahegi ........zindagi ke kisi bhi padav par agr kisi aapne ki jaroorat pad jaye to bas ek aawaz laga dena, aapki juhi hamesa aapka intzaar karti milegi.........khuda hafiz sahil ” Juhi apne aansuo ko ponchhati teji se bahar nikal gayi............. Aarti bahar darwaje par khadi mil gayi ......shayad sabkuchh sun liya tha usne..........juhi ne ek nafarat bhari nigah us par dali............ “agr mere sahil ko kuchh bhi ho gya na..............to tumhe koi nhi bacha payega mujhse” aarti sun kar rah gayi. “ maaf karna jan..........aaj tumhari juhi ne tumhara dil dukhaya.....lekin kya karu mai....tumahri aankho se wo muhabbat ka jhootha parda hatana chahti hu jisne tumhe andha kar diya hai............mere sahil ki hifazat karna mere khuda” juhi apni gadi me baithi abhi bhi ro rhi thi. Aarti ne chuchap juhi ko bat ko sun liya apne aansu ponchhe aur room ke andar chali agyi.......kamre ke farsh par bed se laga baitha sahil ............aansu uski aankho se bah kar farsh par gir rhe the.........aur wo chuchap apne dono hatheliyo ko dekh rha tha............... Ek aisa hara hua zuari jisne zindagi bhar jua khela aur aaj dono hatheliya khali............aise apni hatheliyo ko nihar rha tha, jaise abhi abhi kuchh bahut keemati fisal sa gya un hatheliyo se.......... Sahil ki halat par aarti ko bahut dukh ho rha tha.............uska jee chah rha tha ki abhi kahi doob kar jaan de de...............wo dhhere se sahil ke pas gayi aur uske kandhe par hath rakh diya..............sahil ne sar uthkar uski or dekha aur uske pairo ko pakadkar lipat gaya...............aarti ki to jaise jan hi nikal gayi........... “ye aap ky kar rhe hai sahil....plz............” aur wo niche baith gayi ...........sahil ne jor se use pakad liya aur jor jor se tadap tadap kar rone laga............... “aarti mujhe meri muhabbat lauta do....plzzzz..............aisa kya galat kar diya maine jo ye sajaa mil rhi hai........har koi kahta hai ki meri muhbbat jhoothi hai.......sab kahte hai ki mai pagal hu ............maine kya galat kiya......sirf muhabbat hi to ki ............ab agar us muhbbat ne mujhe apne layak nhi samjha to mai kya karu,.............agar usne mujhe chhod doiya to mai kya karu............aagr mera dil aaj bhi uske liye dhadakta hai to mai kyaa karu ............mai kya karu aarti.............maine to aaj tak sirf pyar nibhaya hai....fir mai galat kaise hu aarti......?????? ” Sahil aarti ke gale se lage roye ja rha tha aur uske aansuo ke sath sath uske lab bhi shayd ro rhe the aaj...........aarti ki aankhe bilkul sookh chuki thi shayad ek aansu tak nhi nikal rha tha..........lekin sahil ka har “kyu” uske dil me teer ki tarah chubh rha tha.......... “ wo juhi kahti hai ki meri aarti muhabbat ke layak nhi hai.......lekin mujhe agar aaj bhi uske siwa kuchh nhi nazar aata to mai kya karu............agar aaj bhi un aankho ke aansu mujhse bardasht nhi hote to mai kya karu..............sab kahte hai ki meri aarti mujhe dhokha de rhi hai.........meri aarti bewafa hai.....mai kaise maan lu...........plz aartiiiiii ..........sabko bata do ki meri aarti bewafa nhi hai...............bata do ki aaj bhi wo mujhse muhbbat karti hai...... tumhare sahil ki muhbbat haar rhi hai aarti.......use haarane mat do..........meri muhbbat ka bharam rakh lo aarti.......plz meri muhaabt ka bharam rakh lo” sahil aarti se lipate huye ro rha tha aur aarti uske balo me hath pherti chuchap baithi thi.....uske chehre par chattan ke jaisi dridhta thi............jane kyu aarti sachmuch ek patthar ki moorat si ban gayi thi jiske andar na koi khusi dikh rhi thi aur na koi gham..........sahil ke itane bilakhne par bhi uske aankh se ek aansu nhi nikla tha ab tak. “ Sahil ek din tumhe ahsaas hoga ki tumne kya muhabbat ki aur hamne kya muhabbat ki” aarti ne apne dil me socha aur aankho ke kinare par chale aaye ek aansu ko chupke se apne dupatte ke pallu se ponchh liya........mano kisi ko pata chal gya to qayamat aa jayegi....... Par agar qayamat aani hogi to aayegi hi kaun rok sakta hai use..........aur sahil ki muhabbat me itani shiddat thi ki agar use “ bewafayi” mili to qayamat to nischit hi thi...........ab to bas itan hi dekhna tha ki sahil ka pyar jeet ta hai ya aarti ki “ bewafayi”.

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    14. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 17 Juhi kuchh bol nhi rhi thi bas sahil ke chehre ki or dekh rhi thi aur uski aankho se aansu bah rhe the..........sahil ne uske sar se patti hatayi ,pani me dali aur fir uske mathe par rakhne ke liye jaise hi aankhe kholkar dekha to juhi ke aankhe uske chehre ko or hi lagi thi................uski aankho me aansu dekhkar sahil ko samajh me nhi aaya......... “kya hua..sar dard ho rha hai kya” Juhi ne kuchh nhi kaha bas ha me sar hila diya....... wo kuchh der aur sahil ko apne pas yuhi dekhna chah rhi thi.......uske hatho ko apne sar par mahsoos karna chah rhi thi...........zindagi me fir y mauka mile na mile.........sahil usske sirhane baith gaya aur dheere dheere uske sar ko sahlane laga........... Sahil ko apne itane kareeb paa kar juhi ke dil jor se dhadak rha tha aur uska jee chah rha tha ki waqt bas yhi tham sa jaye..........bahut sukoon mil rha tha juhi ke dil ko......... Juhi ke man me na jane kyu ek dar sa samaa gya tha.............sahil ko khone ka dar..........kya hoga jab kl ko sahil chala jayega,,,,,,,,,,,kaise rahungi mai inke bina “ juhi ka man bahut bechain ho rha tha............. “maine to sahil se muhabbat kar li lekin sahil .?????????.......wo to mujhse muhabbat nhi karte ........kya karu ki sahil mere ho jayen....sirf mere................” “mai aapko jane nhi dungi sahil ..........chahe kuchh bhi ho jaye...........” juhi ne apne man me socha aur jhat se aankhe khol di..........aur sahil ka hath apne hatho me lekar choom liya............. “thank u sahil.....thank u “ sahil juhi ki is harkat se ek dam awaaq rah gya.......lekin bola kuchh nhi............ “Juhi agar dard jyada hai to doctor ko bula du”.juhi ki harkat shayad sahil ko achchhi nhi lagi....aur wo juhi se alag hota hua bola......... “jee..........nhi m thik hu” juhi ko bhi ahsaas hua ki sahil ko achchha nhi laga .............lekin kya karti wo bhi dil ke hatho majboor jo thi. “thik hai fir fresh ho jao............ham thodi der me niklenge.............mai driver ko phone kar rha hu..........” “jee...” ..juhi ne bas itanaa hi kahaa.aur bisatr se uthane lagi............uske pair me thodi soojan ho gyi thi jaha moch aayi thi...dheere dheere chalte huye wo washroom me ghus gayi............... Karib 1 gahnte bad driver car lekar pahucha.........sahil aur juhi ne breakfast kiya aur ghar ke liye nikal diye..juhi ki tabiyat abhi bhi poori tarah se thik nhi thi.............. sahil juhi ke sath car me baitha tha............ sahil rat me thik se so hi paya tha.........car me baithe baithe hi uski aankh lag gayi.......... thodi der ke bad sahil ka sar ek taraf ko juhk gaya..aur juhi ke kandhe se lag gya..............juhi ko ek anjaani si khusi ka ahsaas ho rha tha...........wo thoda sa sahil ke karib khisak gayi aur uske sar ko apne kandhe par achchhe rakh liya aur pyar se uske sar ko sahla diya.............. sahil ko shayad thodi gahri neend aa gyi thi......aur wo bhi juhi se chipak gya tha...........juhi man hi man msukura rahi thi..........sahil ke hoth achanak juhi ko apne gale se lagte mahsoos huye........juhi ka poora badan jaise sunn ho gya...............use kuchh samjh me nhi aa rha tha ki kya kare..........sahil ke hoth gadi hilane ke sath hi uske gale se chhu ja rhe the aur fir hat jate..............juhi ka poora badan tadap utha jaisa............pahli bar kisi mard ka itna kareebi saprsh tha us najuk si kali ke shareer par..........juhi janti thi ki sahil kabhi bhi janboojhkar aisa nhi kar sakta .........aur wo use jagana nhi chah rhi thi.......use ahsaas tha ki sahil rat me bhi so nhi paya tha.........aur shayad juhi ko ye bura bhi nhi lag rha tha......... juhi bahut kosis kar rhi thi khud ko sambhalne ki lekin bat uske hath se nikalti ja rhi thi.....achanak shayd koi breaker ya gaddhaa tha road par aur unki car thodi jor se uchhali........... sahil ke honth juhi ke mulayam gore gore gale se chhu gaye..............juhi ke liye to ek pal ko mano sari kayanat hi rook gayi...........sahil ke hoth uske galo se ragad gaye the............ ”sahil ke hoth mere galo par....hiii........sahil ne mujhse kiss kiya.............uffffffff.....hii ammiii...” juhi to sharm ke mare dohri ho gayi...usne aankhe band karli........aur usi pal sahil ki aankh khul gayi .........shayad gadi ke tej jhatke ke vajah se .........use bhi pata chal gya ki kya hua aur wo aise chhitak kar door hua jaise kisi bichhu ne dunk mar diya................... “tum dekhkar gadi nhi chala sakte ...........liscence kisne de diya tumhe.........” apni ki huyi harkat ko chuupne ke liye bechare driver ko jhad diya.......juhi bhi thodi door khisak kar baith gayi aur sharm ke mare gadi se bahar dekhne lagi............. “sorry ...wo neend lag gayi thi isliye...........” sahil ne dheere se kaha....... Juhi ko to itani sharm aa rhi thi ki usne sahil ki or dekha bhi nhi ........bahar hi dekhti rahi aur halka halka muskurati bhi rahi..... poore raste dono ke bich koi bat nhi huyi......sahil se ek do bar juhi ki nazar takarayi aur turant hi dono muh fer lete.......juhi sharm se aur sahil guilty hone ke ahsaas se........... Lagbhag sham ke 4 baje sahil aur juhi ghar pahcuhe.........sahil ne juhi ko pakad kar andar pahuchaya.......aur fir sabko sari bat batayi............. “thanx sahil beta........ahsaan rahega tumhara hum par.....”sarfarz khan ne use gale se lagate huye kaha...... “are kaisi bat kar rhe hai uncle.......juhi to meri jimmedari thi........” “ha beta ..tum par bharosa tha tabhi to bheja tumhare sath...........aur tumne hamara bharosa nhi tutne diya.......tum wakayi bahut achche insaan ho sahil..........”’ sarfarz sahib sahil ke kayal hote ja rhe the...... Thodi der bad sahil apne room me chala aata hai...........aur use juhi ke sath bitaye pal aur juhi ki aankho me apne liye pasandagi ke rang................sabkuchh yad aane lagta hai............ Wo aankhe band kar leta hai.............. “ai mere malik...tu kya chahta hai....?????,..mere pas to jo kuchh tha tune sab le liya ....meri muhabbat mujhse juda ho gyi......... ab plz..is masoom si ladki ko aise sapne mat dikha jo poore nhi ho sakte......juhi bahut masoom hai..........bahut najuk sa dil hai uska......muhabbat ki tadap us se bardasht nhi hogi...........mere sapne chahe to ek bar fir se tod de...............mera jo kuchh bacha hai le le......lekin tujhe teri khudai ka wasta,----juhi ka dil mat todana........ uske dil me kabhi aise khwahish mat panpane dena jo kabhi poori na ho sake............plz...............maine tujhse aaj tak koi shikayat nhi ki...lekin agar meri juhi ka ek bhi sapna toota to ..........zindagi bhar tere dar par nhi aaunga........kabhi bhi nhi...” Kitna masoom tha sahil ...............use nhi pata tha ki jo sapne dil se jude hote hai uspar kisi ka bas nhi hota ........aur juhi ka dil to ab kisi masoom bachche ki tarah chaand pane ki khwahish karne hi laga tha......... Kuchh din beet gaye aur juhi aur sahil ek bar fir se apni study me busy ho gaye.bas ek bat thi jo badal gayi thi..ab juhi sahil se sharmati, uski care karti aur uska intzaar karti.........sahil ko dekhne ke liye uska aankhe hamesa lagi hi rahti aur sahil ko ab juhi ki is chahat se dar lagne laga tha............... Lagbhag one week ho gaye the sahil aur juhi ko wapas aaye lekin aaj bhi sahil ke hotho ki chhuan juhi ko apne galo par jaise mahsoos hoti aur jab bhi aisa hota uska gora mukhda sharm se ekdam gulabi ho jata........ Sahil aur juhi sath sath baithkar padh rhe the........sahil ka phone baj utha.......... Sahil ne phone uthaya aur uthakr bahar jane laga...........juhi ko achcha nhi laga......... “kiska phone hai...” usne aakhirkar puchh hi diya....... Sahil thithak gya.......juhi ki or gaur se dekha.......juhi ne nazre jhuka li.........”ek dost ka” usne itna hi kaha aur bahar nikal gya.......RAHUL ka phone tha......... “kaisa hai yarr” rahul ne chahkate huye puchha.... “thik hu...tu kaisa hai......” “mai bhi thik hu....pata hai mai bhi delhi aaya hua hu.....karol bagh me hu..........kab mil rha hai bata......????..” rahul bade khus hokar sahil se bat kar rha tha......ek hi to dost tha uska....sahil. “aata hu kisi din...........aur bata....” “bas yar sab thik hai..........pata hai mera bhi pre clear ho gya.........sale tune to sare contact hi khatm kar liye.......kitna phone kya maine result wale din par tune phone nhi uthaya,,,,bhool gaya na is dost ko.....” rahul ne shikwa kiya.......us bechare ko bhala kya pata ki kis kis tufan ke thapede sahe the sahil ne pichhle kuchh dino me,.......... “nhi rahul ............tujhe kaise bhool sakta hu mere bhai........bas thoda ulajh sa gaya tha.........khair chhod......... ..aata hu kal ..........kahaa rah rha hai.....?????????” sahil ne puchha. “mai tujhe address sms kar dunga...........achcha sun yar agr koi WORLD HISTORY ka badhiya note ho to lete aana ........plzz...” rahul ne kaha..... “ha le aaunga........aur kcuhh” sahil ne kaha.. “waise tu kaha rah rha hai.............didi ke yaha apne.........??” rahul ne kaha “nhi..........” didi ke ghar ko yad kar k ek bar fir aaj sahil ka gala bhar aaya...........uski aawaz badi dheeme se nikali..... “sahil kya hua............tabiyat nhi thik hai kya teri.........” rahul ko uski aawaz se laga kuchh gadbad hai.... “nh...wo phone me kuchh kharabi hai....”sahil ne kaha. “achcha to jab tu rent par hi rah rha hai to fir yhi aajaa......... sath me rahenge.........” rahul ne kaha. “ dekhta hu.........waise jab bhi tu kahega mai aa jaunga .........kahi bhi rahu.....chal rukunga kuchh din tere pas...” sahil ne juhi ki wajah se aisa kaha..............ab jab juhi ko uski sabse jyada jaroorat thi mains ke exam me, to wo use chhodakr kaise ja sakta tha.......... “wo to mai janta hu meri jaan, ki jab bhi bulaunga tu aa jayega.........abe ek tuhi to hai is poori duniya me jise ye rahul apna kah sakta hai” rahul thoda sa emotional ho gya, jo aamtaur par wo hota nhi tha.......... “chal achcha ..ab dialogbaji band kar aata hu kal.........”sahil ne haste huye kaha... “chal thik hai yar,,,aana jaroor ..bye..” “bye” sahil ne kaha aur andar ki or muda............juhi jo darwaje ke pichhe khadi sab bate sun rahi thi jaldi se andar ki or bhagi.........uska sun na jaroori jot ha........... aakhir use bhi to pata chale ki uske “ye:”” bat kis se kar rhe the............ Sahil ne usko duadate dekh liya aur sabkuchh samjh gaya.....ek halki si muskan uske hotho par fail gayi...........dono fir se sath padhne lage...mano kuchh hua hi na ho............. Rat ke 9 baj gaye the...........Jab sahil juhi ko padha kar uthane laga..to bola... “juhi kal mai kahi jaunga.......”sahil ki bat adhoori hi rah gayi......... “ rukna mat wha.... “ juhi tapak se bich me hi bol padi............. .....aur fir apne ungali danto se dabaa li.........apni galti usne khud hi sahil ko bata di ki wo sab kuchh sun chuki hai............sahil uski masoomiyat par ek bar fir se muskura utha........ “dusro ke baten chhup kar sun na bahut galat baat hai....” usne juhi ki or dekh kar kaha., “par doosro ki baten na....apno ki to nhi......” juhi fir jhat se boli..aur sahil ko koi jawab nhi sujha........juhi ke liye to sahil ab uska apna tha........... “padhai karti rahni ......bye...” usne kaha aur bahar nikal gaya........ Sahil Rahul se mila to uski aankhe bheeg gayi.......rahul uske liye bhai se bhadkar tha...lekin waqt ki tej rafter me shayad kahi pichhe chhut ta ja rha tha.............lekin rahul aisa dost nhi tha...........wo to sahil par jaan dene wala dost tha.....sahil ka ek khas mukam tha uski zindagi me ...sahil ne jo uske liye kiya tha rahul use kabhi bhool nhi pata tha..... “sahil ab tu bahut udas rahne laga hai........koi bat hai kya mere bhai” sahil aur rahul dono padh rhe the jab rahul ne us se puchha .... uske puchhne ki ek khas wajah thi....jo notes sahil ne se diye the usme kayi pages par kuchh-kuchh likha tha..............jaise....... “ I will not forgive u, kabhi maaf nhi karunga tumhe – BEWAFA...” aur bhi kuchh ...........aur jo kal ka news paper sahil ne padha tha usme isi tarah ka kuchh likha tha............un history notes ke back pages par bhi ............... “nhi yar aise hi..........” sahil ne talna chaha...... “sahil ,,tu mujhse chuppana chahata hai......?” rahul ko jaise bahut dukh hua is bat ka........... “nhi yar...bataunga tujhe bas abhi nhi...mains exam hai na...pahle ise de lete hai...........bas itna jan le ki kisi ki- BEWAFAI - yad aa jati hai tabhi ye lines likhta hu...........” sahil ke chehre par ek dard ki lakeer ubhar aayi........... “sahil,idhar dekh meri aankho me...kaun hai wo....bata mujhe kaun hai wo.......tu janta hai na mujhe.........tu to sab janta hai,,,,bas bata de kaun ho wo kamini........” rahul ka chehra gusse se bhabhak utha....... “nhi rahul !!!!! Plz...kuchh mat kahna use.....plz...aur ek wada kar ..tu kabhi nhi puchhega mujhse.........wada kar” sahil ne use kuchh bhi kahne se rok diya....... “yar aaj tak teri koi bat taali hai maine....,,.........,ja kiya wada..........nhi puchhunga.........waise bhi us badnaseeb ke bare me kya karungaa jan ke jise tujh jaise heere ki kadr nhi pata.......nhi puchhunga.,......bas agr kisi din meri jaroorat pad jaye to ek bar aawaz dena.........jaan de dunga tere liye........tu to janta hai na ki rahul tere liye kuchh bhi kar sakta hai kuchh bhi.........” rahul ne use gale se lagaa liya...... “haa mere yar..........janta hu mai.........thanx yar tu aa gya... ... bahhut akela pad gya that tera bhai..........”sahil bhi jor se uske gale se lag gaya......... “saale ek bar bol nhi sakta tha......tere liye sabkuchh chhodkar aa jata mai........” rahul ne kaha... “mujhe pata tha tu jaroor aayega...........” sahil ne kaha ur uski aankh bhar aayi. ****************************************************************************** Aaj sahil ko gaye teen din beet gaye the aur juhi ko ye teen din jaise salo ke barabar lag rhe the............na uska padhne me man lag rha tha na kuchh karne me...............wo room me idhar udhar tahal rhi thi.............hath me book thi lekin nak par gussa bhi bahut tha.............. “jane kya samjhte hai khud ko.........bola tha ki rookna mat ........lekin meri sunta kaun hai.....kise fikar hai meri....mat aayen...... ...mar thode hi jaungi...........” wo badbada rhi thi aur bar bar darwaje ki taraf dekh rhi thi............. “mai bhi pagal hu........ kyu itana paresan hu......nhi aate hai to mat aaye ...mujhe kya.......aane do is baar bat nhi karungi....” juhi ne kaha aur darwaje ki or dekha.....sahil darwaje par ek hath rakhe khadaa muskura rha tha...............juhi to mano sharm se gad gayi.......... “uff khuadaya.... suna hoga to kya socheneg...........kuchh bhi soche.....huuuuunnn.....muskurate bhi aise hai jaise mujh par ahsaan kar rhe hai........” usne kaha aur book me aise dekhne lagi jaise sahil ke aane ka pata hi na ho. Sahil ko uski har masoom ada par hasi aati thi.....adaye bhi aisi ki koi chhoti si bachchi ho.....wo muskurata hua room ke andar aa gya............ “kaisi ho juhi............?” usne andar aakar thodi doori par khade hote huye bade pyaar se puchha....... “nhi bolungi” juhi ne man me scoha aur books me dekhti rahi....jabardast ignore mar rhi thi wo masoom si pari...........aur gusse ke mare ekdam shoal lag rhi thi......... Sahil ka hasi ke mare bura hal tha...lekin use pata tha ki agar galti se bhi has diya to ye “shole” phat padenge.......wo dheere se aage badha aur juhi ki najuhk si kalayi tham li................... Juhi ki to mano jaan hi nikal gayiiiiiiii........... Juhi ne sar uthakar sahil ki or dekha par kuchh boli nhi aur apne dusre hath me pakdi book ko bed par fenk kar apna hath chhudane lagi.............. Sahil ko thoda sa maja aa rha tha use tang karne me to usne hath nhi chhoda...............juhi poori kosis kar ke thak gayi aur ruansi hote huye boli.......... “chhodiye hamara hath.............” “achchha aur agar na chhodu to ........” sahil ko sach me majaa aa rha tha use tang karne me......... “to...to..to hum chillayenge ...........” juhi ne badi masoomiya se kaha. “achchhaaaaa.....aur chilla kar kya kahogi,.........” sahil ne muskurate huye kaha....... “kahenge ki...kiiii...ki............” aur juhi chup ho gayi........use samajh me nhi aaya ki kya bole. Sahil ko fir se hansi aa gyi...... “naraz ho mujhse...........”sahil ne is bar bade pyar se puchha............ Juhi ne nazre jhuka li.......kuchh nhi boli.......sahil ne apne hath se uski thodhi pakadkar uska chehra upar kiya............. “bolo na naraz ho ??????............” Juhi ne is bar haa me sar hila diya................ “achchha sorry.......” sahil ne uska hath chhoda aur uske samne ek ghutne ko moadkar jameen se lagate huye apne hatho se kan pakada liya aur muskurate huye uski neeli,khoobsoorat aankho me dekhne lgaa........ Juhi ko bahut ppyar aa rha tha sahil pe....uske dil me aaya ki abhi uske gale se lipat jaye.lekin wo aisa nhi kar sakti thi....itana haq shayad use nhi tha abhi........... Juhi ne aage badhkar uska hath uske kano se hata diya....aur naa me sar hilaya...ki aise mat kiya karo............ “itane hi dino me hi gungi ho gayi kya........” sahil ne fir se jala diya use ..aur is bar juhi fat padi......... “ha mai gungi hu....pagal hu...befkaaof hu.............aap to bahut sayane ho...........itane din gaye ho gye the..........ek bar phone tak nhi kiya...........aur jab maine kiya to uthaye bhi nhi........aur fir puchhte hai naraz ho???.. are naraz to houngi hi na...” juhi aise daant rhi thi jaise koi bivi apne shauhar ko dant ti hai...........sahil ke chehre par ek bhav aaya lekin sirf chand lamho ke liye kyuki fir usne khud ko sambhal liya................... “sorry bola na ....achcha chhodo in baton ko.......chalo taiyar raho ..mai abhi aata hu fir padhenege dono............” sahil ab sulah karne ke modd me tha ,lekin juhi ka abhi aisa koi irada nhi lag rha tha............... “mujhe nhi padhana” usne fir se muh bichkate huye kaha..... “padhana to padega na babu...........” achcanak sahil ke muh se nikal gayaa............juhi ka to mano din ban gaya.........kitne pyar se sahil ne use ‘ babu’ kaha tha...........kitna apna pan tha us lahje me........uska sara gussa kisi jhag ki tarah baith gya...........whi sahil ko apni galti ka ahsaas hua........ “ab aap nhi jaoge na........” juhi ne puchha........sahil ke pyar se uski narazgi to khatm ho gyi thi lekin ab use guarantee chahiye thi ki ye galti dobara nhi hogi............ “yar wo akela hai delhi me ............dost hai mera” sahil ne kaha........ “to aap use yhi bula lena......mai kuchh nhi janti..........” juhi thode se jid karne wale lahje me boli.......... “juhi ek din to jana hi hai na.................” sahil ne kaha aur bahar nkal gya. Juhi whi khadi use jate dekhti rahi.............. “main hi jane dungi sahil aapko.......chahe kuchh bhi ho jaye.....kuchh bhi........dekh lena aap........” usne dabdabayi aankho se kaha. Sahil apne room me aate hi bistar par pad gaya..............juhi ke bare me sochne laga.........Use kuchh to andaza ho hi gaya tha ki juhi ke man me uske liye pyar ke jazbat hai ...aur wo apne kadam pichhe khichna chah rah tha......koi bhi aisa kam nhi karna chah rha tha jis se juhi ko koi galat signal mile...lekin har bar uske sachche dil aur uski masoomiyat se maat kha jata tha..................koi banawat nhi thi juhi ke dil me....koi paap nhiii. “kya karu is masoom ka......kaise samjhau ise...........”sahil juhi ke bare me soch soch kar paresan ho rha tha......use juhi ki chahat se sachmuch dar lagne lagaa tha........... Dheere dheere fir sabkuchh pahle jaise chalne lgaa ...........sahil rahul se milne jata tha par jyada rukta nhi tha........juhi bhi dil lagakr padhai kar rhi thi.........din rat padhne me pata nhi chalta ............aur bahut teji se din beetene lage................. December ka mahina suru ho chukka tha aur joro ki thand padni suru ho gayi thi....................Mains ka exam ho chukka tha aur ab feb ke end tak result aana tha...........sahil ke papaers achchhe huye the lekin UPSC aur civil services ki anischitata se sabhi wakif the .......to koi kah nhi sakta tha ki mera jaroor ho hi jayega.......... Sahil ne ek do bar is bich ghar par phone kiya a.............mummy papa se bat ki.......aur kabhi kabhi renu ka phone bhi aa jata.......lekin na to kabhi uske bhai ne phone kiya na didi ne ...........aur na kabhi us “ BEWAFA” ne ................lagbahg 2 sal ho gaye the sahil ko didi ke yha gaye aur un logo se bat kiye.............use lagta hi nhi tha ki koi uska apna bhi hai delhi me............ Sahil ab bhi uski yado me rota tha lekin ab itana to sambhal gaya tha ki wo aansu band kamre me nikalte the............... Agar koi delhi me sahil ka apna tha to wo thi wo masoom si pari.............. ***JUHI*** Juhi ab thodi udas rahti thi..........wo jitna sahil ke dil ke pas hona chahti sahil utna hi us se door bhagta..........use lagne laga tha ki uski muhabbat dam todati jaa rhi thi.............. kahne ko to sab kahte hai ki chahe muhabbat mile na mile........lekin muhabbat nhi marti ........shayad ye sach bhi hai .lekin ek sach ye bhi hai ki na-umeedi ka daman jyade der thamna aasan nhi hota......... juhi ko dil ab dheere dheere tutne laga tha.........uski muhbbat uske dil me ghut ghut kar mar rhi thi........lekin juhi ne har nhi mani thi........... “sahil aap sirf mere ho ...........aur mai itani aasani se apni kisi chij ko nhi chhodati........” usne apne man me than liya tha ki ek aakhiri kosis wo jaroor karegi aur sahil ke samne apna dil kholkar rakh degi...............use apni muhabbat ka yakeen dilayegi aur use jane nhi degi................ Lekin sab kcuhh hone ke bad bhi wo himmat nhi juta paa rhi thi................. Din beet te rahe.......sahil roj UPSC ki site check karta......juhi nahi karti............use ab IAS ban ne ki shayd itani khusi nhi thi jitna is bat ka dar tha ki......... “ sahil mujhe chhodakar chale jayenge” aur uska man bahut udas ho jata.......... Aur fir ek din result aa gya...............CS(MAINS) QULAIFIED-201*......upsc ki site par red color me chamak rha tha...............ghar par aaj sirf juhi aur sahil the ............juhi kucchh padh rhi thi jab sahil ne site kholi aur jaise hi dekha......jor se chillaya...... “juhi aa gya...........result aa gya” “sach?” juhi bhi bhagkar sahil ke pas pahuchi.sahil ne page download kiya aur juhi thik uske piche chair par tek lagaye uske pichhe se jhuki thi.....dono ka dil joro se dhadak rha tha...........sahil ne ek pal ko apne aankhe band ki...juhi ne bhi............ Dono ne ek dusre ke liye dua mangi................ “Mera sapna chahe toot jaye bhagwan..par juhi ka dil mat toadana.......plzzzzz” “aye mere khuda.........mere sahil ka sapna poora kar dena..mera kya hai....jee lungi” Sahil ne roll no dala.pahle juhi ka fir apna .....dono ki dua kubool ho gayi thi............... “Sahillllllll” juhi mare khusi ke uchhal padi.............. Ek pal ko sabkuchh bhool gya sahil...wo chair se utha aur juhi ko apne baho me jakad kar hawa me utha liya aur teji se ghumane laga.............. “juhi ...i m sooooooo happyyyyyy...tumne kar dikahya..............thank u juhi......thank u......”sahil behad khus tha aur use khus dekhakr juhi bhi ..sahil ke seene se lage use sharm bhi aa rhi thi aur pyar bhi bahut aa rha tha............... Sahil ne use niche utara aur uske galo ko jor se choom liya................. “I m so happy juhi........ummmmmmuuaaaaa” sahil ne uske dono galo ko choom liya........ Juhi to mare sharm ke pani pani ho gayi jaise............lekin use pata tha ki sahil khusi me ye kar rha hai............usne sahil ko jara bhi ahsaas nhi hone diya ki usne kuchh kiya hai............lekin ek bar uska dil fir se bahut jor dhadka tha.........kashhhhhhhhhhhh.. “mai bhi bahut khus hu sahil....thank u....... .thank u so much...........” “chalo baba ko phone karte hai.............”sahil schmuch bahut khus tha use khud bhi pata nhi tha ki usne kya kiya.......... Fir thodi der bad khan baba ur sarfaraz sahb bhi aa gaye..........wo dono bhi behad khus the.............khan baba ne juhi ko apne baho me bhar liya..........unki aankho me aansu aa gye the........khusi ke aansu.... Sahil ko rahul ka phone aaya........... usne bhi INTERVIEW ke liye qualify kar liya tha..................ab bas ek aakhiri padav rah gya tha.............INTERVIEW. Kuchh dino bad intervie ki dates aa gayi..............sahil ka interview pahle tha ............fir rahul ka aur fir juhi ka............sahil kyoki ek bar interview de chukka tha isliye use thoda bahut pata tha............usne jo kuchh bhi use pata tha wo sabkuchh juhi aur rahul ko samjhaya................ Kahte hai interview me 90% luck hota hai aur 10% knowledge...........shayad ye sach bhi ho...to ab sahil ko kismet aajmana tha.........wo kismet jisne ab tak sirf use dhokha diya tha........lekin ab uski zindagi me kuchh badal tha.........uski zindagi me juhi thi .............ek dost tha..........aur ek vishwas tha.......... Aaj sahil ka interview tha aur aaj sahil behad udas tha ...........sarfarz sahib khud use apni car me lekar aana chahte the lekin sahil ne mana kar diya........par juhi nhi mani aur wo bhi uske sath aayi thi.lagbhag 7 din bad uska apna interview tha.............. Auto me baithe baithe sahil ko aaj bahut kuchh yad aa rha tha......use aarti yad aa rhi thi...........aise hi ek din wo bhi aayi thi ..............ek aansu uski aankh se bah gya ..........juhi ki najro se na wo aansu bach saka aur na sahil ka dard........usne sahil ka hath apne ek hath me liya aur apne dusre hath se uska aansu saf kar diya............sahil ne dheer se apna sar uske kandhe par rakh diya...........jaha duniya bhar ka sukoon tha..........bharosa tha............ Sahil UPSC ke gate se entry karne ke liye taiyar tha.........juhi ne dheere se uska hath pakda.......... “sahil, mai tumhe kabhi akela nhi chhodugi.....chahe kuchh bhi ho jaye.....tumhari kasam !!!!!!!! ........pure confidence se interview dena............mai hamesa tumhare sath hu..........ALL THE BEST.” Sahil ki nazro ne uska shukriya ada kiya aur wo andar chal diya.........juhi ke un sabdo ne jadu ka sa asar kiya tha,,....sahil ka man aatm-vishwas se bhar gya ............ Sahil ka interview ho gya tha aur wo juhi ke sath wapas ghar aa gya......interview achcha hua tha...... Juhi aur rahul ka interview bhi khatm ho chuka tha..............unke interview bhi thik huye the........aur ab bas intzaar tha final result ka................. Sahil ko ab apna yha rahna thik nhi lag rha tha...........aur ek din usne ye bat kah di............ sare log sath me hi baithe huye the........juhi bhi............ “khan baba , ab mai sochta hu ki mujhe chalna chahiye.......” juhi ka dil dhakk se rah gya........ “kaha sahil beta.........” baba ne bade lagav se puchha... “jee mera matlab, hamesa ke liye ....ab kahi aur rahna chahta hu..........aur ab to juhi ki padhai bhi ho gyai hai...............to ab yha rahna thik nhi lagta...........” sahikll ne saf saf apni bat kah di....... Juhi ki aankhe bhar aayi thi.... usne sabse chhup kar sahil ki or dekha......un khoobsoorat aankho me aansuo ke moti chamak rahe the aur ek sawal tha sahil ke liye........ ” mujhe chhodakar???????????” Sahil jayda der tak uski nazro ka samnaa nhi kar saka aur ankhe fer li........... “sahil.......tumhe yha koi dikkat hai beta.........kaun sa ham tum par ahssan karte hai.....kiraya dete ho tum.........yhi raho beta ...........dil laga rahta hai tumhare rahne se...........koi dikat ho to batao............” “jee...nhi baba koi dikkat nhi hai.........bas ab soch rha hu ki.........” sahil kuchh bol bhi nhi paya.tabhi sarfarz khan bich m bole........ “sahil kahi na jaoge tum.....yar itane din se sath ho.....ek dam sage bête ki tarah lagte ho........kaise jane de tumhe..........aur vaise bhi kuchh din me to chale hi jaoge...jab IAS ban jaoge.........” “jee uncle......par kya pata?” sahil ne sar jhukaye jhukaye kaha... Juhi ne pyar se apne baap ko dekha aur dil me hi unka shukriya ada kiya..........sahil ko rok liya tha unhone ............kuchh din ke liye hi sahi...........lekin juhi ke dil me apne abbu ki wo bat baith gayi.......... ” kuchh din me to chale hi jaoge..........” wo uski aankhe dabdaba gayi aur wo uthakar andar chali gayi........... Aaine ke samne khadi jhui ne apne aansu saf kiye aur ek bar fir se boli............ “mai tumhe nahi jane dungi sahil ..................chahe kuchh bhi ho jaye.” Sahil ke dil ka dard ab dheere dheere nafarat ka rang leta ja rha tha...........use nafart ho gayi thi sabse ....is matlabi jahaan se .........lekin fir dil me khyala aata ki isi jahaan me to juhi jaise aur khan baba jaise log bhi hai............kaise nafart kar sakta hai koi use se.........sochana bhi shayad paap hai.........aur sahil ke liye to jo juhi ne kiya tha, wo to apni jaan dekar bhi shayad uska ahsaan nhi chuka sakta tha............. Lekin apno se nafarat ho gayi thi sahil ko.....shadeed nafarat............. Final result ke liye ab din gine ja rhe the kisi din bhi aa sakta tha................... (ek bat aap sab ko bata du dosto.....jayadatar logo ko pata hoga....jab bhi koi final result aata hai to har candidate ka poora nam mention hota hai.....jabki baki result me sirf roll number...to jo bhi result dekhta hai use pata chal jata hai..........) Pta nhi rumaors thi ya sachchai par news fail gayi thi ki aaj IAS ka result aane wala tha............. Sham ke 7 baj rhe the.....juhi aur sahil uske room me baithe idhar udhar ki baten kar rhe the.............juhi jyada se jayad time sahil ke sath rahna chahti thi.....juhi ka sath achcha to sahil ko bhi lagta tha...........juhi ne soch liya tha ki esult aane ke bad wo sahil ko apne dil ki bat saf saf bata degi.....aur use yakeen dilayegi ki uski muhabbat sachchi hai......... Juhi ke phone ki ghanti baji,.....................usne phone nhi uthaya....tabhi sahil ka phone bhi ghanaghan utha........ usne bhi apna phone nhi uthaya............sahil ne juhi ki aankho me dekha..........juhi turant samjh gayi..............dono ne jaldi se apane phone switch off kar diya.....aur teji se computer ki or lapke..............jahir tha ki logo ko result aane ka pata chala hoga aur fir se whi taane shayad sun ne ko mile jo pichhle bar mile the nakam hone par............... Sahil ka dil jor jor se dhadak rha tha........usne upsc ki site kholi .......aur result aa chukka tha............. “ CIVIL SERVICES (FINAL) RESULT-201* ” Sahil ne juhi ki or dekha.....sahil ki aankho me ek dar tha.......haar ka dar.........juhi ne uske kandhe par dheere se hath rakh diya......... “mai hamesa tumhare sath hu sahil.........hamesa.....” juhi ne kaha.uski aankho me itana pyar tha ki sahil ka gala bhar aaya.............sahil ne juhi ka hath apno hatho me liya aur result par click kar diya.................. PDF download ho chuki thi aur sahil ne teji se end ka button daba diya............page ekdam niche pahucha gya aur dheere dheere sahil upar badhne laga.............. RANK ROLL NO NAME 1126 00321 SAILJA 1127 05632 RESHAM SHARMA 1128 - 67341 PANKAJ SINGH Jaise jaise sahil upar badh rha tha higher rank ke students ka nam aata ja rha tha.............. List 200 tak pahuch gayi thi lekin na to sahil ka, na rahul ka aur na hi juhi ka ...kisi ka bhi nam nhi aaya tha...........sahil ka dil baithta ja rha tha.......... “juhi agar mera nhi hua to tum bhi mujhse dosti tod logi..............tum bhi mujhe akela chood dogi...........” sahil ke dil me sari purani baten ghoom rhi thi.............usne computer ka mouse chhod diya aur juhi ki taraf dekhakr bola.............. “ sahil??????.......juhi tadap si gayi uski is bat par.........aur aaj teesri bar uske dil se aarti ke liye badddua nikli......... .”bewafa,tujhe kabhi muhaabt naseeb na ho...........” usne apne dil me kaha. “bolo na juhi “ sahil uski aankho me dekhte huye bola........juhi ki aankhe bhar aayi sahil ke chehre ka dard aur masoomiyat dekhkar.......... kitni bar ye yakeen dila chuki thi juhi............lekin sahil ke dil ka zakhm itna gahra tha ki use aitabbar nhi aata tha........aarti ne bhi to kitni bar yhi kaha tha ...lekin kya kiya usne............ “mai aapko kabhi nhi chhodungi sahil........chahe kuchh bhi ho jaye ...” juhi ne kaha aur apne hath mouse par rakh diye........ Juhi ab dheere dheere mouse scroll kar rhi thi aur sahil chuchap screen par najre lagaye the.....wo shayad har man chukka tha...uski aankhe to us screen par thi lekin uska dhyan wha nhi tha.......... “RAHUL SHARMA” juhi ki nazar is nam par rook gayi..... RANK 195--- JUHI ne nam padha fir pas me rakhe paper jisme teeno ke roll ne tha, Us se roll no milaya...........wahi roll number tha................ “sahill..sahil” juhi ne sahil ka kandha hilaya.sahil ne aankhe khol di........ “haa,” aur jaise hi screen par nazar padi........... “ho gya rahul ka........????..” sahil ke chehre par chamak aa gyi ........... Juhi ne haa me sar hilaya aur fir chuchap aage dekhne lagi........... Sahil ne juhi ka hath fir se apane hath me le liya jaise ki mano dar rha ho............... Aur fir ............ “RANK -167, JUHI KHAN” sahil ka chehra khil utha....kuchh pal ko use sabkuchh bhool gya..........juhi ke chehre par bhi ek chamak thi...............sahil ne juhi ko gale laga liya.............. “tumne kar dikhaya juhi...........mujhe pata tha..........bahut fakr ho rha hai aaj tum par..........vaise tum par fakr hone ke liye is result ki jaroorat nhi hai............tum ek pari ho..........” sahil ki bat se juhi ka dil jhoom rha tha ....use khusi bhi ho rhi thi ki usne apne baba ka sapna poora kar diya ............lekin uska dhyan abhi bhi sahil ke result par hi tha..........use pata tha ki sahil na aata to shayad wo bhi apna sapna poora na kar pati...........sahil ke aane se use bahut bada sahar mila tha......itane apne pan se sahil use padhata tha ki use sabkuchh aasan lagta......aur aaj result bhi usi ka fal tha.......... “aye khuda ..........bass ab mere sahil ka nam bhi dikha de...........”juhi ne dil me ek aarzoo ki....... Juhi sahil se alag huyi aur ek bar fir se screen pe nazre jamma di.................. har gujarte nam ke sath sahil ka dil toot ta ja rha tha ........jab rank 50 tak pahuch gayi to sahil ki aankh se ek aansu nikal kar juhi ke hath par gir pada aur wo uthkar jane laga......JUHI ne jhat se uska hath tham liya ........aur na me sar hilakar use baithne ko bola......sahil ko bharosa to nhi tha ki uski rank 50 ke above bhi kabhi hogi...lekin juhi ki aankho me aansu dekhkar wo baith gaya wapas.......... juhi ne ek aakhiri umeed ke sath niche ko scroll kiya aur screen par nazar dali............ “RANK-38. SAHIL SINGH” juhi ki nazar us nam par jakar chipak si gayi.........sahil bhi ektak dekh rha tha.............ROLL NO par ek nazar dali ...same.....!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!...............juhi ne sahil ki aankho me dekha..........aur sahil ki aankho se jhar jhar aansu bahne lage...............usne jor se juhi ko apni baho me bhar liya aur buri tarah se tadap kar rone laga................. Juhi bhi ro rhi thi ..........sahil uski god me sar chhupaye buri tarah se ro rha tha................aaj use sab kuchh yad aa rha tha.............sabkuchh. Sahil ko apni padhai ka sangharsh, college cycle se jana (jabki ghar par bike thi) , papa ka karj lekar uski fees dena ....aur coaching ke liye papa ka jameen bechana aur mummy ka apne gahne girvi rakhna............dheeraj ka use paiso ke liye saf mana karna..........aarti ke liye bachpan se uska pyar......bachpan me uske liye sabse ladna, ........ apne hisse ki cheeje uske liye chhupa kar rakhna ........., apne peeth par use ghumana...........nadi par uske sath ghumne jana.......wo kheto me ghumna.........ladna-jhagdanaa.........roothan-manana.....fir uski dosti............uska pyar........aur uski bewafayi..........akele dilli ki jhopad patti me gujari wo kali raten.........ro ro kar akele aarti ko bulana..use mafi mangna ..........us galti ki jo usne kabh ki hi nhi..........aarti ki yad me bhukhe-pyaase din rat tadapna....... ...aur sabse jyada yad aa rha tha use aarti ka kahna “ sabko jalan ho rhi hai mujhse”...........sabkuchh yad aa rha tha.......sahil apne pair mode huye juhi ki god me kisi bachche ki tarah dubaka hua jar jar ro rha tha........ “thank you juhi ....thank u juhi...................thank u.....”usne sar uthakr juhi ki or dekha aur bas yhi bolta rha .........aur ek bar fir se sar uski god me chhupakar rone laga....... Sahil kitni buri tarah se hurt hua tha iska andaza tha juhi ko aur aaj uska sara dard aansuo ki shakl lekar bahar aa rha tha..........juhi ne use rone diya aur khud bhi roti rahi........ sahil ka role uski zindagi me bahaot bada tha ......bhale hi usne sahil ke liye bahut kiya lekin sahil ke aane ke bad se uski zindagi ka ek khalipan khatm ho gya tha...........juhi ko ahsaas tha ki sahil na hota to shayd wo itni mehnat na kar pati aur na hi is teen stage wale, INDIA me sabse tough kahe jane wale is exam ke liye itna lamba patience rakh pati...............sahil ne use anguli pakadkar chalaya tha is raste par............aur ab wo use khona nhi chahti thi.... Juhi ko sab soch soch kar sahil par bahot pyar aa rha tha..........usne juk kar sahil ke sar ko choom liya.......... “chup ho jao sona.......plz..............” juhi ko ab sahil ka rona bardasht nhi ho rha tha..........kitna roya hai sahil , kitni tadap hai uske dil me..............juhi ka man sahil ke liye tadap rha tha........... “juhi mai mar jata tum nhi milti to.............mai marne wala tha juhi...........” sahil ne ek bar phir se sar uthakar bas itna hi kaha.........uska poora chehra aansuo se bhiga hua tha......... “mai aapko kaise marne deti sahil...........plz aisi baten mat karen...........plzzzzzzzz.....mai aapko kabhi kuchh nhi hone dungi......”” juhi ne sahil ke mathe ko choom liya aur use apne seene se laga liya...........juhi bhi buri tarah se rone lagi . Sahil ko aaj apno ki kami bahut khal rhi thi..........apne mummy papa k kami...............jab bhi sahil rota tha use maa bahut yad aati .......ghar par hota to kabhi ek aansu nhi nikalta......maa kabhi uski aankh me ek aansu dekh leti to pure ghar me bawal ho jata aur jo bhi uska jimmedar hota uski khair nhi........unka sabse ladla tha sahil............ dilli aane ke bad jaise aansu uske naseeb ban gaye the.................kisi ko parwah nhi thi sahil ke aansuo ki............jiske liye aaya tha, jiske bahrose aaya tha...sabne chhod diya tha.......... Sahil aaj sachmuch bahut jyada dard me tha........har dard aaj ek aansu ki shakl lekar bah rha tha..............juhi ke kahne ke bawjood ,lakho kosiso ke bawajood uske aansu nhi rook rhe the,,,,,,,..seedhiyo par kisi ke aane ki aawaz huyi ........... “sahil.........plz.........chup ho jaiye sahil,,,,,,,,,baba aa rhe hain ” juhi ne uske balo me hath pheret huye kaha....... Sahil ne muskil se apne aansuo ko roka aur juhi ki aankhio me dekhne laga.......juhi ne jaldi se apne duppate se uska chehra saf kiya ............aur thodi door hatkar baith gayi .....sahil ki aankhe lal ho gayi thi............ Baba jaise hi andar aaye juhi daudati huyi unke seene se lag gayi.............. “mera ho gay baba, sahil ka bhi..............” juhi ne bas itna kaha...khan baba ne uski peshani choom li............. “meri beti.........khus raho ...allah tumhe jamane bhar ki khusi de,........tumhe nhi pata tumne is budhe ko kitani badi khusi di hai...........jeeti raho....”khan baba ki bhi aankhe nam ho gyi........ Sahil bhi uthkar aage badha....khan baba ne use bhi gale se laga liya......ek taraf juhi ek taraf sahilll...... “jeete raho mere bachcho............aaj bahut dino bad is “KHAN VILA” me khusi aayi hai...........” khan baba ne mano elan kiya ho.... Sarfarz sahib bhi anadar pahuche......... “abbu “juhi daudkar unke gale se lag gayi.......... “sarfarz mere dono bachcho ne kar dikhaya........dono pass ho gaye” khan baba ne unke aate hi kaha.......... “mujhe poora bharosa tha in dono ki mehanat par......i m proud of u beta..........” sarfaraz sahab ki aankhe khusi se chamak rhi thi........... Thodi der ke bad khan baba aur sarfarz niche chale gaye aur sham ke liye ek chhoti si party ki palnning hone lagi............ aarti bhi unke sath niche chali gayi.sahil akela rah gya room me........ Sahil ne apna phone switch on kiya.......56 missed call thi..........wah ri duniya .......aaj tak jis sakhs ko koi puchhne wala nhi tha usko 2 ghante me 56 phone aaye the.............sahil ke chehre par fir se ek dard ubhar aaya..............kuchh jan pahchan wale the aur bahut sare unknown numbers se call the.............. Aaj sahil ko wo din yad aa rha tha jab uska do sal pahle interview ka result aaya tha aur uska nahi hua tha..........kitni naseehaten di thi sabne use... “bank ki taiyari karo, tumse nhi hoga............ “are isme bahut ghoos chalta hai.... “are college top karna aur bat hai ..IAS ban na aur......... “kaha tum iske chakkar me pad gaye ....koi chhoti moti naukri kar lete.......... Ek sakhs ne phone karke nhi kaha ki koi bat nhi sahil phir se karna........aur to aur uske apne bhai ne use chhod diya..............sahil har iljaam apne seene par chup chap sajata chala gya..........aur aaj ?????????..............ek bar phir se sahil ki aankhe nam ho gyi...tabhi juhi ne uske kandhe par hath rakha............aur naa me sar hila diya......sahil ne jabardasti muskurane ki kosis ki......... “mummy papa ko bataya????” juhi ne bade pyar se puchha........... Sahil ne naa me sar hilaya........... “sahil?........chlo abhi phone karo..........” juhi ne bade hak se kaha...........sahil ko bahut achcha laga........... “mummy mai sahil...........” sahil ne phone kiya.......... “kaise hai mera beta........bahut dino bad maa ki yad aayi...........tu bhi bhool gaya kya sahil ??” sahil ko sach much is bar kafi time ho gya tha phone kiye........ “mummy, tumhara beta IAS ban gya mummy.....”sahil ne kaha aur lakh kosis ke bawjood uski aankho se aansu nikal gaye......... “mera bachcha,jug jug jiyo mere lala.....bhagwan ne ham bhudho ki sun li.......teri tapsya safal ho gyi mere laal........bahut dukh uthaye tune apne sapne ke liye ....mera dil kahta tha tera ho jayega.........mai aaj bahut khus hu.........meri umar lag jaye mere bête ko......” sahil ki mummy bhi ro rhi thi Sahil ke papa ghar par nhi the..........sahil bahut bahvuk ho gya tha.........usne jyada bat nhi ki aur fir phone karne ko bolkar phone rakh diya............. Sahil ne phone rakha hi tha ki RAHUL ka phone aane laga.........sahil ne phone receive kiya......... “sahil , mubarak ho dost.........ham jeet gaye sahil.......mere bhai , mai bhi kuchh ban gya yar..........tera rahul bhi kisi layak ho gya mere yaar....”rahul ki aawaz bahut bheegi huyi lag rhi thi........ “tujhe bhi Mubarak ho meri jan..........haa mere yar ham jeet gaye,.......”sahil ki aankhe bhi nam ho gyi............... “sahil,tu to meri maa bhi ,behan bhi, bhai bhi........aaj teri vajah se mai kuchh ban gya yar...thanx yar.” rahul jo bahut hi majobot hua karta tha aaj ro rha tha........emotion jaise aaj sare darwaje tod kar bah nikle the........... “maine kya kiya rahul.......sab teri mehant hai mere yar.....plz tu to mat ro ...plz” sahil ne badi muskil se kaha. “sab janta hai tu............aur hai hi kaun mera..........thanku sahil...” Thodi der bat karke sahil ne phone rakh diya.......kal subah rahul se milne ja rha tha........Juhi ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha........... “ab mat ro sahil,,,aapki ksimat me jo kali badli thi wo chhat gayi..........plz......bahut aansu baha liye...” Sahil ka sar juhi ko dekhakr juhk sa gya.....uske dil me aa rha tha ki apna sar us pyari si ladki ke kadmo me rakh de aur ek bar uske kadmo se lipat kar ro le......... “juhi ,tumne to jo kiya hai mere liye............. “kuchh mat kaho aap....aur maine kuchh nhi kiya.....sab aapke patience aur aapki mehant ka inaam hai..........ab chalo thoda fresh ho jao aap .......” juhi ne bade muhbbbat se kaha. Sahil bas dheere se muskura diya......use pata tha ki juhi ne kya kiya hai uske liye..........lekin wo to pari thi ............apne ahsano ka ahsaas kaise hone deti......... Sham hote hote khan sahb ke ghar par poora huzoom pahuch chukka tha.......saare jan ne pahchane wale ,colony ke sab log ......sab Mubarak bad dene aaye the............bas sahil ka apna koi nhi aaya tha....... Der rat tak party chalti rahi aur fir sab log so gaye............aaj bhi sahil ko neend nhi aa rhi thi......aaj bhi use aarti ki bahut yad aa rhi thi............aaj uske zindagi ka sabse bada din tha aur wo uske sath nhi thi.......sahil uski yado me khoye huye neend ke aaghosh me sama gya....... Dusre din subah hi media aur sahil ke coaching institute ke senior members aaye the........aaj tak sahil gum naam tha lekin ab nhi.............aur fir ab wo ek hara hua insaan nhi tha....media ke liye to ye ek badi khabar thi....”ek kisan ka beta IAS” Sahil ko aaj uske coaching me request karke bulaya gya...........sahil juhi ko sath lekar gya tha............sahil ko Rs 3 lakh ka prize diya gya tha coaching ki taraf se aur ek chhota sa lecture bhi diya usne...........sahil ke din lautne lage the.................. Usi din sham ko sab log baithe the jab sahil ne kaha........ “baba mai kal ghar ja rha hu........mummy papa se mile bahut din ho gaye.......” “haan,haan jao beta........fir kab tak lautege..........” khan baba ne kaha... “jee....kuchh kah nhi sakta.......fir shayd training suru ho jayegi......1 month bad .....to shayd whi se chalaa jau.........” “sahil yha ho ke jaana beta......hame bhi tumhari yad ayegi........” khan baba bole. “jee,jaroor aaunga........khan baba aapne to ek baap se badhakr pyar kiya hai mujhe...... .pata nhi aapke ahsaan kaise..............”sahil ki bat adhoori rah gai....sarfaraz sahib ne dant diya ...... “khabardar sahil, jo kabhi ahsaan kaha to..........ham sirf beta kahte nhi mante hai tumhe.........jao ghar........jab chaho aa jana..........apna hi ghar samjh karo..........aur kabhi koi bhi jaroorat pad jaye zindagi me to ek bar aajma lena hame..........” “mai janta hu uncle...........thank u....” sahil ka dil bhar aaya unki bat par....aaj bhi aise insaan hai is dharti par........... “abbu.....” juhi ki jo ab tak chup thi boli.. “”ha bolo gudiya............”srfaraz sahb ne pyar se kaha.. “jee wo....” “bolo beta kya bat hai........” “jee abbu mai aaj tak kabhi gaon nhi gayi......agar aap ki ijaajat ho to mai bhi sahil ke sath........” juhi ne darte darte kaha............ Sarfaraz sahib ka chehra thoda sa gambhir ho gya........unhone khan baba ki or dekha.......... “jao beta...jao ghoom aao ....gaon bahut pyari jagah hoti h.” khan baba ne kaha. juhi fir bhi sarfaraz sahib ki or dekhti rahi ............. “jao bhai,jab abba ne kah diya to...vaise bhi kahaa kabhi tumhe ham kahi ghuma pate hai..............tumhari ammi ke jane ke bad tumhare liye kuchh nhi kar paya beta...........” sarfaraz sahib ne sar jhuka liya bolkar. “plz abbu aisi bat na kare...........aapne kya nhi kiya hamre liye.......mai nhi janugi jane de...........” wo apne baba ke kandhe se lag gayi........... “are jao meri gudiya......jao apne saman pack kar liyo...........sahil beta tumhe to koi problem nhi hogi na..............” “jee....jee nhi uncle.............” sahil bola................juhi ka chehra khil utha...........wo daudkar andar chali gayi apni packing karne............wo gaon ja rhi thi..............apne sahil ke gaon ..................apne sahil ke sath............ *********************************************************************************** Sahil juhi ke sath apne gaon ke station par utar chukka tha.............aur wha sa seedhe market gaya............ Thodi der ke bad sahil juhi ko liye huye ghar pahucha.........june ka mahina tha aur wo dophar ko pahuche the jyada log nhi dikh rhe the.............sab apne apne gharo me the.............. Juhi gaon ke khule mahol ko dekhakr bahut khus ho rhi thi.............sahil use kuchh cheeje batata ja rha tha apne gaon ki ....... Sahil ghar pahucha ..............kisi ko pahle se pata nhi tha ki wo aa rha hai............ Darwaje par dastak ki aur papa ne darwaja khola.............. “sahil.......”wo khusi se jhoom uthe........... Sahil ne unke pair chhuye to unhone use pakad kar apne gale se lagaa liya................ Mummy ke bhi pair chhuye ...........juhi ko dekhakr maa ne puchha,.......... “ye kaun hai beta.............” “mummy ye juhi hai...meri dost.......” “achchaa......”maa ne badi gahri nazro se use dekhte huye kaha........... “Mummy kuchh laya hu aapke liye...........” sahil ne kaha aur bag se nikalalr ek chhota sa box rakh diya unke samne .......... “kya hai isme......chhod ........pahle tum dono hath muh dho lo ...kuchh kha lo fir dekhenge.........” maa ne kaha.. “nhi ....dekho aap pahle........” sahil ne jid ki. Mummy ne ek bar uske chehre ki or dekha........aur fir box khol diya.............. Box me mummy ki whi gahne ( jwellery ) thi jo unhone girvi rakh di thi sahil ki study me aur dheeraj aur renu ki study me .....lagbhg sabkuchh ke ek karke giirvi rakha gya tha...........unke pas srif ek magalasootra bacha tha,,,,,,,sahil station se utar karke sabse pahle wahi lene market gya tha............... Sahil ki mummy ki nazar jaise hi apne jewar par padi .......wo bhabhak kar rone lagi......aaj unke bête ne unhe wo tohfa diya tha jiski koi keemat nhi laga sakta tha............ wo unke mummy papa ke diye huye jewar the jinhe majboori me unhone girvi rakha tha... ................. Mummy ne sahil ko jor se apne gale laga liya aur phoot phoot kar rone lage................kitne dino bad ..kitno dino bad .........aur laya bhi to unka ladla........ “tujhe sabse pahle mere jewar yad aaye.........jeeta rah mere laal....” mummy fir se us se lipat kar rone lagi... “plzz mummy aap rowo mat................maine dekhe hai wo majboori wale din jab ek ek kar ke sab meri aankho ke samne se jate rahe..........aapki aankho ke wo aansu main dekhe hai..........tab mai majboor tha maa...ab nhi hu..............” sahil ne unhe chup karate huye kaha.. “are mera gehnaa to tu hai mere laal.......” mummy ne kaha aur sahil ke sar ko choom liya....... Sabki aankhe bheeg gayi thi ..............juhi ke dil me sahil ki ijjat aur badhti ja rhi thi.

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (19)
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    15. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 16 Khan baba room me pahuche….......sahil ko dekhkar bole……… “nirash mat ho beta…sarfarz ko phone kar diya hai….wo dekhta hai kya ho sakta hai………” “thank u khan baba……aap paresan na ho...........juhi ne mera form fill kar diya tha…..to ab koi problem nhi hai……….” Sahil ne pyar bhari nazro se juhi ki ro dekhte huye kaha,.... “shukr hai mere khudaya………..meri beti ha hi itani samjhdar ….aur tum???? Itane laparwah kaise ho gaye sahil?” “chhode na baba…….ab to sab thik hai na.....…………” juhi ne kaha.. “haan beta….ab bas tum dono dil lagakar padho…………is bar dekhna dono ka ho jayega mera dil kahta hai…………..achchha tum dono bat karo mai jara sarfarz ko bata du…paresan ho rha hoga……aur juhi aadhe ghante me dwa kha lena…………bhoolna nhi….” kahte huye khan baba room se nikal gaye. Juhi ne haa me sar hilaya………… “tumne apni kya halat bana li hai……………kaise padh paogi tum batao……” sahil ne uske pas bathte huye kaha. “fir aap mujhse naraz kyu huye the…….aur ek bar dekhne bhi nhi aaye ki jee rhi hu ya marrrrrrrrrrrr…..” juhi ki bat adhoori rah gayi…sahil ne uske muh par hath rakh diya……… “aisi baten nhi karte…………” juhi ektak uski aankho me dekhe gayi aur fir halka sa muskura di…. “ab mai bilkul thik ho jaungi sahil…….bas aap fir se ek bar lag jao…meri khatir….pllzz…..” “mai vada karta hu juhi,itani mehanat karunga jitni aajtak kabhi nhi ki…..apni taraf se koi kami nhi rahne dunga……….bas tum jaldi se thik ho jao …fir dono sath padheneg………” sahil ne juhi ka hath apne hatho me lete huye kaha…… Juhi bas haule se muskura di……… “ek bat batani thi aapko…………..” “kya” “Sahil aap shayad soch rhe honge ki maine aapki diary tab padhi jab aapke documents lene gayi….lekin maine us se pahle hi padh li thi…………..i m sorry…plz naraz mat hona aap…plz…” juhi ne confess kiya. “sorry to mujhe bolna chahiye juhi………..maine tumhare sath bahut bura sulook kiya………..” ek pal ko ruka sahil.. “juhi mai bahut bura insaan hu shayad isiliye aajtak zindagi me ek shakhs mera nhi hua…kisi ko nhi jeet paya…” sahil ne kaha. Juhi ke dil me aaya ki bol de aapne mujhe jeet liya sahil lekin na bol saki……… “nhi sahil …bure wo log the jo aapko mile….aap jaisa insane to khuskisamt logo ko milta hai………….ab ye sab baten mat kiya Karen …mujhe pata hai jo aapke sath hua hai use bhoolna aasan nhi hai..par aapko use aasan banana hoga…………” juhi ne bade apnepan se kaha. Sahil ki aankh ek bar fir aarti ko yad karke bhar aayi…………lekin usne apne aansu nahi niklne diye….. “sahil mera dil kahta hai aapke hisse me jitney gham the aapne sab jhel liye…….. ab ek khus-hal zindagi baahen failaye aapka intzar kar rhi hai………………dekhiyega ab aapki life me sabkuchh sirf achchha hi hoga………..” “achchha baten chhodo ,chalo dawa kha lo.............khan baba bol kar gaye hai na…………” sahl ne pani ka glass uski or badhate huye khaa… Juhi ko ek anjanai si khusi ka ahsas hua………usne sahil ke hath se pani liya aur dawa kha li………… “juhi tumhari is halat ka jimmedar mai to nhi hu na……….” sahil ne jane kyu puchh diya. “nhi” juhi ne dhheere se kaha aur nazre jhuka li………… “juhi,tum dekhna mai ek bahut achcha insane banunga………...ab tumhe kabhi koi dukh shikayat nhi hogi mujh se .......tum meri zindagi me us pari ki tarah aayi jo kisi ke toote sapne sawar kar unme naye rang bhar deti hai………mai ye din kabhi nhi bhoolunga,.......thnax juhi ..........” aaj sahil ki aankho me ek pachhtawa tha aur ek ijjat thi juhi ke liye........... “aap baten bahut achchi kar lete hai.............”juhi ne dheere se kaha aur muskura di. “achcha ab tum aaram karo.....mai jara apen notes aur books doondhta hu ...ab padhna hai na......” sahil ne kaha.... Juhi ke chehre par fir se muskurahat aa gyi aur usne haa me sar hilaya........... Ab juhi ki tabiyat sambhl gyi thi .........uska rang ropp fir se kisi gulab ki kali ke jaisa khil utha tha......fir se kisi jannat ki pari ki tarah khoobsoorat lagne lagi thi.............sahil ne uski sari jimmedari apne upar le li thi........uski dawa,uska khana peena aur uski padhai..........khan baba ya sarfaraz sahib kisi ko koi aitraz nhi tha....dono ko hi bharosa tha ki sahil ek bahut achcha ladka hai aur kuchh aisa nhi karga jis se unhe sharmsar hona pade..........unhe ahsaas tha ki juhi ko ek dost ki jaroorat hai aur sahil se uska rista dosti wala hi hai............... Sarfarz sahib jab bhi upar aate dono ko padhte huye pate aur unhe behad khusi hoti............sahil unhe bilkul apne bête ki tarah lagne laga tha...........sahil aur juhi ab din me sath hi padhte the............aur rat ko dono apne apne room me........... Juhi ko ab lagne laga tha ki sahil aarti ko bhool gya hai.........aur ab wo sahil par apna hak samjhati aur kabhi kabhar use pyar bhari ghudaki bhi deti............ek bar fir se sahil jeene laga tha..............sahil ko bhi juhi ka sath achchha lagta.............. Juhi din b din sahil ki muhabbat me doobati ja rhi thi.............jitna khyal uska sahil rakhta utana to kabhi kisi ne nhi rakha tha..........sachchi muhabbat kya hoti hai iska ahsaas hi use sahil se milkar hua tha...........subah aaakr roj use jagata .........aur fir din me juhi kitna bhi kahe aaj padhne ka mood nhi hai....lekin sahil na manta..... sahil ke sath sath padhna juhi ko aasan lagne laga........aur ab wo roj koi na koi bahana karke sahil se apne naj uthwati....................aakhir thi to wo bhi ladki hi.......uske man me bhi ek kuwari ladki ke jaise sapne the....koi use pyar kare ...use toot kar chahe...uske nakhre uthaye...............koi ho jo sirf uska ho... “.......agar ammi hoti to bhi is se jyada pyar mujhe nhi karti” ....juhi ke man me kayi bar ye khyal aata ..........lagta hi nhi tha ki ye whi sahil hai jo kuchh din pahle itna bikhra bikhra sa lgata tha......ye ishq bhi na ........!!!!!!!!!!!!!!!. “sahil ,aap wakayi muhabbat karne ke layak ho...............”juhi apne dil me sochti .... “ ........aapki muhabbat ki shiddat se mujhe muhabbat ho gyi hai.....koi kisi ko kaise itna chah sakta hai..........kaise????.......kash aapko mujhse bhi kabhi aarti ke jaisi muhabbat ho jaye.....mai aapko uske jaisa dhokha nhi dungi sahil,,,,bas ek bar.........”juhi ne khud se kaha aur sharm ke mare apna chehra apne hatho me chuupa liya......... Aaj 19th MAY ka din tha ..........Sahil aur juhi dono ka kal pre exam tha ....................dono subah se hi padh rhe the............sham ke 6 baje gaye the aur juhi ab bahut thaki thaki si lag rhi thi............sahil ne ek bar uski or dekha........ “thak gyai na” dono eksath sofe par baithkar padh rhe the........... “hmmmmmm” juhi ne book ek taraf rakhte huye kaha.......... “thodi der aaram kar lo.........” Juhi ne kuchh nhi kaha..aur chupchap sahil ke kandhe par sar tika diya aur aankhe band kar li......... “sahil” juhi ne dheere se use pukara. “ha bolo” “sahil agr mera nhi hua to baba ko kya bolungi..........” “pagal ho kya........tumhara jaroor hoga dekh lena....aur ek bat bolu ...............jo hamse sachchi muhabbat karte hai unki muhbbat hamari safalataa ya asaflata ki mohtaj nhi hoti.........wo to bas muhabbat karte hai......fir chahe ham zindagi me kuchh hasil kar paye ya na......aur khan baba to tumse babhut jyada muhabbat karte hai............” sahil ne use pyar se samjhate huye kaha.... “sach?????” “ha bikul sach.......bas insan ko mere jaise badnaseeb nhi hona chahiye............jise kabhi sachchi muhabbat mili hi nhi...jise har muhbbat karne wala khudgarz mila.........” sahil ke labo par na chahte huye bhi ek talkhi ,ek shikwa aa gya....... “kyu meri muhabbat sachchi nhi hai ?????????” achanak juhi ke muh se naikal gya......... “kyaaaaaaaaaaa??” sahil ka muh khula ka khula rah gya.......... “meri matalab hamari dosti .......bolo kya sachchi dost nhi hu mai?????? ” juhi bhi apni bat par sann rah gyi ur kisi tarah se bat sambhalte huye boli..........wo sahil ke kandhe se alag hokar baith gyi. “tum to bahut achchhi ho juhi............tumhari jaisi dosti to na koi kar sakta hai na nibha sakta hai.......kash mai bhi kabhi zindagi me tumhare liye kuchh kar pau..........” sahil ne bhi juhi ki bat ko ignore kar diya..shayad use bhi laga ki achanak juhi ke muh se nikal gya hoga ........ “aap aisa kyu bol rhe hai......aapne to itna kiya hai mere liye........aap jaisa dost koi ho hi nhi sakta...achcha chhode in bato ko...mera kuchh khane ka mann kar rha hai..........pizza order kare.....”juhi jaldi se jaldi topic khatm karna chati thi...use dar tha ki kahi wo galti dubara se na kar de............. “nhi kal exam hai na...........kuchh ulta pulta nhi khana hai..............” sahil ne kisi bade budhe ki tarah saf mana kar diya.......... “huh...jalim zamanaa ” juhi ne ek shokhi se kaha aur muh fulaa liya...........sahil ke sath ne uske husn ko aur nikhar diya tha...ab wo bhi patar patar bolna ,ladai karna..roothanaa ...sab sikh gayi thi...........ur fir thodi der bad whi hua ...sahil usko manane me lag gya............aur juhi khus ho gyi...........kitni masoom si tamnna hoti thi uske dil ki. Subah uth kar dono taiyar huye ......aur ek dusre ko all the best bola....... Sahil aur juhi subah apne apne centre parr exam dene pahuch gaye the.........dono ne dil me ek dusre ke liye dua mangi........aur apne apne exam me lag gaye.,... Sham ko juhi pahle ghar pahuchi .......sabne puchha exam kaisa hua ........usne simple sa jawab diya........”thik hua hai...result aane par hi pata chalega..” Juhi apne kamre me baithi besabri se sahil ka intzaar ka rhi thi...........lagbhag 1 hr bad sahil bhi ghar pahucha .......seedha juhi ke room me gya......... “kaha rah gaye the aap?...paper kaisa hua.........” juhi ne use dekhte hi sawal dag diya.......... “tumhara kaisa hua.........??” “nhiii...pahle aap bataye........? “juhi kahaa man ne wali thi. “achchha hua hai...ho jayega pre me to “ sahil ki aankho me gazab ka confidence tha....... “yesss...mujhe pahle se hi pata tha..........i knew it ...ab to aap MAINS ki taiyari suru kar do....“ juhi khusi se uchhal padi.. “are tum to batao...kaisa hua ??” “thik hua hai.....umeed to hai...........”juhi ne kaha.... “ho jayega tumhara dekh lena....” sahil ne kaha..... “I hope so.............chaliye baba se milte hai niche aur fir kahi challenge ghoomne bahut time se sadi huyi books dekh dekh kar mood off ho gya........” juhi ne sahil ka baju apne hath me lete huye kaha......sahil ko thoda ajeeb laga lekin kuchh bola nhi...dono niche chal diye........ Sahil ki zindagi fir ek do rahe par aa rhi thi..........ek taraf bachpan ki muhabbat ,jisne kam se kam uski nazro me use dhokha diya tha, aur dusri taraf ek masoom si pari jiska dil todana kisi paap se kam nhi tha aur sabse jaroori bat ----jiske ahsaano ke tale sahil dabta chala ja rha tha............ Aasan si lagne wali zindagi kitni muskil ho jayegi kisi ko andaza bhi nhi tha..........kash muhaabat na hoti ........ . . . . . . .. . . to shayad kuchh bhi na hota. Lagbhag 2 months hone ko aaye the sahil aur juhi result ka wait kar rhe the aur mains ki taiyari bhi kar rhe the............juhi sahil ko ab apna samjhne lagi thi ...........un dino ke bad se sahil wakayi bikul badal gya tha...........bahut khus to nhi lagta tha lekin ab mayoosi nhi dikhti uske andar ...............ab wo khud bhi bahut mehnat karta aur juhi se bhi karwata............. khan baba ki tabiyat thodi kharab rahti thi ......aur juhi ko unki chinta hoti thi.......lekin sahil ke rahne se use bahut sahara miilta ............ wo sar se paav tak sahil ki muhbbat me doob chuki thi ....lekin kabhi kahne ka hausla nhi hua..................use lagta tha ki ek na ek din sahil ko ye ahsaas jaroor ho jayega................ Aur wakayi sahil ko ahsaas hone laga tha ki uski aur juhi ki dosti , dosti ke rishte se kuchh aage badh rhi hai lekin wo aisa nhi chahta tha...........uske dil me kya tha koi nhi janta tha ..................juhi ne bhi kabhi use kuredne ki kosis nhi ki........uski muhbabat to ek bahut pak jajba tha jisme khudgarji ka ek ansh tak nhi tha............. “Sahil “ juhi ne sahil ko pukara, dono sath baithe padh rhe the...juhi apne bed par lete huye aur sahil whi pas me rakhi chair par baithkar.......... “hmmm???” sahil jo ki books me sar gadaye huye the ,dheere se bola.......... “ek bat puchhu??” “hmmm” “kya sachmuch muhabbat bahut buri cheej hai????????” juhi ne itani masoomiyat se puchha ki sahil ko hasi aa gyi...........wo uski taraf badi gaur se dekhne laga aur muskurate huye bola.......... “achanak ye kaha se aa gyi.....” “batao na sahil ..plzzz...” juhi ne kaha. “...tumhe kya lagta hai??” Juhi sakpka gayi.........sahil ki aankho me kuchh aisa tha ki use sharm aa gyi..... “mujhe kya pata.........maine to kabhi............” “ha ,tumne to kabhi muhabbat ki nhi na.......” sahil ne uski bat puri ki,.. “’ha whi to.........” jui ne tapaak se kaha.... Sahil ne apni books ek taraf rakhi aur juhi ki or mud gaya............ “ha juhi...muhbbat bahut buri hoti hai...bahut jyada.........isme sirf gham milta hai.......jab tak muhaabt nhi hoti achcha hai....kam se kam ek bharam to rahta hai ki ye bahut pyari ,baht khoob soorat hoti hai.....lekin sachchhai aisi nhi hoti..............bahut bura rog hai.......ek bar lag gay to fir kabhi nhi jata............” sahil ne apni hari huyi mhbbat ki kahani ko sare jahaan ki muhaabt bana diya.............. Juhi puchhna chahti thi ki kya wo abhi bhi aarti se pyar karta hai lekin puchh na saki............wo nhi chahti thi ki ek bar fir se sahil udas ho.......lekin use ye puchhne ki jaroorat hi nhi padi.......... “juhi, mai bhi kabhi yhi sochta tha ki muhabbat bahut haseen jajba hai..bahut kismet wali ko naseeb hoti hai...........lekin sab dhokha hai yar.........sach to ye hai ki ye kuchh hoti hi nhi ........rishte,nate..muhbbbat ..sab matalb ki baten hai....life me sirf end matter karta hai.........agr tum life me successful ho to sare rishte hai ,aur agr tumhare paas kuchh nhi to rishte bhi nhi rahenge..........bas maine to itna hi sikha hai...................” sahil ki baten sunkar juhi ko bahut dukh ho rha tha........... “to ab aap kisliye itna hard work kar rhe ho ............aapko to pata hai na ki sab dhokha hai.........?????? ” juhi ki aawaz me pahli bar talkhi aa gyi......use ahsaas tha ki sahil aisa kyu kah rha hai.........lekin sahil ki baten use apni muhabaat ki tauhin lag rhi thi aur us se bardasht nhi hua........... “sirf isliye ki us “ BEWAFA” ko dikha saku ki mai uske bina bhi jee sakta hu,apne sapne pure kar sakta hu...” sahil bol gya,lekin is bat ko bhool gya ki agar waqt rahte juhi ki muhabbat ne uska hath na tham liya hota to shayad aaj wo zinda bhi na hota........isi muhabbat ki wo tauhin kar rha tha usi muhbbat ne ne usko ek nayi zinadgi di thi..........bas is bar muhabbat kaa rang alag tha..... ....juhi ko behad dukh hua uski bat sunkar........... “ meri dosti bhi dhokha hi hai na sahil ??” juhi ne bade bujhe man se kaha....aur apni nazre fer li....... Sahil ne uski or dekha ...juhi ki neeli aankho me aasnu bhar aaye the.....aur uske gulabi hoth fadfada rhe the....aansuo ko rokane ki bepanaah kosis kar rhi thi........... juhi janti thi ki jo kuchh sahil kah rha hai sachchai uske bahut alag hai .......sahil abhi sirf wo kah rha tha jo aarti ki “ BEWAFAI” ” us se kahlwa rhi thi..........uske man me aisa nhi tha..........lekin fir bhi uski baton se juhi ko bahut dukh pahucha tha................... sahil ko ahsaas ho gya ki juhi ko uski baton se dukh pahucha hai....... wo chair se utha aur juhi ke pas bed par baith gya............... “I m sorry ...mera iradaa tumhe hurt karne ka nhi tha............” sahil ne uski najuk si kalai apne hath me lete huye kaha.............juhi ka jabt jawab de gya aur uski aankh se ek aansu bistar par tapak gya.............. “I m sorry juhi...........” par juhi ne uski or palat kar nhi dekha.......... “tum bhi rooth jaogi to kaise jiyunga yar.............bas ek tumhi to bachi ho mere pas.........mujhe fir se akela mat karna.....” sahil ko bhi ab dukh ho rha tha....taza taza jakhm tha fir se ubhar gya............usne bade jajbati lahje me kaha..... Sahil ka itana kahna tha ki juhi ne use kheench kar apne gale se laga liya..............wo to thi hi muhaabt ki pari................sahil ki jajbati baten kasie bardasht kar pati........ “nhi sahil mai aapse naraz nhi hu........i m sorry.......mai aapko kabhi akela nhi choodungi .........kabhi bhi nhi ...” juhi sahil ke gale se lag kar rone lagi aur sahil pyar se uske reshmi balo me hath pherta raha.....thodi der bad sahil ne juhi ko alag kiya..... “juhi.sorry yar.......kisi aur ke liye....nafarat thi dil me...............tumhari dosti dhoka kaise ho sakti hai...tumhari dosti ne to ek nayi zindagi di hai mujhe...ek maksad diya ..........meri ye puri zindagi hi tumhari dosti ki amaanat hai..........” sahil ne uske hath ko pakde pakde pyar bahre lahje me kaha.... Juhi ke chehre par ek sukoon tha............ “sahil, rishte bure nhi hote.....log bure hote hai..........” “haan.......tum itani samjhdari ki bate kaise kar leti ho......achcha chalo ab padhai karo.......” Sahil ki bat par juhi halka sa muskurayi ...use pata tha ki sahil ke andar abhi bhi whi pyar bhara dil hai aur bas tamanna yhi thi ki kash wo dil ek bar mere liye bhi dhadke ......use poori umeed thi ki ye jaroor hoga...............usne apni books pakdi aur fir se dono padhai me lag gaye............. Lagbhag 1 week bad prelims ka result aa gya...........baba,sarfarz sahb ,juhi aur sahil sare log ek hi kamre me maujood the..........poora parivar computer screen par nazre jamaye huye tha................. Sahil ne site kholi aur result downloada kiya.......pahle sahil ka rol no dala gya.................. “05534” sahil ka ho gya tha...jiski ki sabko umeed thi ...............juhi khusi ke mare jhoom gayi...lekin sahil ne sabko chup karaya aur juhi ka roll no feed kiya.............uske liye juhi ka hona apne hone se jyada mayne rakhta tha......... “05670” Aur is bar sabke muh se khusi bhari kilkari nikal gayi .....juhi khan baba se lipat gayi aur sarfarza khan ne sahil ko gale se laga liya.... “sabash meri bachchi ............mujhe pata tha ki tu jaroor pass ho jayegi” khan baba ne uske mathe par choomte huye kaha....... Sarfaraz saheb ne bhi juhi ko gale se lagaa liya........... “jeete raho beta...allah tumhe lambi umar de..............” khan baba ne sahil ko gale lagate huye kaha........... “chalo sarfaraz jara sabko pata to chale ki hamari juhi ne apne sapne ki pahli seedhi par kar li hai.........” khan baba ne sarfarz sahab ke shaane par hath rakhte huye kaha...... “jee abaa” sarfaraz sahab bhi behad khus the........aur dono niche chal diye....room me sirf sahil aur juhi bache ......... “thanx sahil” juhi ne bade payr se uski or dekhte huye kaha.......... “are pagal ho kya...thanx to mujhe bolna chahiye.............aur agar tumhara nhi hoga to paap nhi lagega UPSC walo ko...............itani pyari si ladki ka dil todane ki gustakhi kaun kar sakta hai bhalaa.......”sahil bhi aaj bahut samay ke bad behad khus lag rha tha.............. Juhi ko sahil ki bat bahut achchi lag rhi thi........ “sach sahil ....baba kitne khus the.........aur abbu bhi................sachchi khusi to tabhi hoti hai jab apno ke labo par muskurahat aa jaye..............mai aaj bahut khus hu sahil ...i m really happy.............ye sab tumhari vajah se hi hua hai.......thanku ...thanku...thanku......” jhui bolti huyi sahil ke gale lag gayi.......... Sahil ko ahsaas hi nhi hua mano...........wo to juhi ki usi bat me ulajh gya tha ki.. “apno ke labo par muskurahat” ...............kash koi mera bhi apna yha hota aaj..............kash aaj wo yha hoti jo meri sabse jyada apni thi..............kashhhhhhhhhhh... Juhi jo khusi ke mare sahil ke gale lag gayi thi...........use jald hi apni galti ka ahsas hua............aur wo tejise sahil se alag ho gayi.......uski nazre sahlil ke chehre ki taraf gayi..............ek dard tha uske chehre par..........juhi ko kuchh kuchh samjh me aa rha tha........... “kya hua sahil.....”usne sahil ka hath apne hatho me lete huye kaha............... “kuchh nhi.......”sahil ne apni halat sambhalane ki nakam kosis ki............ “aarti ki yad aa rhi hai????????? “ juhi ke dil me ek dard utha........ Sahil chup rha............ “yad aa rhi hai uski ???” juhi ne fir puchha....... “haa juhi.....mujhe yad aati hai uski..........bahut yad aati hai................jab usne mujhe chhod diya to uski yaden bhi mujhe kyu nhi chhod deti...kyu mer sukoon barbad karti hai................kyu mai use bhool nhi pata hu juhi...kyu????????” sahil juhi se lipat gya.............. juhi ko laga jaise kisi ne uske sapno ka gharonada kirchi krichi bikher diya.........wo gumsum si sahil ko gale lagaye room ke bicho bich khadi thi............ “mai tumhe nhi jeet paungi sahil.............. kabhi nhi.......”juhi mano har mante huye khud se kah rhi thi........... “lekin sahil zindagi bhar muhabbat to tumse hi karungi.......chahe tum mujhe kabhi na milo........muhabbat pana ya na pana- ye to kismet ki bat hai....... lekin muhbbat karne se to mujhe koi nhi rok sakta,,,,tum bhi nhi..........” usne apne man me soch liya tha.... “sab thik ho jayega sahil mai hu na....” juhi ne sahil ko pyar se bahlate huye kaha.......... thodi der bad pure ghar me ek jashn ka sa mahol tha...............sahil lakh samjhataa ki abhi do exam aur pas karne hote hai................lekin khan baba ke liye har chhoti khusi bhi badi khusi hoti thi .............ek zindadil insaan the wo... Rat ko lagbhag 9 baj rhe the ....mid july ka mahina tha aur mansoon ne delhi me dastak de di thi...............bahar halki halki barish ho rhi thi............sare log rat ka khana kha kar ek sath baithe the............. “sahil beta,khuda ne mujhe sabkuchh diya ............bas ek bête ki kami lagti thi......tumhe pakar lagta hai wo kami bhi poori ho gyi.........bahut apne se lagte ho tum.........” sarfarz khan jo apni masroofiyat ki vajah se sab ke sath kam hi rah pate the,aaj kahi nhi gaye aur sabke sath sath baithe baithe apne dil ki bat bolte rahe...sahil unke pas hi batha tha............ “bilkul sahi kah rhe ho sarfaraz.......sahil apna hi to hai......” khan baba ne bhi hami bhari.... “baba,ye to aap logo ka pyar hai.........” sahil ko kuchh kahte na bana. Juhi bas chupchap baithi thi ..aur kabhi kabhi chor nazro se sahil ki or dekh leti.......... “juhi beta tum ek bar ajmer sharif ho aao........fir dekhna tumhara baki ke exam me bhi aaram se ho jayega.........” baba ne kaha. “par baba.....mai akele kaise.......???” juhi boli. “aree akele kyu jaogi........sarfaraz le jayega........kyu bhai..time hai aapke pas..........” baba ne puchha. “abbaa wo..wo....sahil hai na ....sahil beta agar tum thdoa sa time nikal sako to............” sarfaraz sahib ne sahil ko aage kar diya.......... “nhi...har bar bachche ko pareshan karte ho............tum khud jao...........” “abba ..wo bahut important client se meeting hai..............” Ek pal ko sab log chup ho gaye........... “baba ,agar aapki ijajat ho to mai le jata hu...agar aap is layak samjhe to...........”sahil bola.. “are kaisi bat kar rhe ho sahil beta...........tum par to hum aankh band karke bharosa karte hai.....hum tumhe beta kahte nhi mante hai sahil.........mai to bas isliye kah rha tha ki tumhe lagega ki har bar ye nalayak tumhe paresan karta hai..........agar tum ja sako to is se jyada achchhi bat kya hogi...............” khan baba ne bade apnepan se kaha. “beta mante hai to fir kaisi taklluf.......mai chala jaunga...........” “khus raho beta” khan baba ne kaha “thanx beta...mujhe pata tha tum mana nhi karoge.........” sarfarza khan ne kaha. “chalo bhai ab tum dono baten karo ya padho.............mai to chalta hu ab..............” “aayen abba.............aapko room me chhod deta hu........” Khan baba aur sarfaraz ke jane ke bad juhi aur sahil hi rah gaye the............ “”aapko to koi aitraaz nhi hai mere sath chalne me........” sahil ne juhi ko chheda. Juhi thodi Sharma si gayi..............aur naa me sar hila diya.. “Thik hai fir kl taiyar rahna...........good night” sahil bolta hua bahar nikal gaya...... “good night” juhi ne kaha.. “tum ek bar kah kar to dekho mai zindagi bhar ke liye sath chal dungi sahil “ juhi ne uske jane ke bad dheere se kaha......... Dusre din sahil aur juhi ajmer sharif pahuche........khud ki car se aaye the........driver sath me tha lekin ajmer sharif me wo kisi jan pahchan wale ke yha chala gya tha aur juhi aur sahil dono dargaah par aa gye the......... Juhi ne sahil ke liye aur sahil ne juhi ke liye dua mangi.......... “ye mere maula..........sahil ko sachchi muhbbat mil jaye...........bas itna karam karna..........” juhi ne dua ki . .......dua usne sachchi muhabbat ki mangi thi .........apni muhabbat ki nhi.............kitna payar aur sachcha jajba tha uske dil me........... “ai malik ,juhi ka sapna poora kar dena..........uska sapna nhi tootna chahiye,,,mere hisse me agar koi khusi ho to wo bhi is masoom si pari ke hisse me kar dena ...........ek aur rahmat karna..meri aarti ko salamat rakhna...use mafi de dena..........bas mujhe aur kuchh nhi chahiye......” sahil ke dil se aaj bhi aarti ke liye dua hi nikli thi .........wo lakh kahe use bewafa...............lekin muhabbat itani aasani se nhi marti ..... Sahil aur juhi bahar nikla rahe the ki ek faker ne hath faila diya.......... “parwar digar aap dono ki Jodi banaye rakhe beta.....bahut khoobsoorat joda banaya hai upar wale ne aap dono ka............zindagi phulo si mahke aap dono ki.........bal bachche salamat rahe aapke...fakeer ki kuchh madad kar beta......” juhi to mano sharm ke gad si gayi....par use achchh laga tha...dil chah rha tha juhi ka bas ye pal yhi rook jaye...........usne dil me soch kash fakeer baba aapki bat sach ho jaye...aur kuchh paise nikal kar fakeer ke hath par rakh diye......... “sada sukhi raho beta.....allha aapke shouhar ko lambi umar de.......... aapke pariwar me barakkat de..........babu sahib, bachcho ke nam ki dua karwa lijiye....... “ faker ne kaha.. Sahil ke bardasht se ab bahar ho rha tha...........aur idhar bachcho ka nam sunkar juhi ka gal ekdam se lal ho gaye..........wo jaise khud me hi simat si gayi........... “ye chupchap nikal idhar se........kisne kaha ki hum shadi shuda hai.....” usne gusse se kaha . “babu sahib, nikah nhi hua to ho jayega...........meri duaaaaa....” uski bat adhoori hi rah gayi.... “band kar apni bakwas....hmmmmm....chal nikal..”usne buri tarah se jhad diya ...bechara fakeer apnsa muh lekar aage badh gya.. Juhi ko bada majaa aaya tha ye jhadap sun kar ...sahil ka gussa hona use aur bhi majja de rha tha..........par dil ke kisi kone me ek halki si tees uthi thi.....kashhhhhhhhhhhhhhhhhh. Sahil ne ek bar juhi ki or dekha...wo niche ki taraf dekhte huye muskura rhi thi..........sahil ko samjh me nhi aay ki kya bole.........kafi bhid thi us jagah par... “chalo ............jane kaha kaha se aa jate hai.. ’ usne juhi ki kalai pakdi aur age badh gaya......... “sahil aap is tarah gusse me hote ho to bahut cute lagte ho.” Juhi ne zara sa use chhed diya....... “hummm...usne pahle hi bahut mood kharab kar diya hai ..ab tum aur mat karo..............” sahil ne kaha aur juhi ka hath pakde aage badhta raha.... Jahaa bhid jyada hoti sahil juhi ka hath chhodkar use dono or se hath failakar apane baho ke ghere me le leta aur age badhne ki kosis karta........juhi ko bahut achcha lag rha tha.....wo khud ko bahut mahfooj mahsoos kar rhi thi............kash ye safar kabhi khatm na ho............uske dil me bas yhi aawaz uth rhi thi............... Kashhhhhhhhhhhhhhhhh.............juhi ka dil is kashh ki kahani se aage nhi badh paa rha tha.......ya shayd uski kismet use aage badhne nhi de rhi thi......... “mai tumhe pane ki har kosis karungi sahil.........agar meri kismet me hi tum na huye to apni kisamt se to nhi lad sakti na.””” Juhi ko sahil ke sath chalnaa bahut achchha lag rha tha...... “zindagi kitni aasan ho jaye agr in majboot baho ka sahara meri kismat ban jaye........” juhi ke dil me ek kasak si uth rhi thi.......... Sahil in ab socho se door juhi ko bachate huye bhhed se nikalne ki kosis kar rha tha.......... Achanak ek jor ka shor hua aur bheed me bhagdad mach gayi..............sab log teji se idhar udhar bhagne lage.....shayd kisi ne koi afwah faila di thi ...lekin ek bar jo log bhagna suru huye to fir kise parwah thi ki sachchai hai ya afwah.......... Sahil ka hath juhi se chhut gya aur juhi pichhe chhutne lagi....log teji se aage ki or bhag rhe the aur sahil pichhe ki or daudane ki kosis kar rha tha............juhi pichhe hi rah gayi thi................kisis tarah se sahil pichhe badh rha tha...lekin juhi kahi nazar nhi aa rhi thi.................. Idhar juhi ek kone me dubki ro rhi thi..........uske left pair me chot aayi thi aur wo chal nhi paa rhi thi bhagne ki to bat hi bahut door thi.............. “sahil ...kaha ho aap...........sahil............plzzzz....” wo ro rhi thi aur sahil ko pukar rhi thi...........juhi ka phone bhi bheed me kahi gir gaya tha.............. sahil bhi badhwas sa use dundh rha tha.........bheed bahut jyada badh gayi thi aur puri afara-tafri jaisa mahaul ban gaya tha.........sahil ka dimag bhi kam nhi kar rha tha aur wo juhi ko dhundhata hua dusri or nikal gya............ sahl ki aankhe bhi bhar aayi ..........”plz god aisa kuchh mat karna ki mai fir se kise apne ko kho du.......agar juhi ko kuchh ho gya to kaun sa muh lekar jaunga mai khan baba ke pas ...........nhi .use kuchh nhi hoga........ek dost to mai pahle hi kho chukka hu...ab fir se nhi kho sakta........” sahil paglo ki tarah idhar udhar juhi-juhi pukar rha tha........ “kaha ho sahil aap...plzz aa jo mujhe bahut dar lag rha hai..........khuda plz..mere sahil k mila do........sahil...sahl...kaha ho aap.........” juhi ab bahut tej tej ro rhi thi aur bheed me chillate bhagte log ghur ghur kar uski or dekh rhe the............ ‘chal mai le chalta hu tujhe....ae police hai udhar ..chal unke pas.......wo pahucha denge tujhe.......” ek gunde se dikhne wale aadami ne uska hath pakda......juhi ki to mano jan hi nikal gayi.......wo buri tarah sse dar gayi ....hath chuddane ki nakam kosis kar rhit hi...lekin us kale kaloote aadami se chhut pana us najuk kali ke liye impossible hi tha..............koi bhi uski or dhyan nhi de rha tha aur sab jidhar jagah mil rhi thi bhag rhe the............... Juhi ab buri tarah se ro rhi thi aur chilla rhi thi..........”sahil ..plz bacha lo .....sahillllll” uske gale se jor ki cheekh nikli ...aur mano uski dua khuda ne sun li........... Wo gunde jaisa dikhne wala aadmi lagbhag use ghassetane hi wala tha ki “juhiiiiiiiiiiii” sahil badhawas sa bhagta hua use aata dikha............ “sahillll” juhi jor jor se rone lagi sahil ko dekhkar........ Sahil pas pahucha hi tha ki ..........wo gunda cheekhte huye bola........... “sale zinda rahna chahta hai to chuchap nikal le...........” Sahil to use juhi ko daboche dekhkar hi mano pagal ho gaya .........usne us gunde ki bat suni bhi nhi shayad ...dan-danaate huye uske pas pahucha aur sahil ka jordar ghunsa uske jabde ko tod gaya............. Sahil ke sar par jaise khoon sawar ho gya tha ,aur wo gunda uska jabardast ghunsa kha kar ek taraf ludhak gaya...sahil ne ghunso aur laton ki barsata kar di............ “kamine teri himaat kaise huye meri juhi ko chhune ki............chhua kaise tune ise........” Wo gunda bhi sahil se tagada hi tha lekin sahil ke gusse ke age uski ek na chali....use sambhalane tak ka mauka nhi diya sahil ne.......... Buri tarah se peet rha tha sahil use...uski nak aur muh se khoon nikalne laga tha...sahil ka ye roop dekhkar juhi whi pas me padi huyi kaap rhi thi........... “sale meri juhi ko chhua tune, teri jaan le lunga mai.........” sahil ke hath nhi rook rhe the,. “Sahil chhod do use...mar jayega ........plz....” juhi sachmuch bahut dar gayi thi............aur bahut tej tej ro rahi thi.........wo gunda sachmuch adhmara ho chukka tha................aur shayad behosh bhi........ “sahil plz.....tumhe meri kasam ...chhodo use............”juhi lagbhag cheekhte huye boli....sahil ne juhi ki or dhokha...gunde ke chehre par ek jor ki lat mari aur juhi ki or badh gya................. Sahil ne jhuk kar juhi ke sar par hath rakha aur juhi us se lipat kar buri tarah se bilakh kar rone lagi.............. “chup ho jao juhi plz.....mai aa gya hu na ...kuchh nahi hoga tumhe........plzzz chup ho jao.......”sahil dheere dheere uske balo me hath ferta hua use tasalii de rha tha aur juhi uske chaude seene me muh chhupaye buri tarah se bilakh rhi thi.......... “sahil aap nhi aate to.............”...juhi ne sar uthakar sahil ki or dekha..........aur ek bar fir se rone lagi...... “kuchh nhi hota tumhe...........aag laga deta mai jamane ko aur is khuda ko bhi agar tumhe kuchh ho jata to”” ........... sahil ne usko apne bajuo me bheenchate huye pyar se uske sar ko chum liya........juhi ka dil ek pal ke liye bahut jor se dhadka....... Bheed ab chhat chuki thi aur kafi sari police aur CRPF us jagah pahuch chuki thi..........condition abhi bhi bahut tanav poorn thi...... Juhi sahil ko pakad kar khadi huyi lekin us se chala nhi ja rha tha...........usne majboor hokar sahil ki or dekha......sahil ne bhi uski aankho me dekha aur fir use apne bajuo me utha liya...........juhi thoda jhijhak rhi thi fir usne dheere se sahil ke gale me bahe dal di............... uske dil me sahil ki whi bate chal rhi thi......”aag laga deta mai jamane ko agar tumhe kuchh ho jata to” .........sahil ki har bat par juhi ka dil uski or jhukta ja rha tha........”.thank u sahil “ usne man hi man kaha aur halki si muskurahat uske labo par aa gyi.......... Juhi lagatar sahil ke chehre ki or dekh rhi thi ...............lekin sahil uski or nahi dekh rha tha....wo use uthaye aasani se aage badhata ja rha tha...........lagbhag 10 minute chalne ke bad sahil juhi ko lekar road par pahuch gaya................ Sahil ne ek taxi wale ko roka aur kisi hotel me chalne ko kaha.............karib 30 minute ki drive ke bad sahil aur juhi ek thik thak se hotel ke kamre me the...............dono ke bich koi bat nhi huyi thi.....juhi abhi bhi sadme me thi aur sahil ko apni galti lag rhi thi...........jabki reality me to uski koi galti thi hi ni.......... Sahil ne juhi ke liye juice order kiya ......aur reception se bat karke ek doctor ko bhi bulaya..........Dr ne juhi ko dekha aur bataya ki koi khas problem nhi hai bas kuchh hi dino me khud hi sahi ho jayegi............aur kuchh medicine dekar chala gya............. Din ke lagbhag 3 baj rhe the ...........juhi dawa khakr bed par leti thi aur sahil whi pas me rakhe sofe par baitha tha.............usne apna phone nikala...........sarfaraz sahib ki 16 missed calls thi ....usne fauran hi unhe phone lagaya........ “sahil ,kaha the tum ...phone kyu nhi utha rhe the..juhi ka phone band ja rha hai...thik to ho tum dono...wha kya hua hai...television par dikha rha hai ki curfew lag gya...”sarfaraz sahib ne phone uthate hi sawalo ki jhadi lagaa di.............. Sahil ne unhe sari bat detail me batayi...bas ladai wali bat ko chhodakar............... “tum log thik to ho na beta.....juhi kaisi hai.........kaha ho tum log....” “jee uncle hum bikul thik hai...aap paresan mat ho..........hm ek hotel me ruke hai.............juhi abhi abhi soyi hai...............kahe to bat karau............” “nhi rahne do,,,, achcha suno..........mahol thik nhi hai.........agar wo jagah thik ho to aaj whi rook jao.....tum kya kahte ho......” “jee , jaisa aap kahe..........” “sahil aaj whi rook jao beta, .....” “ jee uncle...........” “ meri juhi ka khyal rakhna sahil ............” “jee uncle aap paresan na ho...............” Sarfaraz sahib ne use kuchh aur hidayate di aur phone rakh diya..............sahil whi sofe par pada pada late gaya............. Sahil ke aankh kab lag gayi use pata hi nhi chala...........lagbhag 8 baje rat ko uski needn khuli........sahil ne dekha juhi abhi bhi so rhi thi.........usne khane ka order kiya aur juhi ko jagane laga............ “juhi...juhi .......”do bar bulane ke bad bhi usne aankhe nhi kholi..... Sahil ne dheere se uske sar par hath rakha..........juhi ka badan bahut garam tha.....use tej bukhar tha...........sahil ne ek bar fir se reception par phone karke doctor ko bhejne ko bola.............. Juhi ne muh par pani ki chheeten padne par dheere se aankh kholi...uski aankhe ekdam lal ho rhi thi...samne sahil aur whi Dr khade the................ “tumhe thoda fever hai juhi...isiliye dr ko bula liya.......” sahil ne kaha. Thodi der bad dr use kuchh medicine dekar chala gya...........juhi ko sahil ke sath ek khusi ka ahsas ho rha tha....lekin uska sar bahut bhari bhari sa tha aur us se bikul bhi utha nhi ja rha tha............ Thodi der bad khane ka order aa gya......... “chalo kha lete hai..mujhe bahut tej bhookh lagi hai............”sahil ne pet pakdte huye kaha..... “sahil aap kha le....mera man nhi kar rha hai...........” juhi boli. “thoda sa kha lo....dawa khani hai na...........” Juhi kuchh nhi boli.........sahil juhi ke pas hi baith gya aur dono dinner karne lage........... Sahil ne apne khane me hath lagaya hi tha ki ek aah si nikli uske muh se.......... Sahil ke hath me ladai karte samay chot lag gayi thi aur hath kayi jagah se chheel gya tha...lekin tab use pata nhi chala tha...jaise hi shayd mirch lagi chot par ,wo karah utha.......... “kya hua....” Sahil ne apna hath pakad liya..........”kuchh nhi.......” “dikhaiye idhar..........oh khuda..........aapko to bahut chot aayi hai...mai abhi doctor ko phone karti hu........” “nhi rahne do..........mai thik hu.......” Sahil badi muskil se thoda thoda uthakar kha rha tha........... “mai khila deti hu......” Juhi ne ek nivala liya aur uske muh ki taraf badha diya...sahil ne uski or dekha... “nhi ..mai khud kha lunga.........” “plzzzz...” juhi ne request ki....... “maine kaha na kha lunga mai..........” sahil ne thode gusse se kaha.....juhi chup ho gayi .par hath usne abhi bhi badhaye rakha............sahil ne bebas hokar uski or dekha...mano puchh raha ho ki kyu kar rhi ho ye sab........... fir usne muh khola aur juhi ke hath se khane laga.........juhi ke man me ek ajeeb si khusi ho rhi thi......... Khane ke bad juhi ne dawa khayi aur bed par baith gayi...kamre me bed ek hi tha..........to use samjh me nhi aa rha tha......... “kya hua let jao..mai yhi sofe par so jaunga...........”sahil ne kaha aur sofe apr baith gya... Juhi ne shukriya bhari najro se uski or dekha aur fir dheere se letakr aankhe band karli.............. Sahil bhi let gaya....rat me sahil ke needn khuli...use kise ke karahne ki aawaz aa rhi thi.............sahil ne time dekha....rat ke 2 baj rhe he...usne uth kar night bulb on kiya............juhi ke muh se dheere dheere karahane ki aawaz aa rhi thi.............. Sahil dheere dheere chalta hua uske pas pahucha........juhi ke chehre par ek msoomiyat bikhri thi.......wo thi hi itani najuk aur aaj ki ghatna ke bad se bahut dari dari si lag rhi thi aur fever bhi isi vajah se shayad hua tha.............sahil ne aage badhakr uske mathe ko chhua ..........juhi ko fir se bahut tej bukhar tha................aur isi vajah se wo karah bhi rhi thi................... Sahhil ko kuchh samjh me nhi aay ki iatni rat ko kya kare..........fir usne apna hanky nikala aur pani me bhigo kar uske mathe par rakhne laga..............juhi kuchh hosh aur kuchh behoshi ke se aalam me thi......use fir bhi itana to pata chal gya tha ki ye sahil hai....... aur itana hi kafi tha.............. Subah ke 6 baj chuke the ............juhi ki neend khuli to usne dekha ki sahil ki aankhe band thi aur abhi bhi whi baitha uske sar par pattiya rakh rha tha.............uski aankho se aansu nikal gya................. “kaise koi itna sachcha aur itna achchha ho sakta hai.........aye khuda is farishte ko meri kismet me likh de ......tujhse aur kuchh nhi mangungi...”juhi ne aansuo ki ladi ki bich ek dua mangi.... kahte hai subah ka dekha hua sapna aur subah ki mangi huyi dua – dono sach ho jate hai..............kya juhi ke sath bhi asia

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    16. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 15 Diary me last post ek din pahle ki thi aur uske niche ek dardnak ghazal ki chand panktiya likhi huyi thi………….. chamakte chand ko tuta hua tara bana dala meri aawargi ne mujhko aawara bana dala bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala chamkte chand……… main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hun khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala chamakte chand................... mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala chamakte chand................... yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala chamakte chand......................... Mera anjaam yhi hona tha………..Mai haar gayaa aarti ………ab aur ladne Ka dil nhi karta…..…bahut yad aa rhi hai tumhari……………bas ek baar aa jao na…… plzzzzzzzzzzzzz… ____SAHIL. Juhi ne poori diary padh li thi aur chupchap band karke wapas usi tarah se rakh diya….sahil ke certificate rakhte huye achanak uski nazar 10th ke certificate par padi…………14 /02/****…….sahil ki date of birth….yani kal sahil ka birthday hai…………par kal to valentine day bhi hai…….life me pahli bar juhi ke dil me ek mithi si kasak uthi thi is VALENTINE DAY ke nam par……is se pahle is khas din ka koi khas value nhi tha uski life me…………juhi ne sare certificates rakhe aur sahil ka room band karke wapas aa gyi……….. Is samay juhi apne room me gumsum baithi thi…………diary ke bare me hi soch rhi thi……………..sahil ne apne bachpan se lekar abhi tak ki kahani likhi thi …………jyadatar baten bachpan se jawani tak aarti aur uski nok jhok aur fir unki dosti aur fir ekdusre se pyaar ki thi…………….sahil ne apni padhai se related bhi kafi kuchh likha tha………aur har din ke ant me ek sawal likha tha…………….. “tumne aisa kyu kiya aarti ????” “AARTI ?””” kyu kiya usne aisa ?????.....ye sawal to ab juhi ke man me bhi uth rha tha……chahe vajah jo bhi rhi ho aarti , tumne jo kiya hai wo mafi ke layak nhi hai….kabhi nhi.------juhi ke dil ne to faisla bhi suna diya. “Kitna struggle kiya hai sahil ne…………suru se hi……..sahil deserve karta hai …uske jaise logo ko hi IAS officer ban na chahiye………mai to sirf pre na qualify kar pane par itani dukhi huyi thi….par wo to interview tak pahuch kar wapas aa gya………mere pas to suru se hi har facility thi lekin usne to apni education gaon me puri ki …….koi bhi coaching ya guidance nhi mila hoga use……….….aur fir itani shiddat se ki gayi muhabbat me nakami ??????…….ufff…kitna dard hai sahil ki zindagi me…………uski uadsi me kitna dard hai .??????.........kitani na-umeed hai wo aankhe……….” Juhi ka dil sahil ke liye tadap utha. “aaj bhi aisi muhabbat karne wale hai is dharti par???? Yakeen nhi hota…………….” juhi socho ke smandar se nikal nhi paa rhi thi ……….. “.sahil ko mai wapas laungi……mai uski aankho ko fir se wo sapna dekhne aur use poora karne ka hausla dungi…………sahil zindagi nhi rookti hai ye mai samjhaungi tumhe…………zindagi me ek insaan bura hota hai lekin puri zindagi ko uski sajaa nhi milni chahiye……….tumne muhabbat ka ek kala rang dekha hai…mai tumhe muhabbat ke sare rang dikhaungi……itna pyar dungi ki tumhe zindagi me kabhi us bewafaa ki yad bhi nhi aayegi….” Juhi ke dil me sahil ke liye bahut hamdardi ho gyi thi………..Tabhi dimag ke kisi hisse se bagahwat ki aawaz aayi………… “ye mai kya soch rhi hu……sahil aur mai???? Kya mai sahil se muhabbat…………???...nhi…nhi…bas hamdardi hai…………….lekin dil …………..”aur juhi apne hi dimag aur dil ki jung me fas si gyi thi………. “jo bhi ho insaaniyat ke nate hi sahi….ye farz hai mera ki mai ek bar to kosis karu ki wo fir se jeena sikh jaye……….mai ye kosis jaroor karungi………” juhi ne dil ki bat mani aur dimag ko thodi der ke liye chup kara diya……..muhabbat to ho gyi thi use sahil se bas abhi accept nhi kar paa rhi thi………. juhi ki duniya abhi tak sirf apni do logo ki family aur kuchh dosto tak hi rahi thi……muhabbat jaisi koi cheej uski zindagi me kabhi aayi nhi thi ……….usne is najariye se na kabhi kisi ke bare me socha tha aur na hi sochana chaha tha…..shayad yhi wajah thi ki wo abhi tak ye maan nhi rahi thi ki use bhi muhabbat ho gyi……….. juhi soch rhi thi aur usne nischay kar liya tha ki wok kam se kam ek bar to jaroor kosis karegi……………par is kosis ki suruwat kaise kare…???.....achanak uske dil me khyal aaya……..kal to valentine day hai……….? Haa To ??????? fir mano usne khud se hi sawal kiya,…….uski aankho jhuk gyi,,,,sharm se……..mai bhi kya sochati hu………..lekin kl sahil ka B,day bhi to hai…………ha yhi thik rahega…………juhi apni soch par khus ho gyi…..jane kyu ek sukoon sa mil rha tha use…… “sahil duniya bahut khoobsoorat hai aur zinadgi us se bhi khubsoorat ………zindagi me har rang hona chahiye aur tumhare zindagi me ab kale rango ka waqt khatm ho gya…….sahil tum bahut achche ho aur tumhare liye khuda ne kuchh bahut achchha socha hoga………..tumhari zindagi me koi aisa aayega jo itani khusi dega ki tum apne sare gham bhool jaoge…dekh lena….” Juhi apne aap se bate kar rhi thi….aur aakhiri bat par na chahte huye bhi wo Sharma gayi aur uske laal gal gulabi ho gaye. Sahil kafi rat huye wapas aaya……….main gate khulne ki aawaz se JUHI ne khidki se bahar dekha….sahil ki chaal dekhkar aisa lag rha tha ki usne sharab pee rakhi hai………lekin juhi ke pas koi tarika nhi tha confirm karne ka……..usne chupke se apna darwaza khola aur chalte huye niche aa gyi……..hath me ek book li huyi thi ki agar kisi ne puchha to kah degi ki kuchh puchhna tha…… use fir bhi dar lag rha tha……lekin kya karti dil ke hatho majboor thi… Juhi sahil ke room me pahuchi...........aur apne bed par leta hua tha……..pairo me abhi bhi shoes the aur uske hath me ek tasweer thi jise wo dekh rha tha…….juhi ke aane ke aahat se uth baitha……….. “aao juhi……..kaisi ho…….…kuchh padhna tha tumhe…kl padh lena ……” sahil ki aawaz se saf pata chal rha tha ki usne pee rakhi hai……….juhi ka shaq sahi sabit hua… “sahil aapne drink kiya hai???..sharab pee hai aapne???” juhi uske pas bed par baithte huye boli. “sahil kuchh puchh rhi hu mai” use kuchh na bolta dekhkar juhi ne gusse se kaha… “haa pee hai maine….tumhe kya…..ho kaun tum………jao yha se ” sahil ne lagbhag chillate huye kaha. Juhi ka dil chaha uth kar abhi bhag jaye…kuchh palo ke liye wo dar gyi……..lekin use sahil ki halat ka andaaza tha…...wo chahte huye bhi uthkar na ja saki………..sahil ne apni aankhe band karli………… “sahil plzz…shor mat karo……...mai kuchh khane ko lati hu aapke liye…..” juhi uthate huye boli… “nhi …ruko”sahil ne uska hath pakad liya…juhi ke sharir me jaise jhurjhuri si daud gyi…….wo mano boot ban gyi… “kyu kar rhi ho tum ye sab” sahil ko mano hosh aa gya aur usne jhat se juhi ka hath chhod diya….. “aapko vajah batana mai jaroori nhi samjhti” juhi ne kaha aur fir chuchap room se nikal gyi….. Thodi der bad wo wapas aayi ……...uske hath me plate me khane ki kuchh cheeje aur kuchh fruits rakhe the……….muhabbat aisi hi hoti hai……..har dar khatm kar deti hai insaan ke andar se…duniya ka samaj ka …zindagi ka aur maut ka bhi…jo juhi thod der pahle book lekar aane me dar rhi thi sahil ke room me ki koi dekh na le…whi ab hane ki plate lekar bekhauf aa gyi thi……..ye bat aur thi ki juhi sab kuchh jante huye bhi maan nhi rahi thi ki use bhi ISHQ ka rog lag gaya hai…………… Sahil uski or gaur se dekh rha tha…….uska sara nasha mano utar gya tha……….. Juhi ne sahil ke aage plate badha di………… “ab khilana bhi padega kya aapko”usne thoda sa muskurate huye kaha. Sahil kuchh nhi bola……..aur chuchap khane lagaa……..juhi whi uske paas baith gayi aur use khate huye dekhne lagi…..………kuchh nivale hi khaye the usne ki use jor ki hichaki aayi aur juhi ne pani ka glass uthakr uske hotho se lagaa diya………….sahil ne do ghoont pani piya aur utne hi aansu uski aankho se nikal gaye…………use aarti yad aa gyi …itani care to kkeval aarti karti thi uski……………. “kya hua….sabji tikhi hai” juhi ne anjaan bante huye kahaa….. “juhi….…mujhe uski yad aati hai…..bolo na use ki laut aaye” kuchh hosh aur kuchh behoshi ke se aalam me sahil ne kaha aur juhi ke gale se lagkar betahasha rone lagaa…use to ye bhi khabar na thi ki juhi ko aarti ke bare me pta nhi hoga…… Juhi ki samjh me nhi aa rha tha ki wo sahil se kya bole…………..wo chup chap use apne kandhe par tikaye uske sar par hath pherti rahi….. “sahil chup ho jao aap…plz…..aapko bahut majboot ban na hai….bahut aage badhna hai aapko………..” “nhi hu mai majboot……..mujhe kuchh nhi chahiye…………mujhe kuchh nhi ban na hai…mujhe bas meri aarti chaiye…mujhe meri aarti laa do juhi…plz…..bolo na use ki aa jaye…..plz….” juhi ke kandho se lagaa wo kisi bachche ki tarah bilakh rha tha….. Juhi kuchh nhi kar paa rhi thi…..usne sahil ko rone diya…..wo chahti thi ki wo ro le aur uske dil ka dard shayad kuchh kam ho jaye,……….. Thodi der bad sahil sambhala ……juhi k kandhe se alag hua aur kisi mujhrim ki tarah nazre jhuka li………..juhi ne apne hath me ek nivala uthaya aur uske hotho ki or badha diya……..sahil ne muh nhi khola…. “plzzzzzzzzzzz” juhi ne uski aankho me dekhte huye kaha. Sahil chupchap uske hath se khane lagaa. Sahil kha kar baitha tha juhi ne plates uthaye aur darwaze ki or badhi … “sorry” sahil ki aawaz uske kano me padi..wo fir pichhe mudi sahil ki or aa gyi…………. “kis bat ke liye…………mai kaun hoti hu jo aap mujhe sorry bol rhe hai” juhi boli. Sahil chup raha….. “Subah bat karenge”” juhi ne kaha aur bahar nikal gayi……… Sahil khud par naraz hone lagaa….......itane dino se dil me chhupa dard aaj aakhir bahar aa hi gya tha………usne soch liya tha ki ab juhi se iske bare me aur koi bat nhi karega. Sahil is bat se puri tarah anjaan tha ki juhi ne uski diary padh li hai……ye din bhi roj ki tarah hi bita....juhi nahi aayi …aur sahil ko yakeen ho chala ki shayad jo kuchh bhi hua sham ko juhi uske bare me nhi puchhegi……jane kyu juhi se dar sa lagta tha use……uske apnepan se ,uski sadgi se aur uski massomiyat se …. Sham ke karib 5 baje the thand ke din hone ke vajah se andhera ho gya tha…sahil yuhi apne bistar par leta hua tha aur zindagi ke achchhe dino ko yad kar rha tha……. Tabhi darvaze par kisi ne aawaz ki…. “jee khan baba?” “sahil beta juhi ne bulaya hai tumhe ……..shayad tum aaj padhane jana bhool gaye…” “jee aap chale mai aata hu…..” “beta mai to kahi aur ja rha hu…pass me ek rishtedar rahte hai unke yha kisi ki death ho gyi hai…mai driver ko lekar ja rha hu…2-3 ghante me aa jaunga…sarfaraz bhi ghar par nhi hai…tum ho isliye ja rha hu …jara dhyan dena “ baba ne use samjhate huye kaha. “jee” sahil kabhi bhi khan baba ko na nhi kah pata tha… Sahil koi 15 minute bad andar pahucha………juhi use apne room ke bahar bani balkani me hi baithi mil gayi …aankho par chasma lagaye ek book ko god me rakhe mano usi ka intzaar kar rhi thi………… Sahil bhi pas rakhi chair par baith gya…..”suru kare” usne normal se lahje me kahaa. “jee …aap zara ek minute rooke mai abhi aati hu…” Sahil chup ho gaya aur juhi room ke andar chali gayi ………..lagbhag 10 minute bad andar se hi uski aawaz aayi…. “sahil plz ek minute andar aayenge??” Sahil ne kuchh nhi kaha aur door ko halka sa dhakka dekar andar dakhil ho gya…….. Kamre ke bicho bich ek bade se table par ek behad khoobsoorat cake rakha tha aur uske charo or candles jal rhi thi………cake par likha tha …………….. “Happy B,day,sahil” Sahil ke dil me ek anjaani si khusi huyi ,,,,use to khud bhi yad nhi tha ki aaj uska janmdin hai…..aarti ko kaise pata chal ye uske khyal me hi nhi aaya…shayad isliye qki sahi mayano me to bahut dino bad use khusi ki ek boond naseeb huyi thi…………lekin usne koi khusi jhir nahi ki…mano khus ho gya to koi paap ho jayega…………. candles abhi jal nhi rahi thi ………… “happy b’day sahil…” juhi jo pas me hi kahdi thi muskurte huye uski or badhi aur use wish kiya.…………uske hath me ek shopper tha. “ye sab kya hai juhi……mai apna b,day nhi manata” sahil ne bina kisi khusi ka ijhar kiye kaha….. “koi bat nhi…is bar aap mana le….aur ye lijiye” juhi ne apne hath me pakda hua shopper sahil ko pakda diya. “juhi ….??dekho mujhe ye sab pasand nhi….plz chhodo ye sab aur chalo study karo…………..” “Sahil plzz….” Juhi ki aankho me ek iltiza thi …sahil use ab aur manaa nhi kar sakta tha…..chahta to bhi nhi…. “kya hai isme ? ” sahil ne puchha. “aapke liye dress hai…hamare yha janmdin par naye kapde dilate hai…mujhe baba dilate hai to maine aapke liye le liye…plzz aap pahan kar aaiye na…. fir cake kat te hai….” juhi ne badi hasrat bhari nazro se uski or dekhte huye kahaa. Sahil attached bathroom m ghus gya…shopper me ek navy blue shirt thi aur ek black jeans…sahil kapde pahankar bahar aaya…uska man to nhi kar rha tha …lekin juhi ki vajah se wo ye sab kar rha tha…use yad tha ki rat me hi usne juhi ke sath bahut galat bartav kiya tha…… “looking very dashing” juhi ne tariff bahri nazro se sarahate huye kaha. “thank u…plz tum mere liye ab kabhi kuchh mat lana nhi to mai lunga nhi….” “wo bad me decide kar lenge” juhi ne maje se kaha…”chalo aap cake kato …meri muh me to abhi se pani aa rha hai …” Sahil ne cake kata…aaj bahut dino bad use kise apnepan ka ahsas ho rha tha……uski aankho me kuchh nami thi lekin usne jahir nhi hone diya…..juhi ne apne hatho se use cake khilaya aur ek gaift pack jabardasti use pakda diya……….. Thodi der bat sahil juhi ke sath bahar baitha tha….sahil jane kyu juhi se nazre chura rha tha……. “kya hua…..janmdin par udas hona achchhi bat nhi …”juhi boli… Sahil kuchh nhi bola bas jabardasti muskura diya….. “padhai suru kare “ sahil ne kaha. “aaj mood nhi hai…kal thoda jyada padh lenge…….” “thik hai fir mai a rha hu “sahil ne lagbhag uthate huye kaha. “thodi der baithiye na…” Sahil fir se wapas baith gya………….. Juhi ko samajh me nhi aa rha tha ki kaha se bat suru kare …………….aakhir usne suru kiya… “sahil kya hm dost ban sakte hai….mera koi dost nhi hai ???? ” juhi ne kaha.. “sahil ko laga kisi ne ukse jakhmo ko kured diya………….tadap sa gya wo……. “nhiii…nhi ban sakte ham dost ..mai kuchh nhi ban sakta kisi ka…..mujhe nafrat hai rishto se …bahut jyada nafarat….mai sirf nafart karna janata hu……sabse….…duniya se …tumse bhi ….samjhi tum….” Sahil lagbhag dahadta hua bola. “sahillll”juhi mano dar gyi … Sahil ne uske dono kandho ko pakad liye…..uski aankho me aansu the aur chehre par nafart ..juhi ko samjh me nhi aa rha tha ki yakeen kiska kare …aankho ke aansuo ka ya chehre ki nafrat ka……………. “dosti,pyar ,rishte- nate…sab dhokha hai…sab kuchh bas dhokha hai…sab matlab ki duniya hai…..samjhi tum …samjhi????” sahil ne usko pichhe ki taraf dhakka diya aur niche chal diya….. Juhi thodi der sakte me rahi ….use sahil se dar lagne laga tha un kuchh palo me…..lekin use samjh me aa rha tha ki jab insane tootane ke bahut karib hota hai tab wo majboot dikhne ki kosis karta hai…sahil ab doobane hi wala tha…agar wo thode din tak aur isi hal me rha to fir shayad kabhi sambhal nhi sakega….juhi ko uski tanhai ka andaza ho rha tha…..use sahil ki condition par bahut chinta ho rh thi….kya karu mai sahil ke liye…… “aarti ! ek bar ko allah tumhe maf kar de lekin mai to poori zindagi tumhe maf nhi karoongi….ek mukammal insaan ki zindagi tabaah kar di tumne …””” …aaj dusri bat juhi ke dil se baddua nikli thi aarti ke liye…. Juhi niche jakar dekhna chahti thi sahil ko …lekin use thoda dar bhi lag rha tha……… tabhi uski nazar us gift pack par padi ….karib 20 minute bad juhi niche sahil ke room ki taraf chal di…uske hath me whi gift pack tha jo sahil andar hi chhod aay tha……… Darwaze pa pahuch kar juhi rook gyi…..andar ekdam andhera tha aur kuchh aawaze aa rhi thi…………………juhi dhyan se sun ne lagi ………….uska shaq sahi tha ……shil sachmuch tootkar bikhar rha tha…….wo kisi bachche ki tarah bilakh bilakh kar ro rha tha …… bahut mehnat karni padegi tumhe sambhale me sahil …lekin mai karoongi….tumhe is tarah tadapta to nhi chhod sakti….juhi ne apne man me socha aur kamre ki light jala di………..sahil ka chehra aansuo me dooba hua tha …usne juhi ki taraf dekha aur dudkar us se lipat gya…………….. “mujhe bacha lo juhi ………mai mar janunga” Juhi ke dil me aaya ki sare jahaan ka pyar lakar sahil ke kadmo me dal diya……….usne sahil ke sir ko apne seene se lagga liya…………… “mai tumhe kuchh nhi hone dungi sahil…….vada hai mera” usne kaha aur uske sar par pyar se hath pherne lagi. Kash ek bar tumhare hotho ki hasi wapas aa jaye..mai apni har khusi har sapna chhod dungi tumhare liye …juhi ne apne man me socha aur sahil ko aur jor se beench liya…. Kaisi ajeeb hai na ye zindagi …aur us se bhi ajeeb hai ye muhabbat …ek achche bhale insane ko awara bana deti hai…… Sahil ki halat dekhkar juhi khud ko kuchh der ko bhool hi gyi………use ahsaas ho rha tha ki kis kadar wo toot gya hai…………wo sahil ko apne gale se lagaye chup karane ki kosis kar rhi thi………….lekin sahil ke aansu nhi rook rhe the……….. “juhi mai aisa nhi tha………….bahut majboot tha mai…lekin ab mai bahut akela pad gya hu…..na koi rasta nazar aata hai an koi apna………….har rishta jhootha lgata hai ab …………I m sorry …..i m sorry yar…plz maf kar do” inhi sabdo ke sath wo ek bar fir se juhi ko pakadakr jor se rone laga. “mai hu na sahil…………….mai bhi to akeli hi hu…….lekin mai tumhe kabhi akela nhi chhodungi……sahil kuchh log bure hote hai………rishte bure nhi hote……….” wo sahil ko samjhane ki poori kosis kar rhi thi……….. “sahil plz chup ho jao….mujhe bhi rona aa rha hai…plz…” juhi khud bhi uski halat dekhkar bahut emotional ho gyi thi………. Thodi der bad aakhirkar sahil sambhal gya………juhi uske pas hi bed par baithi thi …sahil neeche ki or dekh rha tha …..wo chah kar bhi juhi se najre nhi mila paa rha tha………..juhi sab kuchh samajh rhi thi…………. “sahil,duniya me aisa koi nhi hai jise life me sahare ki zaroorat na pade………..aur agr ek sahara aap ko chhod de to iska ye bilkul matlab nhi hota ki aap baki baki sare saharo par yakeen karna chhod de………plz….ek mauka do……ek bar bharosa karo mujh par …mai kabhi tumhara bharosa nhi todungi…..” kahte huye juhi ne sahil ke kandhe par halke se hath rakha …sahil ne aankh uthkar uski jheel si neeli aur khoobsoorat aankho me dekha…………un aankho me ek vishwas tha, hamdardi thi aur dher sara pyar tha………itna apnapan tha un nigaho me ki mano kah rhi ho ki aao mere pass mai hu na…sab kuchh thik kar dungi………… Sahil ne kuchh nhi kaha bas halke se juhi ke kandhe par sar rakh diya aur aankhe band kar li…………… Thodi der dono ke bich khamoshi rhi fir is bar sahil ne is khamoshi ko toda…………. “juhi ,plz aap mujhe maf kar dijiye…maine bahut galat sulook kiya aapke sath…hamesa hi ….sorry ……” “aree…aap mujhe aap kyo kah rhe hai….tum hi bola kare …achcha lagta hai mujhe……aur dosto me--- no thanx and no sorry …….samjhe…………” juhi ne muskurate huye kaha….. Sahil ko ahsaas ho rha tha ki duniya me aaj bhi sachmuch kitne achche log hai…………..aur juhi???...wo to shayad koi pari hi hai…….jise khuda ne galti se dharti par utar diya tha…….aaj sahil ka etmaaad fir se bahaal ho rha tha………thodi der bad juhi chali gayi aur jate jate kuchh aisa bol gayi jo aaj tk sahil ne dusro ko bola tha lekin kabhi use kisi ne nhi bola………… “sahil ,chahe life me kitni bhi badi muskil aa jaye, chahe kuchh bhi ho,,,tum galat ho ,sahi ho…koi fark nhi padta …………..mai hamesa tumhare sath rahungi………..aaj hi nhi kabhi bhi……….agr meri kabhi jaroorat pade to bas ek aawaz dena ………………………juhi ko hamesa har kadam par apne sath khadaa paoge……jab tak mai hu,kabhi khud ko akela mat samjhana….” “aur haa ise kholkar jaroora dekh lena………..”kahte huye juhi ne wo gift pack whi rakh diya tha. Rat ko halka sa dinner karke sahil apne bistar par leta hua tha……………..bar bar jhui ke alfaaz use yad aa rhe the……”juhi tum wakayi bahut achchi ho ….god tumhe is duniya ki har khusi de” usne dil me dua ki aur aankhe moond li…………achanak use juhi ke diye gift ka khyal aaya…………wo utha aur wrapper kholne laga……….. Us wrapper me pichhel 6 month ke current affairs ki magazine thi ……aur ek chhota sa khoobsoorat golden pen tha…………….aur sath me hi ek chhota sa khat bhi tha…………sahil ko aise gift ki umeed nhi thi…wo to kab ka har man chukka tha……………usne to apne sapne ko ek toota hua sapna samjhkar poora karne ki kosis karna bhi chhod diya tha,….lekin juhi us sapne ko sakar karna chahti thi….…..sahil ne khat khola aur padhne laga….. “Dear sahil, khuda kare ki aap hazaro sal jiyo ………aapko kadmo me duniya ki har khusi ho………. Mujhe nhi pata ki aisa kyu hai….lekin jis din aapko pahli bar dekha use din se aap bade apne apne se lage…………jane kyu aisa lagaa ki bahut dino se janti hu aapko………pata nhi kisi janam me koi gahra rishta tha shayad aapse …….lekin jab bhi aapse mili aapko udas dekha…….aapki aankhe bahut sooni sooni si lagi…………..mai in aankho ka wo soona pan door karna chahti thi………..aapke chere ki udasi door karna chahti thi ……. mera pass bachpan se hi sari facilities thi lekin fir bhi ek khalipan sa hai……koi aisa nhi rha life me jise apna dost kahti…….koi bhai behan bhi nhi tha….dost the ,lekin bas kahne ko ……….baba hai lekin ek generation ka gap hai……..aapko dekha to laga ki shayd aap ek sachche aur achche dost ho ,,,,,,,maine isiliye aapse dosti ko kaha……….lekin shayad aap mujhe apni dosti ke layak nhi samjhte……….. aur rhi bat nafart karne ki????? Aapne kaha ki aap sirf nafart karte hai………..sabse ……mujhse bhi………..sahil zindgi bahut chhoti hai ……..…ise nafarat ke sahare nhi gujara ja sakta………..kuchh baten aisi ho jati hai ki hum kisi se nafart karne lagte hai…….lekin muhabbat ke bina life me koi khusi nhi hai……….. aur nafarat aap bahut dino tak nhi kar sakte………..ek bar muhabbat ka daman tham kar dekhiye zindgi fir se khoobsoorat ho jayegi………….. mai hamesa aapki dosti ko taiyar hu……ho sakta hai kisi ne aapki dosti ka majak banaya ho lekin ,sahil, agar duniya me kisi ek ke kiye ki sajaa har shakhs ko milne lage to ye sari duniyo chand dino me khatm ho jayegi…. plz ek bar apne aap par bharosa karo……….khud ko ek mauka do………..mujhe ek mauka do....mai kabhi tmhara bharosa nhi todungi……..promise. ..sahil kuchh sal hai sirf hamare pass…ek bar ye din nikal gaye to aap fir puri life chaho to bhi kabhi IAS ban ne ki kosis tak nhi kar sakoge,….ek bar over-age hone ke bad sirf pachhtawa hath lagea….ho sakta hai ki hum IAS na ban paye lekin ye sukoon to rahega na ki hamne poori kosis ki……….ye malal to nhi rahega ki kash ek bar aur try kar lete………. sahil zindagi me kuchh log selfish bhi hote hai…unke liye apni life barbad mat karo……..plzzzzzzzzzz.. ye pichhle kuch dino ka study material hai….…mujhe pata hai ki aapne nhi liye hai……plz ek bar fir se apne sapne ko poora karne ki kosis kare………..aur ye pen………..mai chahti hu ki isi pen se is sal aap IAS academy me pahli signature kare…..agar meri thodi si bhi ahmiyat hai aapki zindagi me, to plz ek bar jaroor sochiyega………… -- Aapki dosti ki muntazir – juhi . Sahil ne khat padha aur chuchap band karke wapas usi wrapper me dal diya……………. “kya se kya bana diya tumne mujhe aarti……….ye bat sari zindagi nhi bhoolunga ki jab mujhe apno ki sabse jyada jaroorat thi to mai blikool akela tha…………….” Use fir se ek bar us “ BEWAFA “ ki yad aane lagi………… Uski yado ke bhawar me doobe sahil ko jane kab need ne apne aagosh me le liya…………… In sab bato ko lagbahg one week beet gya…sahil fir se dheere dheere kosis karne laga tha padhne ki………au rise dekhkar juhi kafi khus thi …use lagne laga tha ki sahil fir se ek bar compete karega……….juhi ko padhaane roj jata lekin study ke alawa aur koi bat nhi hoti ……juhi janti thi ki ye itna aasan nhi tha sahil ke liye aur wo use thoda waqt dena chahti thi…………. sahil ab use achcha lagne laga tha aur use is bat ka bhi yakeen ho gya tha ki sahil dheere dheere aarti ki bewafai aur aarti dono ko bhool jayega…………uski aankho ne sahil ke sath zindagi ke haseen sapne dekhne suru kar diye the……………. Sahil aaj bahut dino bad diary likhne ke mood me tha …………usne suitcase khola….suitcase me rakhi cheeje us sequence me nhi thi jisme usne rakha tha …….sahil ko juhi ki bate yad aane lagi ….juhi ki bato se use thoda shaq to hua tha ki juhi ko uske bare me itna kaise pata….aur ab use yakeen ho gya tha ki juhi ne uski diary padhi……………sahil ke dil ko thes pahuchi is bat se ……….usne darwaz khula hi chhoda ur teji se chalta hua juhi ke room ki or badha…….. din ke 2 baj rhe the aur sab log apne kamre me the ……sahil kafi gusse me lag rha tha……………juhi ke room par pahuchakr usne darwaza khtakhataya………….juhi ne darwaz khola …bikhre bikhre se bal aur thaki thaki si aankhe…agar sahil thode bhi dhyan se dekhta to use ahsaas ho jata ki juhi thik nhi hai………….lekin use to gusse ke aag me kuchh sujh hi nhi rha tha………. “are aap…aaj jaldi aa gaye …chaliye padhate hai……….” Juhi ne khud ko sambhalte huye kaha. “tumne meri diary padhi ?????”sahil ne ekdam uski halat aur tabiyat ka galat andaza lagaya tha……….gusse me chillate huye puchha. “jee” juhi ne nazre jhukate huye kaha… “himmat kaise huyi tumhari…………..bina meri ijajat ke tumne chhua kaise use………..khud ko kya smajhti ho tum …….koi ahsan nhi kar rhe tum log mujh par ………..” sahil gusse me jo kuchh bhi uske man me aa rha tha bole ja rha tha…wo apneaap me nhi tha is waqt…. “sorry” juhi ki aankh se ek aansu tapak pada…. “what the hell sorry………….tumne bhi whi kiya…maine tum par bharosa karna chaha aur tumne mera bharosa tod diya…………ab samjha….……..isiliye mujhpar itna taras aa rha tha…….. mujh par taras kha kar hi tumne mujhse dosti karne ki sochi na……..achcha kiya juhi …bahut achchha kiya…….mai to kisi ke dosti ke layak hi nhi hu……………ek ne meri akele pan par taras kha kar dosti ki aur dost banakr meri sari khusiya chheen li , sare sapne tod diya……….aur tumne dost bankar mujhe meri hi nazro se gira diya……………..sab samjh gya mai…………daya aati hogi na tumhe mujhpar…..haan………. isi layak hu mai………..mujhe nhi chahiye tumhari hamdardi…….koi jaroorat nhi hai tumhe mujhpar taras khane ki……….ja rha hu mai yha se…….ab kabhi nhi aaunga…kabhi bhi nhi……………..” sahil aanakho me umad aaye aansuo ki badli ko rokte huye nafarat se juhi ki or dekha aur bahar ki or chala gya……….…juhi ki aankho se lagatar aansu bah rhe the aur wo darwaze ko pakdakr baith gayi aur bilakh kar rone lagi………. Sahil apna saman pack kr rha tha aur ek hath se apne aansuo ko saf kar rha tha……..aaj use lag rha tha ki zindagi ne fir se ek bar uske sath ek bhadda majak kiya hai….bahar se khan baba ki aawaz aayi…………”sahil” Usne teji se apne aansu ponchhe aur bahar nikala……….. “jee khan baba” rone ki wajah se uski aawaz me thoda bhari pan tha………. “ kya hua beta ,tabiyat thik nhi hai kya?” “jee nhi thik hu…bas thoda jukam lag rha hai… “achcha-achha..wo mai kah rha tha ki juhi ne tumhe kuchh bataya………” “jee…jee nhi to” beta tum use kuchh din tak mat padhana….mai to mana karke thak gya manti nhi hai……use typhide hua hai….lagbhag ek week ho gya…..dekha nhi kaisi kamjor hoti jaa rhi hai…..” “jee” sahil ko sunkar bahut dukh hua…………sh*ttttt……….kya kar diya maine ….usne ek bar apne man me socha ….lekin meri kya galti…typhide hua hai to?????……usne fir se apne sar ko jhatka.. “beta jab se tum rahne lage ho ghar achcha lagne laga hai……..…bade apne apne se lagte ho………………juhi bhi ab khus lagti hai………..nhi to pahle hum dono hi hote the..sarfaraz to bahar hi rahta hai…………aur mai bhi budha ………………..juhi badi akeli si pad gyi thi……….lekin tumhare rahne se kafi khus rahti hai………bas ab is bar khuda kare tum dono hi select ho jao………..juhi ka sapna toot ta hua dekhne ki himmat to nhi hai…….….bin maa ki bachchi hai na..isliye bahut emotional nature ki hai……..” khan baba bol rhe the aur sahil ek bar fir se socho ke bhawar me fasta ja rha tha…….. Aakhirkar usne soch liya ki juhi ko padhate rahega lekin bas us had tak hi………zindagi me koi kam to poora kar du kam se kam ……yhi sochkar wo rook gya……….…lekin juhi se narazagi khatm nhi huyi…………. Lgabhag 15 din ho gaye the…………….sahil ko khan baba ke jariye pata chalta rhata ki juhi ki tabiyat thik nhi ho rhi hai…………aur wo kafi major hoti ja rhi hai…leekin sahil ek br bhi use dkhne tak nhi gya……….. Aaj kafi dino bad sahil cyber café aaya hua tha…….…usne UPSC ki site kholi…….chalo form fill kar hi deta hu …….. exam du ya na du bad me dekhunga……………usne socha .. Lekin site kholte hi sahil ke dil ko ek bahut bada dhakka laga… aaplication ki last date ko beete 10 din ho chuke the…usne apne sar par hath rakh liya ……….rahi sahi umeed bhi khatm ho gyi thi….juhi ki kahi batn use yad aa rhi thi …ek bar over-age ho gaye to fir chakar bhi ye sapna poora nhi kar paoge……aur ye sahil ke apply kar pane ka aakhiri sal tha……….qki next year ke liye uski age nhi thi………….sahil ki aankho me aansu aa gaye………uski zindagi aise mod par aagyi thi jaha use koi rasta nazar nhi aa rha tha……………..wo itana disturb tha ki use pataa bhi nhi chala ki kab last date nikal gayi……sahil sabkuchh har chukka tha…sabkuchh. …”.to aakhir mera sapna toot hi gya……….tujhse koi shikwa nhi hai upar wale……..…main kosis hi pure shiddat se nhi ki ….” Sahil ka dil ro rha tha….kya jawab dunga mai papa ko….unse to ab shayd kabhi mil nhi paunga…….3 salo ki meri tapsaya ka koi fal nhi mila………sahil ki aankho se ab jhar jhar aansu bh rhe the aur wo dheere dheere apne room ki or badh rha tha……… Room me pahucha kar sahil bed par baith gya……….exam ko 2 mahine rah gye the par wo to bina lade hi har gya tha…..uska dil uchat hone laga tha…har cheej se….sahil ne man me socha ki ek bar khan baba se mil lu…fir ye shahar hi chhod dunga hamesa hamesa ke liye…………… Usne khan baba ke room me dekha wo wha nhi the………ek mulazim ne bataya ki wo juhi baby ke room me hai…………sahil usi or chal pada……….aaj lagbhag 17 -18 din bad wo juhi ke room ki taraf ja rha tha…………….. Khan baba aur juhi dono balkani me hi baithe the aur khan baba jabardasti juhi ko kuchh khila rhe the………..sahil ki nazar juhi par padi…..ekdam murjha si gyi thi wo……..juhi ne sahil ko dekha to ektak uski or dekhti rahi ………. “are sahil beta aao baitho….dekho ise kisi chhote bachche ki tarah khilana padta hai…….itna muskil imtehaan sar par hai…bina khaye peeye kaise chalega…………tumhi samjhao ise “ “jee khan baba…wo mai ja rha hu……….” Sahil ne mano ek dhamaka kiya….juhi ne uski aankho me dekha………….. ek request thi uske nazro me ek sawal bhi…………mano kah rhi ho ki…. .plz mat jao…sahil ko un aankho ki tapish bardasht nhi huyi……..usne nazre pher li…. “q beta??? Exam sar par hai…koi pareshani hai kya sahil?” khan baba ne uske kandhe par hath rakhte huye bade apne pan se puchha …….. “jee..nhi khan baba…….wo darasal main form submit karna hi bhool gya…last date nukal gayi….…to ab kaisa exam??” sahil ki aankho me aansu aa gae.. “kya……….sahil tum ye galti kaise kar sakte ho….ye kya kiya tumne ? ab kya karoge…”khan baba ko uski bevkoofi par kafi sadma sa laga. “jee, chala jaunga apne gaon wapas” sahil ne kaha……..uske lakho jabt karne ke bawzood ek aansoo bagawat karke bahar nikal hi gya………. “areee…ye kya kiya tumne….ruko mai dekhta hu kya ho sakta hai…sarfaraz ke kafi contacts hai” khan baba bahar ki or lapke……sahil janta tha ka kisi ka koi bhi contact UPSC me nhi chalega……………ek nazar usne juhi ki aankho me dekha……….sahil ke aansoo teji se palko ka darwaz todakr bahar ane lage….juhi sachmuch behad kmajor ho gyi thi……………uski aankho ke niche kale dhabbe pad gaye the …….aur uska chehra blikul sukh sa gya tha………..juhi kisi tarah se dheere se uthi aur apne kamre me chali gayi……………… Sahil whi baitha rha…….juhi ka chale jana use samjh me aa rha tha …….…wo abhi bhi us se naraz thi …usne bartav hi aisa kiya tha………sahil chupchap uth ek bar juhi ke room ki taraf dekha fir thake tahke kadmo se bahar ki or chal diya…kuchh kadam hi chala tha ki uske kano me juhi ki pyari si aawaz padi……aawaz bahut dhhemi thi …..sahil rook gya….. “ek miute plz andar aayenge……………” fir se juhi ki aawz aayi…sahil aaj kuchh bolne ya mana karne ki halat me nhi tha ..chuchap chalte huye kamre ke andr pahuch gya…juhi ne kisi file me se ek paper nikala aur sahil ko pakda diya………..sahil ne paper nhi dekha bas ek sawaliya nazro se juhi ki aankho me dekha……….. “maine aapka aaplication form fill kar diya tha….” Juhi ne halke se kaha aur uski aankhe bhar aayi. Sahil ko jaise apne kano par yakeen hi nhi hua…………..usne apne hath me pakde huye kagaz par nazar dali…uske aaplication form ka print out tha…………….sahil ka hath kaapne laga…..usi samjh me nhi aa rha tha ki kya kare…………… “jaiye sahil aaj aapko nhi rokungi…….bas ek aakhiri kosis karne ka dil kiya so kar di……….ise lekar jaye……...wha chale jaiye jahaa se aapko lage ki aapka sapna poora ho jayega……….plz ek kosis jaroor kijiyega…….aapki kismat aapke raste ki rukawat mere rahte to nhi ban sakti……..jaiye…agar ho sake to mujhe maf kar dijiyega……khuda hafiz sahil ” juhi ki aankhe dabdabaa rhi thi …….. Sahil to mano jam sa gya tha……….kya kar diya maine………juhi ne mere documente lete samy hi shayd diary dekhi hogi…….kitna kamzarf insaan hu mai….…….sahil ki aankho se aansu aur teji se bahne lage……kitna dikh diya maine is masoom si pari ko………..aur sahil juhi ke kadmo me gir pada……………. Sahil to mano jam sa gya tha……….kya kar diya maine………juhi ne mere documente lete samy hi shayd diary dekhi hogi…….kitna kamzarf insaan hu mai….…….sahil ki aankho se aansu aur teji se bahne lage……kitna dikh diya maine is masoom si pari ko………..aur sahil juhi ke kadmo me gir pada……………. “I m sorry juhi…………….mai to mafi maangne ke layak bhi nhi hu………..mujhe kuchh samjh me nhi aata juhi……..tum kya ho…insaan ho ya koi pari ho……….maf kar do yar………….mujhe maf kar do juhi” sahil uske pairo se lipta bas yhi bole ja rha tha aur jar jar roye jaa rha tha….aansu to mano sahil ki ksimat ban gaye the.,aur udhar juhi bhi mano boot ban gyi thi……….uski aankho se bhi aansu bah rhe the………..sahil farsh par pade juhi ke pairo se lipta roye ja rha tha…..aaj use uski har bat yad aa rhi thi………. “’kitna bura sulook kiya hai maine is masoom ke sath……iski kya galti…isne to har kadam par mera bhala hi chaha………kitni bar maine iska dil dukhaya aur isne to kabhi ek lafz nahi kaha…..aaj jab mere hath se har manjil har rasta nikal gya tha to isne fir se mera hath tham liya……..………,,mere sapno ko ek bar fir se udane ke liye hausala de diya…..….sahil is janm me tujhe sukoon ki maut bhi nhi milegi agr is ladki ka karj na chukka saka to….” Jitni sahil ko apni jadati yad aa rhi thi utna hi dard uske seene me uth rha tha……………ur wo utna hi roye ja rha tha……………..juhi bhi uske pas farsh par hi baith gayi …sahil ka cherhra usne apne hatho me tham liya………………… “sahil plz aap mat rowo …plzzz…..mujhse tumhare aansu ab bardasht nhi hote…………..mai tumse naraz nhi hu sahil………kitne aansu likh diye khuda ne tumhari kismat me………plz mat rowo sahil……..”juhi jo khud bhi ro rhi thi…..use chup karane ki nakam kosis kar rhi thi…. Sahil ke aansu nhi rook rhe the….use juhi ke sath apna har atyachar yad aa rha tha…..aur har bat yad karke aur jyada rona aa rha tha…..kitna galat kiya hai maine…kisi aur ki galtiyo ki sajaa is masoom ko kyu???????? “tum aisa kaise kar sakti ho juhi,,,,,maine to aaj tak kabhi tumse pyar se bat tak nhi ki aur tum………meri har nafart ka jawab tumne muhabbat se diya…………itani achchhi kyu ho tum………kyu ho tum itnai masoom…….”sahil juhi ki god me sar rakh kar ro rha tha…ab dhhere dheere uske aansu tham gye the…lekin abhi bhi uski siskiya nhi rook rhi thi………… Achanak juhi ka sar sahil ke sar par pada……….usne juhi ka sar pakad kar uthaya aur uske galo ko thapthapaya………..uski aankhe band thi……………juhi shayd behosh ho chuki thi……………..kamjori ki vajah se aur bahut der rone ki vajah se …… Sahil ne jaldi se use uthakar bed par litaya aur pas me pade pani ki chand boonde uske chehre par mari……..thodi der me hi juhi ne aanke kholi…………..bahut dino bad sahil use itane kareeb se dekh rha tha……….sachmuch behad kamjor ho gyi thi juhi…………sahil ki aankho me abhi bhi aansu the………. Usne pyar se juhi ke sar par hath phera……..juhi ke chehre par halki si muskurahat aa gyi…badi bejaan si muskurahat thi…………….. “kya hal banaa liya tumne apna..” sahil ko aaj sachmuch khud se nafart ho rhi thi………….use pta tha ki juhi ki is halat ka jimmedar kuchh had tak wo bhi hai…………….. Juhi ne sahil ka hath apne hatho me le liya aur uske kap-kapate hotho se chand sabd nikle…………. “aapko jeetna hai sahil” Sahil ne apane hatho me kaid uske najuk se hath ko halka sa daba diya……....uski aankho me ek nischay dikh rha tha aur juhi ke chehre par ek khusi, ek sukoon tha. “Hum sath jeetenge juhi.”” Sahil ne kaha aur usi waqt kisi ke aane ki aahat huyi aur sahil juhi ke bed se uthkar pas rakhi chair par baith gya. Juhi abhi bhi uski or dekhkar muskura rhi thi …uski bujhi bujhi si udas aankhe chamak uthi thi.

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (22)
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    17. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      UPDATE 14 Zulfiqar khan,dilli ke sabse bado namo me shumar…zindagi se bharpoor ek zinda dil insane ….daulat aur shohrat ki bulandi ko chhune ke bad bhi zameeni insaan…ek aisa insaan jiski dil me sabke liye pyar ,hamdardi aur apnaapan…..Jo har insaan ko insaan samjhta……unka eklauta beta sarfaraz khan …sarfarz ka dil ek hindu ladki par aa gya……...baap ne bête ki muhabbat ko kabool liya vaise bhi khan parivar ki parampara me kabhi hindu muslim ka bhed nhi rha …..unke liye musalmaan hone jitney fakr ki bat thi insaan hona bhi utna hi….. aur “ sanjanaa singh” sarfaraz khan ki dulhan ban kar aa gayi…..….sarfaraaz ne apne baap ka business sambhala aur unki khwahish ki sarfaraz koi white collar job kare bas ek khwahish hi rah gyi….. Sarfarz ne bhi bahut daulat kamai aur fir jab rajneeti me kadam rakha to wha bhi apna parcham lahra diya…pahli bar hi MP ka chunav jeet gaye…..khan parivar me bas ek hi kami thi …sarfaraz khan ki koi aulad nhi thi….aur sadi ke 8 sal bad jab nanhi si pari ne unke jeevan me kadam rakha to baba( zulfiqar khan ) ne pyar se uska nam “ JUHI “ rakha…………. sanjanaa jab juhi 4 sal ki thi tabhi use maa ke muhabbat se mahroom karke duniya se vida ho gyi…… khan baba ke jeene ka saharaa hi juhi thi aur duniya ki har sukh suvidha uske kadmo me dal di…jis cheej par juhi hath rakh deti wo uski ho jati…….juhi bhi baap se jyada apne baba se attached thi……. Zindagi ke solhave sal me kadam rakhte rakhte juhi sachmuch ek kali ban gyi thi……wo dilkash husn ki mallika ek behad suljhi huyi aur intelligent ladki thi….. .khoobsoorati ke sath sath uske taur tareeke aur ek ladki hone ke ahsas ne use aur khoobsoorat bana diya……apne baba ke liye IAS ban ne ka khwab uski aankho me samata chala gya…. Juhi me to jaise Khan baba ki jaan basti thi….jab JUHI ne IIT ka exam clear kiya to apne approach aur daulat ke dam par khan baba ne use delhi me hi admission dila diya taki wo unse door na chali jaye…juhi ko kabhi maa ki kami mahsoos nhi huyi…… Juhi ne IIT se B-TECH complete kiya aur ek sal coaching karne ke bad first time CIVIL services ke liye appear huyi lekin IIT ki gold medalist hone ke bad bhi wo pre clear nhi kar payi ………………aur use is bat ka ahsas hua ki is exam ke liye kya padhna hai jan na to jaroori hai lekin kya nhi padhna hai ye jan na us se bhi jaroori hai………….matlab ki agar sahi guidance na mile to kitni bhi mehnat karo koi fayada nhi…………..khan baba ne ye bat suni to uske liye ek sahi direction karne wale insaan ki khoj karne lage aur yhi khoj aaj sahil ko khan baba ke ghar layi thi….. “tum baitho beta …m abhi juhi ko bulaata hu……..” khan baba bolte huye andar chale gaye… Sahil pahli bar kisi itane ameer shakhs ke ghar aaya tha..ghar to nhi mahal hi tha wo….lekin ghar aur ghar walo ki soorat aur seerat me use koi interest nhi tha……use to pta bhi nhi tha ki wo wha kyu chala aaya…jabki wo to apni zindagi ko khatm karne ki soch rha tha ….khud ko mitane ke bare me soch rha tha …. “hello ,myself juhi ” khankati si aawaz par sahil ne sar uthkar upar ki or dekha…22-23 sal ki kajrare naino wali bala ki khoobsoorat ek msoom si ladki muskurate huye uski or hath badhaye khadi thi….. badhi huyi shave,lal aankhe aur bikhre huye baal…sahil juhi ko koi majnoo lag rha tha jiski aankho me kayi raton ki ratjagi ka khumar tha ….lekin is huliye me bhi smart lag rha tha…….itna smart ki dil har jaye koi haseena …lekin juhi aisi dil fenk haseena nhi thi…. Sahil ne kuchh nhi kaha aur na hi hath uski or badhaya…..juhi ko bura lagaa……lagnaa hi tha ..kisi ko bhi lagta…. Juhi bhi chupchap samne rakhe sofe par baith gyi…dono me se koi kuchh nhi bol rha tha….tabhi khan baba bhi chale aaye….. “areee tum dono me jan pahchaan to ho gyi na…koi bat nhi mai fir se karwa deta hu…juhi ye hai sahil,IAS ki taiyari karte hai …interview bhi diya..aur sahil beta ye hai meri juhi …meri jaan “ khan baba ne juhi ke bagal me baithte huye uske sar par hath fera…. “jee” sahil ne bas itna hi khaa…jaise uska dhyan wha tha hi nhi… “to sahil kya taiyari karni hogi juhi ko “ khan baba bole.sahil mano apne badhawasi pe kabu pata hua wapas aa gya… “jee jaisa ye kahe…agar kisi subject me difficulty ho to m help kar dunga …ye jaise bhi kahe” sahil ne pahli bar kuchh dhang se kaha.janekis jadu ke asar me tha sahil ki chah kar bhi inkar nhi kar paa rha tha ..... “kaho juhi beta” khan baba ne kaha. Juhi ka man to nhi tha lekin wo khan baba ka dil nhi todana chahti thi……sahil ki image ek akadoo,ghamandi aur badtameez insaan ki si ban gyi thi pahli hi mulakat me uske man me…jise tameez nhi thi kisi se milne ki ya bat karne ki……usne socha kisi tarah se kuchh din bita le fir khan baba ko manaa legi aur sahil ko wha se hatwa degi……. “jee mujhe economic bahut difficult lagi hai…”juhi boli. “ok..mere pas kuchh notes hai mai de dunga..aur aapke basics bhi clear karwa dunga…..abhi mai chalta hu kuchh kam hai….”sahil ne man me yhi socha tha ki wo notes juhi ko de dega lekin ab yha lautkar nhi aayega…jane kyu use juhi achchhi nhi lagi thi ……. Sahil ke sath khan baba bhi bahar taka aaye….. “sahil beta …juhi bina maa ki bachchi hai…maine bade najon se paala hai ise…kabhi kisi chhej ki kami nhi hone di….ab ye sirf meri khusi ke liye IAS ban na chahti hai…aaj tak jo bhi sapna isne dekha use poora kiya…maine poora kiya…lekin ab darta hu ki agar is bar aisa nhi hua to meri juhi ka dil toot jayega,…pahli bar jab iska nhi hua to maine kaha ki ab chhod do ye taiayari ..kya kami hai hame …lekin nhi mani…jiddi hai thodi…elkin ab tumhe dekhkar lagta hai ki wo jaroora kar legi agar tum sath rhe to….lagan hai uske andar bas thoda sa sahara chahiye……” “jee,…mai kosis karunga..” sahil ko samjh me nhi aay kya kahe… “dua lagegi beta tumhe is budhe ke dil ki……hamesa khus raho…kabhi koi jaroorat ho to jaroor kahna…. “ khan baba ne uske shane par hath rakhte huye kaha.. Sahil wapas jaa chukka tha ……khan baba bhi lautkar andar aaye … “achchha insaan hai sahil ……hai na juhi” unhone juhi se kaha. “baba,mujhe to bahut ghamandi aur akdoo lagaa….”juhi ne saf saf apn rai pesh ki. “nhi beta ,,tum pahli bar mili ho isliye……mera tazurba kahta hai ki bahut hi nek insaan hai….dekhna baht jald tum use pahchan logi” “jee” juhi bas itna hi bol saki… Sahil dusre din aaya aur apne notes juhi ko de diye aur wapas chala gya…….ye bolkar ki do din bad aayega ….. Rat ke 11 baj rhe the …. Juhi unhi notes ko ulat palatkar dekh rhi thi ……economis se bore hokar wo note band karne hi wali thi ki notes ke aakhiri page par use kuchh red color me hindi me likha hua dikha….ek nazm likhi thi ………….. “ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum ne ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum ne; ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hum ne wo shakhs qyamat tha kia us ki karen baten din us k liye paida or us ki he thi ratain ... kab milta kisi se tha, hm se thin mulakatin rung os ka shahabi tha, zulfoon may thin mayhkaryn ankhaain thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn dushman b ager daykhen, tu jaan sy dil haren kuch tum se wo milta tha batoon me shbaahat thi han tum sa hi lagta tha shokhi may sharart mein lagta bhi tumhi sa tha dastour e muhabat mein; “wo shakhs hme ek din apno ki tarha bhoola taroon ki tarha dooba pholoon ki tarha toota” phir hath na aya wo hm ne to bohat dhoonda; tum kis liye chonky ho kab zikar tmhara hai kab tm se takaza h kab tum se shikayat hai ek taza hikayat h sun lo tu inayaat hai; ek shakhs ko dekha tha taron ki tarha hum ne ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hum ne!” nazm padhkar juhi ko lgaa koi use kuchh kha rha hai..kisi ko uski jaroorat hai…..jahir si bat hai ki ye chand lines sahil ne hi likhi thi …likhawat same thi…aur dekhkar saf lag rha tha ki bahut jyada din nhi huye hai ise likhe….. kya sahil jan boojhkar mujhe ye suna na chahta tha ya usne kabhi pahle hi likhi thi…kuchh bhi ho hai bahut dard is nazm me …aakhir kya baat hai…… aakhir kaun hai ye sahil …kya raaj hai iski life ka…….kya sachmuch use meri jarooart hai…….????????????????????? Juhi ke man me lakho sawal uth rhe the …use ek baat ka yakeen ho chala tha ki chahe jo bhi ho sahil vaisa nhi hai jaisa wo soch rhi thi……uski life me koi raaj hai…jab wo pahli baar mila tha to bhi ukhda ukhda sa tha …jis ladke ne IAS ka interview diya ho uske andr bahut maturity honi chahiye …lekin sahil…..juhi ne man me soch liya ki ek bar kam se kam kosis to jarror karegi sahil ke bare me jan ne ki. Sahil ke zindagi ke panno ka ek nya adhyay suru ho chukka tha….. Sahil ke bare me jan ne ki utsukta juhi ki badhti ja rhi thi aur sahil jo do din ka kahkar gya tha 2 hafto se nhi aaya tha………..juhi ab khan baba se bolne lagi ki ek bar centre jakar sahil ka pata Karen …….jane kya bat thi sahil ke andar ki ek mulakat me hi juhi ko uski taraf ek aakarshan sa ho gya tha …jabki wo mulakat to koi mulakat bhi na thi balki ek takrar hi thi ……. Khan baba coaching centre se wapas aa gye the aur unhone bataya ki sahil 2 weeks se centre bhi nhi aaya……juhi ke dil me ek ajeeb si bechaini ho rhi thi aur usne soch liya ki wo khud sahil ka pata lagayegi……….. Coaching centre pahuch kar usne sahil ka address liya jo ki delhi ke ek slum area ka tha ….juhi ek bade ghar ki ladki thi ..wo kabhi is tarah ke areas me nhi gyi thi lekin usne soch liya tha ki ek kosis to wo jaroor karegi………… Kisi tarah se juhi puchhte puchhte aakhirkar sahil ki jhuggi tk pahuch hi gyi….jane kyu uski aankho me aansu aa gye………………uska man bhar aaya……………..kaise rahte hai log yha par…………..kya sahil yha rahkar padhta tha……………………..kya yha rahkar koi itana hard work study me kar sakta hai………..apni socho ko lagam lagate huye use usne chhote se khidkinuma darwaze par knock kiya……lagbhag teen bar knock karne ke bad darwaza khula…….sahil ka huliya dekhkar juhi ko sachmuch hi rona aa rha tha…… Uski aankho me itani mayoosi dikhti mano kuchh achchha hone ki koi umeed hi nhi hai…….mano zindagi me kuchh bacha hi na ho………use dekhkar aisa lagta jaise koi badshah hai jiski saltanat lut gyi ………...koi aisa raja jo apna sabkuchh har gya……jiske andar na jeene ki tamnna hai na marne ka gham…duniya ki khusi aur gham se bejaar….thaka thaka sa insan…………………………….. Aur sahil use aise dekh rha tha mano koi azooba ho ….jab kisi apne ke aane ki umeed dam todane lagi thi to fir kisi gair ko apne pas dekhna ….aascharya to hona hi tha…… “tum yha???” “ha…aap nhi aaye to mai hi aa gyi aapko lene” juhi ne apni aawaz ko bheegne se bachahte huye kaha.sahil ne ek pal ko uski aankho me dekha aur fir nazre jhuka li……… “andar aane ko nhi kahenge?”juhi jo ab tak darwaze par hi khadi thi boli. “nhi…tum plz chali jao yha se” sahil ne badi berukhi se kaha. “chali jaungi…bas do minut bat karni hai…..”..juhi ne kaha. “bolo” abhi bhi sahil ne use andar aane ko nhi kaha…. “aap aaye kyu nhi “ juhi ne ektak uske chehre ki or dekhte huye kaha… “mera man nhi karta ……..…tum kisi aur ko bol do …paisa hai tumhare pas bahut se log mil jayenge…” sahil jaise uski baton se ukta gya tha aur use talne ke se lahje me bola…….. “sahil aap plz mujhe padhane aa jaye Karen…….maine aapke notes padhe …bahut clear concepts hai aapke economics ke……….…plz agar aap meri thodi si madad kar de to shayad mai apne baba ka sapna pura kar saku……” juhi uski rukhi aur gusse se bhari baton ko bardasht karte huye boli. “maine kahaa na mujhe koi interest nhi hai……..na tum me ,na tumhare sapne aur na is duniya me…………” sahil na chahte huye bhi wo bol gya jo pichhle 1 sal se uske dil me tha…aur fir nadamat me sar jhuka kar chup ho gya. Juhi bhi chup ho gyi aur ek tak uski or dekhne lagi….2 minut tak dono ke bich khamoshi rhi aur fir juhi palat kar jane lagi……kuchh kadam chalne ke bad wapas mudkar aayi aur sahil ki aankho me dekhte huye boli………….. “tum ek behad khudgarz insaan ho …tumhe kya pata ki kisi dusre ke sapno ko pura karke kaisi khusi hoti hai …kaisa sukoon milta hai…….tumne to shayad dusro ke sapne bas tode hi honge…….aur isi liye………..” juhi iske aage na bol saki…………….juhi ki aawaz bharra gyi aur is se pahle ki uske aansu nikal jate wo teji se palti aur daudati huyi wha se chali gyi…..sahil thaga sa khada rha……. “maine sapne tode hai???????????...nhi juhi …tum kya jano …” sahil ke dil me ek tees si uth rhi thi…….. Aaj 15 dino ke bad sahil khan baba ke ghar aaya tha……khan baba use dekhkar behad khus huye …aur use andar bithate huye bole…… “aree juhi…dekho sahil aaye hain” itane umrdaraz aur ameer hone ke bad bhi kitni ijjat thi khan baba ke lahje me ………..sahil ke dil me unka makam bahut uncha hota ja rha tha…. Juhi khan baba ki aawz par chaunk gayi….sahil ????????? aur ek halki si muskan uske hothon par tair gayi….. Thodi der khan baba se bat karne ke bad sahil juhi ko padhane common hall me chala gya……….khan baba apne room me the aur sarfaraz sahib apne msale me uljhe huye shahar se bahar…. “thanx” juhi ne behad lagav se kaha. “jee….laye aaj economics hi suru karte hai…..” sahil seedhe topic par aa gya… juhi pura man lagakar padhti aur sahil ki or kabhi kabhi chor nazro se dekh leti…badhi huyi shave aur bikhre huye bal…is rough tough look me bhi sahil behad smart lagta tha…lekin juhi kisi jahiri khoobsoorti par mar mitne wali ladki na thi…… Sahil teen dino se juhi ko roj sham ko 3 baje se 6 baje tak padhata aur fir wapas chala jata…juhi ko ek bat samjh me aa gyi thi sahil wakayi brilliant tha……….uske sare samjhaye juye concept juhi ki samjh me aane lage the ….. “agr sahil jaise knowledge wale bande ka bhi IAS clear nhi hua to mera kaise hoga” kabhi kabhi wo apne man me sochati… Ek aur quality sahil ki jo juhi ko bha gyi wo thi uski sharafat ….sahil seedhe uske chehre ki or kam hi dekhta ……..…use jyadatar sar jhuka ke hi bat karta tha aur baten bhi sirf study tak hi seemit hoti thi…….. Ek bat thi juhi ke man me ………… ki kaise bhi karke sahil ko us jagah se nikala jaye………….juhi ko itana to samjh me aa gya tha ki sahil kisi bahut gahri nirasha me hai,,,kuchh to jaroor aisa hua hai jiska bahut gahra dukh hai uske dil me aur aise me sahil shayad ab IAS ban ne ke sapne se bhi door hota ja rha tha ….aur agar chahe bhi to itna dard dil me rakhkar wo itana bada exam nhi clear kar pata…………..juhi sahil ko kisi bhi keemat par wha se nikalana chahti thi……….aur iske liye use khan baba ka sahara mila…….. Khan baba ke yha kafi kamre khali the aur bahut isarar karke unhone sahil ko apne yha rahne ko raji kar liya ……………sahil manaa karta rha lekin aakhirkar khan baba ki bat ko na tal saka………….is bat par raji hua ki wo yha par bhi kiraya dega……….…khan baba man gaye…………..qki unhe pata tha ki sahil vaise to kabhi nhi rahega…….. Sahil ka room khan baba ki haweli ke thik samne bane kayi room me se ek tha jo shayad guests ke liye banaye gaye the……bahut shanty aur sukoon tha wha kyuki sarfaraz khan jyadatar apne business se related meeting apne farm house par hi rakhte …………...juhi ka room sahil ke room se door tha ………..ek khidki juhi ke room ki seedhe sahil ke room ki or khulti thi…… Sahil kuchh dino me hi khan baba ka bahrosa jeet gya …… sarfaraz khan bhi behad apanepan se milte us se aur unhone sahil ko juhi ke room me hi jakar use padhane ko kaha qki bahar bahut sare naukar hote aur kuchh log aa bhi jate kabhi kabhr …....jis se study disturb hoti thi. Khan baba aur sarfaraz saheb dono ko hi juhi aur sahil par poora bharosa tha aur lagbhag ek mahine ho gaye the sahil ko yha aye huye…………...aur is ek mahine me dono uski imandari aur sharafat ke kayal ho gaye the …… Juhi ko sahil ek achcha insane lagne laga tha……… Din beet te rahe lekin na koi sahil se milne aata na sahil khud kahi jata…….jyadatar apne room me hi rahta….juhi ko uski zindagi ke bare me kuchh pata nhi chal paa rha tha ……..…wo chahkar bhi uske liye kuchh nhi kar paa rhi thi……………… february ka month suru ho chukka tha aur thande din aur surmayi raten ek ek karke beetati ja rhi thi……juhi apne exam ki taiyari pure jor shor se kar rhi thi …MAY me exam hone wale tha…. Sahil se kabhi kabhi wo uske room me bhi jakar kuchh puchh leti ……..uska confidence badhne lagaa tha aur use ahsas tha ki isme bahut bada hath us shakhs ka tha ……. juhi ko bas ek bat khal rhi thi ki kya sachmuch sahil ne apne khwab ke pura hone ki umeed chhod di hai …kabhi bhi wo sahil ko padhte nhi dekhti ……….uske jee me aata ki us se kahe ……..use samjhaye ………lekin samjhati bhi to kya …janti hi kya thi wo uske bare me ?????????? Lekin kahte ha na jahaa chah hai wha raah hai aur yha to sachche dil se kisi ka bhala karne ki kosis thi…kismet ne juhi ka sath diya…ya shayad ye kahna jyada hik hoga ki sahil ka sath diya…… Us din sahil kahi gaya hua tha aur subah hi bolkar gya tha ki aaj thodi der rat tak aayega aur JUHI ko padha nhi payega…….juhi khud se hi padh rhi thi……...room me ghoom ghoom kar padhte huye achanak uski nazar sahil ke room ki or chali gayi ………abhi subah ke 10 baj rhe the …halki halki dhoop nikal rhi thi aur mausam bahut hi suhawana ho rha tha …….jane kya aaya juhi ke man me usne book table par rakhi aur niche utarkar chalte huye sahil ke room me chali aayi………………….. Juhi jab bhi sahil ke room me aati sirf tudy se related bat hoti ……...aur use aaj tak sahil ki books ko chhodkar kisi cheej ko hath nhi lagaya tha………..juhi ne darwaza khola…….…sahil lock nhi karta tha room ko ….…tha hi kya chhupane ko………aur uski zindagi me kise interest tha bhala jo uske kamre ki tak jhank karta……. Juhi ke man bahut se khyal aa rhe the ….kya mai sahi kar rhi hu?...........? nhi sahi to nhi hai……..uske na hone par uske room me is tarah se aana……….lekin khuda janta hai mera irada nek hai……….mai to ye sahil ke liye kar rhi hu….…shayad koi contact number mil jaye sahil ke kisi jan pahchan wale ka to pta chale ki kya bat hai ……...juhi apne khaylo ke bhawar me doobi huyi thi …….sahil ke room me jyada saman nhi tha ….juhi sahil ki books ko ulat palatkar dekh rhi thi ki tabhi uski nazar samne deewar me bani almari me rakhe ek suitcase par padi………… Juhi ne suitcase utara aur khol diya………….sahil ke sare certificate rahke the…….…sahil ka academic record excellent tha………..aur niche rakha tha uska IAS ka INTERVIEW LETTER…….juhi use uthakr dekh hi rahi thi ki uski nazar niche padi ek red colour ki diary par padi………….juhi ne sare certificates wapas rakhe aur kanpte hatho se wo diary utha li…………… Juhi ne man hi man sahil ko sorry bola aur diary khol di…………….usne date par ek nazar dali …koi 7-8 mahine pahle hi diary likhni suru ki gayi thi …aur date wo thi jis din civil services pre ka resutl aaya tha ….usi din se diary likhi gayi thi….. (jise sahil clear nhi kar paya tha) “Tumhari parwah karte karte kitna roya tanha main jis raat tumhari zarurat thi us raat ko soya tanha main bojhal bojhal palkein lekar mandir maszid jata hun wahi takht pr baithe baithe ,yaad mein roya tanha main bade masihaa ho tum mere, mujhe bachaane aa jao pathar lekar moti samjha haar piroya tanha main…. DEAR AARTI, maine kabhi nhi socha tha ki ek din mai itna akela ho jaunga ki mujhe apne dil ki bat in bejuban kagaz par likhni padegi….lekin aaj agar nhi likunga to shayd zinda nhi rah paunga aur ghut ghut kar mar jaunga….. Janti ho aaj fir se ek aur nakami mere hisse me aa gyi ….…tum rooth kya gayi jaise zindagi ki har khusi hi rooth gyi……...mai itna akela kabhi nhi hua zindagi me……..aaj mai bahut toot gya hu aarti…..toot to usi din gay tha jis din tum roothi lekin ab shayd dhere dheere bikhar rha hu…....aaj mujhe tumhari bahut jaroorat hai…plz kahi se aa jao na…mujhe aakar samet lo aarti………..plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz.. Jnata hu ki tum nhi aaogi….fir bhi dil ko tasaalli de leta hu…….janti ho mujhe is nakami ka itna dukh nhi hai…jab tum hi sath nhi to fir kya frak padta hai………..ab to padhne ka man bhi nhi karta…..jab hamsafar hi sath nhi to manzil par pahuchkar bhi kya karna …. Sach kahu to ab jeene ka man bhi nhi karta…..kya karunga jee kar …..lekin marne ki himmat bhi nhi juta paa rha….bas yhi sochta hu ki mummy ko itna bada dhokha kaise du……..jis baap ki aankhe apne bête ko IAS bante dekhne ko lalayit hai,unse apne bête ki laash kaise dekhi jayegi…….sabkuchh janta hu ……lekin kya karu tumhare bina sab suna suna lagta hai……..jiyunga jab tak jee sakunga…….jab tumne sajaa suna hi di hai to ab use katna hi padega……..janti ho bas dil me ek hi kasak hai…….tumne sajaa to de di lekin jurm nhi bataya….…aur ye kasam bhi de di ki mai kabhi jan bhi na saku….….lekin mai har wada nibhaunga aarti….kabhi nhi puchhunga tumse ki tumne mujhe tanha kyu chhod diya……...mere hi pyaar me koi kami rhi hogi….. Sochta hu ghar chala jau ….lekin nhi jaa sakta….qki mere toote huye sapne ki chubhan mere mummy -papa ko bahut hogi aur mai bardasht nhi kar paunga…..fir wha ki har cheez tumhari yad dilayegi…khas karke wo nadi ka kinara…….aur mai har yad par ek maut marta hu…. Aarti tumhara sahil itna kamjor nhi hai….mai hazaro nakamiya apne seene par sajaa kar bhi ladta rahta ……..lekin tumhari muhabbat meri kamjori ban gayi……..ek bar gale se lagakar bol do aur aaj bhi tumhari kasam mai duniya ki koi bhi imtehaan pass kar jau………..lekin tumhare bina nhi ….kuchh bhi nhi…… Dil me ek soona pan aa gya hai yar……..log kahte hai ki zindagi chalti rahti hai,lekin meri zindagi rook gyi hai aarti….aur ab to bas itani tamanna hai ki ye saanse bhi rook jaye….. Aur kya kahu ….kuchh samjh me nhi aata……...janta hu tumnhi aaogi phir bhi jane kyu ye pagal dil aas ka daman nhi chhodta …………aur jis din ye daman chhut gya shayad us din ye saanse bhi rook jayenge……. Khus rho…..bas itani dua hi de sakta hu aur kuchh to hai nhi mere pass tumhe dene ke liye … ..........miss you sona Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They Jo Pyar Ki Baatein Kertey They … Jab Bahaar Ka Mousam Aata Tha Aur Phool Pyar K Khiltey They Mast Nasheeli Shamon Mein Pyar Se Do Dil Miltey They Ik Roz Woh Basti Ujer Gai Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga Deewaney Phirtey Rehtey Hein Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein Iqrar Kisi Se Na Kerna tum Pyar Kisi Se Na Kerna…tum pyar kisi se na karna…………….. ab zindagi me kisis se pyar nhi karunga....kisi ko apna dost nhi banaunga............. Diary ke pahle kuchh panne padhkar juhi ne aankhe band kar li …..…aansu jane kab se palko ka darwaza todkar uske galo ko bhigoye jar he the…use kuchh khabar nhi thi….. “Itna dard………..itani muhabbat…… itani tadap……kaun hai wo bad naseeb jisne ek sone sa , muhabbata bhara dil tod diya…………khuda kare use zinagi me kabhi muhabbat naseeb na ho…”…….juhi ke dil se shayad zindagi me pahli bar kisi ke liye baddua nikli thi …

      • January 22, 2020
      • 36 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (24)
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    18. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      Meri ADMINS sy 1 request hy k yahan 1 new section bnaya jy jahan sirf or sirf non adult/romantic/love story post ke jayen umeed karta hon k ap meri is bat sy mutafiq hon gy

      • January 21, 2020
      • 36 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (26)
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    19. TUNE MERE JANA, KABHI NHI JANA

      Ufc Member replied to Ufc Member's topic in Roman Urdu / Hindi Adult Stories

      Lagta hy sab ko sirf (sex sex sex) hi parhna acha lagta hy romentic love piyar ishq muhabat kisi ko acha nhi lagta parham shayed isi leye to kisi ka b 1 comment b ni aya chalo koi bat nhi is story ke next update kal post kar don ga

      • January 21, 2020
      • 36 replies
        • 1
        • Ufc Member - URDU FUN CLUB (28)
        • romance
        • love
        • (and 1 more)

          Tagged with:

          • romance
          • love
          • love story
    Ufc Member - URDU FUN CLUB (2024)
    Top Articles
    Latest Posts
    Article information

    Author: Neely Ledner

    Last Updated:

    Views: 6123

    Rating: 4.1 / 5 (42 voted)

    Reviews: 81% of readers found this page helpful

    Author information

    Name: Neely Ledner

    Birthday: 1998-06-09

    Address: 443 Barrows Terrace, New Jodyberg, CO 57462-5329

    Phone: +2433516856029

    Job: Central Legal Facilitator

    Hobby: Backpacking, Jogging, Magic, Driving, Macrame, Embroidery, Foraging

    Introduction: My name is Neely Ledner, I am a bright, determined, beautiful, adventurous, adventurous, spotless, calm person who loves writing and wants to share my knowledge and understanding with you.